Anant Ke Paar Bhi (02/08/2025)

February 8, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2547
    Anant Ke Paar Bhi

Jaagne se hee kaam banega
Sonei se nahin
Paane se hee kaam banega
Khone se nahin.

Guruji ko hoga paana
Jiske liye bheetar hoga jaana
Abb nahin chalega koi bahaana
Varna safal na hoga afsaana.

Baaki apni apni marzi hai
Guruji se ye arzi hai
Ve sahi raasta dikhaayein
Uspar chalna bhi sikhaayein.

Guruji kee dee bakhshish hai har shwaas
Jeevan dene ke liye kuch nahin hai is se zyada khaas
Anmol hai jeevan ka har kshan
Jinhonei bakhsha hai, Unhee mein jaa tu ramm
Guruji mein lagaa kar apni lagan
Unhe kar de har karma samarpan
Unhonei deeye Hain tujhe praan
Tu Unkee oar dhar apna dhyan.

Kyunki Guruji Hain Parameshwar
Sachkhand hai Unka dar
Ve Hain Rabb
Unhe pyaare hain sabb
Tu bhi hai Unn pyaaron mein se ek
Beshak tujh mein khaamiyan hain anek
Kyunki Ve Hain sarvagyani kshama daani
Anant ke paar bhi satya rahegi Jinkee vaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anant Ke Paar Bhi (02/08/2025)

Guruji Se Pyaar (02/07/2025)

February 7, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2546
                  Guruji Se Pyaar

Guruji se arzi kar ki tu Unse pyaar badhaa paaye
Unke naam ka rangg chadhaa paaye
Isee se khilega teri rooh ka chehra
Ye rangg hai har rangg se gehra.

Ye rishta hai ruhaani
Iskee pavitrata suhaani
Na kar naadaani
Pyaar badhaa le, praani.

Is rishte mein sada karna Guruji ka aadar
Aur koi saaf karva nahin sakta tere karmon kee mayli chaadar
Guruji jaanein tere pichhle janmon kee kahaani saari
Is rishte par vishwaas rakh, Ve karmon ka bhaar utaarenge baari baari
Unke sangg judi seedhi taar kee shakti hai apaar aur nyaari
Is judaav mein behti hai Unkee mamta pyaari.

Is behte huey amrit mein teri rooh ke daag dhulenge
Pichhle karmon ka bhaar kumm hoga aur kismat ke dwaar khulenge
In sabke dauran Guruji kee praapti ka lakshya bhool na jaana
Varna jabb hosh mein aayega, toh padega pachhtaana.

Is rishte kee tu kar kadar
Is rishte par poora bharosa dhar
Ye rishta hai sabse ooncha var
Is rishte ke liye Guruji ka shukrana kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Se Pyaar (02/07/2025)

Bin Suney Gurbani (02/06/2025)

February 6, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2545
    Bin Suney Gurbani

Bin suney gurbani
Kitnee neeras si thi zindagaani
Guruji kee hai badi meharbaani
Ki Ve Apni sangat ko sunvaate Hain Gurbani.

Kaanon se hota hai jabb iska shravan
Toh itna sukoon paata hai mann
Aur dheere dheere usey yoon atmasaat kar leti hai dil kee dhadkan
Ki iskee goonj aur iske spandan se hee chalne lagta hai jeevan.

Gurbani marham hai har ghaav kee
Gurbani prerak hai shuddh bhaav kee
Ye hai sahaayak aur aushadhi har beemaari mein
Gurbani se hum kho jaate hain Guru naam kee khumaari mein.

Anugrahit karey gurbani ka sur aur saaz
Madhur laagey iskee awaaz
Gurbani hai mahasaagar gyan ka
Gurbani hai strot aur sahaara simran aur dhyan ka
Amrit hai baani, na ki kewal paani
Aisee prataapi hai gurbani.

Gurbani sunkar na bhi aaye samajh
Toh bhi is se uljhanein jaati hain sulajh
Gurbani ka prabhaav hai itna kalyaankaari
Iske shravan manan se aksar duur ho jaati hai beemaari.

Kabhi kabhi aansoo behte hain sunte huey Gurbani
Suna aur maana hai ki vo hai pavitrikaran kee nishaani
Sunn-ne mein bhaav bhari
Jiskee gurbani se liv judi
Uske antas mein umad jaaye anand kee leher
Aur manan chal paaye aathon peher.

Suni toh pehle bhi thi gurbani
Par Guruji kee sharan milne ke baad
Gurbani ke sahaare Guruji kee yaad se rahe dil aabaad
Gurbani se judaav hua hai anokha
Guruji ka shukr hai ki Unhonei diya ye haseen mauka.

Jeevan ka safar hai ruhaani
Murshid aur meet hai Gurbani
Gurbani kee rachna hui Guruon dwaara
Govind aur Guru Hain ekmaatra sahaara
Guru Govind ek Hain
Beshak naam anek Hain
Guru roopi hai Gurbani swayam
Iskee ruhaaniyat mein rehkar magan
Hota rahe saari sangat ka bhalaa
Guruji sab ko bakhshein chadhdi kala.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bin Suney Gurbani (02/06/2025)

Maalik Meharbaan Meet Mere (02/05/2025)

February 5, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2544

Maalik Meharbaan Meet Mere

Param poojya Guruji,

Maalik meharbaan meet mere
Aap jaanein mainey liye hain kitne janmon ke phere
Mai toh in baaton se anjaan hoon
Agyani, nimaani, naadaan hoon.

Kis janam mein kya thi mai
Aur kya kiya, kya nahin kiya
Jiska parinaam bhugat rahi hoon
Mai in sawaalon ka kya jawaab doon?

Mere liye ye sab hain paheliyan
Jinhe boojhne mein mai hoon asamarth
Aisee sumat bakhshiye
Ki is janam ko na jaane doon vyarth.

Jabb takk janam maran ke silsiley mein rahoon
Aapki sharan mein rahoon
Hogi ye mere liye sabse shubh saugat
Ki Aap mujhe dein Aapki marzi kee daat.

Kyunki mera kya hai, mai toh naadaani mein maang loon kuch pratikool
Aur phir pachhtaaoon kar ke usey qubool
Nahin karna chaahti mai aisee koi bhool
Surakshit rakhiye banaakar mujhe Apne charnon ke taley kee dhool.

Aapke charnon ke taley dabti rahoongi toh tarti jaaoongi
Apne kalyaan ke bhandaar bharti jaaoongi
Rehna chaahti hoon har janam mein Aapki meher kee mohtaaj
Aisee rehmat kar dena mujh par, mere sundar sartaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Maalik Meharbaan Meet Mere (02/05/2025)

Beet Chuka Hai Bahut Samay (02/04/2025)

February 4, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2543
      Beet Chuka Hai Bahut Samay

Beet chuka hai bahut samay
Peechhe mud kar dekho agar
Is satya mein nahin hai koi sanshay…
Bahut samaa shesh hai magar
Isliye niraash na hona tum
Himmat aur utsah na khona tum
Bachi hai chalne ke liye aagey kee dagar
Abb kiye huey parishram ka hoga sukhdayi asar.

Ho gaya jo hona thaa
So liya jitna sona thaa
Abb jaag kar khud ko sambhaalo
Guruji ke liye samay nikaalo
Varna kaheen der na ho jaaye
Aur tumhaari chetna pachhtaaye.

Abb na do khud ko aur dhokha
Aaya hai sudharne ka mauka
Guruji ne liya hai Apni sharan mein
Leen ho jaao tum Unke kamal charan mein.

Unse apni rooh kee taar joad lo
Jitna ho sakey Unhee kee oar dhyan moad lo
Guruji ko yaad tum karte chalo
Unke vachan mein yoon dhalo
Ki bin sawaalon ke Guruji kee maano
Guruji ko apna sab kuch jaano
Kyunki hakeekat hai hee ki Ve sab kuch Hain tumhaare
Ve Hain sarvopari sarvottam sahaare.

Tumhe bulaakar Apne dwaare
Unhonei chamkaaye Hain tumhaare naseeb ke taare
Unpar vishwaas dhar kar dekhte chalo tum nazaare
Guruji bade kripalu Hain, kar denge tumhaare vaare nyaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Beet Chuka Hai Bahut Samay (02/04/2025)

Guruji kee Sharan Mein Safar (02/03/2025)

February 3, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2542

Guruji kee Sharan Mein Safar

Guruji kee sharan mein safar
Anokhe dhangg se jaata hai guzar
Guruji kee leela se raasta hai ruhaani
Pehle kabhi na thi, aisee ho jaati hai zindagaani.

Utaar chadhaav toh rehte hain jeevan ka hissa
Chalta rehta hai karmon ke hisaab ka bhi kissa
Lekin safar kee gati aur dhun hoti hai gazab kee
Beshak kabhi kabhi laagey ye ajab si.

Na pandit, na pravachan
Kewal Guruji ke hukm aur charan
Aisa hai Guruji ka vidhi vidhaan
Kyunki kewal Guruji hee Guruji Hain pradhaan.

Na chaahiye mehenga pehnaava
Na koi vehem ya dikhaawa
Na andhvishwaas, na koi chadhaava
Guruji dein adhyaatmik unnati ko badhaava.

Na chahiye koi pratinidhi ya dalaal
Guruji se seedhi taar jodkar bataana hai Unhe apna haal
Ve toh hamaare bin boley bhi jaanein hamaare khayaal aur sawaal
Ve Hain mahagyani, Ve hee mahadaani, Ve hee Hain Mahakaal.

Har din hai shubh, shubh hai har vela
Guruji ka koi bhakt kabhi nahin akela
Guruji ke saanidhya mein har vela hai suhela
Guruji ka pyaar paata hai Unka har chela.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji kee Sharan Mein Safar (02/03/2025)

Anmol Hai Aapka Pyaar (02/02/2025)

February 2, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2541
            Anmol Hai Aapka Pyaar

Anmol Aapka darbar, Guruji
Anmol hai Aapka pyaar
Is pyaar ka nahin koi paar, Guruji
Ye pyaar hai aparampaar.

Aapka pyaar barasta hai nirantar
Koi swaarth nahin is pyaar ke bheetar
Dete rehte Hain Aap bin jataaye kabhi
Aapka pyaar paate rehne ke utsuk hain sabhi.

Aapka pyaar hai har marz kee aushadhi
Aapka pyaar hai atma-vishwaas kee vidhi
Aapka pyaar deta rehta hai prerna
Aagey badhte rehne kee
Aapka pyaar deta hai chetna
Is safar mein jaagte rehne kee.

Aapka pyaar niraash lamhon mein bhi
Laata hai mukh par muskaan
Aapka pyaar deta hai ruhaani sanket
Ki Aap har pal Hain yahaan.

Kyunki Aapka pyaar hai vo paawan saath
Jo hamesha thaame rehta hai mera haath
Aapke pyaar se dekha aur suna kitne bhakton ka kalyaan hotey huey
Anokha nirmal anand milta hai Aapke pyaar mein khotey huey.

Aapka pyaar hai bhakton kee shakti aur utsah
Aapka pyaar sada ujjwal karta hai bhakton kee raah
Aapka pyaar badhaata hai chaah, Aapse aur zyada pyaar karne kee
Aapka pyaar teevra karta hai tamanna sudharne kee.

Itna kshamasheel hai Aapka pyaar
Itna sehensheel hai Aapka pyaar
Aapka pyaar Aapne mujhe hai bakhsha
Shukriya is pyaar ka jo sada karta hai meri raksha
Meri, aur mere ghar parivaar kee
Arzi hai ki ye raksha karey saare sansaar kee.

Aapka pyaar hai ashirwaad
Aapka pyaar hai prasad
Aapke pyaar ne kee hai meri duniya aabaad
Mujh mein kshamta nahin ki mai kar sakoon Aapka paryaapt dhanyawaad
Buss, guzaarish hai ki mere pyaar ka neevan nazraana qubool keejiye
Aur Apne pyaar kee chhatr-chhaaya mein mujhe sada rehne deejiye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anmol Hai Aapka Pyaar (02/02/2025)

Paawan Pyaar Aur Upkaar (02/01/2025)

February 1, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2540
          Paawan Pyaar Aur Upkaar

Guruji ke pyaar mein jabb se hui hoon mai magan
Unhee kee yaad dilaate rehte Hain zameen aur gagan
Guruji kee hee baatein karne ka karta rehta hai mann
Mann karta hai Guruji kee hee baatein sunte rehne ka poora jeevan.

Pyaare Guruji ne mujhe Apni sharan mein liya
Kabhi na mainey dekha thaa jo, vo niswaarth pyaar Unhonei diya
Har pal, har din Unhonei daya se bharaa dulaar diya
Unkee mamta ne toh mera jeevan sanvaar diya.

Itne hain Guruji ke mujh nacheez par upkaar
Unkee prerna se aaya hai zindagi mein itna sudhaar
Ki bayaan karne ke liye kumm padd jaate hain alfaaz
Zindagi ne apnaa liya hai haseen ruhaani andaaz.

Bheetar se parivartan hota mehsoos hua hai aisa
Jaisa pehle hua thaa kabhi nahin abhi takk
Guruji se arzi hai pahunch paaoon uss mukaam takk
Jahaan chaahte Hain Ve mujhe lekar jaana
Unka aanchal banaa rahe mera ashiyaana
Phir na koi bhayy na hichkichaahat
Na koi sanshay na ghabraahat
Buss, suraksha jo hogi sampoorna har prakaar se
Aur tarti jaaoongi mai Guruji ke paawan pyaar aur upkaar se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Paawan Pyaar Aur Upkaar (02/01/2025)