October 10, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2791
Anokha Sa Santosh
Apni aseemta ke liye Guruji ka shukrana karte huey
Jhuka aasmaan
Mila usey vardaan
Ki uska sada hoga kalyaan.
Beshak aayein jaayein mausam anek
Aasmaan ka aakaar rehta hai ek
Anginat baadal tehelte hain beshak
Par aasmaan sabko apne aanchal mein sambhaalta hai athak.
Baadal roop badalte hain
Kuch baraste, kuch garajte hain
Kuch chuppi mein badalte hain apna aakaar
Kuch ek dooje mein samaakar roop badalte hain baar baar.
Par aasmaan rehta hai sthir aur shant
Maano usne atmasaat kiya ho ekant
Aasmaan nahin hota pareshaan
Chaahe ho baarish ya tufaan.
Aasmaan jabb badalta hai rangg
Toh bhi bheetar sthirta hoti hai uske sangg
Aasmaan ke phailaav kee bhanti hai vistaar mann ka
Jo bann sakta hai das ya swami har jann ka.
Jitna hoga hamaare vash mein mann
Utna hee sthir usey hum rakh paayenge
Varna paristhitiyon ke oopar neeche honei se
Mann kee asthirta se pareshan ho jaayenge.
Jitna badhega manobal hamaara
Utna sthir aur shant rahega mann
Jitna chalega mann mein Guruji ka chintan
Utna sukhad hoga jeevan.
Guruji ke chintan aur manan dwaara
Mann ko milega ruhaani bal ka sundar sahaara
Mann kee aasmaani chaadar kee silvatein hatt jaayengi
Asthirta aur ashanti kee ghataayein chhatt jaayengi.
Chaahe badale paristhiyon ka mausam ya praant
Guruji kee kripa se mann rehne lagega sthir aur shant
Mann bahega Guruji kee bhakti ke ehsaas mein
Anokha sa santosh hoga har shwaas mein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja
Anokha Sa Santosh (10/10/2025)