December 12, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2489
Uddhaar Kee Raah
Paramatama ka chhota sa ansh hai tujh mein
Atma ke niraakaar swaroop mein
Isee Ishwareeya prataap ke hetu
Sampoorna hai tu apne roop mein.
Atma hee hai asal, atma ko tu nikhaar
Shareer ka bhi dhyan rakh, vo bhi hai Guruji ka deeya uphaar
Kintu shareer ko sanvaarte sanvaarte
Bhool na jaana karna atma ka poshan
Varna ruhaani raah na ho paayegi roshan.
Shareer ne reh jaana hai yahaan
Panchbhoot main jaana hai samaa
Lekin jiskee atma ka avinashi kann
Rahega Paramatama mein magan
Aagey bhi sukhad hoga uska safar
Shraddha ke sanskaar ka hota rahega asar.
Guruji Hain Paramatama
Unmein sanlagn kar ke atma
Ho jaayega ehsaas
Ki tu Unse juda nahin
Na hee juda thaa pehle kabhi.
Isliye atma-anubhooti hai ati-aawashyak
Aur jabb Guruji swayam Hain rakshak
Toh phir kaisa sanshay?
Toh phir kyun koi bhi bhayy?
Abb vilamb ko tyaag
Baahar kee oar na aur bhaag
Atma par se mitne hongei daag
Zaroori hai ki tu jaag.
Yahee hai upaay
Ki atma Paramatama mein samaaye
Adhoorepann ka ehsaas ho jaayega duur
Na soch ki tu hai haalaat ke vash mein majboor.
Chetaavani maan isey
Ya maan isey salaah
Yahee toh hai ekmaatra
Uddhaar kee raah.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Uddhaar Kee Raah (12/12/2024)