Aapke Kadmon Ke Nishaan (03/02/2026)

March 2, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2934
         Aapke Kadmon Ke Nishaan

Param poojya Guruji Maharaj,

Na dikhey hotey Aapke kadmon ke nishaan
Toh mai hoti uddhaar ke raaste se anjaan
Abb jo Aapki daya se hui hai is raaste kee pehchaan
Kripa karte rahiyega ki Aapki marzi anusaar Aapse paaoon bhakti ka vardaan.

Khaamiyon se hoon bhari, hoon naadaan
Aapki mehar kee mohtaaj hoon, mere karunanidhaan
Kabhi raaste par bhatakne lagoon
Toh Prabhu, mujhe bhatakne se bachaana
Jo phir bhi kabhi kisee kaaran bhatak hee jaaoon
Toh kshama kar ke sahi raaste par vaapis le aana.

Aapke charnon ke taley kee dhool bann-ne kee bhi nahin hai meri aukat
Phir bhi Aapne dee hai Apni sharan kee soumya saugat
Shukr bayaan karne mein asamarth hain mere alfaaz aur meri buddhi
Bhaav se bayaan kar paaoon, deejiye mujhe aisee shuddhi.

Aapke kadmon ke nishaan dekh paane kee bakhshiyega mujhe drishti
Unka anusaran kar paaoon, keejiyega mujh par aisee sumat kee vrishti
Aapke kadmon ke nishaan le chalenge jahaan
Mai Aapke aanchal mein rehkar chal doon vahaan
Toh bhatakne aur girne se bach jaaoongi
Har pal Aapse suraksha paaoongi
Nimaani hoon, chhota muh badi baat kehti hoon
Par Aap toh jaanein ki Aapki yaad mein rehti hoon
Deejiye mujhe aisa ashirwaad
Ki na beete mera koi pal bin kiye Aapko yaad
Rahoon khushi mein ya gumm mein
Rahoon zyada mein ya kumm mein
Sada rahoon Aapki sharan mein
Aapke paawan kamal charan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Aapke Kadmon Ke Nishaan (03/02/2026)

Prem Ka Vo Dariya (03/01/2026)

March 1, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2933
   Prem Ka Vo Dariya

Guruji ka prem aseemit hai
Guruji ke prem mein har bhakt ka sampoorna hitt hai
Maano toh sab kuch hai
Na maan-ne ka toh khayaal hee tuchh hai.

Ye prem ka vo dariya hai
Jismein jitne gotey khaaoge
Utna Guruji mein khotey jaaoge
Aur utna zyada anand paaoge.

Is dariya mein doob kar tarr jaana hee toh hai bandagi
Guruji ka naam har shwaas mein ho, ye hee toh hai zindagi
Varna kitne aaye aur chale gaye Guru kee sharan mein aaye bin
Jinhe milee hai Guruji kee sharan, vo kyun na tarein raat aur din?

Prem ke is dariya mein beet jaaye apni ye dastaan
Kin lafzon mein karoon apni ye khwaahish mai bayaan
Is dariya kee gehraayee mein hai prem ka jo ratna samooh
Usey hee paane ke liye abb takk taras rahi hai meri rooh.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Prem Ka Vo Dariya (03/01/2026)

Sabse Shreshth Tayaari (02/28/2026)

February 28, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2932
             Sabse Shreshth Tayaari

Kal ke liye hai sabse shreshth tayaari
Ki aaj aur abhi se karo achcha
Duur karo jhooth kee beemaari
Khud ko banaa kar sachcha.

Kayion ne ye pehle se bunaa hai
Apne swabhaav aur sanskaar mein
Jinhonei aisa kiya nahin, ve bhi ye kar lein
Toh anukool parivartan hota rahe sansaar mein.

Guruji ne sabhi ko kiya hai anugrahit
Guruji kar rahe Hain sabka hitt
Phir kyun dena saath jhooth aur buraayee ka?
Kyun na anusaran karein Guruji kee vadiyaayee ka?

Achchaayee aur sachchaayee ka
Pavitrata se atoot naata hai
Insaan inhe apnaane se
Yakeenan Guru ke kareeb ho paata hai.

Sachchaayee aur achchaayee bahut duur takk le jaayegi
Ruhaani oonchaayee takk pahunchane mein hamaare hee kaam aayegi
Purusharth safal honei ke liye zaroori hai paana mukti
Guruji bhala karenge, par hamein karni hogi apni oar se yukti.

Jo aaj takk aisa karte aaye hain
Ve hain uttam udaharan aur prerna
Kyun na in sajjanon ko prerna-strot maankar
Baaki jann bhi sachchaayee aur achchaayee kee oar jagaayein apni chetna?

Apne buss mein kahaan hai
Kewal Guruji hee karaa sakte Hain ye tayyaari
Vishwaas hai ki chalte huey is safar mein
Ruhaani oonchaayee takk pahunchne kee meri bhi aayegi baari
Meri oar se koshish rahe jaari
Swayam ko dilaati rehti hoon yaad
Unke dikhaaye raaste par chal paaoon
Guruji se karti hoon fariyaad.

Aur kuch na hai chahiye zindagi mein
Guruji sangg judne ke baad bandagi mein
Mai na jaanoon ki ye pyaar hai ya hai bhakti
Par mujhe toh isee paawan judaav se miltee hai shakti
Jo nirantar bann rahi hai meri koshish kee yukti
Kyunki Guruji ke charnon mein hee mera swarg aur aakhirkaar meri mukti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Sabse Shreshth Tayaari (02/28/2026)

Ye Bagiya Hai Sansaar Kee (02/27/2026)

February 27, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2931

Ye Bagiya Hai Sansaar Kee

Ye bagiya hai sansaar kee
Yahaan khilte hain bhinn bhinn tareh ke phool
Phool hongei toh zaahir hai ki aaspaas hongei shool
Sab Unhee Paramatma ke ansh hain, ye hai tathya mool.

Pashu pakshi hon ya hon insaan
Sabhi mein baste Hain Bhagwaan
Aksar bhool jaati hai asal pehchaan
Khaaskar jabb badhta hai abhimaan.

Shool hon ya phir hon phool
Sabhi hain Guruji ke charnon kee dhool
Kisee kisee insaan ka bhaav hota hai asuri
Kisee mein hotey hain devi devta ke sanskaar
Yahee bann jaata hai phool ya shool ke roop ka aadhaar
Kuch aisa hee hai charitra ka saar
Kintu Guruji toh swayam SadaShiv Hain
Sabka kalyaan karte Hain Ve Parwardigaar.

Guruji kee mahima hai aisee aparampaar
Koi sharanaarthi na vanchit rahe Unke ashirwaad se
Hum phool hon ya hon hum shool
Apne bhaav ko paripoorna rakhein Unke prati dhanyawaad se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Ye Bagiya Hai Sansaar Kee (02/27/2026)

Koshish Karo… (02/26/2026)

February 26, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2930
                   Koshish Karo…

Koshish karo doojon ke aur apne gumm ko kumm karne kee
Koshish karo kisee ke jeevan mein khushiyan bharne kee
Bin nijee hastakshep kiye, bin uljhey kisee ke karam mein
Doojon kee sahaayata karo is jeevan mein
Na kar sako, toh Unko na pahunchaao koi thes ya nuksaan
Yaad rakho, tumhe har pal dekh rahe Hain tumhaare Bhagwaan
Jinhe tum Guruji kehkar karte ho sambodhit
Jo sada chaahte Hain Apne bhakton ka hitt.

Guruji neeyat parakhte Hain
Bhakt ka bhaav dekhte Hain
Koshish ka iraada rakho sachcha
Mann mein sewa bhaav ho achcha.

Ummeed na karna ki loag badle mein karenge tumhaare liye kuch
Aise khayaal banaayenge tumhaari soch ko tuchh
Tum buss koshish karo ki Guruji hon tum par prasann
Unhee ko saump do apni atma sangg apna tann mann aur dhan.

Sab kuch Guruji Maharaj ka hee toh hai deeya hua
Unkee kripa ne tumhaare jeevan ke har pehlu ko hai chhua
Tum bhi aa sako kisee ke kaam
Toh ismein hoga tumhaara bhi kalyaan
Isey bhi arpit kar Guruji ke charan mein
Yogdaan do sansaar ke mangal karan mein
Kalyuga mein satyugi bhaav phailaao sansaar mein
Apne chitt ko rakho ekaagra Guruji Parwardigaar mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Koshish Karo… (02/26/2026)

Khaalipan (02/25/2026)

February 25, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2929
                          Khaalipan

Tumhaare bheetar ka khaalipan
Duniya ya duniya wale nahin sakte mita
Isey mita sakne wale ek hee Hain
Tumhaare Guruji, tumhaare pita.

Darasal ye khaalipan hai
Guruji ko paane kee aas
Guruji se ardaas karo
Ki Ve prerit karein tumhaara prayaas.

Guruji Hain tumhaari himmat
Guruji Hain hamdard tumhaare
Isliye na dhoondho yahaan vahaan
Apne liye vishwasneeya sahaare.

Guruji ne thaama hai tumhe
Tumhe mila hai Unka ruhaani saath
Jo khaalipan mehsoos hota hai tumhe
Vo mitega Guruji kee divyata ko kar ke atmasaat
Isliye Unse jude rehne kee koshish karo
Duniyavi apnon se duur mehsoos karte ho toh na daro
Sabb ho raha hai Guruji kee nazar mein
Ye sabb hona zaroori hai is safar mein
Taaki tumhe baandhne wale paash tootein
Tumhaare bhram tootein
Aur tum azad ho paao duniyadari ke jazbaat se
Tum swayam ko sampoorna jaano Guruji ke salonei saath se
Kyunki Ve hee Hain, kewal Ve hee
Jinse poornata ko praapt hogi tumhaari zindagi
Aur jo karenge tumhaara kalyaan
Yahaan aur vahaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Khaalipan (02/25/2026)

Mere Guruji Kee Daya Se… (02/24/2026)

February 24, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2928

Mere Guruji Kee Daya Se…

Mere Guruji kee daya se paripoorna hai ye srishti
Sabhi praaniyon par sada barasti rahe Unke ashish kee vrishti
Sampoorna srishti ka hota rahe kalyaan
Guruji kee mahima se goonjein zameen aasmaan.

Kalyuga mein dharti par aaye Bhagwaan
Bannkar Guruji karunanidhaan
Hum zarooratamand praaniyon ka uddhaar karne
Hamaari jholi Apne ashirwaad se bharne
Anginat aa paaye Guruji kee sharan mein
Sainkdon aur aayenge Unke kamal charan mein
Unhee kee hee daya ke kaaran
Unkee, Jinke har hukm mein hai kashton ka nivaaran
Har bhakt kee zindagi mein har pal
Jinkee kripa se janam maran hota hai safal.

Mai toh Apne Guruji kee mahima ka gungaan gaaoon
Dil chaahe ki Unke satsang sabhi ko sunaaoon
Kitne dayalu Hain Guruji, mai sab ko bataaoon
Unkee daya ke mahasaagar mein khud bhi doobti jaaoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Mere Guruji Kee Daya Se… (02/24/2026)

Saari Srishti Khil Rahi Hai (02/23/2026)

February 23, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2927

Saari Srishti Khil Rahi Hai

Saari srishti khil rahi hai
Adbhut shanti mil rahi hai
Vayu mein hai anokhi khushboo
Anandit hui hai das kee rooh.

Bahut sundar hai ye dastaan
Goonj raha hai aasmaan
Shankhnaad ho raha hai
Das ka vajood ismein kho raha hai
Uska mann apne paap dho raha hai
Abb bheetar ka asur sada ke liye so raha hai.

Kripa hai ye Guruji Maharaj kee
Das ke dil par Guruji ke raaj kee
Das ne maani har baat Guru sartaj kee
Bhakti banee yukti paap ke ilaaj kee.

Das kee β€˜mai’ toh hui khatam
Isee jeevan mein maano hua naya janam
Jismein uske bheetar vo nahin, balki Guruji Hain samaaye
Isee se hua uske kalyaan ka shuddh upaay.

Pyaara hai das aur Guruji ka aapasi pyaar
Pyaari hai Unhe jodne wali ruhaani taar
Das ke liye khul gaye Sachkhand ke dwaar
Guruji hee kar sakte Hain aisa uttam uddhaar
Das ko jo sukh na de sakaa ye sansaar
Usey milega vo sukh sansaar ke paar
Guruji ke shashvat ashirwaad se
Jud kar Unke shankhnaad se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Saari Srishti Khil Rahi Hai (02/23/2026)

Kripa Sudha (02/22/2026)

February 22, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2926
                       Kripa Sudha

Param poojya Guruji Maharaj,

Aayega vo din
Shwaas jaayenge chhinn
Tann banega dheri
Rooh rahegi meri.

Jab takk vo Aap mein na samaayegi
Tabb takk vo dhaaran karti jaayegi
Ik naya shareer
Aur liye apni taqdeer
Zindagi karegi basar
Tayy karegi safar.

Yahee hota rahega rooh ka naseeb
Aap kripa karein ki vo hoti jaaye Aapke kareeb
Taaki vo Aap mein samaaye jabb Aapko lagey sahi
Kyunki rooh kee asal manzil hai yahee.

Rahe yoon mujh par Aapki nadar
Ki jabb takk chale rooh ka safar
Aap mujhe rakhiyega Apne hee paas
Rahoon mai bannkar Aapki das
Rahoon raazi jo bhi ho Aapki raza
Varna safar bann jaayega saza.

Aapke chintan kee oar chalegi meri buddhi
Toh mere mann mein aati rahegi shuddhi
Ye janmon ka safar hoga nahin aasaan
Buss, Apne charnon mein rakhna mujhe, aye karunanidhaan.

Aye Khuda, mujhe Apne se na karna juda
Barsaate rahiyega mujh par Apni kripa sudha
Ye sudha yoon jaaye mujhe baahar aur bheetar se chhoo
Ki kewal tann mann nahin, balki ismein bheegti rahe meri rooh
Bataashe kee bhanti Aap mein ghul kar vo lupt ho jaaye
Aapki daya se meri rooh Aap mein sada ke liye kho jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Kripa Sudha (02/22/2026)

Aap Hain Mahaan Meharbaan (02/21/2026)

February 21, 2026

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2925
         Aap Hain Mahaan Meharbaan

Mai chhoti soch wali ik daasi
Aap maalik karunanidhaan
Mai hoon Aapki nimaani si santaan
Guruvar mere, Aap Hain mahaan meharbaan.

Mujhe lekar Apni sharan mein
Aapne vo rangg bharey mere jeevan mein
Jinke bin neeras reh jaata jeevan
Jinke bin chayyn na paata mera mann.

Jabb se Aap baney mere Guru
Ik sundar safar hua shuru
Mainey Aap mein paa liya sansaar
Aur vo bhi jo hai is sansaar ke bhi paar.

Ye jaana tabb
Ki Aap mein Hain sabb
Ki Aap mein Hain Rabb
Kehte hain mere labb
Aapki baatein mahima se bhari
Nahin rehti hoon abb mai dari-dari
Kyunki Aap hotey Hain kareeb har ghadi
Maanti hoon isey mai apni khushnaseebi badi.

Shukrana Aapki sharan ka
Shukrana is janam ka
Jismein Aap mujhe rahe Hain taar
Barsaa rahe Hain mujh par Apna pyaar.

Jabb takk leti rahoon janam
Dete rahiyega Apni sharan
Ye arzi keejiyega sweekaar
Mere poojaneeya Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Aap Hain Mahaan Meharbaan (02/21/2026)