Vayumandal Mein Chaaron Oar (08/19/2020)

August 19, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 913

Vayumandal Mein Chaaron Oar

Pyaare Guruji,

Aapki mehar sadiyon se rahi hai baras,
Kripa kar keejiye is baar bhi sab par taras,
Aarogyataa baksh kar deejiye Apna daras,
Beetne waala hai abb toh 2020 ka baras.

Kaash hum mein basaa hua jo ahankaar hai,
Veh samjhey ki Aapki muthhi mein saara sansaar hai,
Aapke ek ishaare se mahamaari duur ho jaayegi,
Jabb insaanon kee ‘mai’ chuur chuur ho jaayegi.

Yeh mahamaari koi vaigyaanik vishay nahin hai,
Balki yeh divyataa kee dee hui chetaavni hai,
Ki agar insaan vikaaron se abb bhi baaz nahin aayega,
Toh phir aagey kee yatra daraavani hai.

Guruji, hamein sumati bakshiye, achchaayee kee taraf muh modne kee,
Tuchh soch aur anuchit vyavhaar ko chodne kee,
Guruji, Aapki karuna se sab bande banein,
Taaki is jagg ke nav-nirmaan mein madad karein.

Ek aisa jagg, jahaan neevanpann ho,
Jahaan insaan swayam ko na samjhe Bhagwaan,
Jahaan Aapki daya-drishti kee kadar ho,
Aur satyugi vichaaron ka hum sab par asar ho.

Asar aisa ki hum sab unn shubh vichaaron ko apnaayein,
Aur hum sab sadaachaari ke raaste par jaayein,
Aapki divyataa se sab ho jaayein bhaav vibhor,
Aur sadbhavna chhaa jaaye vayumandal mein chaaron oar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Vayumandal Mein Chaaron Oar (08/19/2020)

To Kya Hua (08/18/2020)

August 18, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 912

                     To Kya Hua

To kya hua agar jeevan imtehaan hai,
Tu fikr na kar, tere Guruji bade meharbaan Hain.
Aur kisee se zikr na kar, Unhee ko suna tu apne dil kee baat,
Tujhe maalum chale ya nahin, Ve har pal Hain tere saath.

Guruji kee mehar ka,
Jitna shukrana tu karega veh kumm hai,
Ve kisee na kisee tareeke se kumm karte Hain,
Jo bhi tere jeevan mein gumm hai.

Kabhi kabhi jab bahut hee zyada niraasha ho jaati hai,
Tabb Guruji ke swaroop ke sangg bhi baat nahin kee jaati hai,
Toh bhi Ve bin tere kahey hee jaan lete Hain,
Aur Ve samasya ka samaadhaan kar dete Hain.

Jab lagtaa hai ki poori nahin ho rahi hai teri aas,
Toh bhi shukrana se seench le tu apna har shwaas,
Kyunki shaayad uss chaahat ka poora hona tere hit mein nahin hai,
Aur Guruji vahee kar rahey Hain jo tere liye sahi hai.

Pichhle karmon ka nateeja bhi rahein Hain Guruji sambhaal,
Bann kar tere liye suraksha kee divya dhaal,
Arey, tujhe toh kewal dus pratishat hee sehna hai,
Baaki ka saara kasht Guruji kee divya dhaara mein behna hai.

Unkee chuppi ka yeh arth nahin samajhna, ki Ve tujh par nahin de rahei Hain dhyan,
Kyunki Unhe har kshan teri sthiti aur paristhiti ka hai poora gyan.
Ve chup rehkar suljhaa rahein Hain teri uljhan ko,
Taaki tu khush hokar sweekaarega Unkee dee hui suljhan ko.

Samay se pehle aur kismat se zyada,
Ye bhi ho sakta hai Guruji ka iraada,
Kyunki Ve hee lekha likh sakte Hain dobaara,
Taaki tere karmon ka ho jaaye poorna niptaara.

Unka ashirwaad milta hai teri har saans ko,
Isliye tu barkaraar rakh sadaa apne vishwaas ko,
Ve tere angg sangg Hain sadaa,
Aur tu salaamat rakh Unko shukrana karne kee paawan adaa.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

To Kya Hua (08/18/2020)

Humne Aapka Saath Hai Paaya (08/17/2020)

August 17, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 911

    Humne Aapka Saath Hai Paaya

Pyaare Guruji,

Jabb agyaan ke timir mein so gaye hum,
Aapne neend se jagaaya,
Jabb path par chaltey huey girey hum,
Aapne Apni goad mein uthaaya.

Jab bhautikvaad ke shor se hum huey pareshaan,
Aapne ruhaaniyat se judwaaya,
Jabb zamaane ne dabaana chaahe hamein,
Aapne utsaah pradaan kar hamein behlaaya.

Kewal maree hui machhlee bahaav ke sangg behti hai,
Aapne hamein yeh bataaya,
Atma-prayaas kar ke satya ka saath dena,
Is tathya se Aapne samjhaaya.

Aapki nazar hum sab par hai sadaa,
Aapne har pal hai yaad dilaaya,
Ahem aur jhooth nahin hai changaa,
Aapne yeh baar baar samjhaaya.

Saari sangat ka itna uddhaar kar ke bhi,
Aapne kabhi bhi nahin jataaya,
Itne saare laukik rishton mein,
Aapne dikhaaya kaun apna hai kaun paraaya.

Humse jo zamaane ne chheen liya thaa,
Aapne veh aadar aur pyaar hamein dilvaaya,
Apni divya leela aur mamta se,
Aapne hamaara maargdarshan karaaya.

Dil ko itna sukoon mila hai jabb se,
Aapki mahima ka geet humne gungunaaya,
Hum toh sach mein itne khushnaseeb hain,
Kyunki humne Aapka saath hai paaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Humne Aapka Saath Hai Paaya (08/17/2020)

MahaShiv Dharti Par (08/16/2020)

August 16, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 910

          MahaShiv Dharti Par

MahaShiv dharti par Guruji ke roop mein aaye,
Janam lete hee Unhonei sangat ko divya nazaare dikhaaye,
Unka prem, Unkee leela, Unka prataap,
Duur karne lagaa bhakton ke dukh aur santaap.

Veh kalam ko chhoote hee usmein siyaahi ka bhar jaana,
Veh do do jageh mein ek hee waqt par nazar aana,
Veh sachkhand ka prasad jo itne bhakton ko mil paaya,
Veh mehar jis se Unhonei kitnon kee so rahi kismat ko jagaaya.

Aaj Guruji chaahe bashar roop mein nahin Hain hamaare sangg,
Lekin Unkee maujoodagi kee chhaaon mein beet raha vartmaan hai,
Kyunki Unkee divya shakti pehle se aur bhi zyaada hai,
Aur Unkee kripa kee baarish mein bheeg raha yeh jahaan hai.

Guruji jab sapnon mein aayein toh bhi veh nahin koi brahm,
Guruji kahein ki sangat Unke maanav roop ke jaane ka na karey koi bhi gumm,
Balki Unkee mehre-nazar mein hum bitaayein apni zindagi ka afsaana,
Aur Unke divya roop mein sarv-vidyamaan honei ka hum sadaa karein shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

MahaShiv Dharti Par (08/16/2020)

Kalyuga Laaya Hai Apne Saath (08/15/2020)

August 15, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 909

    Kalyuga Laaya Hai Apne Saath

Kalyuga laaya hai apne saath,
Har tarehn kee museebat aur uljhan,
Mahavipadaa, udaasi, aur niraasha hai,
Har koi dhoondh raha hai suljhan.

Ek pal jo shaqs apna hota hai,
Veh dooje pal bann jaata hai begaana,
Jaisa bhi lagey, yahee dastoor hai,
Aisa hee hai aajkal ka zamaana.

Nekneeyat ko kamzor samajhna,
Aajkal kee duniya kee fitrat hai,
Vikaaron ka badhte jaana,
Kalyuga kee khaasiyat hai.

Kaheen kaheen hai paarivaarik mann mutaav,
Toh kaheen aur itna bura hai swabhaav,
Vikaaron ne itna zulm hai dhaaya,
Ashaanti laa rahi hai yeh maaya.

Aisa nahin ki anand aur sachchaayee nahin hai,
Aisa nahin ki khushi aur achchaayee nahin hai,
Lekin bewafaai bhi yaheen hai,
Aur ruswai bhi yaheen hai.

Guruji jabb maanav roop mein thei,
Toh kaha thaa Unhonei ki maada waqt hai aa raha,
Paath aur simran karna bachne ke liye zaroori hai,
Kyunki har kisee kee koi na koi majboori hai.

Guruji ne thaama hai har jann ka haath,
Guruji Hain har bhakt ke saath,
Guruji Hain hum sabke naath,
Kalyaan hoga maankar Unkee baat,

Chaahe samay ka jharna bahega, phir bhi
Kalyuga toh abhi rahega,
Bhavishya hamaare vartmaan ke karmon kee kahaani kahega.
Guruji kee sharan mein jageh milee hai, yeh khushnaseebi hai hamaari,
Guruji Apni mehar se harenge sabki peeda, mushkil, aur beemari.

Imaandaari se apne karam karein,
Sewa aur simran hum karte jaayein,
Satsang sunn kar aur suna kar,
Bhakti mein ruhaani rangg bharte jaayein.

Saari kee saari duniya par,
Banee rahe Guruji kee kripa drishti,
Dua hai ki Guruji ke ashirwaad se,
Sadaa surakshit rahe yeh srishti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji

Dhirja

Kalyuga Laaya Hai Apne Saath (08/15/2020)

Guruji Ke Ruhaani Dar Par (08/14/2020)

August 14, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 908

       Guruji Ke Ruhaani Dar Par

Guruji ke ruhaani dar par,
Guruji aaye hamaare liye bann kar bashar,
Tum naman karo Unke bachche bannkar,
Guruji kee mamta barasti hai sab par.

Guruji ke ruhaani dar par,
Jo bhi aata hai shraddha se kar jod kar,
Uskee bhakti laati hai asar,
Jaise jaise jeevan hota hai basar.

Guruji ke ruhaani dar par,
Jo bhi jhukaata hai sir,
Jo nahin karta hai agar-magar,
Uskee jholi Ve dete Hain bhar.

Guruji ke ruhaani dar par,
Bann jaata hai bigda muqaddar,
Guruji kee har saadhak par hoti hai nadar,
Har santaap ko Unka ashirwaad leta hai har.

Guruji ke ruhaani dar par,
Har bhakt jaata hai tarr,
Nahin lagtaa hai phir kaal se darr,
Kyunki divya suraksha milti hai umr bhar.

Guruji ke ruhaani dar par,
Hai hamaara aslee ghar,
Vaheen hai Kailash ka nagar,
Vaheen aata hai sach khand nazar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Ruhaani Dar Par (08/14/2020)

Unkee Khudaayee Mein Kho Jaayein (08/13/2020)

August 13, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 907

Unkee Khudaayee Mein Kho Jaayein

Guruji kee divyataa ka jo hai spandan,
Uske aagey toh pheeka laagey chandan,
Unka noor, Unkee ruhaaniyat,
Uskey aagey jhuk jaati hai saari insaaniyat.

Unka maasoom mamta bharaa pyaar,
Jo karta hai Unke prataap ka sringaar,
Uss pyaar se sushobhit prataap se,
Mukt hotey hain hum har santaap se.

MahaShiv Hain Ve, Unkee aseem hai divyataa,
Unkee leela ke aagey na chale koi bhi vidvataa,
Chup Hain Ve agar toh yeh nahin ki Ve anjaan Hain,
Balki isliye kyunki Ve sarvgyani Bhagwaan Hain.

Jo bhi socha hai Guruji ne,
Hamaare bhavishya ke liye,
Achchaa hee hoga, karna hoga vishwaas,
Kyunki hamaara uddhaar hee hai Unkee aas.

Isliye bin sanshay, bin kisee uljhan,
Unhee ko kar ke sab kuch arpan,
Unkee Khudaayee mein kho jaayein,
Aur sadaa ke liye Guruji ke ho jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unkee Khudaayee Mein Kho Jaayein (08/13/2020)

Yahaan Veh Divya Pyaar Hai (08/12/2020)

August 12, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 906

     Yahaan Veh Divya Pyaar Hai

Guruji ke roop mein Rabb mil gaya,
Rabb ke milne se toh sab mil gaya.
Har oar Guruji ka noor hai chhaaya,
Jis se saari sangat ne sukoon hai paaya.

Bhatkey huey ko dikh jaati hai sahi raah,
Guruji ke protsaahan aur maargdarshan se,
Sabko milta hai Guruji ka aashirwaad,
Unkee sharan mein beete huey har kshan se.

Tayy karte chalein hum raasta,
Aanchal mein lekar aasthaa,
Guruji ko divya roop mein paane kee,
Unkee jyot mein samaane kee.

Is se zyada shubh aur sukhdayee,
Kuch ho hee nahin sakta,
Jisne is raaste par chalna shuru kiya,
Uska kalyaan nahin hai rukta.

Khushnaseebi kee seema nahin rahi hai,
Jab se hum aaye hain Guruji kee sharan mein,
Kyunki kalpana aur ichchaa se bhi zyada sukh,
Humne paaye hain Unke kamal charan mein.

Buss, inhee charnon mein hum samaa jaayein,
Sadaa Guruji kee paawan mamta paayein,
Kyunki yahaan veh divya pyaar hai,
Jiska hamaari rooh ko kab se intazaar hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Yahaan Veh Divya Pyaar Hai (08/12/2020)

Janmashtami Ka Tyohaar (08/11/2020)

August 11, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 905

      Janmashtami Ka Tyohaar

Aaj Janmashtami ka tyohaar hai,
Chhaayee har oar khushi kee bahaar hai,
Manaayein hum sab Bhagwaan Krishna ka janam,
Aur Vishnuji ke aathvein avataar ka aagaman.

Vasudev aur Maa Devki ne,
Pyaare Baal Gopal ko janam diya,
Mathura ke ek kaaraagaar mein,
Tufaani raat ke andhiyaar mein.

Aisee divya leela thi chhaayee,
Ki gehri si neend mein so gaye sipaahi,
Har bedi, har hath-kadi khud hee khul gayi,
Aur phir Vasudev ko azaadi mil gayi.

Navjaat shishu ko tokari mein daal,
Vasudev ne liya bachche ko sambhaal,
Aur Ve gaye Gokul ke sundar se gaaon mein,
Saumpne Krishna ko Yashoda kee mamta kee chhaaon mein.

Jaise Vishnuji ne liya Krishna ka avataar,
Aur Kans ke liye kar liya kaal ko pukaar,
Vaise hee MahaShiv aaye Guruji ke roop mein,
Taarne yeh poora sansaar.

MahaShiv mein toh Brahma, Vishnu, Rudra,
Teenon shaktiyaan hain samaayee,
Isliye Guruji ke divya prataap kee mehar,
Saari duniya par hai chhaayee.

Guruji chaahein ki hum Krishna roopi chetna se,
Apna jeevan karein vyateet,
Taaki agyaan aur nakaaraatmakta kee raatri,
Sadaa ke liye jaaye beet.

Vehem, andhvishwaas, aur vikaaron kee hathkadiyaan,
Inse mukt hon hamaare soch vichaar kee ladiyaan,
Sakaaraatmakta ka sur bajaaye har dil kee baansuri,
Aur bhakti mein ho shraddha aur saboori.

Jab anyaaya aur vikaaron par lagega poornaviraam,
Phir dharti par hee bann jaayega Baikunthdhaam,
Guruji hum sabse kitne prasann hongei,
Aur Unhe prasann kar ke hum sab sampann hongei.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Janmashtami Ka Tyohaar (08/11/2020)

Unkee Muthhi Mein (08/10/2020)

August 10, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 904

               Unkee Muthhi Mein

Jis pal se miley hamein hamaare pooran Guru,
Usee pal se ho gaya hamaara kalyaan shuru,
Sach mein bahut hee khushnaseeb hain hum,
Guruji ne sambhaalein Hain hamaare khushi aur gumm.

Anant se bhi paar dekhti hai Unkee divya drishti,
Unke aagey sir jhukaa deti hai poori srishti,
Unke ek ishaare se tufaan rukh badal leta hai,
Unke ek hukm se Yamraaj haar maan leta hai.

Guruji hamaara sadaa rakhte Hain itna dhyan,
Koi bhakt nahin hai is meethe sach se anjaan,
Ve swechha se Hain hum sab mein vidyamaan,
Aur sadaa karte Hain hum sabka kalyaan.

Guruji pooran Guru aur MahaShiv Bhagwaan Hain,
Ve hee sampoorna srishti mein sabse mahaan Hain,
Unke prataap se hee zameen aur aasmaan hai,
Unkee muthhi mein toh saara ka saara jahaan hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unkee Muthhi Mein (08/10/2020)