Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1576
Simran Karne Ka Avsar
Guruji kee mehar se mila hai simran karne ka avsar Na jaane de in ghadiyon ko bekaar Yeh atma-bal badhaane ke liye anivaarya hai Taaki mann kee sthiti par na ho koi vaar.
Simran karte karte atma-bal badhta jaayega Paristhitiyan tujhe na kar paayengi kamzor Mann vichlit na hoga, mann rahega sthir Tu uthne ka saahas kar paayega agar gaya tu gir.
Kyunki jabb takk zindagi hai Aate rahenge utaar chadhaav Simran ke prabhaav se Mann ko na hoga shanti ka abhaav.
Simran mein mann lagey ya nahin Simran karna hee hai sahi Ekaagrachitt hokar kiya jaaye toh aur bhi achcha Buss, simran karne ka prayaas ho sachcha.
Guruji kee daya se prayaas zaroor hoga safal Simran dwaara pavitrikaran hoga toh behtar hogi karmon kee fasal Jis bhi tareh se dekha jaaye, bhakt ka kalyaan hee hai Guru ka hukm samjhein ya Ishwar ka, Guru mein basaa toh Bhagwaan hee hai.
Guruji kee dee hui daat hai simran Simran hai shanti ka upaay Simran kee daat ka tu kar sammaan Simran hai raasta, manzil hai kalyaan.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1574
Guruji Ka Pyaara Pehra
Baansuri kee dhvani suni Phir chidiyon kee chehek Achaanak ek titlee udd kar aayi Usee pal aayi ruhaani mehek.
Gulab kee aur chandan kee Maano hua ho mehek mein inka mishran Jo hawaa ka jhonka ye mehek laaya Usey usee pal kiya mainey naman.
Dhanya hai veh hawaa ka jhonka Jo mere Guruji ka paigaam laaya Mehek se zaahir hui maujoodagi Guruji kee Mere mann mein khushi ka dhwaj lehraaya.
Mann kee aankhon ne dekha Guruji ko furteeli chaal se aate huey Noor anant thaa Unke chehre par Neeveen nazron se mandd mandd muskuraate huey.
Tej Unke abhamandal ka Laaya sanket mangal ka Unke noor ko rahi thi nikhaar Mere sangg Unhe saraahne lagi bahaar.
Shaayad farishte bhi vahaan hotey Toh ve jaate sharmaa Guruji ke saumya divya roop se Yoon khil gaya samaa Jharne ullasit hokar behne lagey Phool khil kar Guruji ko shukrana kehne lagey.
Bargad ke thei vahaan do taruvar Unhe mil gaya sunehra avsar Unhonei apne beech mein ek sundar se jhoola lagaaya Guruji ne dono kee shaakhaaon ka bhagya jagaaya.
Guruji ke pyaar mein baanvri si hokar Mainey jhoole par phoolon ka aasan bichhaaya Kaante na chubh jaayein Guruji ko Isliye saavdhaani se kaanton ko hataaya.
Jabb mann hee mann mein is nacheez ne Guruji ko namaste aur Unka abhinandan kiya Toh pyaare Guruji ne bin dekhe bin kuch boley Jhoole par aasan grehen kiya.
Unke sundar pitambari chole ke aanchal ne Ek pal ke liye kiya mere haath ka sparsh Mai bayaan nahin kar sakti ki mujhe kaise lagaa Mujhe mil gaya anginat varshon ka harsh.
Guruji jhoole par huey virajmaan Kya aalam thaa, kitnee sundar thi Unkee shan Unhe dekhte huey bhi na dekh paa rahi thi mai Kyunki Unke mastishk se maano nikal rahe thei divya shakti ke baan.
Thoda ghabraakar, ki kaheen galati na ho jaaye Mai laayi Unke liye jal aur chai Unhonei chakh kar veh prasad mujhe dekar ishaara kiya Aur Unke hukm ko sir aankhon par rakhkar mainey vo prasad pee liya.
Aisee sheetalta ka anubhav hua mujhe Ki lafzon mein bataana hai namumkin Prasad ne mere antakaran ko yoon anugrihit kiya Ki mainey jeevan mein pehli baar itna gehra shwaas liya.
Meri neend khul gayi lete hee shwaas gehra Mehsoos hua ki vahaan bhi aur yahaan bhi hai Guruji ka pyaara pehra Shukrana Guruji Aapka, ki Aapne diye itne komal swapn darshan Aapke ashirwaad se so-un ya jaagoon, buss rahoon mai Aap mein magn.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1573
Dikhaaya Hai Unhonei Raasta
Guruji ka Shukrana Ki dikhaaya hai Unhonei raasta Raasta sewa aur simran ka Raasta satsang ke dhan ka Raasta, jismein vehem ka sthaan nahin Raasta, jahaan vikaaron ka maan nahin.
Raasta, saadagi hai jiske har kadam par Raasta, jahaan Guruji ke naam ka marham lagta hai har gumm par Raasta, jahaan bhaav kee hai ahamiyat Raasta, jahaan barasti hai Guruji kee rehmat.
Yeh raasta hai chhal-kapat se bahut duur Yeh raasta ahankar ko karta hai chuur chuur Yeh raasta hai saralta aur taralta kee oar jaane ka Yeh raasta hai komalta aur nirmalta apnaane ka.
Yeh raasta hai dhyan ka Yeh raasta hai kalyaan ka Yeh raasta hai bhog bhogne ka bin aasakti ke Yeh raasta hai aatmabal badhaane ka, Guruji dwaara dee gayi shakti se.
Yeh raasta hai niswaarth preet ka Yeh raasta hai preet kee jeet ka Yeh raasta hai preet mein haar ka Yeh raasta hai swayam mein sudhaar ka.
Yeh raasta hai jaagriti ka Yeh raasta hai adbhut aakriti ka Yahaan kaante chubhne se bhi hota hai bhalaa Yahaan phool khilne kee ruhaani hai kala.
Yahaan Khuda ko paane ke liye khud ko padta hai khona Yahaan ruhaani prem mein bhool jaata hai jaagna aur sona Yahaan ullas aur malang ka shor bhi hai Yahaan vichaarmagn rehne ka moad bhi hai.
Yahaan niraasha kee raat mein bhi yoon jalte hai bhakti ke diye Maano Guruji ne raasta roshan kiya hai hamaare liye Yahaan ashirwaad milta hai chehre par kaanti aane ka Yahaan nirantar mauka milta hai mann mein shanti aane ka.
Yahaan andhvishwaas ko aane kee hai manaahi Yahaan Guruji ke suraksha kavach se surakshit hai har raahi Yahaan Guruji swayan lekha dobara likhte Hain Apne kalam kee siyahi se Yahaan koi vadiyaayee vaddi nahin hai Guruji kee vadiyaayee se.
Yeh raasta manzil takk lekar jaata hai Yahaan har bhakt Guruji ko humsafar ke roop mein paata hai Yahaan Guru aur bhakt ka rishta nikharta jaata hai Yahaan raahi ruhaaniyat kee oonchaayee ko chhoo paata hai.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1572
Musaafir, Tu Chalta Chal
Musaafir, tu chalta chal Darr ko peechhe chod kar Musaafir, tu chalta chal Har baadha ko toad kar.
Jhaank tu apne bheetar Guruji Hain vahaan Ve angg sangg hongei Tu jaayega jahaan.
Guruji karte rahenge tera maargdarshan Tu buss juda reh Unse seedhi taar se Vaise bhi ye sab maya hai Tujhe kya lena hai sansaar se.
Baahar ho ya na ho roshan Tu bheetar ka karta chal poshan Vaheen hai tera antakaran Jiska Guruji kar rahe Hain pavitrikaran.
Guruji ne tujhe Apni goad mein hua hai uthaaya Jabb bhi zaroorat hogi, Unka aanchal deta rahega tujhe chhaaya Itminaan se sambhaal jo sewa simran ka dhan toone hai paaya Bahut pachhtaayega agar isey toone ganvaaya.
Kyunki is dhan mein samaayi hai tere liye adhyaatmik oorja Is dhan se susajjit hoti hai, jo bhi karta hai tu pooja Yeh dhan de nahin sakta Guru ke siwaay koi dooja Jaan le tu agar abb takk tujhe ye nahin soojha.
Tere bheetar Guruji ka raaj hai Aur baahar maya laailaaj hai Kal beet gaya, lekin tere paas aaj hai Tera har shwaas Guruji kee mehar ka mohtaaj hai.
Isliye, musaafir, tu chalta chal Hokar saavdhaan, lekin befikr Musaafir, tu chalta chal Har pal karte huey Guruji ka shukr.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1571
Har Pal Tera Imtehaan Hai
Har pal tera imtehaan hai Guruji ke darbar mein Laparwahi matt kar lena ismein Phans kar moh maya ke pyaar mein.
Ye imtehaan chal raha hai har pal Bin computer ya kaagaz kalam ke Kyunki Guruji tera niroopan kar rahe Hain Tere safar mein tere har kadam pe.
Teri kriya, teri pratikriya, teri bhawna Teri neeyat, teri kaamna Tera vichaar Tera vyavhaar Sab kuch azmaa rahe Hain Guru Parwardigaar.
Chhipa le yahaan tu sabse beshak Ya kar le agar anuchit iraade se kisee kee nakal Banaa lega tu bewakoof saare jahaan ko Lekin na dhokha de paayega tu Guru meharbaan ko.
Ho sakta hai ki baadhaayein tujhe gher lein har oar se Aur har seedhi jo tu chadhe, toh imtehaan hota jaaye mushkil Phir bhi tu Guruji ko sab arpan kar ke apna karma karna Apne zameer kee awaaz sunte rehna, taaki jurmaana na pade bharna.
Karega imtehaan kee har seedhi ka tu jo saamna Bina buri neeyat aur bin swaarth aur bin bhautik kaamna Toh agar poora sansaar bhi na jaan paayega Tu Guruji kee nazron mein safal kehlaayega.
Faisla tujhpar hee hai nirbhar Ki Guruji ke hukm par katvaa sakta hai kya tu apna sir Ya phir imtehaan ke mahatva se vikarshit hokar Tu duniya ko khush karne mein vyateet karna chaahta hai yeh safar.
Buss, yeh rakhna tu yaad Ki imtehaan ka jo bhi ho parinaam Teri neeyat aur tere tareeke se Guruji nahin Hain anjaan Aur Unhe hai har pal tere pal pal kee soch ka gyan.
Guruji mein shraddha kendrit karte huey Tu shuddh bhaav se de le imtehaan Guruji teri neeyat aur mehnat dekhkar nyaaya karenge Aur tere hee hitt mein hoga parinaam.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1570
Guruji Ke Sangg Doar
Bandh gayi jiskee Guruji ke sangg doar Usey kyun phir chahiye kuch bhi aur Uskee har zaroorat aur chaahat ka Guruji rakhein khayaal Chaahe usey Unse judey huey hua ho ek din ya phir kayi saal.
Guruji kee leela hee aisee hai Ki Ve Apne har bhakt se karte Hain behad pyaar Ve Apne maanav roop mein nahin Hain yahaan Lekin Unkee maujoodagi se kaun kar sakta hai inkaar.
Ruhaani khushboo Unkee Swapn mein Unke darshan Satsang ke divya anubhav Gurbani ke simran se tarta jeevan.
Unkee bakhshi hui sewa kee daat Unkee mehar se hota hai jo paath Unke charan jo dete Hain hamein sharan Unka dhyan jo karta hai hamaare mann ka pavitrikaran.
Jeevan daan dene kee karte Hain kripa Ve aksar Swaasthya ko banaate Hain behtar Bhautik padaarth dena toh Unke liye itna aasaan hai Unka toh har ashirwaad hee mahaan hai.
Bin maange hee Guruji karte Hain har bhakt ka kalyaan Phir kyun Unse maang kar karein Unhe pareshaan Hum toh hain picchle karmon se aur bhavishya ke maamle mein anjaan Kitne bhagyashali hain hum ki Jinhonei hamein sharan dee hai, Ve Guruji Hain karuna kee khan.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1569
Apne Muqaddar Se Keh Do
Apne muqaddar se keh do Guruji Hain tumhaare maargdarshak aur humsafar Aur muqaddar ne jo kuch socha hai tumhaare liye Guruji kee hai uspar har pal nazar.
Beshak tumhaare hee karmon ke hisaab se Tumhaare liye naksha tayaar kar raha hai muqaddar Lekin tum bhoolo na ki Guruji ka haath hai tumhaare sir par Ve lekha dobaara likh dein, ho sakta hai ki tumhe mil jaaye aisa avsar.
Muqaddar par nazar rakh rahe Hain Guruji Tum apna farz adaa karo beparwahi se Tumhaare vichaar aur vyavhaar ko bhi dekh rahe Hain Guruji Isliye duur rehna tum vikaar, paap, aur laparwahi se.
Muqaddar karega apna kaam Tum karte raho kaam apna Guruji ka naam lete raho Chod do idhar udhar bhatakna.
Muqaddar kee andheri raat ko Guruji sajaa denge ummeed ke sitaaron se Guruji kee agya se muqaddar kee subah ka sooraj Tumhara jeevan ujjwal karega apni kirnon se.
Niraasha ka sanket laayega jabb jabb muqaddar Tum na badal lena apni dagar Tum chalte jaana Guruji ke sahaare Bin ghabraaye, bin himmat haare.
Asha aur ummeed ya jeet laayega jabb muqaddar Toh bhi rehna sanyam mein Asha aur niraasha ek hee sikke ke do pehlu hain Is baat ko yaad rakhna mann mein.
Muqaddar ko bura na kehna Usne hai sangg rehna Pehene rahego jo Guruji ke naam ka gehna Toh aasaan ho jaayega samjhauta sehna.
Jaise jaise chalega tumhaare jeevan ka safar Guruji kee rehanumaayi mein rahega muqaddar Karunamayi hai Guruji kee mehar-e-nazar Unka Shukrana karte huey karo tum har kadam par Unkee is nazar kee kadar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1568
Vishwa Paryaavaran Divas
Vishwa Paryaavaran Divas hai aaya βKewal Ek Prithviβ is naare se prakriti ka sammaan karte rehne kee chetaavani laaya Paryaavaran ke poshan mein har taruvar ka hai bahut mahatva Isliye aayiye pedon ke prati hum nibhaayein apna kartavya.
Har taruvar mein hai taazagi Anokhi si hai sheetalta Ye mandd mandd hilna patton ka Ye hariyali, ye nirmaltaβ¦..
Ye teheniyan aur ye sundar suman Jinhe dekh ullaasit ho raha hai ye mann Phaylaa rahe hain ped apni sundartaa har kshan Mil raha hai hum sabhi ko shuddh saanson ka dhan.
Aaj har ped paudhe ko khaas naman Inkee badaulat shuddh rehta hai vaataavaran Karte hain udaas mann kee udaasi ka haran Har tareh se hain ye mangal karan.
Jabb se banee yeh srishti Devi devataon kee bhi rahi pedon par drishti Kalpavriksh aur Parijaat Puraanon mein hain vikhyaat.
Peepal ka ped tabb se prateek hai yog bal kee prerna ka Vat vriksh se milti subuddhi aur chhaaon Aam ke ped ka mahatva hua dridh vishwaas ke liye Aur anginat varshon se pedon se harey bharey rahe hain sheher aur gaaon.
Prakriti ka diya uphaar hain ye ped Srishti ke sukh ka ek anmol aadhaar hain ye ped Ped kee shakhaon ke beech ghonsala banaakar Pakshi parivaar basaate hain Kaheen par bhi udd kar jaayein lekin Laut ke isee ghar mein aate hain.
Gileheriyan apni natkhat chaal Pedon kee teheniyon par khelte huey karti hain Neeche baithe kookar laachaar ho jaate Lekin gileheriyan nahin darti hain.
Oxygen dekar aur carbon dioxide lekar Ped nirantar dete hain hamein jeevan daan Aahaar, aushadhi, lakdi dekar Ye saabit karte hain apna anmol yogdaan.
Sach mein ped hain itne mahaan Phir bhi inhe ujaadte gaye hum insaan Abb jo jaan par hai bann aayi Toh chetna kee awaaz kee hui hai sunvaayee.
Ashuddh ho gaya vatavaran Beemariyan ho gayin zyada Pashu pakshi bhi lupt hotey gaye Sukh shanti mein padne lagi baadha.
Pedon ke upkaar ka hum par karz hai Isliye bhi aur ped lagaana hamaara farz hai Ped lagaane ka abhiyaan Ye hai maanav jaati ka ek imtehaan Aayiye sab mil kar ped lagaayein Aur dharti maa ko ujadne se bachaayein.
Hum sabb hain pyaare Guruji ke bachche Ve khush hotey Hain jabb hum karte hain kaam achche Banaayein aaj ke din ko prakriti ke aadar ka paawan parv Sada prakriti kee izzat karein taaki Guruji ko ho hum par garv.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1567
Aadarneeya Guruji
Na mai lekhak hoon na shaayar Na hoon koi gaayak ya kalaakaar Ek naadaan si bhakt hoon Guruji kee Karti hoon Unse behad pyaar.
Meet kee preet hai Guruji ke pyaar mein Pita ka laad hai Guruji ke dulaar mein Mata kee mamta saji hai Unke aanchal mein Bhraata ka aashray basaa hai Unke divya bal mein.
Guruji kee guruyaayee mein hai susajjit kayi janmon ka vaada Hamein kabhi bhi na chodne ka atoot iraada Sampoorna srishti ka sukh hai Unkee sharan mein Kalyaan kee manzil hai Unke kamal charan mein.
Guruji kee aankhon mein hai mahasaagar se bhi gehri gehraayee Unkee har leela mein hai Unkee vaddi vadiyaayee Ek saumya anokhapan hai Unkee banaayi mudraaon mein Suraksha kee sheetalta hai Unkee goad kee chhaaon mein.
Dil chaahe Unkee prashansa mai karti jaaoon Magar Unkee taareef ke liye alfaaz dhoondhte huey khud hee kho jaaoon Unhee kee chhavi ke spandan mein Unke noor ke ruhaani aakarshan mein.
Jinhonei lee hai saari sangat ke kalyaan kee zimmedaari Jinke saamne har dusht-ta mehsoos karti hai laachaari Jinke ashirwaad se duur ho sakti hai har beemari Unn aadaraneeya Guruji par mai toh jaaoon vaari.
Har bhakt ka anokha rishta hai Guruji ke sangg Har bhakt kee bhakti ko mera aadar bhara naman Shukrana karte huey har pal yeh arzi hai Guruji se Ki Unkee kripa se khila rahe saari sangat ka jeevan roopi chaman.