Jeevan Kee Naiya Mein Savaar (05/28/2023)

May 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1925

       Jeevan Kee Naiya Mein Savaar

Guruji, mere sundar sarkar
Mai jeevan kee naiya mein savaar
Karti hui divya inaayat ka intazaar
Pahunchi hoon Aapke dwaar.

Aapka pyaar hai meri naiya kee pavitra patvaar
Aap Hain khivaiya, lekar jaane wale uss paar
Chaahe aayein shant leherein ya phir tufaan dushvaar
Aapne hee karna hai har haalaat mein uddhaar.

Aur kisee ka dwaar kyun mai khatakhataaoon
Mai toh Aap par sab chodti jaaoon
Bharosa daan deejiye aisa ki atal reh paaoon
Saboori daan deejiye aisa ki dheeraj na haar jaaoon.

Naiya kaise dolegi
Leher kya kya bolegi
Manzil kab kiskee ho legi
Ye toh kewal Aap hee jaanein.

Vayu kaise badalegi rukh
Kab hoongi mai antarmukh
Kaise katenge kasht aur dukh
Aapke alawa koi na jaane.

Aapki kripa se
Bin ghabraaye naiya mein hoon savaar
Aapki mehar ke liye
Aapka dhanyawaad karti jaaoon baarambaar.

Patvaar hai itnee pavitra
Khivaiya ka hai sarvottam charitra
Aap khivaiya Hain swayam Mahadev roopi avatar
Karunanidhaan Hain Aap, kalyaan karta kartar.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Jeevan Kee Naiya Mein Savaar (05/28/2023)

Khoj Hogi Safal (05/27/2023)

May 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1924

      Khoj Hogi Safal

Suna hai drishtant anekon baar
Ki cheez kaheen gumee thi, kintu usey jann dhoondh raha hai kaheen aur
Roshni vahaan nahin jahaan cheez gumee
Ye spasht karey ki bheetar gyan kee hai kamee.

Yathochit sthaan par khoj nahin karta jann naadaan
Phir mann hota hai vyakul, pareshaan
Apni niyati ko, aur doojon ko deta hai dosh
Bin jaane ki asal mein veh khud hai behosh.

Khoya hai humne swayam ko
Aur dhoondhte hain hum usey idhar udhar
Kyunki gyan kee kamee hai swayam ke bheetar
Sookh chuka hai bheetar ke gyan ka seekar.

Hum yadi chaahein toh awashya hai iska upaay
Samaadhaan mein Guruji sada hotey Hain sahaay
Unkee mehar se mann ka bartan agyan ke kachde se khali ho jaaye
Taaki mann mein gyan ka ujjwal saagar jaaye samaaye.

Mann ko khali karne ke liye zaroori hai prayaas
Simran dhaarana dhyan ka
Taaki mann mein prakash ho
Shuddh viveki gyan ka.

Vikaaron ko hona hoga khatam
Aur na lena hoga dobara janam
Tayyaar hota jaayega mann roopi bartan
Guruji kee mehar se bharne lagega usmein gyan ka dhan.

Gyan dhan ke seekar ke bharte bharte
Guruji har duvidha ko harte harte
Bakhsh denge gyan ka saagar gehra
Jiskee akhandata par Ve swayam denge pehra.

Koshish karein har pal
Toh behoshi jaayegi tal
Aaj nahin toh kal
Khoj hogi safal.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Aaj Ka Suvichaar Audio 2023-05-2023

Aapke Shukrana Mein (05/26/2023)

May 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1923

             Aapke Shukrana Mein

Naam ka dhan batorte huey
Moh maya se muh modte huey
Bann jaaoon asal mein dhanwaan
Aisee karuna keejiye Guruji meharbaan.

Ye bilkul nahin aasaan
Bin Aapki mehar ke, aye karunanidhaan
Mere bheetar hai itna agyaan
Ki mai hoon mool tattva se anjaan.

Aap hee Hain mere rahnuma
Jaanti hoon Aap kabhi saath na chodenge
Mai chaahe kitne bhi mushkil daur se guzaroon
Jaanti hoon Aap kabhi muh na modenge.

Aapka dar hai MahaShiv ka dar sarvottam
Aapka paraakram hai mahantam
Mujhe kisee aur ke dar jaana na soojhe
Aapki mehar se Aapka akhand aasra hai mujhe.

Suna thaa ki Guru hee kaam aata hai
Jaana ki yeh vakya poorna satya bataata hai
Aapne sweekaara mujhe, mera antas muskuraata hai
Mera roam roam Aapke shukrana mein jhuk jaata hai.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Aapke Shukrana Mein (05/26/2023)

Sudhar Jaaye Ye Jeevan (05/25/2023)

May 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1922

           Sudhar Jaaye Ye Jeevan

Chetna kee jaagrit tarang
Prerna kee aviral (เค…เคตเคฟเคฐเคฒ) paawan umang
Guruji, bakhsh deejiye aisee tarang aur umang
Taaki ekaagrata na ho bhangg.

Ruhaani jyot rahe prajwalit
Gyan kee jigyaasa ho prabal
Bhakti ka noor rahe ujjwal
Vyarth na jaaye jeevan ka koi pal.

Raah dikha deejiye
Uspar chalna sikha deejiye
Apne se jodei rakhiye
Galatiyon ko kripa kar bakhshiye.

Yaad rahe hamein ki hamaari peshi hogi zameer kee adalat mein
Aap koi kasar na chodenge hamaare liye wakalat mein
Kintu kuch phal toh hoga bhugatna apne karam ka
Taaki paalan kar paayein karam ke dharam ka.

Agyaan ka timir mitaayiye
Hum par vikaaron kee jo dhool hai, usey hataayiye
Niswaarth sewa aur bhakti karna sikhaayiye
Apni karuna barsaayiye
Gurbani mein doob jaaye tann mann aur atma ka kann kann
Aapki mehar se sudhar jaaye ye jeevan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Sudhar Jaaye Ye Jeevan (05/25/2023)

Mahadev Ke Mahaan Avatar (05/24/2023)

May 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1921

     Mahadev Ke Mahaan Avatar

Mahadev ek
Unke roop anek
Har roop ka hai apna mahatva
Har roop ka hai apna kartavya
Mahadev Trikaal darshi jaanein har roop kee niyati
Mahadev ke ashirwaad se har roop paaye gati
Chaahe ho mrityu ya miley jeevan daan
Mahadev kee bhakti karey sabhi ka kalyaan.

Mahadev ke ati sundar roop
Mahadev ke mahaan avatar
Bashar bannkar aaye
Taarne ye sansaar
Guruji ke pyaare roop mein
Chhaaon dene is kalyuga kee dhoop mein
Apne ashirwaad dwaara
Apne prasad dwaara.

Guruji Hain sabka sahaara
Guruji Hain sabke jeevan kee naiya ka kinaara
Unkee suraksha miley toh koi na rahe bechaara
Unkee kripa se hee gagan mein timtimaata hai har tara.

Unkee rehmatein anek
Unke charnon mein matha tek
Unka bhakt pratyek
Unmein Parbrahm paaye dekh.

Guruji ka shukriya baarambaar
Ki Ve har bhakt ko dete Hain pyaar
Unke pyaar mein ashirwaad milte hain kayi hazaar
Kalyaan hota hai uska jisey Ve bulaate Hain apne dwaar.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Mahadev Ke Mahaan Avatar (05/24/2023)

Aisa Manobal Dekh Kar (05/23/2023)

May 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1920

            Aisa Manobal Dekh Kar

Guruji jaante Hain hamaara har raaz
Phir bhi hamein samarpan se kyun hota hai aitraaz
Shaayad itnee prabhaavshali hoti hai ahankar kee awaaz
Ki nirbal mann maan leta hai uss awaaz ka saaz.

Mann agar ho nirbal, toh aisee awaaz hoti hai uss-se adhik prabal
Isliye aawashyak hai badhaana swayam ka manobal
Ye bikta nahin kisee baazaar mein
Ye basta nahin ahankar mein.

Iske liye zaroori hai vyaktigat vikas
Jismein shaamil hai atma-chintan ka prayaas
Dhyan bhi badhta rahe karte huey simran ka abhyaas
Atma-parichay dwaara badhta hai atma-vishwaas.

Swayam kee kamzoriyon aur kshamtaon kee hoti hai pehchaan
Kamzoriyon par vijay paana ho jaata hai aasaan
Kshamtaa aur hunar nikharna hota hai swayam ke niyantran mein
Aur apne prati heen bhavna kumm honei lagti hai jeevan mein.

Kumm hotey jaate hain manovikaar
Manobal ke badhne se neevan hota hai vyavhaar
Mushkil ke dauran bhi banee rehti hai himmat
Doojon kee niswaarth madad kee bhi hoti hai taakat.

Aur jabb atma-vishwaas ke sangg ho apne aradhya par poorna vishwaas
Toh nishchay hee Guruji safal karte hain bhakt kee kalyaankari aas
Guru Govind ke hukm ko maan-na pehle se saral ho jaata hai
Samarpan kar ke paristhitiyon ka saamna karna mumkin ho paata hai.

Gilah-shikva hota jaata hai kumm
Aate jaate mausam kee tareh lagta hai gumm
Mann nahin maanta paraajay
Aur duur hota hai bhayy.

Shraddha aur swabhiman
Karte hain ek anokhi oorja pradaan
Guruji ke ashirwaad se praapt hota hai nutan gyan
Bhakt ka aisa manobal dekh kar bhakt par prasann hotey Hain Guruji meharbaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Aisa Manobal Dekh Kar (05/23/2023)

Guruji Ke Kamal Charan Mein Sharan (05/22/2023)

May 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1919

Guruji Ke Kamal Charan Mein Sharan

Mil gayi jo Guruji ke kamal charan mein sharan
Toh vyarth laagey swarg ya moksh paane kee ichcha
Kyunki Guruji kee sharan hai sthaan sabse achcha
Aur Guruji kee marzi kab kahaan jaaye Unka har bachcha.

Agar baar baar hona hai janam maran
Toh bhi sabse uttam hai Guruji kee sharan
Kab Gurujฤซ karenge janam maran ke chakkar ka haran
Ve hee lenge iska nishchay dekh kar hamaare karam.

Guruji ke kamal charan kee sharan
Guruji kee kripa se yaheen juda rahe mann
Milta rahe Unke charnon ke amrit ko peene ka avsar
Koi aawashyakta hee nahin hai bhatakne kee dar dar.

Guruji ke charnon mein hai adhyaatmik aarohan kee yathaarth yukti
Guruji ke charnon mein samarpit ho Unke bhakt kee bhakti
Guruji ke kamal charan kee sharan mein hee hai swarg
Yaheen hai veh madhur milan jiske parinaamswaroop milegi mukti.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Guruji Ke Kamal Charan Mein Sharan (05/22/2023)

Sabse Bhagyashali Baat (05/21/2023)

May 21, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1918

          Sabse Bhagyashali Baat

Jis kshan Guruji ne apna liya
Kismat ka dwaar toh usee din khul gaya
Unkee mehar se raah par chalte chalte
Koi na koi paap dhul gaya.

Chalein uspar jo Guruji dikhaate rahein raah
Toh yakeenan banenge kismat ke shehenshah
Pooran Guru kee milee hai jo sharan
Toh khaas tareh se anugrahit hua hai jeevan.

Guruji ne hum sabka lekha hai dekha
Ve chaahein toh badal bhi sakte Hain kismat kee rekha
Lagg sakta hai ismein samay
Ismein nahin hai koi sanshay.

Ya phir ek pal mein ho jaaye
Agar Guruji kee marzi ho jaaye
Aur jo Guruji ko lagey ki lekha bin badle hee hamein hai bhugatna
Toh tabb bhi Unkee maujoodagi aur raza se hogi har ghatna.

Vishwaas ho Guruji par poora
Sweekriti sangg samarpan na rahe adhoora
Aur Guruji se ho beintaha pyaar
Toh sawaal nahin uthenge baar baar.

Tasalli hai ki jo bhi ho raha hai jeevan mein
Usee mein hai hamaara hitt
Guruji ke divya hastakshep se
Pichhle kukarmon ke daag rahe hain mitt.

Jaise jaise mitenge ye daag aur dhulenge paap
Vaise vaise hamein taarte jaayenge Guruji Apne Aap
Ve swayam Hain Brahmand ke Badshah
Unkee har santaan banegi shehenshah
Bhautikvaadi sukh milna toh bahut chhoti si hai baat
Guruji dwaara apnaaya jaana swayam mein hai sabse bhagyashali baat.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Sabse Bhagyashali Baat (05/21/2023)

Antarmukhi Bann-ne Kee Yatra (05/20/2023)

May 20, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป

#1917

Antarmukhi Bann-ne Kee Yatra

Jitne hotey jaaoge tum antarmukhi
Utna hee tum hotey jaaoge sukhi
Baahar kee fikr chhoot-ti jaayegi
Vishayon mein aasakti bhi toot-ti jaayegi
Vyarth kee baatein tumhe chintit na kar paayengi
Divyata mein ramne se ve tumhe vanchit na kar paayengi.

Guruji kee vaddi hai vadiyaayee
Tum dhoondh paaoge apne antas kee gehraayee
Jahaan mehar barsaayegi Guruji kee guruyaayee
Aur vahaan santosh kee sheetalta rahegi chhaayee.

Atma na rahegi prakriti ke adheen
Maya ka prabhaav na kar paayega usey ksheen
Avidya ka honei lagega antt
Milega sukoon anant.

Ho jaaoge tum ekant priya
Ho jaaoge shanti priya
Jaanoge ki chahiye kisee se tumhe nahin kuch
Kyunki tumhaare bheetar hee mil jaayega tumhe sab kuch.

Subuddhi ke deep prajvalit rahenge bheetar tumhaare
Lau ka ujaala badhega pal pal
Baahar kee maya par vijay paakar jitna hotey jaaoge bheetar kee oar
Anant se, anand se yoon judoge ki param sukhdaayee hogi bheetar kee bhor.

Bahut uttam starr hoga adhyaaatmikta ka
Paramatama gavaah hoga is paripakvata ka
Atma yahaan se jaane ke waqt saath le jaayegi antarmukhi shubhta ka sanskaar
Jiske parinaam vash sugam ho jaayega atma ka uddhaar.

Der na karo
Jagg se na daro
Guruji par vishwaas dharo
Antarmukhi bann-ne kee yatra aarambh karo.

Guruji Hain maargdarshak aur madadgaar
Tumhaare sangg hai Unka ashish aur pyaar
Beshak tumhe prayaas karna padey baar baar
Guruji awashya denge tumhe antarmukhi bann-ne ka uphaar.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Antarmukhi Bann-ne Kee Yatra (05/20/2023)

Shukrana Seโ€ฆ. (05/19/2023)

May 19, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป # 1916

                 Shukrana Seโ€ฆ.

Shukrana se har din kee karein shuruaat
Aur shukrana karein har raat
Apne Guruji, apne maargdarshak ka
Apne param poojya pyaare path pradarshak ka.

Shukrana ki Unhonei dee hai chhat sir par
Shukrana ki miley hain Unkee kripa se vastr
Bhookhe pait nahin padta sona
Jeevan mein anekon anek sukh suvidhaaon ka hona.

Guruji kee mehar se hee praapt hota hai simran ka har lamha
Unhee kee nadar hai ki pasand aata hai rehna tanha
Kyunki Unkee kripa se tabb bhi ho paata hai Unka chintan
Shukrana Unka ki naseeb hotey hain aise anmol kshan.

Shukrana Guruji ka ki Ve bulaate Hain satsang mein
Shukrana Unka ki Ve rangg rahein Hain hamein Apne rangg mein
Unkee meharbaani se milta hai sewa ka mauka
Unhee ko shukrana jabb miltee hai wafa ya phir hota hai dhokha.

Apni sharan mein lekar karma katvaate Hain Guruji
Mushkilon ke bavajood hansna sikhaate Hain Guruji
Itne bhram, itne vehem mitaate Hain Guruji
Apni bhakti mein vishwaas aur atma-vishwaas jagaate Hain Guruji.

Bakhshte Hain utsah aur hunar
Dete Hain sudharne ke sainkdon avsar
Dete Hain kalyaan ka daan
Bakhshte Hain gyan aur atma-sammaan.

Atma-bodh aur saralta ke liye karte Hain protsaahit
Kalyaan karne hetu karte Hain anushaasit
Anaasakti ka paath padhaate Hain
Purusharth mein aagey badhaate Hain.

Unka diya laad aur pyaar
Unkee rehmatein kayi hazaar
Itne ashirwaad roopi uphaar
Jo dete Hain bhakton ka jeevan sanvaar
Apne charnon mein jageh dekar dete Hain gunaahon kee maafi
Har saans se bhi Unka shukrana karein toh veh nahin hai kaafi.

Guruji ka ashish aseem
Hamaara shukrana padd jaaye hamesha kumm
Unka shukrana karte huey hee jeeyein har ghadi
Unka shukrana karte huey hee todein hum dumm.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Shukrana Seโ€ฆ. (05/19/2023)