Aapki Bakhshish Se…. (05/18/2023)

May 18, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1915

         Aapki Bakhshish Se….

Param poojya Guruji Maharaj
Aap Hain murshid, Aap Hain sartaj
Aapse guzaarish kar rahi hoon aaj
Ki Aapki bakhshish se poora ho mera ye kaaj.

Jo sada japte rahein Aapka naam
Jo sada karein Aapki mahima ka gungaan
Bakhsh deejiye aise shwaas
Kuch bhi na samajh paaoon
Toh bhi Aapke hukm par chalti jaaoon
Bakhsh deejiye aisa vishwaas.

Aap dikhaayein jo raasta
Usee raaste se mai rakhoon vaasta
Bakhsh deejiye aisee ekaagrata
Baadhaaon se na ghabraaoon
Chunautiyon se na darr jaaoon
Bakhsh deejiye aisee nirbhayta.

Der bhi lagg rahi ho uddeshya poorti mein toh badhti jaaoon
Manzil kee oonchaayee ho zyada toh bhi chadhti jaaoon
Bakhsh deejiye aisee himmat
Intazaar karne ka ho mujh mein sabr
Har pal karoon Aapka shukr
Bakhsh deejiye aisee inaayat.

Aap jaisa chaahein mai vaisi bann jaaoon
Aapka diya hua har farz nibhaaoon
Bakhsh deejiye aisee prerna
Apni manovritti par rakh paaoon nigraani
Dhyan doon ki kahaan jaa rahi hai zindagaani
Bakhsh deejiye aisee chetna.

Agyan ke andhere mein dhoondh loon swayam ko
Vikaaron ke jaal se azad kar paaoon mann ko
Bakhsh deejiye aisee buddhi
Buraayee se rahoon duur
Achchaayee par chaloon zaroor
Bakhsh deejiye aisee shuddhi.

Jeevan kee kshan bhangurta ko sada rakhoon yaad
Aapke naam simran se har kshan rakh paaoon dil ko aabaad
Bakhsh deejiye aisee daat
Antas mein neevenpann ka ho bhandar
Doojon kee madad karne ke liye rahoon tayyaar
Bakhsh deejiye aisee saugat.

Jahaan Aapki meharbaaniyon ka stavan ho
Jahaan Aapki anugrahit Gurbani ka manan aur shravan ho
Bakhsh deejiye aise satsang
Jiske dwaara niswaarth sewa mein mera bhaav nikhar jaaye
Jismein leen hokar Aapki praapti ho paaye
Bakhsh deejiye aisa bhakti ka rangg.

Jahaan sheetalta aur chhaaon miltee rahe
Jahaan mere pyaar kee kali khiltee rahe
Bakhsh deejiye mujhe Apna veh aanchal
Jabb ruhaaniyat ka noor rahe
Jabb Aapke naam ka suroor rahe
Bakhsh deejiye aise anginat haseen pal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapki Bakhshish Se…. (05/18/2023)

Har Darr Se Bekhabar (05/17/2023)

May 17, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1914

Har Darr Se Bekhabar

Guruji ko hai fakr
Tere sabr par
Beshak tu na zikr kar
Unhe hai sab khabar.

Jaante Hain Ve teri haalat
Unka hukm toh maanti hai nirnay kee adaalat
Tu sabr kar
Aur shukr kar.

Ve Hain tere paas
Tu rakh vishwaas
Mitega tera traas
Tarega tera shwaas.

Samay kee tez hai raftaar
Yug parivartan dekh raha hai sansaar
Prakriti par hua hai maanav dwaara kaafi atyachaar
Badal rahe hain logon ke vichaar aur vyavhaar.

Chaashani mein jaate hain parose
Aajkal ke rishte naate
Toot jaate hain bharose
Kyunki wafa se loag hain kataraate.

Lekin Guruji ka sangg
Is rishte ka hai pakka rangg
Sada chaashani sa meetha beshak na laagey
Lekin Guruji kabhi nahin todte is rishte ke dhaagey.

Jitna badhega tera sabr
Utna zyada Ve karenge tujh par fakr
Unke charnon mein jhuka hai tera sir
Buss, ho jaa tu har darr se bekhabar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Darr Se Bekhabar (05/17/2023)

Har Prayaas Ho Atal (05/16/2023)

May 16, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1913

               Har Prayaas Ho Atal

Aap kee sharan milee hai jabb se, Guruji
Itne bhayy duur huey hain tabb se, Guruji
Jo prerna dhoondh rahi thi mai kabb se
Veh paayi mainey Aap mein basey Rabb se.

Mujhe Aap mein miley Hain Khuda
Na soch paaoon apne ko Aapse juda
Bakhshiye aisee ada
Ki Aapka naam japti rahoon sada.

Aap Hain kripa ke sindhu
Aap Hain nath aur bandhu
Aap Hain maalik meharbaan
Aap Hain Guru karunanidhaan.

Raksha keejiye sabke ghar parivaar kee
Raksha keejiye saare sansaar kee
Ye jo maada waqt hai aaya
Ismein kitnon ne kitna kuch hai ganvaaya.

Kewal kusoorvaaron ka nahin, apitu bekusooron ka bhi aahat hua hai jeevan
Is kalyuga ke bhanvar mein hui hai itnee peeda utpann
Aapke hukm se haalaat badal sakte hain isee kshan
Aapki mehar ka mohtaaj hai is jahaan ka har jann.

Aisee sumat deejiye ki sabhi saamanjasya kee oar badhein
Aisee chetna jagaayiye ki sabhi adhyaatmik seedhiyan chadhein
Aisee mohabbat ujaagar keejiye ki koi kisee se na ladey
Aisee ekta bakhshiye ki sabhi chunautiyon ka saamna karne ikatthe hon khade.

Aapki daya se pareeksha ke lamhe hotey hain safal
Aapki leela se daldal mein phansa hua jann bhi padta hai chal
Aapki karuna se sabka kalyaan hoga aaj nahin toh kal
Is atoot vishwaas ke sahaare hamaara har prayaas ho atal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Prayaas Ho Atal (05/16/2023)

Baitha Hai Tu…. (05/15/2023)

May 15, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1912

                     Baitha Hai Tu….

Baitha hai tu kin khayaalon mein yoon
Maayoosi mein murjhaaya hai tera muh
Tere saamne hai chalne kee raah
Guruji prerit kar rahe Hain tera utsaah.

Unka ruhaani sandesh pehchaan
Unhe is raah par apna meet jaan
Bin sanshay tu Unka hukm maan
Isee mein hai tera kalyaan.

Raah mein pathar jo aayenge
Guru kripa se tere sangg ve bhi tarr jaayenge
Manzil takk pahunchna nahin hai koi khel
Raaste mein hoga kayi paristhitiyon ka mel.

Lete chalna Guruji ka tu naam har kadam par
Guruji dhyan dete rahenge tere har prayatn par
Duniyadari ka rangg na chadhne dena apne mann par
Apnaate rehna tu ruhaani pragati ka har avsar.

Jaagrit rehna, so matt jaana
Sansaari aadambar mein kho matt jaana
Satark prayaas dwaara swayam mein aisa parivartan laana
Jiske zariye mil paaye tujhe atmabodh ka khazaana.

Raah par tu chalta chal
Guruji angg sangg Hain har pal
Waqt jaayega guzar
Mukammal hoga tera safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Baitha Hai Tu…. (05/15/2023)

Aadhaar Sanskriti Kee (05/14/2023)

May 14, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1911

            Aadhaar Sanskriti Kee

Maa hai aadhaar sanskriti kee
Maa hai buniyaad sukriti kee
Dhanya hai maa kee mamta
Jo nikhaarti hai aulad kee kshamta.

Saans na ho shuru maa ke bin
Maa ko namaskar har din
Har din ho uss maa ko arpan
Jo karti hai bachche ka saatvik maargdarshan.

Guruji kee maa, Mata ji ko pranaam
Jinke zariye sansaar mein aaye Guruji mahaan
Maha Shiv roopi karunanidhaan
Jo avatarit Huey karne sangat ka kalyaan.

Guruji ke bachpan ke dauran
Mata ne Unka Shiv roop liya jaan
Guruji hua in noorani shishu ka naam
Jinkee bachpan mein β€˜Nirmal’ naam se thi pehchaan.

Shivji ke avatar ko diya jinhonei janam
Unn mataji ke charnon mein saadar naman
Aur milee hai jin bhakton ko Guruji kee sharan
Unka sanvarta jaa raha hai janam maran.

Guruji kee guruyaayee mein Apne bhakton ke liye
Jalte hain mamta aur sneh ke deeye
Bhakton ko dekar pita aur mata ka pyaar
Guruji dete Hain unn sabhi ko taar.

Dhanya hain Mataji, jinhonei Guruji ko janam diya
Dhanya hai Guruji kee sangat, jinhe Guruji ne ashish hai diya
Dhanya hai veh vayu, jo bikherti hai Guruji kee khushboo ruhaani
Jo Guruji ke ashirwaad se nikhar jaati hai, dhanya hai har veh zindagaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aadhaar Sanskriti Kee (05/14/2023)

Madhur Milaap (05/13/2023)

May 13, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1910

                    Madhur Milaap

Mere Guruji gunsaagar gunvaan
Mere murshid meharbaan
Bholenath Bhagwaan
Komal karunanidhaan,
Aapka paraakram hai aseem aur mahaan
Chaahte huey bhi na kar paaoon Aapka poorna gungaan
Nahin hai mujh mein veh kaabiliyat
Ki bayaan kar paaoon Aapki har inaayat.

Kalyuga ka hai ye zamaana
Ajab sa ho gaya hai duniya ka fasaana
Maya toh nahin chodegi nachaana
Avidya ke timir ne bhi hai sataana
Aise mein jo mil gaya hai Aapke charnon mein aashiyana
Toh sumat ke liye Aapke sanmukh hai sees jhukaana.

Kyunki baahar veh hai nahin, jo chaahoon mai paana
Aapki mehar se veh paaoon, jo bheetar hai khazaana
Usee ne is adhyaatmik safar mein hai kaam aana
Jiske liye mai Aapki kripa se maanti chaloon Aapka bhaana.

Aapke dar par hai meri saanson ke dera
Mere antas mein karte rahiyega basera
Jabb takk karna ho mujhe janam maran ka phera
Aapki sharan mein ho meri har shaam aur mera har savera.

Aapke ashirwaad se atma ka safar jabb bhi hoga mukammal
Bahut hee haseen hoga veh mubarak pal
Mitt jaayenge anginat janmon ke dukh aur santaap
Advait ka anmol bodh pradaan karega veh madhur milaap.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Madhur Milaap (05/13/2023)

Bagiya Aur Baghban (05/12/2023)

May 12, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1909

            Bagiya Aur Baghban

Ye Guruji kee bagiya hai itnee pyaari saakhi
Yahaan har kali Unkee mahima hai sunaati
Har phool mein hai Guruji kee khushboo
Jiske dwaara gadd gadd ho jaati hai rooh.

Guruji ke aanchal ke roop mein
Har taruvar deta hai sheetal chhaaya
Keet patang hon ya hon koi bhi anya praani
Sabhi ne yahaan Guruji ka ashish hai paaya.

Is bagiya mein mandaraati hui har titlee
Guruji ke pyaar mein hui hai kamlee
Har pakshi gaata hai Guruji ke geet
Sab jaanein aur maanein Unhe apna pakka meet.

Guruji swayam Hain yahaan ke baghban
Unhonei kiya hai sabke nirmal anand ka intazaam
Itna paawan hai yahaan ka vaataavaran
Ki samarpan dwaara honei lagta hai har ashuddhi ka haran.

Hawaayein sajde mein sir ko jhukaati huin
Sewa mein Guruji ke spandan ko phaylaati huin
Simran karti huin hain dolti
Guruji kee tareef mein hain bol bolti.

Akash is bagiya ko karta hai naman
Dharti ka sparsh karein is bagiya ke charan
Is sparsh se hoti hai yahaan kee dharti kee shuddhi
Yahaan ka vayumandal protsaahit karta hai subuddhi.

Chand sa sheetal hai ye chaarul chaman
Traas ke har tufaan ka yahaan hota hai daman
Neevan hokar yahaan rakhna kadam
Shraddha se karna baghban ka vandan.

Meharbaan baghban ka shukriya
Jinhonei is bagiya ka anubhav hai diya
Is bagiya aur baghban ko baarambaar pranaam
Jinhonei diya hai naam simran ka daan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bagiya Aur Baghban (05/12/2023)

Pareeksha Mein Kaamyaabi (05/11/2023)

May 11, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1908

        Pareeksha Mein Kaamyaabi

Ye ghar parivaar
Ye samast sansaar
Ye nahin hai santosh ka aadhaar
Aadhaar hai Nirankaar se pyaar.

Laabh ke saath nuksaan bhi hai bhautik sukh ka
Ismein adhik bhog vilaas bann sakta hai kaaran dukh ka
Aur dukh mein na milega santosh kabhi
Aisa toh shaayad jaante hain hum sabhi.

Trishna hoti nahin hai kumm
Jo nahin hota hai, usee ke liye rehta hai gumm
Yoon aasakti hoti hai ghar parivaar aur sansaar mein
Ki bin bodh huey badhauti hoti jaati hai moh aur dooje har vikaar mein.

Bheetar kee khoj hai zaroori
Taaki banee rahe antas kee aasakti se duuri
Anivaarya hai Guru Govind mein lagan lagaana
Beshak chalta rahe paristhitiyon aur logon ka aana jaana.

Chetna jaagrit rahegi toh chetaavani deti rahegi
Dhyan kee yukti chitt kee chanchalta kee pareeksha leti rahegi
Naam simran aur dridh shraddha se kee bhakti se
Milegi pareeksha mein kaamyaabi
Aur is kaamyaabi mein hee hai
Sukh santosh ke nivaas sthaan kee chaabi.

Is chaabi se jabb khulega is nivaas sthaan ka dwaar
Toh paavani hogi vahaan kee bahaar
Baras raha hoga Guruji ka laad aur pyaar
Sukh santosh kee saugat dekar Guruji denge hamein taar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pareeksha Mein Kaamyaabi (05/11/2023)

Haalat Hamesha Nahin Hotey Ek Se (05/10/2023)

May 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1907

Haalat Hamesha Nahin Hotey Ek Se

Haalaat hamesha nahin hotey ek se
Maajre hotey hain anek se
Kabhi kabhi lagta hai ki ruk si gayi hai ye zindagi
Lekin guzaarish hai Guruji se kabhi na rukey bandagi.

Guruji kee mehar se miltee hai bandagi kee daat
Is daat mein samaayee hai sukh kee saugat
Guruji ka pyaar, aadar, satkaar
Unka simran aur chintan baarambaar.

Sewa mein bitaane ko milein jo pal anmol
Guruji kee mahima gaate huey bhakt ke dwaara boley meethe bol
Satsang mein baithkar Guruji ka dhyan
Unse seedhi taar jod kar Unka prem bhara sammaan.

Paalan Guruji ke hukm ka har kshan
Unke shukrana mein ramta hua mann
Unse arzi ki Ve bakhshte rahein gunaahon ko
Unse vintee ki Ve prakashit karte rahein raahon ko.

Banda bann-ne ka Unke aadesh ko rakhna yaad
Aur is agya ke nirvaah kee oar karna poora prayaas
Insaaniyat ka dharam nibhaana
Guruji ko dil kee baat bataana.

Andhvishwaas aur vehem se duur rehna
Bandagi kee buniyaad par susthir rehna
Koi daava ya koi maang ya shikaayat nahin
Buss, vishwaas ki Unhonei jo socha hai hamaare liye, vahee hai sahi.

Aaj nahin toh kal, rangg laayegi bandagi
Jo lagti hai ruki hui, punah praarambh hogi ye zindagi
Guruji kee bandagi karne wala har bhakt hai Unkee santaan
Guruji kee sharan mein nishchit hai sabhi bhakton ka kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Haalat Hamesha Nahin Hotey Ek Se (05/10/2023)

Nutan Noor (05/09/2023)

May 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1906

                           Nutan Noor

Ekant kee gehraayee mein hai
Chetna ka sundar gaaon
Jahaan Guruji kee mehar se
Miltee hai ruhaani chhaaon.

Zaroori hai karna is gaaon mein vaas
Taaki atma-chintan mein vyast rahe har shwaas
Anubhav hota rahe saanson ke aane jaane ka
Ullaas badhta rahe Guru ko paane ka.

Is gehraayee mein doobne se hee tarr paayenge
Ye mumkin nahin agar duniyadari ko chodne se darr jaayenge
Sthool roop se na bhi chhootey, kintu anivaarya hai anaasakti
Ye karna utna saral hoga, jitnee hogi bhakti mein shakti.

Chetna ke sundar gaaon mein
Guruji ke paaon kee chhaaon mein
Mehsoos hoga aisa anand
Ki chitt chaahega ekant anant.

Chhaayega khud par naam ka aisa nasha
Ki bhool jaayega ki kabhi thi khud kee durdasha
Khud se aur Guruji se hogi chuppi se baat din aur raat
Maun reh paane ke hunar kee milegi Guruji se saugat.

Is duniya kee nagri mein rehte huey bhi
Antas kendrit hoga rehkar chetna ke gaaon mein
Guruji ke ashirwaad se anugrahit rahega jeevan
Nutan noor se roshan hoga atma aur tann mann ka kann kann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nutan Noor (05/09/2023)