September 30, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1685
Skand Mata
Paanchva din Navratri ka hai aaya
Adi Shakti ke ek aur swaroop ka karein darshan
Apni goad mein Skand Kumar Bhagwaan ko uthaaye
Skand Mata Apne bhakton kee raksha karti Hain har kshan.
Mandbuddhi ko Mata gyan karti Hain pradaan
Unkee bhakti se itne bhakt paa lein santaan
Shwet hai Unka varna, kamal par Hain Ve viraajmaan
Sinh hai Unka vaahan, Padmaasanaa hai Unka ek aur naam.
Skand mata Hain adhishthaatri devi soorya mandal kee
Upaasak Unse dua karein apne parivaar ke mangal kee
Dein Mata Apne shraddhaalu sewakon ko alaukik tej aur kanti
Moksh pradaan karein, mitaayein bhakton kee bhranti.
Vaani kee devi Hain Ve, Hain Maa Parvati ka Rudra roop
Unka diya gyan ka ashirwaad hota hai anmol aur anoop
Kaha jaata hai ki maa ko bhaati hain kesar wali kheer, kela, aur mithaai
Sukh samriddhi dene mein maa kee hai vaddi vadiyaayee.
Maa ka yeh swaroop darshaata hai
Ki Ve Brahmaand kee raksha karein Apne putr samaan
Maatritva kee anupam divya moorat
Dosh duur kar ke laati Hain jeevan ka shubh mahoorat.
Jaise Prabhu Kartikeya ko janam dekar
Maa ne Taarakasur ka vadh kiya mumkin
Vaise hee Unkee aradhana se
Nasht hon mann ke aasuri dosh bhinn bhinn.
Guruji ke bhakt karein jis bhi devi dev ka poojan
Guruji Unkee raksha karein aur dein Unhe ashirwaad
Sakaaratmak soch ka protsaahan dete Hain Guruji
Pehchaante Hain bhakton ke jazbaat.
Sambhaalein Guruji bhakton ko Apni goad mein maa kee bhanti
Bhakton par chhaaye Unkee bhakti ka rangg aur Unkee kanti
Unkee mamta se khil jaaye har bhakt kee zindagi
Imtehaan beshak lete Hain Gurujī, lekin kalyaankaari hai Unkee bandagi.
Guru aur Devi Devtaaon kee sharan
Sada hoti hai mangal karan
Navratri ka parv sab ke liye ho dukh haran
Shiv Shakti kee kripa se safal ho sabka janam.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja