Sajde Mein (04/04/2024)

April 4, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2237
           Sajde Mein

Dekar apratim pyaar
Sangat ko taar
Guruji le chale Hain uss paar
Jahaan hai shubhta kee bahaar.

Na zaroorat hai kisee dooje lok mein jaane kee
Na aawashyakta mrityu ke aane kee
Balki jeete jee Guruji ke kamal charan mein
Hamein poori madad mil rahi hai kashton ke haran mein.

Guruji kee bakhshish hai bemisaal
Unkee daya hai divya dhaal
Unkee vaani se vinamr hon vichaar
Unke simran se ho sanskaar mein sudhaar.

Chalte huey Guruji ke nakshe kadam par
Sangat ko mil raha hai ye anupam avsar
Kitna dayalu hai Guruji Maharaj ka dar
Ve haanikar haalaat ke halahal ko rahe Hain har.

Kal bhi sambhaala Jinhonei saari sangat ko
Nikhaara sangat kee ruhaani rangat ko
Aaj bhi rakh rahe Hain jo saari sangat ka khayaal
Bhavishya mein bhi jo sanvaarenge sangat ka haal
Aise meharbaan Mahadev avatari Guruvar ka dena koi na de paaye
Unke ehsaanon ke prati aabhaar ke ehsaas se antas sajde mein sees jhukaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sajde Mein (04/04/2024)

Leave a comment