April 4, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1871
Mahavir Jayanti
Chaitra maas kee trayodashi tithi hai aayi
Jain dharma ke 24th Teerthankar ke janam kee salagirah hai laayi
Raja Siddharth aur Rani Trishalaa ke putr ka hua janam
Bihar ka zila Vaishali thaa Unka janam sthaan
30 varsh kee aayu mein mehel se veeraane mein kiya Unhonei prasthaan
Jahaan praapt hua Unhe Kaivalya gyan.
Rijubaalika nadi ka thaa tat
Jahaan safal hua Bhagwaan Mahavir ka tap
Maun sadhna aur bhakti thi Unkee yukti
Ahinsa, satyavaadan, asteya, pavitrata aur anasakti
In panchvraton ka diya Unhonei upadesh
Deeksha ke pashchaat Digambar hua Unka vesh.
Kitnee prerna aur shiksha miltee hai Unke jeevan se
Uddhaar ho jaaye uska jo grahan karey isey sachche mann se
Sabhi ke prati ho sadbhavna aur pyaar
Shant aur ahinsa poorna hon vichaar aur vyavhaar
Na rakhein mann mein vair, ghrina ya krodh
Prayaas karein aisa ki praapt ho aatmabodh.
Bhagwaan Mahavir ko shat shat naman
Sabhi santon aur Divya aatmaaon se seekhein hum har kshan
Sabhi sikhaate Hain rakhna jeevan mein neki aur atma-niyantran
Sabhi samjhaate Hain ki jeevan mein zaroori hai ki das bann kar rahe apna mann.
Praapt hui hai hamein Guruji kee sharan
Jagg ke liye kalyaankaari hai Unka har vachan
Karte Hain Ve saari sangat ka uddhaar
Gurbani ke simran dwara pavitrikaran kar sudhaarte Hain hamaari soch ka aakaar.
Banda bann-ne kee dete Hain Guruji prerna
Apni leela se jagaate Hain bhakton kee chetna
Shivroopi shantiswaroop sarv-shaktimaan Hain Guruji
Bashar bann kar aaye, swayam mein Bhagwaan Hain Guruji.
Sabhi ko Mahavir Jayanti kee shubhkaamnaayein
Vaada karein ki hum shuddh sansakaaron ke raaste par chalte jaayein
Beshak rukh badalti rahein ye hawaayein
Hum sada sadasheelta kee disha mein mudte jaayein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Mahavir Jayanti (04/04/2023)