Dhanya Bhaagya Hamaare (12/19/2024)

December 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2496
         Dhanya Bhaagya Hamaare

Param poojya Guruji Maharaj,

Dhanya bhaagya hamaare
Ki Aapne hamein bulaaya Apne dwaare
Jitne hain aasmaan mein sitaare
Aap uss se bhi zyada bhakton ke baney sahaare.

Aapki sharan mein bhed bhaav nahin jaat paat ka
Aapki sharan mein nahin rehta astitva jeevan mein raat ka
Aap itna khayaal rakhte Hain har bhakt kee har baat ka
Aapki goad mein milta hai sneh pita ka aur pyaar maat ka.

Kabhi aati hai Aapki khushboo ruhaani
Kabhi dikhtee hai moar kee chaal mastaani
Toh kabhi titlee nazar aati hai mandaraati hui deewaani
Ye sabhi bann jaate hain Aapki noorani nishaani.

Kabhi shabad mein Aap dete Hain sandesh
Kabhi Aap swapn mein darshan dekar karte Hain pravesh
Kabhi kabhi saakshaat darshan Aapke ya phir badal kar vesh
Toh kabhi Aap swaroop mein daras dikhaate Hain, priya Sarvesh.

Aapki chhupi bhi bolti hai ki Aap vyast Hain bhakton ke kalyaan mein
Aapki muskuraahat bhi kabhi der nahin karti hai vaajib vardaan ke daan mein
Aapki oar se har vilamb ka arth hota hai aane waala ek sundar praarambh
Jabb se Aapki sharan milee hai, hua hai maano ek naye janam ka aarambh.

Aapka naam liye bin abb raha na jaaye
Aapki yaad ke bin abb jeena na aaye
Dil-o-dimaag par Aapka khayaal rehta hai chhaaya
Aapki sharan paakar srishti ka sabse sundar sukoon hai paaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dhanya Bhaagya Hamaare (12/19/2024)

Anant Kee Pyaas (12/18/2024)

December 18, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2495
                 Anant Kee Pyaas

Anant hoti hai is atma kee pyaas
Aur ye anant pyaas hai anant ko paane kee
Jabb takk is pyaas ko na bujhaayega swayam anant
Tabb takk atma kee is anant pyaas ka na hoga antt.

Guruji Maharaj Hain Shiv avatari Bhagwant
Guruji Maharaj hee Hain anant
Jabb Unhe paane kee pyaas hogi anant
Toh ye pyaas apne paawan prayaas se paa legi anant.

Aawashyak hai is pyaas ko mitaana
Varna milega nahin atma ko thikaana
Safar ke dauran khatm hona hoga jo vilaas hai bhog mein
Antas ko kabhi toh aarambh karna hoga jeena yog mein.

Anaasakti, samarpan, shukrana, aur simran-dhyan
Inka hoga ibadat ko sahaara
Toh Guruji hongei prasann
Unkee kripa se sanvarega bhakt ka jeevan.

Trikaal darshi Mahadev ke swaroop Hain Guruji Maharaj
Priya hai Unhe Apne bhakt ke antas kee pyaas
Ve toh har pal Hain bhakt ke bheetar aur aas paas
Bhakt koshish toh karey, Guruji poori karenge swayam mein uss anant kee praapti kee pyaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anant Kee Pyaas (12/18/2024)

Tu Bhool Na Jaana (12/17/2024)

December 17, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2494
                Tu Bhool Na Jaana

Tera jeevan hai khuli kitaab
Tu bhool na jaana
Tere sawaalon mein hee hain unke jawaab
Tu bhool na jaana
Guruji ke paas hain tere karmon ke hisaab
Tu bhool na jaana
Unke saamne kaam na karega koi bhi nakaab
Tu bhool na jaana.

Tere bheetar ke khushi aur gumm
Guruji sab pehchaante Hain
Tere mann mein aate hain jo bhi vichaar
Guruji ve bhi jaante Hain.

Tere har karma par rehti hai Guruji kee nazar
Unkee har nazar ka hota hai vo kalyaanmayi asar
Jo dikhta hai usee samay ya jaise jaise samay jaata hai guzar
Ye bhi nirdhaarit karte Hain swayam pyaare Guruvar.

Tu karey ya na karey zikr, Guruji ko rehti hai teri fikr
Tu bhool na jaana
Bhakt saare ke saare, Hain Unkee aankhon ke taare
Tu bhool na jaana
Tu bhi hai Unmein se ek, tere jaise Hain anek
Tu bhool na jaana
Tu beshak ho nimaana, par tu sada se hai Guruji ka deewaana
Tu bhool na jaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Bhool Na Jaana (12/17/2024)

Ye Nahin Hai Koi Mithya (12/16/2024)

December 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2493
          Ye Nahin Hai Koi Mithya

Guruji Hain Ve noorani gareeb nawaz
Jinka tej hai aisa naayaab
Ki aasmaan ka Shaan-e-aaftaab
Na sambhaal paaya apna khitaab.

MahaShiv ke avataar
Roop lekar aaye bashar ka
Anginat praaniyon ko dekar sharan
Roshan kiya raasta Unke safar ka.

Guruji ke noor jaisa koi noor nahin is srishti mein
Mehsoos hota hai vo beshak Guruji saakshaat na bhi hon drishti mein
Kyunki Guruji ke noor ka spandan hai bahut oorjamayi
Uska halka sa bhi ehsaas hota hai poornata se Shivmayi.

Aasmaan mein peher ho din ka ya raat ka
Is silsile mein koi fark nahin padta is baat ka
Kyunki Guruji ka noor divya hai
Guruji ka noor sabse bhavya hai.

Guruji ke noor ke prataap ko saadhaaran na samajhna
Tark-vitark mein aakar iske gyan-vigyaan mein na ulajhna
Maamooli maanav kee buddhi ke paar hai iskee vidya
Ye bilkul satya hai, ye nahin hai koi mithya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ye Nahin Hai Koi Mithya (12/16/2024)

Tu Hoga Safal (12/15/2024)

December 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2492
                    Tu Hoga Safal

Abb jo tu hai chal pada
Phir kya soch kar tu yoon hai khada?
Nishchint tu ho jaa
Guruji mein tu kho jaa.

Dekhna, tu paayega Unhe
Aur khud ko paayega Unmein
Mitt jaayega bhinnataa ka bhram
Khatm hoga judaayee ka gumm.

Mumkin hai ye
Mushkil beshak
Vilamb karega tu
Aakhir kabb takk?

Is raaste par jo tu jaayega
Toh sahi raasta khul jaayega
Kyunki Ve Hain teri manzil
Ye satya jaanta hai tera dil.

Tu galat raasta chun lega agar
Ve badal denge teri dagar
Laayenge tujhe sahi raah par
Tu Unpar bharosa kar.

Unkee meharbaani se
Teri zindagaani se
Har sanshay ho jaayega duur
Aisa hoga zaroor.

Jaagriti aisee aayegi
Ki bhor ho jaayegi
Tere mann ke kann kann mein
Aur tatpashchaat tere jeevan mein.

Kyunki mann kee andheri raat
Is se hee bigaadti hai har baat
Chaandni ho jaaye jo mann kee raat
Ya phir ho jaaye prabhaat
Toh tu girega ya bhatkega nahin
Tera har kadam hoga sahi.

Govind Hain Ve
Tere Guruvar
Ve Khuda tere, Ve hee prem Hain
Ve hee tere nit-nem Hain
Har paath mein Ve
Har pal saath mein Ve
Ve hee poojan tere
Ve hee vandan tere.

Unpar dhyan dhar
Aur chalta chal
Kasht jaayenge tal
Tu hoga safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Hoga Safal (12/15/2024)

Tu Vo Fakeer Hai (12/14/2024)

December 14, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2491
                 Tu Vo Fakeer Hai

Har oar duniya kee bheed hai
Bheed mein ghoomta tu fakeer hai
Toone saump dee hai Guruji ko
Tere haath aur maathe par har jo lakeer hai.

Tu vo fakeer hai
Jo bahut ameer hai
Kyunki tujhe praapt hai Guruji kee sharan
Jahaan par tu guzaar paa raha hai apna jeevan.

Guruji kee sharan mein hain chaar dham
Guruji kee sharan mein miley thakey huey bhakt ko ruhaani aaraam
Guruji kee sharan mein hai suraksha aisee
Nahin miltee sansaar mein kaheen aur jaisi.

Fakeer hai tu, tu mastt hai
Guruji kee yaad mein vyast hai
Fakeeri tujhe aati hai raas
Kyunki Guruji ke siwa koi aur na tere liye khaas.

Tere jaise fakeer hotey sabhi
Toh tere jaise ameer bhi hotey sabhi
Bante bante tu aisa bann jaayega
Ki tu banda kehlaayega
Guruji tujh se hongei prasann
Ve toh bhakton se kehte Hain, β€˜Banda bann.’

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Vo Fakeer Hai (12/14/2024)

Kehne Ko Bahut Kuch Hai (12/13/2024)

December 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2490
           Kehne Ko Bahut Kuch Hai

Param poojya Guruji Maharaj,

Kehne ko bahut kuch hai
Phir lagta hai ki sab tuchh hai
Karne Aapke prataap ka bakhaan
Kyunki Aap Hain mahaanon mein sabse mahaan.

Shikaayat karne kee meri aukat nahin
Phir bhi ye gustaakhi kar baithti hoon aksar
Phir bahut sharm aa jaati hai
Apni is neech si harkat par.

Shukrana karti hoon jabb jabb
Aur bhi shukrana karne ka dil karta hai tabb tabb
Aapse dhanyawaad jabb hoon kehti
Toh gintee hee nahin rehti
Kyunki kitna bhi shukrana kar loon Aapka
Vo Aapki vadiyaayee ke samaksh hai tuchh
Phir bhi kehti rehti hoon mai
Aapse kuch kuch.

Taareef Aapki karti hoon jabb jabb
Koi na koi baat bhool jaati hoon tabb
Kyunki Aapka stavan sampoornata se karne kee
Mujh mein nahin hai kabiliyat
Aapke dar ka kookar bann paaoon
Meri toh utnee bhi nahin hai haisiyat.

Jabb jabb Aapse karti hoon baatein
Beshak beet jaayein din raatein
Baatein reh jaati hain adhoori
Kayi baar bhool jaati hoon baat zaroori
Tuchh lagta hai mujhe apni oar ka vaartaalaap
Sochti hoon jabb ki kitna aseem hai Aapka prataap.

Kitnee baar jabb karti hoon ardaas
Toh bharti hoon gehra shwaas
Jaan kar ki baitha kar Apne charnon ke paas
Aapne dee hai daat sabse khaas.

Phir kyun kee mainey ardaas kisee aur daat ke liye
Ye soch kar mai nimaani
Maafi bhi maangne lagti hoon Aapse
Ki mainey kee aisee naadaani.

Abhi toh seekhna hai itna kuch
Isliye chodni hongi aadatein tuchh
Guruji Maharaj, Aap hee raah dikhaayiye is nimaani ko
Aap hee sanvaar sakte Hain meri naadaani ko.

Aur kaheen jaane kee nahin mujhe zaroorat ya chaahat
Jaanti hoon ki Aapke kamal charan mein milegi har bhaar se raahat
Mai beshak hoon ek tuchh si Aapki deewani
Aap toh Hain Srishti ke Shehenshah ruhaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kehne Ko Bahut Kuch Hai (12/13/2024)

Uddhaar Kee Raah (12/12/2024)

December 12, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2489
                Uddhaar Kee Raah

Paramatama ka chhota sa ansh hai tujh mein
Atma ke niraakaar swaroop mein
Isee Ishwareeya prataap ke hetu
Sampoorna hai tu apne roop mein.

Atma hee hai asal, atma ko tu nikhaar
Shareer ka bhi dhyan rakh, vo bhi hai Guruji ka deeya uphaar
Kintu shareer ko sanvaarte sanvaarte
Bhool na jaana karna atma ka poshan
Varna ruhaani raah na ho paayegi roshan.

Shareer ne reh jaana hai yahaan
Panchbhoot main jaana hai samaa
Lekin jiskee atma ka avinashi kann
Rahega Paramatama mein magan
Aagey bhi sukhad hoga uska safar
Shraddha ke sanskaar ka hota rahega asar.

Guruji Hain Paramatama
Unmein sanlagn kar ke atma
Ho jaayega ehsaas
Ki tu Unse juda nahin
Na hee juda thaa pehle kabhi.

Isliye atma-anubhooti hai ati-aawashyak
Aur jabb Guruji swayam Hain rakshak
Toh phir kaisa sanshay?
Toh phir kyun koi bhi bhayy?

Abb vilamb ko tyaag
Baahar kee oar na aur bhaag
Atma par se mitne hongei daag
Zaroori hai ki tu jaag.

Yahee hai upaay
Ki atma Paramatama mein samaaye
Adhoorepann ka ehsaas ho jaayega duur
Na soch ki tu hai haalaat ke vash mein majboor.

Chetaavani maan isey
Ya maan isey salaah
Yahee toh hai ekmaatra
Uddhaar kee raah.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Uddhaar Kee Raah (12/12/2024)

Guruji Ke Bulaane Par (12/11/2024)

December 11, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2488
             Guruji Ke Bulaane Par

Guruji ke bulaane par
Bhakt pahunchta hai Unke dar par
Koi karmon ke bojh ka maara
Koi aata hai bilkul thakaa haara.

Koi aata hai muskuraate huey
Toh koi aansoo bahaate huey
Koi bin jaane kaaran Unke dar par aane ka
Koi utsuk hota hai jholi phailaane ka.

Aakar Guruji ke dar par
Hota hai kuch aisa asar
Ki mitne lagg jaata hai darr
Aisee kripa karte Hain Guruvar.

Jo bhi ho paristhiti
Jo bhi ho bhakt kee sthiti
Milta hai usey Guruji ka ashirwaad
Milta hai usey Guru prasad
Chaahe vo jaane ya na jaane
Chaahe vo maane ya na maane.

Ye hai Guruji kee vaddi vadiyaayee
Unhonei sada saari sangat par kripa hai barsaayee
Karte aaye Hain Ve sabka kalyaan
Aise Hain Ve karunanidhaan.

Jo bhi aaye jis bhi paristhiti ya sthiti mein
Hotey hotey hota hai uska uddhaar
Kisee ka ho jaaye ek hee pal mein
Kisee ko karna padd jaata hai intazaar.

Guruji kee rehmat se judi rahe Unke sangg preet
Koi aur nahin hai Guruji ke jaisa meet
Buss, Guruji yoon hee bulaate rahein
Sabhi par karuna barsaate rahein
Hamaare har vichaar aur karma par ho Unhee ka raaj
Toh awashya hee sanvar jaayenge hamaare saare kaaj.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Bulaane Par (12/11/2024)

Satya Ke Strot (12/10/2024)

December 10, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2487
                   Satya Ke Strot

Satya ke strot
Satya ke aadhaar
Satya kee soorat
Swayam satya ke saar
Aur phir satya ke bhi paar
Hain Guruji Sarkar.

Sarkaron ke sarkar Hain Guruji
Ve hee Hain taaranhaar
Kalyuga mein aaye is paar
Bashar roop mein Shiv avatar.

Kitnon ko diya Unhonei taar
Aagey bhi aate rahenge Unke dwaar
Bhakt jann kayi hazaar
Ik baar nahin, balki baar baar.

Guruji ke liye kuch nahin namumkin
Aur asal dhan na miley pooran Guru ke bin
Jo pooran Guru ne hai sweekaara
Toh kyun na maang lein asal sukh saara?

Kshanbhangur hain duniyavi sukh
Kayi toh dene lagte hain dukh
Kyun na Guruji kee marzi ke aagey jaayein jhuk
Aakhirkaar Unkee marzi se kalyaan kee oar hoga bhaagya ka rukh.

Satya ke swami ne thaama hua hai haath hamaara
Ho hee nahin sakta hai is se zyada shaktishali sahaara
Khudayee hee satya hai, satya Hain Parwadigaar
Aur in Maalik ke roop mein hamein bakhsh rahe Hain Guru sarkar.

Jahaan nirarthak hota hai har sukh bhautik
Guruji Hain Ve satya alaukik
Hain Ve satya ke prataapi pratimaan
Guruji Hain satya swayam, Guruji Hain Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Satya Ke Strot (12/10/2024)