Guruji Nikle Sayr Par (04/10/2023)

April 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1877

          Guruji Nikle Sayr Par

Guruji nikle sayr par, lekar ek shishya ko Apne sangg
Shishya par khoob chadha hua thaa Guruji ke prati bhakti ka rangg
Guruji kee mehar se shishya ke antakaran mein ujjwal thei teevra ichcha ke deeye
Aatur thaa veh, adhyaatamik rahasya jaan-ne ke liye.

Chalte jaa rahe thei Guruji
Tezi se lete huey har kadam
Kadam se kadam milaane kee koshish mein
Shishya ka toh nikla jaa raha thaa damm.

Guruji ko is baat kee thi khabar
Har oar hoti jo hai Unkee nazar
Unkee nadar ka hua aisa asar
Ki shishya bhi honei lagaa agrasar.

Guruji kee gati ke samaksh
Tez hawaayein kar rahin thi sajda jhukte huey
Poori kaayanaat kar rahi thi Guruji ka stavan
Aur yadyapi tabb beeta thaa ek hee kshan
Guruji toh itna chal chuke thei Maano Unhonei liye hon anginat kadam.

Itna aashcharya chakit thaa shishya
Dekh kar aisa akalpaneeya drishya
Usne suna thaa ki jahaan shishya kee soch hoti hai khatm, vahaan Guruji kee soch hoti hai shuru
Aur abb ka drishya dekhkar usey aur bhi yakeen ho gaya ki itne anokhe Hain uske guru.

Usey samajh na aayi ki Guruji hawaa mein chale ya zameen par
Lekin usne ye samajhne mein nahin vyarth kiya apna samay
Veh toh kar chuka thaa Guruji ko sarvsamarpan
Shukrana kee bhavna se ek baar phir bhar aaya uska mann
Veh toh Guruji kee ruhaani maujoodagi ke sanmukh vaheen par ho gaya natmastak
Aur tabhi usey lagaa jaise kisee ne uske mann ke darwaaze par dee ho dastak.

Veh baitha hua thaa neeche
Uthte huey dekha usne apne peechhe
Guruji khade thei aur rahe thei muskuraa mandd mandd
Shishya ko hairaani aur prasannata dono huey anant.

Kuch kaha na gaya uss se, thaa veh itna bhaav vibhor
Guruji ne usey ishaara kiya ek vriksh kee oar
Shishya Guruji ke peechhe gaya uss vriksh ke kareeb
Usey gyat na thaa ki jald hee sampoornata se khil jaayega uska naseeb.

Guruji ne shishya ko baithaaya Apne kamal charan mein
Aur shishya ne aankhein moond kar jodey apne haath
Guruji ne uske maathe par Apne kar kamal se diya sparsh
Aur kalyaan ka sarvottam anubhav hua shishya ke saath.

Shishya ke bheetar jal gayi jyot divya gyan kee
Advait bodh ke noor se nikhar gayi gehraayee uske kiye dhyan kee
Guruji ne shunyata mein usey pradaan kee sampoornata ruhaani
Guruji kee aisee rehmat ne kalyaan se sajaa dee shishya kee zindagaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Nikle Sayr Par (04/10/2023)

Mera Antas Aabaad (04/09/2023)

April 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1876

             Mera Antas Aabaad

Mere param poojya Guruji Maharaj pyaare
Aapne apnaaya toh chamak gaye meri kismat ke taare
Mai na jaanoon kaise hotey hongei jannat ke nazaare
Mere liye toh har sukh hai Aapki divyata ke dwaare.

Pecheede hain maamle duniyadari ke
Buddhi deejiye taaki unhe kartavya maan kar nibhaaoon
Vivek sada rahe vimal mera, vyavhaar rahe saral
Jo bhi ho jaaye, Aapko na kabhi bhulaaoon.

Girne ke avsar bahut hain sansaar mein
Girne se bhi Aap hee bachaayiyega
Aur phir bhi jo gir gayi apni laparawahi ke kaaran
Toh Aap sumat aur himmat dekar uthaayiyega.

Mere paaon aur meri aukat rahe zameen par
Paaon aagey badhein Aapke yakeen par
Safalta jabb kabhi agar chhoo le aasmaan
Toh bhi meri aukat kabhi na bharey abhimaan kee udaan.

Shukrana karte huey har pal karoon Aapko yaad
Arzi karoon toh bhi pehle karoon Aapka dhanyawaad
Aisa banaa deejiye mere dil ka jazbaat
Ki Aapke chintan se nirantar rahe mera antas aabaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mera Antas Aabaad (04/09/2023)

Apni Manzil Ke Nede (04/08/2023)

April 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1875

Apni Manzil Ke Nede

Pyaare Guruvar,

Aap meri rooh ke rahnuma pyaare
Meri rooh ka safar hai Aapke sahaare
Aapki mujh par hain rehmatein kayi hazaar
Aapki har rehmat ke liye hoon shukraguzaar.

Ye safar tayy karna mumkin hee nahin Aapke saath ke bin
Tasalli hai ki meri rooh Aapse judi hai raat din
Phool hon ya hon kaante jeevan kee raahon mein
Mere kalyaan kee doar hai Aapki baahon mein.

Raahgeer hoon Aapke banaaye jahaan mein
Aapki mehar se sajaa hai har lamha meri daastaan mein
Aapke ashirwaad se ho rahe hain jeevan ke sabhi anubhav
Anandmayi hoga veh pal jismein hoga swaanubhav.

Ajanabi sa lagta hai jabb ye jahaan
Lekin zaroori hai paar karna har mukaam
Aapki maujoodagi is kadar banaati hai chalna aasaan
Ki andhere mein bhi raasta dikhaate hain Aapke kadmon ke nishan.

Chhaaye Aapki divyata kee mehek mere har mukaam ke gulistaan mein
Meri rooh kee manzil toh basee hai Aapke deedar mein
Aisee bhakti aur sumat bakhshiye, daata mere
Ki har din meri rooh aati rahe apni manzil ke
nede.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apni Manzil Ke Nede (04/08/2023)

Teri Prateeksha Kar Raha Hai Aasmaan (04/07/2023)

April 7, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1874

Teri Prateeksha Kar Raha Hai Aasmaan

Aye zakhmi aur thakey huey vihangam
Na kar tu gumm
Bhar jaayenge tere zakhm
Tu buss maan Guruji ka hukm.

Ho chuke hain tere is se poorv kitne janam
Beshak ye na jaane tera mastishk ya mann
Kintu Guruji ko hai is baat ka bhi gyan
Aur tere har dard ka hai unhe anumaan.

Baaki praaniyon kee bhanti tu bhi hai safar par
Na chod koshish tu himmat haar kar
Guruji kee mehar laayi hai tujhe Unke dar par
Tu unnat hona chaahta hai, Guruji ko hai iskee khabar.

Pehchaana hai toone maya ka jaal
Abb apne aap ko sambhaal
Reh saavdhaan, japta chal Guruji ka naam
Guruji awashya karenge tere uddhaar ka intazaam.

Bhram aur vishwaas ke beech kee rekha maheen hai
Bahut maayne rakhti hai ye baat ki tujhe Guruji par poora yakeen hai
Atma-vishwaas ka kar poshan
Taaki koi na kar paaye tera shoshan.

Beshak mushkilein aayein anek
Agar teri neeyat hai nek
Toh tal jaayegi aapatti pratyek
Teri niyati nikharegi paakar Guruji ka hastakshep.

Teri prateeksha kar raha hai aasmaan
Guruji Hain karunanidhaan
Bahut jald tu bharega udaan
Guruji kee kripa se hoga tera kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Teri Prateeksha Kar Raha Hai Aasmaan (04/07/2023)

Kripa Ke Kalpavriksh Ke Taley (04/06/2023)

April 6, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1873

      Kripa Ke Kalpavriksh Ke Taley

Yug parivartan ho chuka hai shuru
Kalyaan nishchay hee karenge Guru
Guruji Hain MahaShiv swaroopi
Unmein na ho jo, aisee nahin hai koi bhi khoobi.

Unkee mehar barse har pehar
Unka dar leta hai pareshaani har
Unkee sharan hai mangalkaran
Ve sanvaarte Hain janam maran.

Guruji ke charnon mein sweekaara jaana
Hai atyant khushkismati kee baat
Pooran Guru Hain Guruji Maharaj
Anmol hoti hai Unkee dee har daat.

Jeevan daan Ve dete Hain
Bhakt ke kasht swayam par lete Hain
Nirogi karte Hain dimaag, mann, aur tann
Har bhakt ke angg sangg rehte Hain har kshan.

Saanson ka karte Hain uddhaar
Karaakar bhakton ko simran aur dhyan
Apni anokhi leela aur swaabhaavik dhangg se
Pradaan karte Hain ruhaani gyan.

Bhakt agyan hota hai apne jis hunar ke baare mein
Antaryami Guruji toh veh bhi jaanein
Uss hunar ko Apne sneh se nikhaar kar
Guruji bhakt ko pratibha sampann banaayein.

Har pal adhiktar bojh sambhaalein Guruji
Bhakton ke karmon ke bhaar ka
Sabhi bhakton ke nath Hain Ve
Khayaal rakhein sabke ghar parivaar ka.

Anekon baar dobara likh dete Hain bhakt ka lekha
Aisa anginat bhakton ne aksar hai dekha
Sarvgyani Hain Guruji
Maha daani Hain Guruji.

Bhakt beshak jaaye Guruji ko bhool
Satark rehta hai Shivroopi Guruji ka trishul
Bhakt bhool jaaye karna dhanyawaad
Toh bhi barasta rehta hai Unka ashirwaad.

Aise pyaare bade dil wale taaranhaare Guruji
Jisey milein, uskee kismat khil jaaye har janam ke liye
Koti koti naman Guruji Maharaj ko har pal
Bhakt Jinkee kripa ke kalpavriksh
ke taley hain jeeye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kripa Ke Kalpavriksh Ke Taley (04/06/2023)

Chiranjeevi Bhagwaan Hanuman (04/05/2023)

April 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1872

   Chiranjeevi Bhagwaan Hanuman

Yugon yugon se jee rahe Hain
Chiranjeevi Bhagwaan Hanuman
Japte Huey Shri Ram ka naam
Dete Huey niswaarth sewa aur simran ka paigaam.

Roop Hain Ve Mahadev ke swayam
Jeet liya jinhonei Apne har bhakt ka mann
Sankat mochan, Shankar suvan
Maruti kaho ya Kesarinandan
Kapeesh, Pavanputr, Anjani sut Bhagwaan
Shivji ka ek anoop roop Hain Shri Hanuman.

Hanu Unkee ghaayal hui Indra ke vajr dwaara
Kaha jaata hai isliye sabhi ne Unhe Hanuman naam se pukaara
Chaitra maas kee poornima par manaaya jaata hai utsav Unke janam ka
Mangalvaar ke din janme thei Rudravatari Hanuman
Mangalvaar aur Janamotsav par bhakt karte hain Unkee puja ke anek anushthaan.

Ghar ghar mein, aur mandir mein
Hanuman janamotsav par hota hai Ramayan ke Sundarkand ka paath
Hanuman ji kee aarti hoti hai Hanuman Chalisa ke sangg
Sindoori hota hai Hanuman ji ka rangg.

Puja mein prayog hon laal pushp, laal langot, aur sindoor
Shri Hanuman karein har nakaaraatmakta ko duur
Koi bhog lagaaye phal ka, koi chadhaaye akshat, laddoo, halwa, beeda paan ka
Har koi anand le Shri Hanuman kee mahima ke gungaan ka
Bhakt jann Hanumanji ko shraddha se karein ye sab arpan
Bajrang Baan ka paath bhi karein kayi jann.

Koi rakhe vrat is din
Koi khilaaye zarooratmandon ko bhojan
Roag aur dosh duur karein Shri Hanuman
Kashton ka nivaaran kar karte Hain sabka kalyaan.

Niswaarth aur shraddha poorna sewa kee Unhonei Shri Ram kee
Sarvashreshth Ram bhakt Hain Ve kehlaate
Jahaan bhi vishwaas se sankat grast bhakt pukaare Unhe
Shri Hanuman vahaan awashya Hain jaate.

Gadaa dhaari kalyaankaari
Dukh bhanjan Marut nandan
Maa Sita aur Shri Ram ko laagey pyaare
Unka prataap sabhi ke sankat nivaare.

Shivavatari Guruji kee saari sangat ko bhi
Shri Hanuman ke janamotsav kee badhaayi
Guruji ke darbar mein sada hoti
Bhakton kee arzi kee sunvaayee.

Shivji kee mahima hai anant aur anoop
Guruji Hain leela dhaari Shivji ka hee roop
Poojya divya jyot hai srishti mein sarvshaktimaan
Jis bhi roop mein darshan hon inke, nishchit hai kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Chiranjeevi Bhagwaan Hanuman (04/05/2023)

Mahavir Jayanti (04/04/2023)

April 4, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1871

    Mahavir Jayanti

Chaitra maas kee trayodashi tithi hai aayi
Jain dharma ke 24th Teerthankar ke janam kee salagirah hai laayi
Raja Siddharth aur Rani Trishalaa ke putr ka hua janam
Bihar ka zila Vaishali thaa Unka janam sthaan
30 varsh kee aayu mein mehel se veeraane mein kiya Unhonei prasthaan
Jahaan praapt hua Unhe Kaivalya gyan.

Rijubaalika nadi ka thaa tat
Jahaan safal hua Bhagwaan Mahavir ka tap
Maun sadhna aur bhakti thi Unkee yukti
Ahinsa, satyavaadan, asteya, pavitrata aur anasakti
In panchvraton ka diya Unhonei upadesh
Deeksha ke pashchaat Digambar hua Unka vesh.

Kitnee prerna aur shiksha miltee hai Unke jeevan se
Uddhaar ho jaaye uska jo grahan karey isey sachche mann se
Sabhi ke prati ho sadbhavna aur pyaar
Shant aur ahinsa poorna hon vichaar aur vyavhaar
Na rakhein mann mein vair, ghrina ya krodh
Prayaas karein aisa ki praapt ho aatmabodh.

Bhagwaan Mahavir ko shat shat naman
Sabhi santon aur Divya aatmaaon se seekhein hum har kshan
Sabhi sikhaate Hain rakhna jeevan mein neki aur atma-niyantran
Sabhi samjhaate Hain ki jeevan mein zaroori hai ki das bann kar rahe apna mann.

Praapt hui hai hamein Guruji kee sharan
Jagg ke liye kalyaankaari hai Unka har vachan
Karte Hain Ve saari sangat ka uddhaar
Gurbani ke simran dwara pavitrikaran kar sudhaarte Hain hamaari soch ka aakaar.

Banda bann-ne kee dete Hain Guruji prerna
Apni leela se jagaate Hain bhakton kee chetna
Shivroopi shantiswaroop sarv-shaktimaan Hain Guruji
Bashar bann kar aaye, swayam mein Bhagwaan Hain Guruji.

Sabhi ko Mahavir Jayanti kee shubhkaamnaayein
Vaada karein ki hum shuddh sansakaaron ke raaste par chalte jaayein
Beshak rukh badalti rahein ye hawaayein
Hum sada sadasheelta kee disha mein mudte jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mahavir Jayanti (04/04/2023)

Aalam Aapke Rutbe Ka (04/03/2023)

April 3, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1870

           Aalam Aapke Rutbe Ka

Param poojya Guruji,

Chhaaya is kadar aalam Aapke rutbe ka
Ki baaki sab kuch gayi mai bhool
Aapne Apni rehmat kee varsha barsaayee
Banaakar mujhe Apne charnon ke taley kee dhool.

Duniyadari kee dharaa par chubhey thei jo shool
Ve de gaye pairon se zyada dil mein zakhm
Aapne phoolon ka gulistaan aisa dikhaaya
Ki unkee yaad ho gayi bilkul khatm.

Aapki deewanagi mein magn ho gaya mera dil
Aapki mehar se hee ho sakaa aisa varna mai kahaan iske kaabil
Kab dhoop ho meethi aur kab teekhi hokar jalaaye
Mai agyani itnee ki mujhe ye bhi samajh na aaye.

Aapki inaayat, jo goad mein baithaaya mujhe
Apne aanchal kee dee mujhe chhaaon
Aapki mamta ke ashruon ne marham bann kar har lee
Veh peeda jo seh rahe thei mere dil aur paaon.

Kaha Aapne, ki Aapki sharan mein raasta nahin hai saral
Lekin Aap mere angg sangg hongei har pal
Aapki kripa se aisa hee hota aa raha hai
Har veh vachan anmol hai, jo Aapne kaha hai.

Subuddhi deejiye, ki sir aankhon par rakh kar Aapki har baat ko maanoon
Chaahe uska saar aur gehraayee jaanoon ya na jaanoon
Kyunki meri soch hai chhoti aur agyani
Aapki soch shuru ho jahaan meri ho khatm, Aap Hain sarvgyani.

Aap na bhi dikhein, toh bhi rehta hai Aapki maujoodagi ka ehsaas
Jitna shukriya karoon Aapka, veh kumm hai, ye safar hai itna khaas
Har shwaas mein basee rahe Aapko paane kee ruhaani pyaas
Har kshan mere avachetan aur chetan mein rahe Aapka vaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aalam Aapke Rutbe Ka (04/03/2023)

Sabhi Ke Taaranhaar (04/02/2023)

April 2, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1869

             Sabhi Ke Taaranhaar

Bahaaron, tum ho bahut khushnaseeb
Kyunki Guruji ka aanchal tumhe chhoota hai
Nazaaron, hai tum par Guruji kee badi mehar
Ki Ve daalte Hain tum par Apni noor-e-nazar.

Aye pankhudi gulab kee, tum Guruji ke charan mein ho arpan
Tumhaara toh safal hua jeevan
O poshaak niraali, tumhaara toh ho gaya uddhaar
Guruji ke sparsh se tumhe mil gaya Unkee mehek ka ruhaani uphaar.

Jootiyan Guruji kee, tumhe sees jhuka kar mai karoon naman
Tumne chhoo liye Guruji ke kamal charan
Tumhe mera shukrana, Guruji kee sangat suhaani
Tumhaare sangg ke anubhav se itna kuch seekh rahi meri zindagaani.

Simran aur dhyan, Aapko mera dhanyawaad
Guruji kee mehar se Aapne kiya hai meri rooh ko aabaad
Sewa pyaari, tum ho aadarneeya saheli
Madad karti ho boojhne mein mere paapon kee paheli.

Prataapi Satsang, Aapka Guruji kee agya se hota hai sanchaalan
Seekha hai Aapse karna Guruji kee agya ka paalan
Aye meri zindagi, jabb se kee mainey Guruji kee bandagi
Milee hai tumhe aur mujhe Unkee dayalu bakhshindagi.

Anginat hain Guruji ke kiye upkaar
Aseem hai Guruji ka pyaar aur dulaar
Chaahe ho veh praani, phool, nazaare, ya bahaar
Guruji Hain sabhi ke taaranhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sabhi Ke Taaranhaar (04/02/2023)

Aapki Nadar Ke Liye (04/01/2023)

April 1, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1868

            Aapki Nadar Ke Liye

Param poojya Guruji,

Khushanaseebi ne seema ko kar liya paar
Jabb se milne lagaa mujhe Aapka pyaar
Aantrik sangharshon se padi thi bheetar jo daraar
Aapka maargdarshan karne lagaa uska bhi upchaar.

Aapki mamta ke marham se
Antas ke zakhm lagey bharne
Aapne le liya jo sharan mein
Toh Aap har dukh lagey harne.

Aankhein khuli hoti huin bhi dekh na sakin jo
Vo sab Aapne dikhaaya
Aankhon par jo parda gira thaa, veh Aapne uthaaya
Sadhna ho paaye mujhse vaisi, jaisa Aap chaahein
Jinse thaama hai mujhe Aapne, kabhi na chudaana Apni ve dayalu baahein
Andhkaar, prakash, aur shabd ke pardon ke paar bhi le jaayiyega
Jabb bhi lagey ki mai yogya hoon, mujhe unke paar ka drishya dikha deejiyega.

Aapki rehmat se hee pahunch sakti hoon uss paar
Aapki kripa se hee ho sakta hai atma-saakshaatkaar
Aap sumat bakhshiye ki mera prayaas jaari rahe baarambaar
Guruji, Aapki nadar ke liye mai har pal hoon Aapki shukraguzaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapki Nadar Ke Liye (04/01/2023)