Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 901
Pyaar Bhara Deedar
Ek toh phaylaa hua kalyuga ka daldal hai, Oopar se yeh mann bada hee chanchal hai, Isey vash mein karna nahin hai aasaan kaam, Aur yahee hai hamaara sabse bada imtehaan.
Maalik ne banaaya hai hamein insaan, Isliye zaroori hai karna karmic bhugtaan, Tabhi toh mann ko vash mein laana hee hoga, Aur saanson ka karz chukaana hee hoga.
Karna hai adaa agar saanson ka karz, Toh nibhaana hoga simran ka farz, Kisee ne sach kiya hai arz, Ki simran se sudharta hai taur-tareeka aur tarz.
Simran mein veh jaadu hai, Jo karta mann ko kaabu hai, Mann par niyantran honei lagega jaise jaise, Simran aur bhi anandmayee hoga vaise vaise.
Guruji kehte Hain simran hai bahut zaroori, Chaahe shuruaat mein veh lagey majboori, Dheere dheere toh simran saanson ka saathi bann jaata hai, Phir simran ke bina nahin jiya jaata hai.
Simran se milta hai Guru naam ka dhan, Simran se shudh honei lagta hai mann, Simran hai dawaa ashanti aur vikaaron ke marz kee, Simran se kum hoti hai zimmedaari saanson ke karz kee.
Kyunki saansein nibhaati hain Prabhu ko yaad karne ka dharam, Aur is se katt-te jaate hain hamaare karam, Dhul jaati hai mayl mann kee, Bhalaayee hoti hai jann jann kee.
Chanchal mann kee soch badal jaati hai, Kyunki simran se mann mein pavitrataa aati hai, Poori kaayinaat ka simran ke spandan se uddhaar hota hai, Aur bhakton ko Guru Govind ka pyaar bhara deedar hota hai.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 899
Sabse Shubh Sharan
Guruji ne apni har sangat ke liye, Pyaari si zindagi banaayee hai, Uss zindagi kee har moad Guruji ne, Apni mamta ke phoolon se sajaayee hai.
Gyan ke chiraag se ujjwal kiya hai, Guruji ne hamaari zindagi ko, Taaki koi bhi kamzor na kar paaye, Hamaari bhakti aur bandagi ko,
Idhar udhar bhatakne kee nahin hai zaroorat, Har pal hai sewa aur simran ke liye ek haseen mahoorat, Abb jo dil mein Guruji ke naam ke diye jal gaye hain, Toh itne kasht toh aane se pehle hee tal gaye hain.
Bheetar se hamein saaf kar rahein Hain Guruji, Hamaari anek galatiyon ke liye hamein maaf kar rahein Hain Guruji, Chaahe hum aur kisee ko na nazar aayein, Hamein dhoondh leti hain Guruji kee nigaahein.
Har ek pal kee Guruji ko hoti hai khabar, Har ek pal hum par hoti hai Unkee nadar, Bin boley hee jaan lete Hain Ve har baat, Dil ka paawan rishta hai Unke saath.
Hamaari chhoti se chhoti chaahat aur zaroorat ka, Guruji ne rakha hai sadaa itna khayaal, Unke sneh aur Unka laad paakar, Hum sach mein huey hain nihaal.
Guruji kee lagan mein hokar magan, Aao karte rahein hum dil se jatan, Jatan Guruji ko prasann karne ka, Jatan apne jeevan ko sampann karne ka.
Guruji se lagan jo lagaayee hai, Ismein hee hamaari saari bhalaayee hai. MahaShiv Guruji kee sharan sukhdaayee aur mokshdaayee hai, Hum khushkismat hain ki humne sabse shubh sharan mein jageh paayi hai.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 898
Kewal Yaadein Hee Reh Jaayengi
Guruji ne yeh tann mann dhan hai diya, Guruji ne yeh jeevan hai diya, Iske har pehlu ko Unkee mehar se lein hum nikhaar, Unnat karein hum apni soch, apni vaani, apne vichaar, aur vyavhaar.
Paawan mithaas ho vaani mein, Shudh hon hamaare sanskaar, Kewal oopar oopar se nahin, Balki dil mein basaa ho pyaar.
Kisee aur ke beech mein aane ke bajaaye, Saaf saaf baat karein ek dooje ke saath, Taaki galat-phemiyon se rishton mein na aaye koi daraar, Taaki dosti, prem, aur har rishte ke beech na khadi ho koi deewaar.
Jitne loag beech mein hongei, Utna hee har baat ka batangad bann sakta hai, Koi virle hain aajkal jo sahi sunenge aur vahi sunaayenge, Baaki jahaan toh galat-phehemiyon ko badhaate nahin thaktaa hai.
Kabhi kabhi apne faayde ke liye, Koi baat ko badal bhi deta hai, Toh koi aur vishwaas khandit honei ke kaaran, Rishton ko tootne deta hai.
Kabhi kabhi dil mein kuch bura nahin hota, Lekin vahee baat ko dekhne ka bhinn bhinn drishtikon hota hai, Aur idhar se udhar jabb takk maajra jaata hai, Toh kayee baar veh apne mool arth ko khota hai.
Guruji kahein jeevan ho saada aur saral, Vyavhaar aur vichaar hon saaf aur taral, Isliye spashtikaran karna hai bahut zaroori, Taaki mitt jaaye galat-phehemiyon aur galatiyon se banee hui duuri.
Kyunki kya maalum, hum mein se kaun kab yahaan se chalaa jaayega, Karmic khaata bachega, toh kis rishte ko nibhaane kaun jeevan mein phir aayega? Kumm se kumm is janam ke karmic bojh ko toh na badhaayein, Aur Guruji ka anusaran kar swayam ko galat-phehemiyon se bachaayein.
Oorja ko sakaaratmak banaayein, Ahem ko chod, rishton mein madhurta aur kharaapan laayein, Hum mein se koi bhi Bhagwaan nahin, Swayam ko har pal yeh yaad dilaayein.
Yaad reh jaayega har silsilaa vaise ka vaisa hee, Jaisi usmein oorjaa hogi bahee. Kyun na har maamla apni taraf se kar lein sahi, Kyunki aaj toh hum hain yahaan, lekin kal hum yahaan hongei nahin.
Kewal yaadein hee reh jaayengi, Kyun na unn yaadon mein mithaas bharein, Apni oar se mithyabodh aur kadwaahat ko tyaag kar, Sakaratmak spandan laane ka prayaas karein.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 897
Raksha Ka Ye Hai Bandhan
Raksha ka ye hai bandhan, Vaada karein ki hum karte rahein vandan, Guruji mein basey naath, bhai, bandhu aur meet ka, Aur hameshaan aadar karein Guruji kee preet ka.
Guruji ke sangg manaayein, Raksha bandhan ka tyohaar, Guruji kee sharan mein aane se, Tarr raha hai hamaara ghar pariwaar.
Ve toh nibhaayenge vaada anant takk, Ismein na hai koi bhi shaq, Lekin hamein swayam ko har pal yaad dilaana hai, Ki hamein apni oar se rishta nibhaana hai.
Rishta wafaadaari ka, Rishta sadaachaari ka, Rishta Unhe na bisraane ka, Rishta har pal shukraane ka.
Rishta niswaarth pyaar ka, Rishta aadar satkaar ka, Rishta murshid se shaagird ka, Rishta bin soche ird gird ka.
Guruji Hain hamaara sansaar, Guruji Hain parawaradigaar, Guruji Hain Ve naath, meet, aur bhai, Jinse vaddi na hai aur koi bhi vadiyaayee.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 896
Atma Ka Milan Paramatama Se
Om Namaha Shivaya, Hamaare pyaare Guruji aaye, Agyaan ka timir mitaane, Nirdosh kee laaj bachaane, Shoshit ko insaaf dilaane, Sabke karam katvaane.
Om Namaha Shivaya, Hamaare pyaare Guruji aaye, Sach ka paath sikhaane, Saralta ka mahatva bataane, Kalyuga kee swaarthi laukikta ghataane, Satyuga ka raasta dikhaane.
Om Namaha Shivaya, Hamaare pyaare Guruji aaye, Andhvishwaas ko duur hataane, Vehemon se chhutkaara dilaane, Atma-bal hamaara badhaane, Aantrik shakti kee vriddhi karaane.
Om Namaha Shivaya, Hamaare pyaare Guruji aaye, Hum mein nirmal bhaav jagaane, Hamaari haumai ko hamein giraane se bachaane, Hamaari atma ko ruhaani oonchaayee par pahunchaane, Hamaari sadhna kee gehraayee ko sajaane.
Om Namaha Shivaya, Hamaare pyaare Guruji aaye, Hamein har sukh aur dukh se mukt karaane, Hamein divyataa kee oar le jaane, Hamaari rooh ko swayam Apne mein samaane, Hamaari atma ka milan Paramatama se karaane.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 895
Guruji Mein Hain Rabb
Kayee insaanon ko Khuda ne dukhi hotey dekha, Aur kayiyon ko dekha haalaat kee khaatir hotey huey majboor, Kayee aur ko dekha shoshan aur atyaachaar ko sehte huey, Kisee mein dekhi laachaari aur niraasha, aur kisee mein dekha guroor.
Khuda ne chetaavani dee, Phir bhi insaan ne ek na suni, Khuda ne kaha sachchaayee Khuda khud hee Hai, Lekin insaan ne fareb aur maya kee chaadar buni.
Khuda ne Guruji ka roop liya aur dharti par aaye, Bin pravachan hee sarbat ko insaaniyat ke taur tareeke samjhaaye, Anginat bhakton par aaj bhi Guruji kee mehar kee varsha hai ho rahi, Bhavishya mein unka uddhaar bhi hoga jinkee kismat aaj shaayad hai so rahi.
Bhagwaan ke roop mein farishta Hain Guruji, Aur farishte ke roop mein Bhagwaan, Divyataa kee sabse tejasvi jyot Hain Guruji, Jinkee lau se ujjwal hua hai saara jahaan.
Hamein mil raha hai Unkee jyot se, Apne jeevan ko roshan karne ka shubh avsar, Is anmol mauke ko haath se na jaane dein, Kyunki isee se hongei hum ruhaani raaste par agrasar.
Guru aur Ishwar ke sahaare ke bina, Mushkil hee nahin, balki namumkin hai is raaste par chalna, Hamein khushakismati se Guruji mein Rabb mil gaye hain, Phir kyun sanshay ya sankoch ke saanche mein dhalna?
Isliye shraddha, bhakti, aur vishwaas ke sangg, Guruji ke prem ke rangg mein hum jaayein rangg, Guruji ka pyaar jeevan mein bhar raha hai jo umangg, Usmein apne aap ko khokar hum ho jaayein mastt malang.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 894
Is Se Bada Nahin Hai Koi Kalyaan
Shraddha ho jab Ishwar ke prati, Toh βkyunβ aur βkaiseβ aise shabdon ka nahin hai koi kaam, Guruji MahaShiv Hain isliye, βKintu-parantuβ ko na chheen- ne dein hum apna chayyn aur aaraam,
Kyunki agar sach mein Guruji par hai vishwaas, Aur samarpan kar diya hai Unhe har shwaas, Toh buss Unke maargdarshan se karte jaayein apne karam , Sachchaayee aur achchaayee ke sahaare nibhaayein hum insaaniyat ka dharam.
Ye na poochhein Guruji se hamaare saath jo ho raha hai, Veh kyun ho raha hai, Kyunki Guruji ko sab maalum hai, Tabhi toh vo ho raha hai.
Lagta hai agar ki aise prashn swaabhaavik hain, Toh phir swabhaav ko sudharna hoga, Agar lagta hai ki aise khayaal hee fitrat bann gaye hain, Toh phir fitrat aur khayaal ko badalna hoga.
Kyunki hamein toh maalum nahin hai, Lekin Guruji ko hai hamaare pralabhd aur sanchit karmon ka gyan, Hamaari bhalaayee kis mein hai, Iska bhi hamaare se zyada hai Guruji ko dhyan.
Isliye hamein seekhna hoga, Ki shraddha ko kamzor karne waale sawaalon se rahein hum duur, Agar hum ye nahin seekhenge, Toh phir toh shraddha ho jaayegi chuur-chuur.
Jo Guruji ke har hukm ko bin kisee sawaal ke karega qubool, Jisey Guruji ka diya har sukh aur dukh hoga maqbool, Uskee bhakti ka ek pal bhi na jaayega fizool, Guruji kalyaan karenge uska banaa kar uss bhakt ko Apne charnon kee dhool.
Is se bada nahin hai koi kalyaan, Kyunki Guruji Hain sabse mahaan. Sabse mangal hai Unka dhaam, Sabse paawan hai Unka naam.