Meri Dua Hai Daata, Aapse (04/24/2021)

April 24, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1161

       Meri Dua Hai Daata, Aapse

Pyaare Guruji,

Bichh gaye hain ashirwaad ke phool,
Udd gayi hai har sanshay kee dhool,
Jo pehle dhundhla thaa, veh aane lagaa hai saaf nazar,
Aapki ibadat karne ka hee hai ye haseen asar.

Jabb se Aapko murshid hai mainey maana,
Har kaaraj mein Aapka haath hai, yeh jaana,
Isliye chaahe Aap dikhaayein koi raasta anjaan,
Mai uspar chal leti hoon Aapke aadesh ko maan.

Padi hai mujh par jabb se Aapki divya drishti,
Tabb se hui hai jeevan mein anokhe pyaar kee vrishti,
Pyaar Aapka, jo bilkul niswaarth aur anant hai,
Itne pyaare dhangg se baras kar jeevan mein laaya vasant hai.

Jeevan hai, isliye utaar chadhaav toh aayenge,
Aapne is safar mein yeh samjhaaya,
Aur jabb bhi koi kasht ya mushkil waqt aaya,
Aapne tabb bhi har pal saath hai nibhaaya.

Varna mumkin nahin thaa pahunchna jeevan ke is moad par,
Jahaan khadi hoon mai, Guruji, sab kuch Aap par chod kar,
Aapse hee hoti hai din aur raat,
Aapse chhipi nahin hai koi bhi baat.

Shaayad utna mai bhi swayam ko nahin jaanti,
Jitna Aap mujhe jaante Hain,
Aur is baat ka bhi mujhe bahut santosh hai,
Ki Aap mujhe bhi Apni bachchi maante Hain.

Meri dua hai daata, Aapse,
Ki Aapke har bhakt, har bachche ko miley prasannata,
Guruji, kripa kar Apne ashirwaad se,
Apne har bachche ko deejiye sampannata.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Meri Dua Hai Daata, Aapse (04/24/2021)

Apne Charnon Se Duur Na Keejiye (04/23/2021)

April 23, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1160

Apne Charnon Se Duur Na Keejiye

Pyaare Guruji,

Aap toh Hain roop Bhagwaan ka,
Hum nibha rahe hain kirdaar insaan ka,
Aapke bin toh yeh gati nahin,
Aapke bin sumati nahin.

Kinkar hain Aapke,
Ya phir shaayad utnee bhi aukat nahin,
Aisa kuch bhi nahin hai hamaare paas,
Jo Aapki dee hui saugat nahin.

Yeh jeevan, yeh shareer,
Yeh mann, yeh taqdeer,
Ye laukik aisho-aaraam,
Ye dincharya ke kaam.

Saans bhi na le sakein agar Aapki izaazat na ho,
Kabhi anand na paayein agar Aapki inaayat na ho,
Ye sab jaante huey bhi na jaane kyun ho jaata hai ahankaar,
Ye jaante huey ki veh le jaayega hamein durgati ke dwaar.

Ahankaar ke paap se hamein bachaa leejiye,
Kripa kar hamein subuddhi deejiye,
Ki hum apne dil dimaag mein ahankaar ko na basne dein,
Swayam ko ahankaar se baney huey jaal mein na phansne dein.

Varna hamein toh baad mein padega jurmaana bharna,
Is hakeekat se hamein chahiye darna,
Aur Aapke prem ke aadar ko dharam maankar,
Neevenpann se chahiye hamein har karam karna.

Yeh buddhi sammilit ho jaaye hamaare vichaar aur vyavhaar mein,
Aisee kripa kar deejiye, pyaare Guruji,
Imtehaan bhi lene Hain toh beshaq le leejiye hamaare,
Lekin kabhi Apne charnon se duur na keejiye, pyaare Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apne Charnon Se Duur Na Keejiye (04/23/2021)

Niraala Saath (04/22/2021)

April 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1159

                   Niraala Saath

Ishwar se mulaakaat hui,
Bin boley hee sab baat hui,
Ishwar ne sanket diya,
Ki Guruji ne mujhe sharan mein hai liya.

Yeh sunkar mai hui thodi si hairaan,
Kyunki mai thi Unke is nirnay se anjaan,
Ishwar ka mainey kiya shukrana,
Lekin, na samjhi kaise hai yeh rishta nibhaana.

Naadaan thi isliye na jaan paayi,
Pyaare Guruji kee vaddi vadiyaayee,
Aur ye ki Ve toh khud hee mujhe Apne se jod lenge,
Aur Apna pyaara ashirwaad mujhe denge.

Guruji ne Apni maujoodagi ka ehsaas karaana jabb kiya shuru,
Tabb mai samjhi kyun mujhe Ishwar ne diye Hain Guru,
Guruji mein basey MahaShiv ke sangg toh ho gaya aisa naata,
Ki Unmein mujhe mil gaye maat-pita, meet, aur bhraata.

Zindagi bakhshi Guruji ne,
Jabb lagg raha thaa ki mera jaane ka waqt hai aa gaya,
Phir swaasthya ko is kadar sudhaara, Barsaa kar mujh par Apni aseem daya.

Unke vilamb mein bhi har baar,
Chhupa hota hai shubh aarambh,
Chaahe kaheen jaa rahi hoti hoon,
Ya karna ho kisee kaarya ka prarambh.

Sehenashakti kitnee badhaayee hai Guruji ne,
Aur meri saari chinta bhi le lee Unhonei,
Nayee zindagi dekar jaan bachaayee hai Guruji ne,
Nishchint hokar rehne kee shakti de dee Unhonei.

Yoon kahoon, ki Guruji ne haath thaam liya hai jabse,
Har sukh dukh mein is nacheez ne Unhee ka naam liya hai tabse,
Unke sangg toh andhere mein bhi ujaala hai,
Mere Guruji ka yeh ruhaani saath bada hee niraala hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Niraala Saath (04/22/2021)

Parampoojya Pyaare Guruji (04/21/2021)

April 21, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1158

       Parampoojya Pyaare Guruji

Saundarya kee sabse sowmya soorat,
Mamta kee manohar moorat,
Har bhakt ko jinkee hai zaroorat,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Sukhdaayee hota hai sadaa jinka simran,
Mangalmayee hota hai hameshaan jinka manan,
Shubh aur shuddh hai jinka shravan,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Chayyn deta hai jinka chintan,
Vimal hai jinka vandan,
Suramya hai jinka spandan,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Ummeed hai jinke dar par,
Dete Hain daatein jo bhar bhar kar,
Aashirwaad dete Hain jo umr bhar,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Bhaav bhari hai jinkee bhakti,
Sharan mein jinkee miltee hai shakti,
Mehar kar ke jo dete Hain mukti,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

Nipunta mein sabse nipun,
Hain Jin mein anginat gunn,
Buss Unhee kee laagi hai dhun,
Ve Hain parampoojya pyaare Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Parampoojya Pyaare Guruji (04/21/2021)

Anokhi Oonchaayee (04/20/2021)

April 20, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1157

             Anokhi Oonchaayee

Kya rakha hai laukik haisiyat mein,
Palak jhapakte hee badal jaati hai,
Mainey rakhta hai ki bheetar se kya hai vaastavikta insaan kee,
Lekin kisee mein bhi nipunta nahin hai iskee asal pehchaan kee.

Oopari haisiyat kee buniyaad par tikey rishte,
Haisiyat ke hotey hain mohtaaj,
Bhautik dhan daulat sanchaalak bann kar,
Karte hain in rishton par raaj.

Tu parva na kar kisee kee haisiyat kee,
Tu dua kar sabki khairiyat kee,
Is dua mein hai tere dil kee sachchaayee,
Is dua mein hai tere chitt kee achchaayee.

Jab tu karega Guruji se yeh pyaar bhari dua,
Ve dekhenge ki teri dua ne kitnon kee zindagi ko hai chhua,
Toh Unkee mehare-nazar tere daaman par bhi padegi,
Aur Unkee divyataa kee lau tere noor par bhi chadhegi.

Tere chehre ko dekhkar loag samajh jaayenge,
Ki tere murshid kee itnee vaddi hai vadiyaayee,
Dhan daulat toh pal do pal ke mehmaan hain,
Lekin tere murshid kee mehar se teri haisiyat chhoo legi ek anokhi oonchhaayee.

Aisee oonchaayee, jahaan neevanpann gehna hai,
Jahaan naam hee hai sabse anmol dhan,
Jahaan Guruji ke bhakt honei kee haisiyat se,
Guruji ke mann se mil jaata hai bhakton ka mann.

Is se oonchi koi haisiyat nahin hai,
Yahee haisiyat ruhaaniyat ke liye sahi hai,
Jahaan Guruji ke sangg aisa pyaara rishta hai ki kabhi koi bhi sanshay nahin,
Jahaan oonche hokar bhi itne neeven raho ki kabhi girne ka bhi bhayy nahin.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Anokhi Oonchaayee (04/20/2021)

Mata Rani Ke Nau Avataar (04/19/2021)

April 19, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1156

           Mata Rani Ke Nau Avataar

Mata Rani ke nau avataar,
Inko Shukrana baarambaar,
Jinhonei vadh kiya Mahishasur daanav ka,
Aur aaj bhi uddhaar karein jo maanav ka.

In nau avataaron ko samarpit hain ye nau din,
Maana jaata hai ki kalyaan nahin hai Unke bin,
Aayiye, dekhein kaunse hain Mata Rani ke nau avataar,
Jinke sammaan mein Navratre manaata hai saara sansaar.

Shail raaj Himvaan kee putri Parvati Maa,
Jinhei Shailputri hai kaha jaata,
Navratron ka pehla din,
Inhe samarpit hai kiya jaata.

Doosra navratra hai Brahmachaarini Maa ke sammaan mein,
Jo sikhaatee Hain pyaar, wafaa, aur gyan,
Rudraksha hai inka gehna,
Aur haathon mein Kumbha leti Hain Ve thaam.

Sher par sawaar dashbhuja aur teen netra wali,
Chandraghanta Devi uthaati Hain shastra haath mein,
Chaandni raat mein sheetal hawaa kee bhanti,
Pradaan karti Hain Ve mann ko sthirtaa, shuddhi, aur shanti.

Chauthi raat mein Mata Kushmanda kee pooja hai hoti,
Singh vaahini mata ke abha mandal mein hai sooraj kee si jyoti,
Goad mein baalak Skand ko liye Skandmata ka hai paanchva navratra,
Manddbuddhi ko bhi banaa deti Hain Ve gyan saagar ka paatr.

Chaar bhujaaon wali Katyayani Maa chhathe navratre par Hain pooji jaati,
Apne paraakram se Ve anudaan aur raksha Hain kar paati,
Saatvaan navratra agyan ke timir ko mitaane waali Kalaratri ke Mahaatmay mein hai manaaya jaata,
Aathvein navratre par pooji jaati Hain shanti aur daya barsaane wali MahaGauri Mata.

Kamal par viraajmaan Maa Siddhidatri Hain nauvaan avataar,
Mata ke bhakt poojte Hain in avataaron ko baarambaar,
Ardhnaareeshwar roop mein Shiv Shakti dono Hain samaaye,
Is roop ko poojne se bhi dukhon ka antt ho jaaye.

Guruji kee kripa aur karuna se,
Navratron ke gehre arth ko bhi jaanein,
Shiv aur Shakti dono ka prataap hai jinmein,
Unn Guruji ka hum kehna maanein.

Shareer ke nau dwaaron se,
Aagey jaane ka karein prayatna,
Dusvein dwaar takk pahunchne ka,
Karein hum shraddha se jatna.

Guruji ke simran aur dhyan se,
Adhyatmik seedhi par chadh jaayein hum,
Ek dooje ko navratron kee mubarak dein,
Aur preet kee reet nibhaayein hum.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mata Rani Ke Nau Avataar (04/19/2021)

Mukti Ka Inaam (04/18/2021)

APRIL 18, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1155

                 Mukti Ka Inaam

Guruji dhoondhte Hain Apne har bhakt ko,
Aur phir Apni sharan mein Hain le lete,
Ek janam ya anek janmon ke baad,
Mukti ka inaam Hain dete.

Apni mahima ka karaate Hain Ve bakhaan,
Kyunki Ve Hain MahaShiv Bhagwaan,
Ashirwaad milta hai kar ke Unkee mahima ka shravan,
Hitkaari hota hai Unka kirtan aur manan.

Humse kuch nahin maangte Hain Ve,
Hum sabko saugat baant-te Hain Ve,
Saugat hamaari bhakti ke ikraar kee,
Saugat Apne beshart pyaar kee.

Hamaare bheetar bhi Hain Ve,
Aur Hain hamaare aaspaas,
Unhee kee karuna aur kripa se,
Hum lete hain har shwaas.

Isliye yathochit hai ki har shwaas se lekar Unka naam,
Hum rakhte chalein apni oar se Unka maan,
Kyunki Ve jo meharbaan na hotey,
Toh hum apne paapon ko kaise dhotey?

Unke naam ka ashirwaad hai
Hum bhakton ke liye ganga jal,
Is ashirwaad mein hai
Hamaara sampoorna uddhaar karne ka bal,
Hamaara har kasht is ashirwaad se jaayega tal,
Aur hamaari aradhana zaroor hogi safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mukti Ka Inaam (04/18/2021)

Aapki Mahima Mahaan (04/17/2021)

April 17, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1154

         Aapki Mahima Mahaan

Pyaare Guruji,

Aapke chehre par jo hai ye noor,
Vo jagaata hai bandagi ka suroor,
Aapke naynon kee gehraayee,
Bayaan karti hai Aapki vadiyaayee.

Aapka bin mere boley sab kuch samajh jaana,
Aapki karuna se meri har uljhan ka sulajh jaana,
Aapke chup rehne ka raaz,
Aapki divya awaaz,
Aapka diya hua har prasad,
Aapka prem bharaa ashirwaad,
Aapka pyaar jo chhalaktaa hai meri rooh par,
Aapka spandan jo taarta hai meri rooh ko choo kar,
Aapka diya hua sewa ka har pal,
Aapki rehmat jis se kasht jaate hain tal,
Aapka sanatan saath,
Aapka ashish deta hua haath,
Aapka sikhaaya hua Shukrana,
Aapka sadaa mehar barsaana,
Aapka bhakton kee har baat par dhyan,
Aapka diya hua jeevan daan,
Aapka anant gyaan,
Aapki mahima mahaan.

Umr bhar bhi Aapki taareef karoon,
Toh bhi veh hogi kumm,
Abb toh yahee arzoo hai mere maalik,
Ki Aapke hee charnon mein nikle dumm.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapki Mahima Mahaan (04/17/2021)

Prem Aur Pooja (04/16/2021)

April 16, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1153

                 Prem Aur Pooja

Guruji aur Unkee pooja se karein hum prem,
Aur prem se karein Guruji kee pooja,
Har pal jo saath nibhaayega,
Vo hai Guru bin aur na dooja.

Dete hain hum Guruji ko apne karmon ka bhaar,
Yaad rakhein Unhe dena hum bahut saara pyaar,
Guruji bhar denge hamaara har ghaav,
Ve buss chaahein ki hamaara shudh ho bhaav.

Kar lein Guruji se ardaas,
Ki hamaari pooja mein ho mithaas,
Mithaas Shukrane kee,
Aur har pal Unhe rijhaane kee.

Prem bhari pooja se Unhe rijhaayein,
Har pal Unkee mahima suney sunaayein,
Unkee pooja se aisa prem ho jaaye,
Ki Unkee pooja mann har pal kar paaye.

Koi vehem nahin, koi ahem nahin,
Buss Unka simran hai karna,
Unse seedhi taar jodni hai,
Aur kisee se bhi nahin darna.

Koi dikhaawe kee zaroorat nahin,
Chahiye koi shubh mahoorat nahin,
Kaheen bhi aur kabhi bhi mann mein karein simran,
Aur Unkee pooja mein magn kar lein apna mann.

Farz nibhaayein insaaniyat ka,
Anusaran karein ruhaaniyat ka,
Ghar parivaar kee oar kartavya adaa karein,
Guruji ko dil se yaad sadaa karein.

Dukh sehna ho jaayega thoda aasaan,
Samarpan karna bhi hoga saral,
Apni soch, apne karam par dhyan rahega,
Toh uttam hoti jaayegi unkee bhi fasal.

Jabb prem basega pooja mein,
Toh har oar phaylega uska spandan,
Aur kaayinaat ko mehsoos hoga,
Hamaara prem bhara vandan.

Guruji kee mehar se duniya ho jaayegi pehle se behtar,
Prem bhari pooja se har insaan jaayega tarr,
Jabb har insaan par hoga is prem aur pooja ka asar,
Toh kitna nishpaadya ho jaayega sabki zindagi ka safar.

Yeh prem aur pooja ka shubh sambandh,
Har taraf phailaayega apni sugandh,
Suvaasit ho jaayega hamaara antar- mann,
Aur mehek jaayega har bhakt ka jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Prem Aur Pooja (04/16/2021)

Baanvre Mann Wala Baanvra Bhanvra (04/15/2021)

April 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1152

Baanvre Mann Wala Baanvra Bhanvra

Baanvre mann wala baanvra bhanvra,
Idhar udhar mandraaya,
Kitne phoolon aur kaliyon mein jhaanka,
Phir bhi usey chayyn na aaya.

Hawaaon ka badaltaa saaz,
Usey samajh mein na aaya,
Phoolon ka madhu bhi,
Usey ashish na de paaya.

Duur kaheen usey aayi awaaz,
Ud kar gaya uss jageh ke paas,
Vahaan pahunchkar dekha usne ruhaani rangg,
Ho raha thaa vahaan Guruji ka satsang.

Guruji ke sundar Swaroop mein thi Shivji kee chhavi,
Itna tej aur noor thaa ki Sharma raha thaa ravi,
Aa rahi thi divya si khushboo,
Jis se aanandit hui bhanvre kee rooh.

Guruji ke darbar mein suni usne gurbani,
Shabad mein thi vyaakhya ke sangg kahaani,
Sangat baithi thi simran aur dhyan mein,
Sewa ho rahi thi Guruji ke sammaan mein.

Guruji kee kripa se usey bhi milee jal prasad aur chai prasad kee boond,
Usne bhaav vibhor hokar aankhein lee moond,
Veh bhi dhyan mein ho gaya leen,
Uskee har chinta ho gayi ksheen.

Shabad kee dhun mein magn thaa,
Kabb jaa baitha ek phool par, usey maalum nahin chala,
Na socha thaa usne kabhi ki kismat yoon khil jaayegi,
Lekin agley pal mein uska har kasht talaa.

Kisee sangat ne uss phool ko,
Guruji ke charnon mein kar diya arpan,
Buss, usee pal uss bhanvre ne,
Kar diya Guruji ko sarvsamarpan.

Uske kasht Guruji ne liye har,
Mitt gaya uss bhanvre ka har darr,
Uske hriday mein Guruji ka vaas ho gaya,
Aur veh sadaa ke liye Guruji ka daas ho gaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Baanvre Mann Wala Baanvra Bhanvra (04/15/2021)