Jabb Se Aayi Hai Mahamaari (09/20/2022)

September 20, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1675

    Jabb Se Aayi Hai Mahamaari

Jabb se aayi hai mahamaari
Phaylaayee hai usne har oar laachaari
Aisee hai ye beemari
Ki aaj bhi hairaan hai ye duniya saari.

Mahamaari mein utaar chadhaav aaye kayi
Vishaanu ke bhinn prakaar laaye mushkilein nayi
Kisee ke dil par, kisee ke dimaag par
Kisee kisee kee toh rooh par bhi hua asar.

Kuch beemar huey itne ki bach hee na paaye
Kuch daakhil huey aspataalon mein aur laut kar ghar na aaye
Parivaar ke sadasya, meet chhoot gaye
Jaise bhaagya hon rooth gaye.

Aaj bhi spasht hai mahamaari ka prabhaav
Kitne padaarthon ka hai abhaav
Aarthik mushkilein aur beemaariyaan badhti jaa rahi hain
Sehenashakti mein kamzoriyaan nazar aa rahi hain
Ashanti si phaili hui hai baahar har oar
Aabohawaa ka ravaiya bhi hai kuch aur.

Simran, sadhna, dhyan mein hee bheetar kee shanti ka hai upaay
Yahee uljhi hui paristhitiyon ko sulajhaane mein hoga sahaay
Anivaarya hai saralta apnaani
Agar sanvaarni hai zindagaani.

Sakaaraatmakta aur saamanjasya
Yaad rakh kar nibhaana apna kartavya
In sabki oar rehna hoga jaagrit
Atmabodh kee oar hona hoga kendrit.

Beshak abhi bhi hai mahamaari
Lekin mit sakti hai laachaari
Taaki agar kuch samay mein aaye aur koi beemaari
Toh bhi shuru ho chuki ho bachaav kee tayyaari.

Vigyan ke saath saath
Gyan ke sooraj ka uday rehna hai aawashyak
Gyan kee janani hai bhakti, isliye bhakti anivaarya hai
Ismein bilkul nahin hai koi shak.

Guruji ne pehle se hee kiya sangat ko sachet
Ki maada waqt aayega
Guruji ka kaha hua simran, dhyan, aur paath ka hukm
Is par amal karna hamaara anmol sahaara bann jaayega.

Ismein poorna satya hai
Hum sab yeh maante hain
Isee mein hamaara kalyaan hai
Ye hum sab jaante hain.

Mahamaari aur kalyuga kar rahe hain apna kaam
Hamein apna kartavya nibhaana hai
Guruji ke hukm ka paalan kar ke
Unka kaha β€˜banda’ bann jaana hai.

Aur vilamb karne mein buddhimattaa nahin hai
Guruji ka har vachan tathya hai, sahi hai
Kalyuga mein bhi satyuga kee oar badhein
Guruji kee dikhaayee hui ruhaani seedhi chadhein.

Seedhi chadhte chadhte bhi aayenge imtehaan
Lekin angg-sangg hongei GurujΔ« karunanidhaan
Simran aur dhyan, bhakti aur gyan
In sabse chunautiyon ka saamna karna hoga thoda aasaan.

Guruji kee mehar se ruhaani seedhi chadhte jaayein
Deh mein basi atma ke uddhaar kee oar badhte jaayein
Chadhte chadhte Guruji kee Jai Jaikaar karte jaayein
Har pal anmol hai, kisee pal ko na vyarth ganvaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai GurujΔ« πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jabb Se Aayi Hai Mahamaari (09/20/2022)

Aisa Koi Bhi Pal Na Ho (09/19/2022)

September 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1674

                  Aisa Koi Bhi Pal Na Ho

Aisa koi bhi pal na ho
Jabb bheetar simran na ho
Shukrana ka bhaav na ho dil mein
Aisa koi bhi kshan na ho.

Guruji ke dar se peeche hatey
Kabhi aisa kadam na ho
Guruji ko pasand na aaye
Aisa koi karam na ho.

Dukh aaye jabb jeevan mein
Niraasha bhara krandan na ho
Sukh aaye jabb jeevan mein
Neevenpann ka khandan na ho.

Atmabal badhta rahe
Chaahe shareer mein dumm na ho
Bhakti mein itnee shraddha ho
Ki mann mein koi bhram na ho.

Aaye zindagi mein kaisa bhi mukaam
Guruji se pyaar kumm na ho
Guruji ko paane ke liye
Khud ko khonei ka gumm na ho.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai GurujΔ« πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aisa Koi Bhi Pal Na Ho (09/19/2022)

Saanson Ke Suron Ka Mel (09/18/2022)

September 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1673

         Saanson Ke Suron Ka Mel

Saanson ke suron ka mel hai ye zindagi
Praaniyon ke liye rachaaya khel hai ye zindagi
Dharti aur akash ke beech hai ye zindagi
Zindagi ko jeene ka sahaara deti hai bandagi.

Bandagi aur sadhna se aatmabodh hona hai mumkin
Bandagi aur sadhna se prerit ho paata hai har din
Sahi faisle lena ho jaata hai aasaan
Apna ahugraha barsaate Hain Bhagwaan.

Stavan mantra ya sukta bol kar kiya jaaye
Ya phir shlok ya stotra ke dwaara
Guru aur Govind ko rijhaana hai uddeshya
Ve hee dikha sakte Hain kalyaan ka kinaara.

Kumm hai Guruji kee mahima ka jitna bhi karein hum bakhaan
Guruji Hain hee itne pyaare, shaktishaali, aur mahaan
Unke satsang sunein aur sunaayein
Unke naam ka japp karte jaayein.

Guruji kee bandagi se saanson ko sajaa dein
Taaki suron ka mel ho ruhaani
Guruji kee mehar se bandagi aisee kar paayein
Ki uss bandagi se sada sahaara paaye zindagaani.

Guruji ka ashirwaad hai hamaari saanson ka aadhaar
In saanson se Unkee stuti kar ke ho jaaye in saanson ka uddhaar
Guru aur Govind kee mehar se hee chal raha hai hamaara ghar parivaar
Unhee se hai bandagi, Unhee se zindagi, Unhee se hai ye sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Saanson Ke Suron Ka Mel (09/18/2022)

Saubhagya Ka Sooraj (09/17/2022)

September 17, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1672

         Saubhagya Ka Sooraj

Samay kee gati ruk si gayi
hai
Kismat samay ke saamne jhuk si gayi hai
Guruji sab Hain dekh rahe
Lekha dobara Hain likh rahe.

Aaya hai ek aur imtehaan
Tu buss japta chal Guruji ka naam
Guruji ke har hukm mein hai veh paigaam
Jis se nishchay hee hoga tera kalyaan.

Guruji bakhshanhaar Hain
Ve hee taaranhaar Hain
Ve nirdeshak Hain, Ve hee chitrakaar
Tu buss nibhaata chal apna kirdaar.

Bhaagya ka kya kehna
Praarabdh toh padega sehna
Usee se hoga karmon ka bhugtaan
Usee mein hai tera kalyaan.

Soch na tu is anubhav ko saza
Isee mein hai Guruji kee raza
Kashton ke baadal beshak hain chhaaye
Unhonei jis sooraj ko liya hai chhupaaye
Saubhagya ka veh sooraj ho chuka hai uday
Ismein nahin hai ek maatra bhi sanshay.

Iska pramaan hai ye ki tujhe
Guruji ne hai sweekaara
Tere jeevan mein aaj se pehle bhi
Unhonei diya hai tujhe sahaara.

Karta chal Guruji ka dhanyawaad
Kaayam rakh bandagi ka jazbaat
Guruji karte Hain tujhse behad pyaar
Chaahte Hain ki tere karma bhugatvaa dein abb kee baar.

Beshak lagey ki ruka hai samay
Tu chaalaata chal apne kadam
Guruji dete rahenge shaabaashi
Dekh kar teri lagan.

Guruji rahein tujh par prassann
Isee prayaas mein guzaar har kshan
Nibhaata chal apna farz, aur simran mein reh magan
Saubhagya ke sooraj se zaroor ujjwal hoga tere jeevan ka gagan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Saubhagya Ka Sooraj (09/17/2022)

Ishwar Ke Roop Anginat (09/16/2022)

September 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1671

        Ishwar Ke Roop Anginat

Ishwar ke roop anginat
Ishwar ke naam bhi anek
Lekin satya hai ye
Ki sabka Maalik Ek.

Guruji ne Apne bhakton ko azaadi dee hai
Ki Ve poojein kisee bhi Bhagwaan ko
Guruji kahein Unke bhakton kee har vintee
Sweekaar hoti hai Unn karunanidhaan ko.

Guruji ke bhakton ke liye GurujΔ« ka roop
Ho jaata hai sukoon dene wali meethi dhoop
Guruji ke paawan pankaj paaon
Dete Hain bhakton ko sheetal chhaaon.

Unhee ke darshan mein bhakton ko
Darshan hotey hain Om aur Onkar ke
Bhakt jann GurujΔ« se paate Hain
Itne ashirwaad uddhaar ke.

Divyata kee jyot
Prakash ke prateek
Guruji ke har vachan se
Miltee hai nek seekh.

Hain Brahmand ke Shehenshah
Phir bhi itne neeven aur saral
Bhakton ke behisaab karmon ka bhaar swayam par lete
Phir bhi Hain kitne taral, nirmal, aur komal.

Maalik Hain Ve Apni sangat ke
Aur bhai, meet, murshid, aur naath bhi
Sada hamaare bheetar Hain baste
Aur har pal hotey Hain saath bhi.

Pyaare GurujΔ«, isee tareh rehna hamaare angg-sangg
Chadhta rahe hum par Aapki bhakti ka rangg
Hum baney rahein Aapke sewak, Aap Maalik hamaare
Aap Apni kripa se hamaari nauka ko lagaayein kinaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai GurujΔ« πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ishwar Ke Roop Anginat (09/16/2022)

Pahuncha Hai Tu Guruji Ke Dar (09/15/2022)

September 15, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1670

    Pahuncha Hai Tu Guruji Ke Dar

Pahuncha hai tu Guruji ke dar
Yahaan par milta hai uddhaar ka var
Simran se mann ke bartan ko saaf kar
Taaki veh amrit se jaaye bhar.

Guruji ke ashirwaad ke amrit kee
Ek boond bhi vyarth na jaaye
Kyunki har paawan boond mein
Sarvottam ashish hai samaaye.

Hotey hain khushkismat ve bhakt jann
Jinhe Guruji Apne dar par bulaate Hain
Kyunki aaj nahin toh kal
Ve yakeenan tarr jaate hain.

Yahaan nahin hai koi sakht niyam ya kaanoon
Chup chaap simran kar ke milta hai sukoon
Bhalaa nishchit hai uska jo satsang sunta aur sunaata hai
Yahaan har koi Guruji kee mahima gaata hai.

Guruji ka dar hai bahut hee pyaara
Yahaan har kisee ko milta hai sahaara
Adbhut hai Guruji kee leela ka nazaara
Jisne anginat bhakton ko hai taara.

Koi bhed bhaav nahin karte Guruji
Saari sangat Unke liye hai ek samaan
Bashar ke roop mein aaye Guruji
Aur Guru ke roop mein Hain Ve Bhagwaan.

Is dar par koi nahin aa sakta bin Guruji kee marzi ke
Waakif Hain Guruji teri har arzi se
Ve vahee karenge jismein hai tera kalyaan
Tu buss shraddha se japta chal Unka naam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pahuncha Hai Tu Guruji Ke Dar (09/15/2022)

Purushaarth Kee Poorti (09/14/2022)

September 14, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1669

            Purushaarth Kee Poorti

Dharma, arth, kaam, aur mukti
Inhe nibhaana hee hai purushaarth kee poorti
Uddeshya hai ek tareh se yeh har insaan ka
Anivarya hai iske liye ashish Guru aur Bhagwaan ka.

Apne sab bhakton par ashirwaad barsaate Hain Guruji
Kisee bhi roop mein aate Hain Guruji
Anginat tareh se Apni leela dikhaate Hain Guruji
Saath na chodne ka vaada nibhaate Hain Guruji.

Guruji nazar na aayein toh bhi koi baat nahin
Aisa bilkul nahin hai ki Ve saath nahin
Unkee leela se ho raha hai sabb
Ve hee samjhaayenge samjhaana hoga jabb.

Na bhi samjhaayein toh Unka dhanyawaad
Kyunki Ve har paristhiti mein de rahe Hain ashirwaad
Hum anjaan hain, nahin hai hamein khabar
Ki kitnee suraksha mil rahi hai Unke dar par.

Is suraksha ke liye Guruji ko naman
Kumm hai jitna bhi karein hum Unka stavan
Shraddha ke phool karte rahein hum Unke charnon mein arpan
Sakaaratmakta ke spandan se chamkaate rahein mann ka darpan.

Nirantar goonje hamaare bheetar dhvani Guruji ke simran kee
Unkee divyata ke mahasaagar ke sparsh se shant hoti rahein leherein antakaran kee
Unke ruhaani roop ke deedar se chhavi badhti rahe mann kee
Rasna sada bhaagyashaali ho paakar japp kriya naam ke dhan kee
Unkee divya khushboo yoon samaa jaaye dil kee har dhadkan mein
Ki veh noor-e-nikhaar laaye antarmann ke upvan mein.

Har tanmatra ho jaaye divyata mein leen
Har bhautik kaamna hoti jaaye ksheen
Na rahe koi vikaar, na rahe koi aasakti
Apne bheetar vaas karey Guruji kee dee hui shakti
Isee shakti se nibhaate chalein jeevan ke kartavya
Isee shakti se poora hoga purushaarth ka har uddeshya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Purushaarth Kee Poorti (09/14/2022)

Pareeksha aur Prateeksha (09/13/2022)

September 13, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1668

         Pareeksha aur Prateeksha

Aksar kathin lagti hai pareeksha
Khaaskar jabb usmein shaamil ho prateeksha
Prateeksha, bura waqt khatm honei kee
Prateeksha, haalaat ke zakhm dhone kee.

Lamba lagta hai har lamha
Mehsoos hota hai tanhaa
Bebasi kee hadd ho jaati hai paar
Phir bhi khatm nahin hota intazaar.

Uthte hain mann mein kayi sawaal
Jawaab dhoondhne mein beet jaate hain saal
Khatm nahin hoti prateeksha
Chalti rehti hai pareeksha.

Kitnee raahat miltee hai
Jabb in lamhon ko kaatna ho jaaye thoda aasaan
Aisee raahat ke saath dheeraj aur himmat
Deta hai Guruji ka naam.

Guruji ka naam lekar guzaare huey pal
Dhoondh paate hain bebasi ka hal
Asha ka chirag jalta hai mann mein
Dhairya aur manobal badhta hai jeevan mein.

Jaise jaise karte hain hum simran
Prateeksha kee ghadiyan honei lagti hain kumm
Sabr ke sangg badhti hai sehenshakti
Guruji kee mehar se nikharti hai bhakti.

Mushkil hai, lekin deta hai kalyaan ka dhan
Karna Guruji ko samarpan
Chinta ka ho jaata hai dahan
Gahan ho jaata hai chintan.

Pareeksha mein nek neeyat zaroori hai
Guruji neeyat parakhte Hain
Pareeksha ke har parche par
Guruji hastaakshar karte Hain.

Pichhle karmon aur pareeksha ke parche ko dekhkar
Guruji jholi bharte Hain
Bade dayavaan Hain Ve
Anginat dukhon ko harte Hain.

Saboori se karein hum prateeksha
Shraddha se dein hum pareeksha
Waqt toh rokey rukta nahin
Aur Guruji ka nirnay hota hai sahi.

Hum Guruji kee sharan mein hain
Unke naam ka kavach hai sabse achcha
Ve hee pareekshak Hain
Unka har vachan hai bilkul sachcha.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pareeksha aur Prateeksha (09/13/2022)

Daya Ka Daan (09/12/2022)

September 12, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1667

                     Daya Ka Daan

Bhakt thaa bahut mayoos aur laachaar
Guruji ne kaha, β€œBuss, thoda aur intazaar.”
Bhakt ne kaha, β€œMai toh kab se raha hoon pukaar.”
Guruji ne kaha, β€œMai sunn raha thaa har baar.”

Bhakt ko honei lagi thodi si sharmindagi
Lekin mahaan hai Guruji kee bakhshindagi.

Guruji ne kaha, β€œKatne wala hai tera yeh karam. Kar thoda sabr.”

Bhakt ne kaha, β€œGuruji, kumm hai jitna karoon Aapka shukr.
Mai vyarth hee jaata hoon ghabraa
Dekhkar aagey sankat bada
Mere Guruji se bada kuch bhi nahin
Guruji, Aapke saamne nahin tik sakti koi balaa.”

Guruji bhakt ko kamla kehkar muskuraaye,
Aur bhakt Unke charnon mein baitha sir ko jhukaaye,
Maun mein thei dono lekin ek dooje kee baat rahe thei samajh,
Aur bhakt ke mann kee uljhan rahi thi sulajh.

β€œKalyaan kitta,” Guruji ne kaha
Bhakt kee aankh se aansoo baha
Usmein thaa sweekriti aur Shukrana ka ehsaas
Aur bilkul ekant thaa aaspaas.

Guruji ne bhakt ko dee agya ghar jaane kee
Bhakt ne bayaan kee guzaarish jald hee phir aane kee
Guruji ne dee manzoori
Usey kaha ki veh rakhe shraddha aur saboori
Der beshak lagey, uske kasht talenge zaroor
Aur Guruji kabhi na hongei uss se duur.

Bhakt ko ho gaya poorna santosh
Ho gaya veh khaamosh
Kar ke Guruji ke charan sparsh
Samet kar apne mann mein harsh
Lauta veh apne ghar
Yaad karta hua Guruji ka dar.

Guruji sab bhakton ka kar rahe Hain kalyaan
Is satya se na rahe koi bhi anjaan
Hum bhikshuk hain, Ve Hain naath karunanidhaan
Awashya denge Ve sabhi ko daya ka daan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Daya Ka Daan (09/12/2022)

Soch (09/11/2022)

September 11, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1666

                            Soch

Har soch ka hota hai deh par asar
Har soch par jeevan ka basar karta hai nirbhar
Har soch par rehti hai Guruji kee nazar
Har soch ko hum sochein zara sambhal kar.

Soch hee karma banaati hai
Soch hee kaarya karvaati hai
Soch jabb mann mein aati hai
Veh aagey kee disha dikhaati hai.

Guruji se karein vintee
Ki hamaari soch Unke noor se rahe ujjwal
Kyunki soch banaa ya bigaad sakti hai
Hamaara aaj aur hamaara aane wala kal.

Guruji ke noor se soch jo rahegi roshan
Toh hoga atma aur deh ka paawan poshan
Har karma mein Guruji ka maargdarshan hum pehchaanenge
Aur usee ko kalyaan ka raasta maaneinge.

Soch kaarya se bhi mahatvapoorna hai
Kyunki soch se hee kaarya ko miltee hai prerna
Pyaare Guruji, Aapki mehar se dil-o-dimaag mein rahe
Sada sahi sochne kee chetna.

Aankhein khuli hon ya hon bandd
Sotey huey ya jaagte huey
Aaspaas bheed ho ya ho ekaant
Aapke simran se mann rahe sthir aur shant.

Uss sthirta aur shanti ka hota rahe soch par prabhaav
Is prabhaav se nirmal hota rahe bhaav
Is nirmal bhaav se soch ko sajaayein
Taaki hamaare karma hamein kalyaan kee oar le jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Soch (09/11/2022)