Dhanya Hua Hai Tera Safar (04/03/2024)

April 3, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2236

Dhanya Hua Hai Tera Safar

Jhuk raha hai aasmaan
Karne Guruji ko pranaam
Neeveen ho kar ke pawan
Karey Guruji ko naman.

Prithvi choome Guruji ke charan
Neer ho nirmal Unkee meharbaani se
Agni oorja aur tej paaye
Guruji kee shakti aur prataapi bani se.

Brahmgyani adhyaksh Hain Guruji, Hain Ve Maheshwar Pradhaan
Purush aur Prakriti dono, sada karein Guruji ka sammaan
Guruji sambhaalte Hain saari sangat ke praan
Kyunki saari sangat hai Unkee santaan.

Guruji swayam Hain Bhagwaan ke swaroop
Sangat ko taarne ke Unke tareeke hain anoop
Kaheen na dekhi itnee saralta ke sangg aisee anant gehraayee
Kaheen na dekhi itne neevenpann ke sangg aisee aseem vadiyaayee.

Guruji samdrishti barsaane wale SadaShiv vardaata Hain
Guruji disha dikhaane wale karma daata Hain
Koi hamdard, koi humsafar Unke jaisa nahin
Jo bhi ho raha hai Unkee sharan mein rehte huey, vo bhakt ke liye hai sahi.

Yakeen kar is baat par
Na kar tu agar-magar
Guruji ke charnon mein hai tera sir
Dhanya hua hai tera safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Dhanya Hua Hai Tera Safar (04/03/2024)

Leave a comment