Abb Kee Baar Inkaar Na Kar (02/07/2022)

February 7, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1450

       Abb Kee Baar Inkaar Na Kar

Kar leen khadi kothiyaan hazaar
Yash paaya aisa ki pooje tujhe saara sansaar
Phir bhi tera mann hai bechayyn bekaraar
Tu dhoondh raha hai apni naav ke liye manjhi aur patvaar.

Guruji bula rahe Hain tujhe, abb kee baar inkaar na kar
Bahut khushakismat hotey Hain ve, jinhe milta hai Guruji ka dar
Guruji MahaShiv Hain, koi shakti nahin hai Unse oopar
Isliye haath se na jaane de tu yeh shubh avsar.

Guruji ka naam japne se nishchit hai tera poorna uddhaar
Guruji ka naam jisne bhi hai japaa, uska yakeenan hua hai beda paar
Guruji ke naam kee mahima anant hai, kyunki Ve swayam Hain Parwardigaar
Guruji ke naam ne Unke har bhakt ko diya hai taar.

Jabb is naam ka amrit seenchega tere mann ko
Toh yeh saaf karne lagega tere mann ke darpan ko
Is naam ko japte huey jitna tu bheetar ko jaayega
Utna hee tujhe baahari bhautikta kee vyarthta ka ehsaas hota jaayega.

Guruji ke naam kee shakti se tu kar paayega Unhe samarpan
Guruji ke naam kee bhakti se tere mann mein shukrana ka bhaav aayega har kshan
Guruji ke naam kee pavitra sarita mein karta chal tu snaan
Guruji ke naam mein hee baste Hain sampoorna Brahmand ke Bhagwaan.

Is naam kee mahaanta ko pehchaan
Is naam ka kar tu sammaan
Guruji ho rahe Hain tujhpar meharbaan
Unka naam hai amrit kee khan.

Guruji ko saump de apne jeevan kee naiya
Koi aur ho hee nahin sakta Unke jaisa khewaiya
Unke haath mein jo hogi teri naav kee patvaar
Toh Unkee kripa se bin sanshay hoga tera beda paar.

Kyunki vahaan na padd kaam aayega na paisa
Sabb yahaan dharaa reh jaayega vaise ka vaisa
Vahaan par kaam aayega kewal Guruji ka naam
Guruji ke naam se hee hoga tera kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Abb Kee Baar Inkaar Na Kar (02/07/2022)

Khushnuma Khumari (02/06/2022)

February 6, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1449

               Khushnuma Khumari

Aaj nahin toh kal
Aana hee hai veh pal
Jab har praani ko yahaan se hai jaana
Kyunki niyam hai yahaan se hona ravaana.

Chaahe raja ho ya ho rankk
Chaahe jaisa bhi ho jeene ka dhangg
Aani hai sabke jaane kee baari
Chaahe ho ya na ho tayyaari.

Tayyaari, yahaan se jaane kee
Tayyaari, saamaan ko chod paane kee
Tayyaari, chinta rahit honei kee
Tayyaari, naam sahit honei kee.

Veh divya naam, apne Guruji ka, jo poori tayyaari karaayega
Veh paawan naam, apne Guruji ka, jo bhaybheet honei se bachaayega
Veh sarvottam naam, apne Guruji ka, jo aagey ka raasta dikhaayega
Veh sarvochch naam , apne Guruji ka, kewal vahee kaam aayega.

Jab chhodna hoga yeh sansaar
Na saath jaayenge meet, na rishtedaar
Na hee saath jaayega ghar parivaar
Lekin haath thaame huey Guruji le jaayenge uss paar.

Kyunki yeh safar shareer ka nahin, balki hai atma ka
Isliye tayyaari kar lein lekar naam apne Paramatama ka
Kyunki atma ke safar mein anivaarya hai Unka saath
Sansaar ne nahin hai kaam aana, ye hai sachchi baat.

Yahaan reh kar bhi karein hum vahee
Jisey Guruji kehte Hain sahi
Maanein har veh baat jo Unhonei hai kahi
Kyunki Unke bin toh atma kee gati nahin.

Guruji ko yaad karte huey karein hum asal manzil par pahunchne kee tayyaari
Unhee ko yaad karein jabb aaye yahaan se jaane kee baari
Yaheen reh jaayenge bhai bandhu, padaarth, aur duniya saari
Lekin sada saath chalenge Guruji aur Unke nirmal naam kee khushnuma khumari.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Khushnuma Khumari (02/06/2022)

Aarogyata Aur Vidya Ka Dhan (02/05/2022)

February 5, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1448

Aarogyata Aur Vidya Ka Dhan

Maagh maheene ke shukla paksh ka paanchva din hai aaya
Yeh shubh din basant panchami ka parv hai kehlaaya
Kheton mein sarson kee fasal ka peela rangg hai chhaaya
Bhakton ne Maa Saraswati ko pooja aur stavan se hai rijhaaya.

Maa Saraswati kee khaas pooja kee reet
Bhar deti hai bhakton ke dil mein preet
Abhi bhi prachalit hain kayee kathaayein
Jo is utsav kee utpatti ka itihaas sunaayein.

Brahmaji ne Vishnuji kee lee anumati
Aur phir apna kamandal uthaaya
Phir Unke jal chidakne se khilee dharti
Aur Maa Saraswati ne prakat hokar Apna roop dikhaaya.

Maa ne thaame thei Veena, Pustak aur maala Apni bhujaaon mein
Aur kee Unhonei vidya aur buddhi pradaan
Sanskrit ke β€˜saras’ shabd se aaya Mata ka yeh naam Saraswati
Jinkee kripa se shantimay ho jaati hai uthal-puthal kee paristhiti.

Sangeet, kala, vaani aur tantra
Vidya, gyan, granth aur mantra
In sabkee adhishthaatri devi Hain Maa Saraswati
Jo bhi Unhe pooje, usey praapt hoti hai sumati.

Naya vyavsaay ho ya ho vivaah, ya ho koi bhi shubh kaam
Is din par usey shuru karne ka hota hai shubh parinaam
Phool bhi peele, vastra bhi peele, aur peela chandan
In sabse hota hai Maa ka prem bhara vandan.

Peele rangg kee poshak aksar pehente hain bhakt jann
Khilee hui fasal, sundar mausam, aur hawaa kee sarsaraahat se prassann hota hai mann
Ritu Raaj Basant ke aane se sajeev aur utsaah poorna hota hai vaataavaran
Maa ke paawan ashirwaad se hota hai kashton ka haran.

Aisa maante hain kuch jann
Ki sarsaraahat ka bhi koi taalluk hai Maa ke naam se
Veena vadini, Sharda, Hansvaahini aur Vaageeshwari aur anek naam hain Maa ke
Har naam ka kaaran juda hai Unke kalyaankaari kaam se.

Guruji Hain hamaare pita aur mata
Hamaara har vandan Unko hai pahunch jaata
Unhee kee mehar se hum manaa sakte hain har tyohaar
Ve toh chaahein ki sada sampann rahe sabka ghar parivaar.

Aayiye, sabhi karein is vintee se pyaare Guruji ka vandan
Ki saare sansaar mein phayyl jaaye Basant Panchami ke ullas ka spandan
Har tareh kee nakaaraatmakta ka ho khandan
Aur har mulk sukhi ho jaaye paakar aarogyata aur vidya ka dhan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aarogyata Aur Vidya Ka Dhan (02/05/2022)

Tu Mehmaan Hai Yahaan Par (02/04/2022)

February 4, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1447

       Tu Mehmaan Hai Yahaan Par

Tu mehmaan hai yahaan par
Isey apna sanaatan ghar na lena samajh
Tujhe yahaan bheja gaya thaa sulajhne
Tu toh pehle se bhi zyada raha hai ulajh.

Abb takk nahin hai seekha
Toh kumm se kumm seekh jaa is mahaamaari se
Ki Guruji ko paana bilkul mumkin hai
Tere bin nikale tere ghar kee chaar deewari se.

Kyunki Guruji Hain MahaShiv Bhagwaan
Unn takk pahunchne ka raasta tere bheetar hai vidyamaan
Kar ke Unkee noorani chhavi ko apne antarmann mein viraajmaan
Unhe paane ke liye tujhe karte rehna hai simran aur dhyan.

Doob kar amrit swaroopi Gurbani mein
Tu tarr jaayega zindagaani mein
Gurbani ke dwaara Guruji se har pal aur bhi judta chal
Jo bhi Guruji se duur le jaaye, har uss dabaav aur prabhaav se tu mudta chal.

Tu kalyuga kee hawaa ka gulam na bann
Mann mein basee amrit kee khan ko chodkar, tu baahar matt dhoondhne ja dhan
Bheed mein gumne ke bajaaye Guruji mein kho kar tu reh magn
Waqt beeta jaa raha hai, na vyarth ganvaa abb tu ek bhi kshan.

Jo pal vyarth hain chale gaye, faayda nahin unke liye ronei ka
Abb jaisa samaa na aayega phir, kar le shubh kaam paap dhone ka
Anupam anand hai khud ko Guruji ke naam mein khone ka
Guruji toh sabke jaise tere bhi Ishwar Hain, abb tera waqt aa gaya hai Unka das honei ka.

Ishwar ke alaawa mithya hai har aakarshan
Kaafi mayyl pehle se hee hai, aur mayyla toh na kar apne mann ka darpan
Adhogati honei mein der nahin lagti, isliye apni matt tu kar de Guruji ko arpan
Unse kar ardaas ki Ve sumat bakhshein, aur
nibhaata chal tu insaaniyat ka dharam

Tu karta chal Guruji ke naam ka shravan aur manan
Apne mann mandir mein basee Unkee chhavi ko tu kar shat shat naman
Bheed toh is janam mein hee saath chod degi, lekin Guruji saath rahenge har janam
Isliye Guruji aur Unke hukm ka anusaran kar le, aur sudhaartaa chal tu apne karam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Mehmaan Hai Yahaan Par (02/04/2022)

Ye Hakeekat Hai Spasht (02/03/2022)

February 3, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1446

          Ye Hakeekat Hai Spasht

Guruji ke pyaar se na reh tu anjaan
Guruji ho rahe Hain tujh par bhi meharbaan
Ve toh Hain sabke Bhagwaan
Phir kyun nahin karenge Ve tera kalyaan?

Kaayam rakh tu apna vishwaas
Unke naam se sajaa le apna har shwaas
Bilkul bhi na ho tu udaas
Guruji Hain tere bheetar aur aaspaas.

Jaanta hai tu ki ye hai hakeekat
Ki tujhe har pal hai Guruji kee zaroorat
Tu karta chal Unkee ibadat
Ve karte jaa rahe Hain tujh par inaayat.

Har mausam ek sa hota nahin
Tera waqt bhi ho jaayega sahi
Ve tere karmon ka bhugtaan kara rahe Hain yaheen
Jahaan tujhe hona chahiye, Ve tujhe le jaa rahe Hain vaheen.

Isliye Unkee marzi ke viruddh na ho
Unkee razaa mein tu raazi ho
Unke naam ke amrit mein tu apne paap dho
Aur Unkee divyata mein jaa tu kho.

Ve dekh rahe Hain teri swatantra ichchaa
Ve tujhse khush hongei agar tera aacharan rahega achcha
Ve jaante Hain kaun jhootha hai aur kaun hai sachcha
Aakhir har bhakt hai Unhee ka bachcha.

Rakh kar har pal tu apni neeyat ko imaandaar
Apni soch aur apne karam mein piroh le sadaachaar
Apne kuleen ravaiye ke dwaara vyakt kar Guruji ke liye pyaar
Tu Guruji ko khush kar, Ve Hain Parwardigaar.

Chaahe aayein tere raaste mein kasht
Tu bilkul na hona pathbhrasht
Tu Guruji kee dhun mein rehna mastt
Ek Ve hee tere apne Hain, ye hakeekat hai spasht.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ye Hakeekat Hai Spasht (02/03/2022)

Khush Rehne Kee Yukti (02/02/2022)

February 2, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1445

            Khush Rehne Kee Yukti

Khush rehne kee dhoondhte ho tum vajeh
Kyunki udaasi ke mauke toh bin dhoondhe hee mil jaate hain
Suna aur dekha hai ki khushmizaaj spandan ke asar se
Veeraane mein bhi phool khil jaate hain.

Guruji Hain tumhaare saath
Isliye ghabraane kee nahin hai koi baat
Ve waakif Hain tumhaari har mushkil se
Ve tumhaara bhaav mehsoos karte Hain Apne dil se.

Tum chup hokar chhup chhup kar bhi rotey ho
Toh Guruji ko chal jaata hai pataa
Tumhaare dukhi honei se Ve bhi dukhi hotey Hain
Isliye na karo Unhe dukh dene kee khataa.

Vaise bhi, ye sab jo yahaan ho raha hai
Usmein sabhi ne apne bhaagya ka saha hai
Praarabdh keh lo beshak tum isey
Lekin iske dabaav se sabhi hain pisey.

Aur ismein bhi Guruji kee mehar hai
Kyunki sanchit karmon ka bojh bhi ek zehar hai
Isliye yaheen bhugat lein inhe toh achcha rahega
Varna tabb takk jeevan ka mool aadhaar kachcha rahega.

Isliye waqt ke saath saath chalte jaao
Na ki waqt se darte jaao
Guruji kee kripa se tarte jaao
Aur har kadam par shukrana karte jaao.

Jabb tum har pal Guruji ke prem mein behne lagoge
Dekhna, tum bin vajeh ke hee khush rehne lagoge
Unhe sarvsamarpan kar ke paaoge har chinta se mukti
Yahee hai bin kisee vajeh khush rehne kee yukti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Khush Rehne Kee Yukti (02/02/2022)

Pyaare Guruji Ke Dar Par (02/01/2022)

February 1, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1444

          Pyaare Guruji Ke Dar Par

Musaafir kar raha thaa safar
Dhundh thee, kaafi kuch nahin aa raha thaa nazar
Hosh mein thaa, lekin khaamosh thaa
Zamaane ke shor mein veh apne khayaalon mein madhosh thaa.

Waqt ke saath sooraj dhalta jaa raha thaa
Musaafir kisee shakti ke bharose chalta jaa raha thaa
Geruan rangg ho raha thaa aasmaan ka
Shaayad manzar aa raha thaa uskee dastaan ka
Aakarshit ho raha thaa aasmaan ke ruhaani rangg kee oar
Mehsoos ho raha thaa usey, ki uss ruhaani rangg ke paar hai sundar bhor.

Lekin mann mein ho raha thaa sanshay
Nijee haalaat kee vajeh se thaa usey bhayy
Aur dil mein thi kuch kuch pareshaani
Lekin na karna chaahta thaa veh manmaani.

Kaayinaat kee chuppi ko usne apni vintee sunaayi
Magar koi awaaz laut kar na aayi
Honei lagi uske utsaah ko thakaavat
Dhoondhne lagaa veh apne bheetar raahat.

Shivji ka naam lete lete simran mein jaane lagaa
Ek adbhut sa anand usey aane lagaa
Sanshay ke baadal honei lagey duur
Usey lagaa ki yeh divya leela hai zaroor.

Dhundh mitne lagi aur raasta saaf aane lagaa nazar
Jyotirmay hua nazara aisa, ki uss noor ka hua musaafir par asar
Aaspaas koi phool nahin thei, phir bhi aane lagi gulab aur chandan kee si khushboo
Guruji kee ruhaani maujoodagi thi ye, jis se tarne lagi musaafir kee rooh.

Guruji kee aisee hui uspar mehar
Ki uske mann mein simran chalta raha har pehar
Shaam se hui raat, raat ke baad aayi sehar
Guruji ke ashish se uske mann mein jaagi ummeed kee lehar.

Dil kee pareshaani mitt gayi jabb mann mandir mein huey Guruji ke darshan
Nijee haalaat bann gaye itihaas aur bass gaya dil mein shukrana ka ehsaas
Usne jaana aur maana ki Guruji Hain uske sangg
Anokhi oorja se bhar gaye uske shareer ke angg
Jaagrit hua utsaah
Jis se saji uskee raah
Atma vishwaas ka hua uske har shwaas mein vaas
Chalta gaya karte huey Guruji se ardaas
Unke charnon mein samaane kee
Unkee bhakti mein mit jaane kee.

Guruji kee mehar se uskee kaamna hui poori
Duur ho gayee uske aur Guruji ke beech kee har duuri
Muqammal hui musaafir kee kahaani is haseen manzar par
Dhanya hua musaafir pahunch kar pyaare Guruji ke dar par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pyaare Guruji Ke Dar Par (02/01/2022)

Chitt Ka Chaarul ChamanΒ (01/31/2022)

January 31, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1443

Chitt Ka Chaarul Chaman

Ashirwaad bikaaoo nahin hota
Na hee bikaaoo hota hai pyaar
Jisne is satya ko samajh liya
Uska yakeenan ho gaya uddhaar.

Kyunki paise se sukh khareedna naadaani hai
Jo is sukh ko anant maanega, veh jann toh agyani hai
Nirdhan kee sewa niswaarth ho, aur shraddha mein ho paawan pyaar
Toh uss jaisa dhanwaan koi aur nahin, chaahe khoj lo saara sansaar.

Guruji toh bheetari bhaav dekhte aur jaante Hain
Ve Apne sabhi bhakton kee neeyat aur ichchaaon ko pehchaante Hain
Karte Hain Ve sabhi ka uddhaar
Lagaate Hain sab ka beda paar.

Ve jaante Hain hamaare sanchit karmon ka bhaar
Praarabhd karma ko bhogne ke liye dete Hain hamein janam baar baar
Karmon ka adhiktar bhaar lekar swayam par
Karun aur komal ashirwaad dete Hain Ve Parwardigaar.

Unke kisee bhi ashirwaad ka mol lagaana hai namumkin
Aur aisee koshish karna bhi hai khataa aur naadaani
Paise se nahin khareed sakte Guruji kee daat
Ye tathya poorna baat sabhi ne aaj nahin toh kal hai maani.

Pyaar aur gyan bhi hain anmol
Unka nahin hai koi naap ya tol
Agaadh hai inkee gehraayee
Inkee pavitrata mein hai Guruji kee vadiyaayee.

Bilkul asthir hai laukik dhan
Nashwar hai hamaara tann
Inmein aasakti kar ke na bhatkaayein apna mann
Kyunki ye khatm ho sakte hain kisee bhi kshan.

Sada rahein Guruji ke naam mein magn
Aur sanchit karein Unke ashirwaad ka dhan
Inn se sukhi ho jaayega hamaara har janam
Is dhan se susajjit karein apne chitt ka chaarul chaman.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Chitt Ka Chaarul ChamanΒ (01/31/2022)

Banda Bann-ne Ka Dharam (01/30/2022)

January 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1442

       Banda Bann-ne Ka Dharam

Chaahe kahein hum Ram Ram
Ya karein Shri Krishna ko pranam
Sabka maalik toh ek hee hai
Phir chaahe jo bhi ho naam.

Guruji MahaShiv ke roop Hain
Bashar bann kar aaye yahaan
Saare devi devta Unmein samaaye Hain
Is baat ka diya Unhonei gyan.

Jis bhi devi devta ko pooja jaaye
Guruji takk zaroor pahunchti hai Unke bhakt kee arzi
Khud ke bhale ke liye yahee hai achchaa
Ki maan lee jaaye Guruji kee marzi.

Kyunki apni soch toh hai chhoti itnee
Ki chaahe hum yojna banaa lein jitnee
Kabhi nahin ho sakti hai veh Guruji kee soch se behtar
Kyunki maanav buddhi ke liye agamya hai divya soch ka starr.

Maana hai hum sabne ki jahaan hamaari soch khatm hoti hai
Vaheen se Guruji kee soch hoti hai aarambh
Guruji se karein vintee ki hum Unkee mehar se changa sochein
Kyunki har soch kee shuruaat mein hai ek karma ka praarambh.

Soch ya kriya ya pratikriya mein
Agar humse koi khataa ho jaaye
Toh jitnee maafi Guruji dete Hain
Utnee koi aur na dene paaye.

Guruji se oonchi nahin hai koi shakti
Guruji Maharaj Hain Sarvesh
Jitna hum judenge Unse
Utnee sheeghr mitenge jeevan ke klesh.

Kar dein Unhe arpan apni har kriya, aur har vichaar
Toh Unkee mehar se aayegi in sab mein shuddhi
Unhe de dein hum apna shraddha bhaav
To antt-karan mein vaas karegi subuddhi.

Hamaari nek neeyat aur Guruji kee kripa se mann behakne se bach jaayega
Hamaara har karma Guruji kee mehar se nikhar jaayega
Guruji kee divyata se prabhaavit hoga hamaara har karam
Aur hum Unhe khush kar sakenge nibha kar banda bann-ne ka dharam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Banda Bann-ne Ka Dharam (01/30/2022)

Naam Ka Anmol Gehna (01/29/2022)

January 29, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1441

         Naam Ka Anmol Gehna

Na ho tu is mushkil samay mein adheer
MahaShiv Guruji sanvaar rahe Hain teri taqdeer
Tu buss barkaraar rakh apna zameer
Ve Hain daata, tu hai Unka das aur fakeer.

Jo bhi tu Unhe bhog mein chadhaata hai
Veh sab Unhee ka diya hua hee toh hai
Unhonei tere paapon aur kashton ke alawa
Kabhi tujhse kuch liya hee nahin hai.

Tere paas dene ke liye hai hee kya
Tu toh sanchit karta hai har pal karma naya
Khushkismat fakeer hai tu, kyunki tujhpar barasti hai Guruji kee daya
Jo bhi Guruji kee sharan mein aaya, veh shakhs yakeenan hai tarr gaya.

Tu de de Unhe shuddh bhaav apna
Seekh le Unkee raza mein raazi rehna
Apne har janam ke liye maang le Unse
Unke nirmal naam ka anmol gehna.

Is gehne ka rehamat-e-noor hai aparampaar
Iske saamne pheeka hai har solah sringaar
Iske aagey kumm hain pooja ke solah upchaar
Yeh naam hee sakta hai jeevan ko sanvaar.

Is naam ko japte rehna hai sabse shubh kaam
Is shubh kaam mein der na kar tu ek bhi pal kee
Waqt ret kee tareh haathon se nikla jaa raha hai
Isliye is naam ko japne ke liye intazaar na kar tu aane wale kal kee.

Jabb tu har pal Guruji ka chintan karte huey japega Unka naam
Toh teri har shikayat aur har chinta ka ho jaayega khaatma
Tere nirmal bhaav se prassann hongei Guru Paramatama
Unke naam kee mehar se sukoon paayegi teri atma.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Naam Ka Anmol Gehna (01/29/2022)