Guruji Ne Kiya Mujh Par Itna Ehsaan (11/11/2025)

November 11, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2823

Guruji Ne Kiya Mujh Par Itna Ehsaan

Guruji ne kiya mujh par itna ehsaan
Mujhe joad kar Apne sangg
Bahut hee pyaara hai ye rishta ruhaani
Anokhe moad lene lagi abb meri zindagaani.

Ye rishta hai anokha
Yahaan nahin miley kabhi dhokha
Is rishte mein har pal hai sundar mauka…

Mauka, Guruji ke saanidhya mein rehne ka
Mauka, Guruji ke prati prem bhaav mein behne ka
Mauka, atma nireekshan seekhne ka
Mauka, darpan dekhne ka…

Darpan, apne antarmann ka
Taaki apni khaamiyan dikh jaayein
Aur Guruji ke bakhshe simran se
Ve pavitrikaran dwaara dhul jaayein.

Sewa, simran, satsang se rishta hota jaaye mazboot
Samarpan aur lagan aise hon ki apni oar se rishta na jaaye toot
Har imtehaan ko rishte kee seedhiyan maan
Unpar chadhna hoga hokar saavdhaan
Aur saath hee tyaagna hoga abhimaan
Balki ye hai shaayad sabse bada imtehaan.

Is rishte mein khila rahe niswaarth pyaar
Is rishte mein na ho koi mannat ya vyapaar
Karti rahoon har pal Guruji ka dhanyawaad
Unke sangg ye rishta hai Unka diya prasad.

Buss, Guruji Maharaj ko prasann rakhne mein vyast rehkar
Unkee mahima ke gungaan mein mastt rehkar
Is rishte ko nibhaana
Guruji ko rijhaana
Laagi rahe ismein meri aisee lagan
Ki is rishte mein mai rahoon magan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Guruji Ne Kiya Mujh Par Itna Ehsaan (11/11/2025)

Leave a comment