Aapke Prati Mera Bhaav (12/21/2024)

December 21, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2498
           Aapke Prati Mera Bhaav

Mere param poojya Guruji sarkar
Aapko shat shat namaskaar
O seenchne wale mere jeevan ke upvan ko
Apni chaahat ke mutaabik banaa deejiye mere antakaran ko
Aisa ho jaaye Aapke prati mera bhaav
Jaisa chakor ko chaand dekhne ka hota hai chaav
Soojhe hee na Aapke siwa koi aur
Aapki oar hee karoon mai gaur.

Ye nahin mumkin Aapki meher ke bin
Aapki meher miltee rahe raat aur din
Aap mein rahoon magan
Aap mein laagi rahe lagan.

Har pal hota rahe Aapki maujoodagi ka ehsaas
Kyunki ye ehsaas hai har shwaas ke liye sabse khaas
Is ehsaas ke bin mai ho jaaoon bilkul udaas
Is ehsaas ke sangg Aap sada hotey Hain mere bheetar aur aas paas.

Darasal ye kewal ehsaas nahin, yahee hai hakeekat
Itnee hai Aapke prataap kee ahamiyat
Is hakeekat ko bhool na paaoon mai
Sada Aapke prataap ke gunn gaaoon mai
Aapki mehek se mere jeevan ka upvan khilta rahe
Aapke anugraha ka amrit atma ko milta rahe
Dhul jaaye atma par se har daag
Soyi hui meri chetna jaaye jaag
Aapko bhoolne kee naadaani kabhi na karoon
Bann paaoon vaisi, jaisi Aap chaahte Hain mai banoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapke Prati Mera Bhaav (12/21/2024)

Trishna Ka Baazaar (12/20/2024)

December 20, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2497
               Trishna Ka Baazaar

Ye duniya hai trishna ka baazaar
Yahaan chaahatein hain aparampaar
Yoon baandh leta hai ye sansaar
Ki bhool jaata hai janam lene ka saar.

Chaahatein toh hoti nahin hain kumm
Balki badhta jaata hai gumm
Zarooraton se kaheen zyada kar lete hain jamaa
Phir lagta hai ki paryaapt na sakey kamaa.

Ye trishna ka jaal hai, strot hai asantosh ka
Is se badhaava hota hai kitne tareh ke dosh ka
Badhta hai mann par vikaaron ka aakraman
Asthir aur ashaant hota jaata hai mann.

Guruji ke manan aur chintan mein hai veh shakti
Jo banti hai trishna se duur honei kee safal yukti
Besharte pakke hon neeyat aur nishchay
Taaki mit jaaye har duvidha aur sanshay.

Guruji se kee hui vintee awashya laati hai rangg
Jitna joad hota chalta hai Guruji ke sangg
Utnee badhti hai chaahat rehne kee Guruji ke hee chintan mein
Utna kumm ulajhta hai mann trishna ke phailey huey bandhan mein
Guruji kee kanti prabhaavit karti hai is bhanti
Ki mann paata hai sthirta aur shanti
Jud kar Guruji mein basey Ish se
Guruji kee hee bakhshish se.

Pal do pal mein aisa nahin ho paata
Lekin jo shraddha se Guruji se hai jud jaata
Aur saboori se safar mein hai chalta jaata
Uska Guruji sangg aisa judta hai naata
Ki Guruji sambhaalte Hain usey har kshan
Besharte vo kar de mann se samarpan.

Phir toh koi bhi trishna nahin chura sakti mann ka santulan
Na hee bigaad sakti hai uss bhakt ka jeevan
Guruji kee meher ho toh aise bhi agrasar ho sakta hai uska safar
Ki veh har tareh se jeevan mukt bhi ho sakta hai jeete huey yaheen par.

Mushkil beshak lagey pahunchna aise mukaam par
Koshish toh kee hee jaa sakti hai magar
Raasta lamba aur kathin bhi lagey agar
Toh yaad rahe, Guruji swayam Hain hum safar
Unke hotey huey sab kuch ho sakta hai
Kyunki Guru toh kalyaan karte huey nahin thakta hai
Isliye, tu hichkicha kar kyun hai rukta, aye insaan
Teri madad toh kar rahe Hain swayam Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Trishna Ka Baazaar (12/20/2024)

Dhanya Bhaagya Hamaare (12/19/2024)

December 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2496
         Dhanya Bhaagya Hamaare

Param poojya Guruji Maharaj,

Dhanya bhaagya hamaare
Ki Aapne hamein bulaaya Apne dwaare
Jitne hain aasmaan mein sitaare
Aap uss se bhi zyada bhakton ke baney sahaare.

Aapki sharan mein bhed bhaav nahin jaat paat ka
Aapki sharan mein nahin rehta astitva jeevan mein raat ka
Aap itna khayaal rakhte Hain har bhakt kee har baat ka
Aapki goad mein milta hai sneh pita ka aur pyaar maat ka.

Kabhi aati hai Aapki khushboo ruhaani
Kabhi dikhtee hai moar kee chaal mastaani
Toh kabhi titlee nazar aati hai mandaraati hui deewaani
Ye sabhi bann jaate hain Aapki noorani nishaani.

Kabhi shabad mein Aap dete Hain sandesh
Kabhi Aap swapn mein darshan dekar karte Hain pravesh
Kabhi kabhi saakshaat darshan Aapke ya phir badal kar vesh
Toh kabhi Aap swaroop mein daras dikhaate Hain, priya Sarvesh.

Aapki chhupi bhi bolti hai ki Aap vyast Hain bhakton ke kalyaan mein
Aapki muskuraahat bhi kabhi der nahin karti hai vaajib vardaan ke daan mein
Aapki oar se har vilamb ka arth hota hai aane waala ek sundar praarambh
Jabb se Aapki sharan milee hai, hua hai maano ek naye janam ka aarambh.

Aapka naam liye bin abb raha na jaaye
Aapki yaad ke bin abb jeena na aaye
Dil-o-dimaag par Aapka khayaal rehta hai chhaaya
Aapki sharan paakar srishti ka sabse sundar sukoon hai paaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dhanya Bhaagya Hamaare (12/19/2024)

Anant Kee Pyaas (12/18/2024)

December 18, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2495
                 Anant Kee Pyaas

Anant hoti hai is atma kee pyaas
Aur ye anant pyaas hai anant ko paane kee
Jabb takk is pyaas ko na bujhaayega swayam anant
Tabb takk atma kee is anant pyaas ka na hoga antt.

Guruji Maharaj Hain Shiv avatari Bhagwant
Guruji Maharaj hee Hain anant
Jabb Unhe paane kee pyaas hogi anant
Toh ye pyaas apne paawan prayaas se paa legi anant.

Aawashyak hai is pyaas ko mitaana
Varna milega nahin atma ko thikaana
Safar ke dauran khatm hona hoga jo vilaas hai bhog mein
Antas ko kabhi toh aarambh karna hoga jeena yog mein.

Anaasakti, samarpan, shukrana, aur simran-dhyan
Inka hoga ibadat ko sahaara
Toh Guruji hongei prasann
Unkee kripa se sanvarega bhakt ka jeevan.

Trikaal darshi Mahadev ke swaroop Hain Guruji Maharaj
Priya hai Unhe Apne bhakt ke antas kee pyaas
Ve toh har pal Hain bhakt ke bheetar aur aas paas
Bhakt koshish toh karey, Guruji poori karenge swayam mein uss anant kee praapti kee pyaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anant Kee Pyaas (12/18/2024)

Tu Bhool Na Jaana (12/17/2024)

December 17, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2494
                Tu Bhool Na Jaana

Tera jeevan hai khuli kitaab
Tu bhool na jaana
Tere sawaalon mein hee hain unke jawaab
Tu bhool na jaana
Guruji ke paas hain tere karmon ke hisaab
Tu bhool na jaana
Unke saamne kaam na karega koi bhi nakaab
Tu bhool na jaana.

Tere bheetar ke khushi aur gumm
Guruji sab pehchaante Hain
Tere mann mein aate hain jo bhi vichaar
Guruji ve bhi jaante Hain.

Tere har karma par rehti hai Guruji kee nazar
Unkee har nazar ka hota hai vo kalyaanmayi asar
Jo dikhta hai usee samay ya jaise jaise samay jaata hai guzar
Ye bhi nirdhaarit karte Hain swayam pyaare Guruvar.

Tu karey ya na karey zikr, Guruji ko rehti hai teri fikr
Tu bhool na jaana
Bhakt saare ke saare, Hain Unkee aankhon ke taare
Tu bhool na jaana
Tu bhi hai Unmein se ek, tere jaise Hain anek
Tu bhool na jaana
Tu beshak ho nimaana, par tu sada se hai Guruji ka deewaana
Tu bhool na jaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Bhool Na Jaana (12/17/2024)

Ye Nahin Hai Koi Mithya (12/16/2024)

December 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2493
          Ye Nahin Hai Koi Mithya

Guruji Hain Ve noorani gareeb nawaz
Jinka tej hai aisa naayaab
Ki aasmaan ka Shaan-e-aaftaab
Na sambhaal paaya apna khitaab.

MahaShiv ke avataar
Roop lekar aaye bashar ka
Anginat praaniyon ko dekar sharan
Roshan kiya raasta Unke safar ka.

Guruji ke noor jaisa koi noor nahin is srishti mein
Mehsoos hota hai vo beshak Guruji saakshaat na bhi hon drishti mein
Kyunki Guruji ke noor ka spandan hai bahut oorjamayi
Uska halka sa bhi ehsaas hota hai poornata se Shivmayi.

Aasmaan mein peher ho din ka ya raat ka
Is silsile mein koi fark nahin padta is baat ka
Kyunki Guruji ka noor divya hai
Guruji ka noor sabse bhavya hai.

Guruji ke noor ke prataap ko saadhaaran na samajhna
Tark-vitark mein aakar iske gyan-vigyaan mein na ulajhna
Maamooli maanav kee buddhi ke paar hai iskee vidya
Ye bilkul satya hai, ye nahin hai koi mithya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ye Nahin Hai Koi Mithya (12/16/2024)

Tu Hoga Safal (12/15/2024)

December 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2492
                    Tu Hoga Safal

Abb jo tu hai chal pada
Phir kya soch kar tu yoon hai khada?
Nishchint tu ho jaa
Guruji mein tu kho jaa.

Dekhna, tu paayega Unhe
Aur khud ko paayega Unmein
Mitt jaayega bhinnataa ka bhram
Khatm hoga judaayee ka gumm.

Mumkin hai ye
Mushkil beshak
Vilamb karega tu
Aakhir kabb takk?

Is raaste par jo tu jaayega
Toh sahi raasta khul jaayega
Kyunki Ve Hain teri manzil
Ye satya jaanta hai tera dil.

Tu galat raasta chun lega agar
Ve badal denge teri dagar
Laayenge tujhe sahi raah par
Tu Unpar bharosa kar.

Unkee meharbaani se
Teri zindagaani se
Har sanshay ho jaayega duur
Aisa hoga zaroor.

Jaagriti aisee aayegi
Ki bhor ho jaayegi
Tere mann ke kann kann mein
Aur tatpashchaat tere jeevan mein.

Kyunki mann kee andheri raat
Is se hee bigaadti hai har baat
Chaandni ho jaaye jo mann kee raat
Ya phir ho jaaye prabhaat
Toh tu girega ya bhatkega nahin
Tera har kadam hoga sahi.

Govind Hain Ve
Tere Guruvar
Ve Khuda tere, Ve hee prem Hain
Ve hee tere nit-nem Hain
Har paath mein Ve
Har pal saath mein Ve
Ve hee poojan tere
Ve hee vandan tere.

Unpar dhyan dhar
Aur chalta chal
Kasht jaayenge tal
Tu hoga safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Hoga Safal (12/15/2024)

Tu Vo Fakeer Hai (12/14/2024)

December 14, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2491
                 Tu Vo Fakeer Hai

Har oar duniya kee bheed hai
Bheed mein ghoomta tu fakeer hai
Toone saump dee hai Guruji ko
Tere haath aur maathe par har jo lakeer hai.

Tu vo fakeer hai
Jo bahut ameer hai
Kyunki tujhe praapt hai Guruji kee sharan
Jahaan par tu guzaar paa raha hai apna jeevan.

Guruji kee sharan mein hain chaar dham
Guruji kee sharan mein miley thakey huey bhakt ko ruhaani aaraam
Guruji kee sharan mein hai suraksha aisee
Nahin miltee sansaar mein kaheen aur jaisi.

Fakeer hai tu, tu mastt hai
Guruji kee yaad mein vyast hai
Fakeeri tujhe aati hai raas
Kyunki Guruji ke siwa koi aur na tere liye khaas.

Tere jaise fakeer hotey sabhi
Toh tere jaise ameer bhi hotey sabhi
Bante bante tu aisa bann jaayega
Ki tu banda kehlaayega
Guruji tujh se hongei prasann
Ve toh bhakton se kehte Hain, β€˜Banda bann.’

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Vo Fakeer Hai (12/14/2024)

Kehne Ko Bahut Kuch Hai (12/13/2024)

December 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2490
           Kehne Ko Bahut Kuch Hai

Param poojya Guruji Maharaj,

Kehne ko bahut kuch hai
Phir lagta hai ki sab tuchh hai
Karne Aapke prataap ka bakhaan
Kyunki Aap Hain mahaanon mein sabse mahaan.

Shikaayat karne kee meri aukat nahin
Phir bhi ye gustaakhi kar baithti hoon aksar
Phir bahut sharm aa jaati hai
Apni is neech si harkat par.

Shukrana karti hoon jabb jabb
Aur bhi shukrana karne ka dil karta hai tabb tabb
Aapse dhanyawaad jabb hoon kehti
Toh gintee hee nahin rehti
Kyunki kitna bhi shukrana kar loon Aapka
Vo Aapki vadiyaayee ke samaksh hai tuchh
Phir bhi kehti rehti hoon mai
Aapse kuch kuch.

Taareef Aapki karti hoon jabb jabb
Koi na koi baat bhool jaati hoon tabb
Kyunki Aapka stavan sampoornata se karne kee
Mujh mein nahin hai kabiliyat
Aapke dar ka kookar bann paaoon
Meri toh utnee bhi nahin hai haisiyat.

Jabb jabb Aapse karti hoon baatein
Beshak beet jaayein din raatein
Baatein reh jaati hain adhoori
Kayi baar bhool jaati hoon baat zaroori
Tuchh lagta hai mujhe apni oar ka vaartaalaap
Sochti hoon jabb ki kitna aseem hai Aapka prataap.

Kitnee baar jabb karti hoon ardaas
Toh bharti hoon gehra shwaas
Jaan kar ki baitha kar Apne charnon ke paas
Aapne dee hai daat sabse khaas.

Phir kyun kee mainey ardaas kisee aur daat ke liye
Ye soch kar mai nimaani
Maafi bhi maangne lagti hoon Aapse
Ki mainey kee aisee naadaani.

Abhi toh seekhna hai itna kuch
Isliye chodni hongi aadatein tuchh
Guruji Maharaj, Aap hee raah dikhaayiye is nimaani ko
Aap hee sanvaar sakte Hain meri naadaani ko.

Aur kaheen jaane kee nahin mujhe zaroorat ya chaahat
Jaanti hoon ki Aapke kamal charan mein milegi har bhaar se raahat
Mai beshak hoon ek tuchh si Aapki deewani
Aap toh Hain Srishti ke Shehenshah ruhaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kehne Ko Bahut Kuch Hai (12/13/2024)

Uddhaar Kee Raah (12/12/2024)

December 12, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2489
                Uddhaar Kee Raah

Paramatama ka chhota sa ansh hai tujh mein
Atma ke niraakaar swaroop mein
Isee Ishwareeya prataap ke hetu
Sampoorna hai tu apne roop mein.

Atma hee hai asal, atma ko tu nikhaar
Shareer ka bhi dhyan rakh, vo bhi hai Guruji ka deeya uphaar
Kintu shareer ko sanvaarte sanvaarte
Bhool na jaana karna atma ka poshan
Varna ruhaani raah na ho paayegi roshan.

Shareer ne reh jaana hai yahaan
Panchbhoot main jaana hai samaa
Lekin jiskee atma ka avinashi kann
Rahega Paramatama mein magan
Aagey bhi sukhad hoga uska safar
Shraddha ke sanskaar ka hota rahega asar.

Guruji Hain Paramatama
Unmein sanlagn kar ke atma
Ho jaayega ehsaas
Ki tu Unse juda nahin
Na hee juda thaa pehle kabhi.

Isliye atma-anubhooti hai ati-aawashyak
Aur jabb Guruji swayam Hain rakshak
Toh phir kaisa sanshay?
Toh phir kyun koi bhi bhayy?

Abb vilamb ko tyaag
Baahar kee oar na aur bhaag
Atma par se mitne hongei daag
Zaroori hai ki tu jaag.

Yahee hai upaay
Ki atma Paramatama mein samaaye
Adhoorepann ka ehsaas ho jaayega duur
Na soch ki tu hai haalaat ke vash mein majboor.

Chetaavani maan isey
Ya maan isey salaah
Yahee toh hai ekmaatra
Uddhaar kee raah.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Uddhaar Kee Raah (12/12/2024)