Safal Santaan (08/02/2022)

August 2, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1626

                      Safal Santaan

Dekar vandan kee vibhuti sangat ko
Dekar sumati Apne har bhakt ko
Guruji prassann hotey Hain sunkar Apni stuti
Ve aksar maaf Hain bhakton kee truti.

Guruji Gurbani sunvaate sunvaate
Atmabodh ke safar par Hain le jaate
Bheetar ke bhraman ka bhaav Hain jagaate
Yoon bhakton ka pavitrikaran Hain karaate.

Kisee ka safar kisee doosre ke safar jaisa nahin
Har bhakt ka safar hai anokha
Lekin itna toh nishchit hee hai
Ki Guruji sabhi ko dete Hain sudharne ka mauka.

Guruji kee mehar se hee bulaava aata hai
Kismat wala hai jo is dar ko paata hai
Zaroorat nahin yahaan se kaheen aur jaane kee
Buss, samarpan bhari sweekriti zaroori hai Guruji ke bhaane kee.

Bhakt jabb aisa kar paaye
Toh Guruji ko yeh bhaav bada bhaaye
Yahee toh asal aur mool hai Guruji kee dee hui deeksha ka
Is se antt hota hai kalyaan kee prateeksha ka.

Phir toh bhakt kalyaan ke saagar mein tayyr kar tarr jaata hai
Uska roam roam Guruji ke ruhaani sparsh ke ashish se bhar jaata hai
Guruji ka Prabhutva leta hai har kadam par bhakt ka imtehaan
Jisey meetha laagey Unka bhaana, vahee hai Guruji kee safal santaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Safal Santaan (08/02/2022)

Guruji Ke Anugrah Se Aabaad (08/01/2022)

August 1, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1625

      Guruji Ke Anugrah Se Aabaad

Odh kar Guruji ke naam kee chunri
Mai chali Guruji kee nagri
Aankhon mein Guruji kee chhavi liye
Mann mandir mein jalaakar Unke naam ke diye
Labhon par dhare huey Shukrana bhari muskaan
Rasna se karti hui Unka gungaan.

Haathon mein lekar shraddha ke suman
Thaal mein sajaakar jyot aur chandan
Hawaa ke sangg dolti hui
Mann mein β€˜Jai Guruji’ bolti hui.

Japte huey mala simran kee
Intazaar karti hui uss kshan kee
Jabb Guruji kee nagri pahunch paaoongi
Aur phooli nahin samaaoongi.

Kalpana karti chali saath saath
Ki kaise karoongi Guruji se baat
Pehle namaste kar paaoongi kar jodkar
Ya chhoo paaoongi Unke charan jhuk kar?

Itne mein raaste mein mila mayur
Bataaya usne ki abb nagri nahin hai duur
Phir toh aur bhi ullaasit hui mai
Guru milan ke liye aur bhi utsaahit hui mai.

Thoda aagey chali toh mere aaspaas titlee mandraayi
Aur uske jaate hee gulab kee sugandh aayi
Saamne dikha ek vishal taruvar
Uspar ek jhoola, jhoole par baithey thei Guruvar.

Yaad hee nahin mainey pehle kya kiya
Haath jod kar kiya namaskaar ya chhooye Unke kamal charan
Itna kuch soch kar aayi thi mai
Lekin Unhe dekha toh kuch nahin raha smaran.

Aisa noor, aisee sundarta
Aisa spandan, aisee komalta
Aankhon mein gehraayee
Chehre par saralta
Mai toh dekhti hee reh gayi
Prem mein hee beh gayi.

Guruji ne kaha, β€œKalyaan kitta”
Mujhe Unka vachan laagaa ati meetha
Ho gayi mai bhaav vibhor
Kaha Unse mainey ki mujhe nahin jaana abb kaheen aur.

Sehsa lagaa jaise kaheen se aayi tez dhoop
Aankh khuli meri aur dekha haath mein Guruji ka swaroop
Yaad aaya ki mai kar rahi thi Unke swaroop se baat
Samajh aaya ki Unhonei dee sundar swapn darshan kee saugat.

Dhanya hui mai paakar Guruji ke swapn darshan
Prafullit hua mere mann ka upvan
Din kee hui itnee pyaari shuruaat
Yeh thaa Guruji ka paawan ashirwaad
Hua mera antakaran Guruji ke anugrah se aabaad
Mainey dincharya shuru kee kar ke Unka dhanyawaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Anugrah Se Aabaad (08/01/2022)

Aakhir Safar Hee Toh Hai Yeh Zindagi (07/31/2022)

July 31, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1624

Aakhir Safar Hee Toh Hai Yeh Zindagi

Pal se minute
Minton se ghadiyan
Ghante ghadiyon ke baad
Apne haath mein hai ki hum inhe
Sadupyog mein laayein ya karein barbaad.

Aise hee pehar aur din aate hain
Phir hafte, maheene, aur saal
Kyun na mann ko sthir kar ke jee lein
Banaa kar simran ko apni dhaal.

Iska arth ye nahin ki jeevan ho jaaye neeras
Lete chalein mauj masti ka anand bharaa rass
Uss daanav ka poshan na karein jo mann mein raha hai buss
Taaki kalyugi sarp na sakey hamein dass.

Guruji ke naam mein hai anant shakti
Tarr jaata hai vo jo rakhta hai Unke naam mein bhakti
Ye hai swayam kee bhalaayee kee yukti
Aushadhi hai har uss ragg ke liye jo hai dukhti.

Guruji ne Apni sangat ke liya kiya hai kitna saral intazaam
Nahin chodne hain dinacharya ke kaam
Nahin tyaagna hai bhog ya aaraam
Bin vehem, bin ahem ke japna hai Unka naam.

Din ho ya raat, akele ho ya phir beshak ho koi saath
Karna hai beej mantra ya mantra jaap
Dikhaawa nahin karna, buss japna hai chup chaap
Mann niyantran mein rehne lagega, kumm pareshaani denge santaap.

Mann hota jaayega maut se nirbhay
Mit-ta jaayega agar hoga koi sanshay
Yahaan rehte huey hoti rahegi vahaan jaane kee tayyaari
Kyunki kabhi na kabhi toh aani hee hai sabki baari.

Kyunki aakhir safar hee toh hai yeh zindagi
Aur yakeenan sabse uttam sahaara hai bandagi
Buss, milti rahe Guruji kee daat-e-bakhshindagi
Taaki uss paar pahunch kar na ho koi sharmindagi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aakhir Safar Hee Toh Hai Yeh Zindagi (07/31/2022)

Jabb Hum Banenge Gurumukh (07/30/2022)

July 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1623

       Jabb Hum Banenge Gurumukh

Lupt ho gaya sooraj dhalte dhalte
Raahi bhi thakk sa gaya chalte chalte
Saraaye mein ruka veh jabb hui raat
Subah hui toh chal pada lekar naam ko bheetar aur saath.

Sehsa ghaney baadal chaane lagey aasmaan mein
Veh chalta raha magn hokar naam mein
Kuch baadal garje, kuch barse, bijlee ne bhi roab dikhaaya
Raahi Guruji ke naam kee dhun mein thaa, veh zara sa bhi nahin ghabraaya.

Baarish ruk gayi kuch ghanton mein
Sooraj kee chhavi aane lagi nazar
Bhookh mitaakar, taruvar ke taley kar ke vishraam
Raahi kee rooh par hota raha Guru ke naam ka ruhaani asar.

Yaad aa rahi thi beete huey dinon kee
Prateeksha thi aane waalon kshanon kee
Ek pal ke liye bhi usey mehsoos na hua akelapann
Kyunki naam japp raha thaa veh mann hee mann
Chinta chod kar veh kar raha thaa chintan
Uske chitt par chhaaya thaa samarpan ka spandan.

Kya anant hai kya hai asthaayi
Usey yeh samajh thi aayi
Guruji kee vadiyaayee
Yeh rangg thi laayi.

Guruji kee vadiyaayee ke rangg kee gehraayee
Banti chali raahi ke liye ati-sukhdaayee
Aise magn karne lagi usey Guruji ke naam kee sheetal shehnaayee
Ki uske har vichaar aur karma par Guruji kee marzi ne mohar lagaayee.

Har aisee manohar mohar ne kiya raahi ko
Guruji ke aur bhi kareeb
Guruji ka shukrana karta raha veh pal pal
Kyunki Unkee mehar se hua veh khushnaseeb.

Khatkhataa rahi hai yahee khushnaseebi
Hum sabki kismat ka dwaar
Guruji kee marzi kee mohar se hum bhi
Anumodit karaa lein apne karma aur vichaar.

Isee mein hai kalyaan
Isee mein hai sukh
Tabb hee milenge Bhagwaan
Jabb hum banenge Gurumukh.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jabb Hum Banenge Gurumukh (07/30/2022)

Komal Karunanidhaan Guruji (07/29/2022)

July 29, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1622

       Komal Karunanidhaan Guruji

Guruji kee sharan mein
Mil jaati hai jabb sweekriti
Toh aksar Guruji lekha dobaara likh kar
Nikhaar dete Hain niyati.

Unkee sharan mein jabb safar hota hai shuru
Toh maano jaise ek naya janam dete Hain Ve Guru
Kyunki safar ke pehle kadam par milta hai jo Unka naam
Toh tabhi se nishchit ho jaata hai kalyaan hee kalyaan.

Agar na bhi badle hamaari niyati
Toh bhi poora sahaara deti hai Guruji kee preeti
Pooran Guru Hain Guruji pyaare
Lagaate Hain sabke jeevan kee naiya kinaare
Mukti takk pahunchaate Hain Ve
Himmat dekar karmon ko katvaate Hain Ve.

Safar mein beshak aate hain aandhi tufaan
Raksha ka kavach banta hai Guruji ka naam
Lauta dete Hain Ve khoyi hui muskaan
Dete Hain Apni ruhaani maujoodagi ka pramaan.

Dete Hain Guruji bhakton ko itna pyaar
Ki veh pyaar bann jaata hai safar ka aadhaar
Uss pyaar kee prerna hai aisee anupam
Ki har niraasha ko kar deti hai khatm.

Safar mein ummeed ka sooraj jabb kabhi hota hai astt
Jabb kisee bhi kaaran se bhakt hota hai gumm se grast
Toh Guruji kee samvedansheel karuna
Laati hai safar ke akash mein Aruna.

Safar kee manzil agar hoti hai duur
Toh bhi har andheri moad par raaj karne lagta hai Unka noor
Har pal rakhte Hain Guruji bhakt ka khayaal
Komal karunanidhaan Guruji kee leela hai bemisaal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Komal Karunanidhaan Guruji (07/29/2022)

Saath Dein Jo Har Pal (07/28/2022)

July 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1621

             Saath Dein Jo Har Pal

Saath dein jo har pal
Bin shart, bin saude ya bandhan ke
Aise saathi Hain pyaare Guruji
Apne har bhakt jann ke.

Bhakt kee aankhon mein aansoon aane se pehle hee jaayein jaan
Aur kar rahe hon samasya ka samaadhaan
Aise abheekshak Hain pyaare Guruji
Itna khayaal rakhte Hain Ve meharbaan.

Jinhe kuch kehne kee zaroorat hee nahin
Lekin phir bhi bhakt keh dein toh Ve nahin hotey naaraaz
Aise dayalu antaryaami Hain pyaare Guruji
Itna udaar hai Unka andaaz.

Jinka aanchal na padey kabhi chhota
Chaahe sangat jitnee bhi badh jaaye
Aise kripalu Hain pyaare Guruji
Jinka noor Unkee sangat par chadh jaaye.

Jinke dil mein hai pyaar beshumaar
Jinka badhta jaata hai bhakton ke liye dulaar
Aise komal hriday wale Hain pyaare Guruji
Jinkee vadiyaayee hai aparampaar.

Jinkee kripa aur karuna kee nahin hai koi seema
Unke kamal charnon mein hee hai abb marna aur jeena
Aise bade dil wale Hain pyaare Guruji
Jinkee avinaashi aur anant hai mahima.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Saath Dein Jo Har Pal (07/28/2022)

Har Bhakt Ka Aashiyan (07/27/2022)

July 27, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1620

              Har Bhakt Ka Aashiyan

Khushboo ruhaaniyat kee
Moorat insaaniyat kee
Leela divyata kee
Prerna pavitrata kee
Guruji Hain MahaShiv ke roop
Unka prataap hai anokha aur anoop.

Strot utsah ke
Maargdarshak raah ke
Gunahon ke bakhshanhaar
Sangat ke taaranhaar
Guruji Hain itne dayalu
Guruji Hain bahut kripalu.

Simran ke samarthak
Dhyan ke protsaahak
Bhakton ke pratipaalak
Har haalaat mein rakshak
Guruji Hain hamdard Apne har shishya ke
Guruji Hain gavaah har anubhav aur drishya ke.

Praanon ke poshankarta
Kashton ke harta
Agam agochar
Daya ke dar
Guruji bulaate Hain jisey bhi Apni sharan mein
Uske angg sangg rehte Hain uske janam maran mein.

Dukhiyon ke Deenanath
Sukhiyon ke bhi sada saath
Mumukshu ke liye nirvaan
Sabhi ke liye kalyaan
Guruji Hain kitne mahaan
Unkee mehar se mehekta hai har bhakt ka aashiyan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Bhakt Ka Aashiyan (07/27/2022)

Agam Agochar Taral Taaranhaar (07/26/2022)

July 26, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1619

Agam Agochar Taral Taaranhaar

Dil hee dil mein reh jaati hai jo baat
Guruji jaan jaate Hain usey bhi
Ve Hain antaryaami sundar swami
Hain Ve har bhakt ke har jazbaat ke gyani.

Jeevan mein jabb bhi aati hai niraasha
Guruji yaad dilaate Hain jeevan kee paribhaasha
Sarvagyani Sarveshwar Shiv ke swaroop
Saantwana ka saagar anoop.

Sapne patjhad ke patton jaise
Jabb lagte Hain bikharne
Apni anukampa ke aanchal mein
Guruji lagte Hain Unhe sametne.

Unkee kripa se jabb
Chhooti hai khushi kee leher
Yaad dilaane ki ahem na karna
Awaaz bann kar aati hai Guruji kee mehar.

Sukh dukh ke beech ka faasla
Dheere dheere karvaate Hain Ve tayy
Mann kee samta ke anukaraneeya Dev
Sukh dukh mein ek si bakhshne lagte Hain layy.

Paath sikhaate Hain mahatvapoorna
Zindagi banaate Hain Ve kartavya poorna
Saumya satark sanchaalak Hain Ve
Param poojya pratipaalak Hain Ve.

Kitne kaarya jo reh jaate hain adhoore
Guruji kee kripa se hotey hain poore
Bhav saagar paar karaane wale Parwardigaar
Guruji hee Hain Ve agam agochar taral taaranhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Agam Agochar Taral Taaranhaar (07/26/2022)

Deh Dil Se Shukrana (07/25/2022)

July 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1618

                Deh Dil Se Shukrana 

Pyaare Guruji,

Khushkismat hai har veh jann
Jisey Aapne Apne charnon mein dee hai jageh
Aapki sharan mein aane se duur hui hai
Niraasha aur bebasi kee har vajeh.

Mai hoon Aapki shukraguzaar
Ki Aapne mujhe bhi bulaaya Apne dwaar
Bakhshte Hain Aap baar baar
Kalyaan karte Hain baarambaar.

Aapke naynon mein dikha jo mahasaagar
Toh usmein dubo dee mainey apne mann kee gaagar
Aapke chehre par dekha aisa anupam noor
Ki chitt ka andhkaar honei lagaa duur.

Nihaar kar Aapke mukhaarvind kee muskaan
Khush ho jaati hoon agar kabhi hoti hoon pareshaan
Mann hee mann mein chhooti hoon Aapke komal haath
Aapki mehar se seedhi taar jod kar paati hoon Aapko apne saath.

Aapki ruhaani khushboo se mera mann
Bann jaata hai khiley huey ruhaani phoolon se bhara upvan
Aapke langar prasad se nirogi hota hai mann aur tann
Aapke ashirwaad se atma paati hai divya dhan.

Aapke simran aur dhyan mein milte hain kayee sawaalon ke jawaab
Jis mein Aap darshan dete Hain, dhanya hota har veh khwaab
Dee hai Aapne itnee sehenshakti
Dee hai Aapne tript rehne kee yukti
Agochar hotey huey bhi dilaate rehte Hain Aap Apni maujoodagi ka ehsaas
Mann kee aankhein paati hain Aapko swayam ke bheetar aur aaspaas.

Aapki sharan mein milee hai sweekriti
Aapke aanchal mein milee hai preeti
Janam maran ho gaya hai safal
Aapka deh dil se shukrana karoon har pal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Deh Dil Se Shukrana (07/25/2022)

Aise Jeeyein Hum (07/24/2022)

July 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1617

                 Aise Jeeyein Hum

Kuch baatein sunin hui, kuch ansuni
Kuch baatein kahin hui, kuch ankahi
Yoon hee zindagi kee har ghadi
Beet-ti rahi.

Kuch karya huey poore, kuch kal ke liye choot gaye
Kuch bandhan bandhe, kuch toot gaye
Aaj bhi kuch aisa hee haal hai
Bin rukey chal rahi samay kee chaal hai.

Saal maheene kee si tezi se nikle jaa rahe hain
Aur maheene hafton ke se vaig se rahe hain guzar
Haftey toh dinon ko goad mein liye beet rahe hain sheeghrataa se
Aur din ke ghanton aur minton par toh jaise hua ho tufaan kee gati ka asar.

Jo kal kareeb thaa, ho sakta hai aaj bhi ho utna hee kareeb
Ya phir aaj duur ho, ye naseeb kee ho tarkeeb.
Samay aur karmon ka khel hai kuch kuch uljha
Kuch virle jann hee hongei jinhonei isey poori tareh se hai samjha.

Apni jholi mein mila hai hamein aaj
Maano ya na maano, yeh khushkismati hai hamaari
Har ghante, har minute kee rakhein laaj
Na jaane kab aa jaaye yahaan se jaane kee baari.

Hamein insaan ka mila hai janam
Karein hum insaanon wale karam
Pashu aur daanav vritti se rahein duur
Simran aur gupt sewa, daan, paath karein zaroor.

Badhaate rahein sadbhaav aur saamanjasya
Nibhaate rahein hum apna kartavya
Khud bhi jeeyein, jeene dein doojon ko bhi
Galatiyon ko sudhaarein, neki karne se na katraayein kabhi.

Guruji kee santaan aur Unke shishya hain hum
Guruji se judey rahein aur karein Unka anusaran
Hamaare vyavhaar mein pratibimbit ho Unka divya andaaz
Aise jeeyein hum ki Guruji ko hum par ho naaz.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aise Jeeyein Hum (07/24/2022)