Mann Aur Darpan (10/10/2023)

October 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2060

                 Mann Aur Darpan

Guruji sada rehte Hain Apne bhakton par meharbaan
Ve prasann hotei Hain sunn kar bhakt dwaara Unkee mahima ka gungaan
Dekar aadesh Gurbani ke shravan aur simran ka
Ve raasta dikhaate Hain jahaan se mal dhul jaata hai mann ka.

Gurbani hai mann ka ruhaani darpan
Is darpan se baat karne lagaa mann
Mann keh kar dola, mai hoon tadap raha
Darpan bola, kyunki tu hai bhatak raha

Mann ne rotei rotei kaha, mujhe kuch aata nahin samajh
Darpan ne uska rona saha, kaha ki tu bahut zyada raha hai ulajh
Mann ne poochha ki veh kaise safal karey jeevan
Darpan ne samjhaaya usey ki zaroori hai Guruji ka chintan.

Mann ko fikr thi ki kaise hoga uske mal ka haran
Darpan ne dee tasalli ki simran aur chintan dwaara hoga uska pavitrikaran
Mann chaahta thaa paana vikaaron par niyantran
Darpan ne diya sujhaav ki veh nirantar karey atma-nireekshan.

Mann jaise haar chuka thaa haunsala aur saahas
Lekin darpan ne bandhaaya usko dhaandhas
Mann apne vikaas kee oar dene lagaa dhyan
Darpan mein dekhte dekhte usey honei lagaa parmaarth ka gyan.

Jiska thaa veh mann, veh bhakt banda gaya bann
Dekhna nahin choda usne kabhi bhi Gurbani ka darpan
Guruji kee mehar se uss se hota raha simran
Mann ke saaf honei se sanvar gaya uska jeevan.

Uss bande ka mann ho gaya shant aur sthir
Shukrana karne lagaa veh darpan ka phir
Darpan ne mann ko sada yaad dilaaya
Ki Guruji ne usey saadhan hai banaaya
Sabhi bhakton ke uddhaar ke liye
Taaki unke mann mein jalte rahein simran kee deeye.

Simran ka ujaala hai bahut prabal
Badhaata hai ye bhakton ka manobal
Guruji ne bhakton ko Gurbani roopi darpan kiya hai pradaan
Jisey sunvaakar Guruji karte Hain bhakton ka kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mann Aur Darpan (10/10/2023)

Leave a comment