November 20, 2025
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2832
Jeevan Kee Har Subah Aur Shaam
Guruji Parwardigaar
Hain tumhaare praanon ka aadhaar
Unse hee hai saarthak tumhaara sansaar
Unse har pal jod kar rakho seedhi ruhaani taar.
Ye srishti ka bazaar
Jo tumne kiya hai sweekaar
Ye hai nashwar bahaar
Swayam ko yaad karaao baar baar.
Apne asal swaroop ko bhoolo na
Na bhoolo karna atma-saakshaatkaar
Maya roopi sapne se jaago
Guruji ko yaad karo baarambaar.
Gurbani ka kar ke shravan
Uspar karo tum manan
Sachkhand kee hai ye baani
Ispar chal kar mitaao apni naadaani.
Sewa aur sadhna ko dete chalo mahatva
Sachet raho ki tum mein hai jo Shivatva
Bahut zaroori hai tumhaara uss se deedar
Varna adhoorepann se jeevan dogei bigaad.
Guruji dikha rahe Hain raahein
Unhonei thaami Hain tumhaari baahein
Isliye chalte huey girne se daro nahin tum bilkul
Tumhaari mehnat aur Unkee rehmat se kismat ke dwaar jaayenge khul.
Guruji kee dee har bakhshish ka karo sammaan
Purusharth ke liye arth, kaam, aur dharma kee oar do dhyan
Guruji ke charnon mein ho toh moksh toh paa hee lenge praan
Tabb takk kyun na jeevanmukt hokar bitaa lo jeevan kee har subah aur shaam.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ
Dhirja
Jeevan Kee Har Subah Aur Shaam (11/20/2025)