Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1997
Murshid Aur Khuda
Param poojya Guruvar,
Hamaara bhakti bhaav badhaayiye Hamein intazaar karna sikhaayiye Hamaari galatiyan hamein dikhaayiye Unhe sanshodhit karne ka upaay bataayiye.
Hamein sudhaar kee oar le jaayiye Hamein aur girne se bachaayiye Hamaari atma par se daag mitaayiye Hamein oordhvagati kee oar chalaayiye.
Aapke ashish se Bheetar ke mal ka ho jaaye naash Aapki bakhshish se Toot jaaye har tareh ka paash.
Bin gyan toh reh jaayenge hum anjaan Paramanand ke anubhav se Antt aane par maafi bhi na maang paayenge Apne bhog saadhan shareerik shav se.
Kyunki veh toh panch bhoot mein samaakar Mrityu pashchaat ho jaayega poora Lekin jis kaarya ke liye hum aaye hain yahaan par Veh kaarya reh jaayega adhoora.
Kaarya, atma ke Paramatama se milan ka Jis se antt hoga janam maran ka Uss pal Aap mein jaayenge samaa Tabb takk dete rahiye Apne charnon mein panah.
Abb bhi aur tabb bhi Aapse na hon kabhi bhi juda Aap hee Hain hamaare nath, meet, aur bandhu Aap hee Hain hamaare murshid aur Khuda.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1996
Aapki Rahnumaayee Mein
Param poojya Guruji,
Jaise jaise sooraj jaaye dhal Geruan aasmaan bann jaaye Aapka aanchal Usmein jhoolne lagoon jis pal Har thakaan ko miley aaraam roopi hal.
Jaise jaise raat aaye Aapke swapn darshan kee ichcha badh jaaye Jo jabb agar kabhi hon toh shukrana karoon Aapki mehar ka Anokha saumya nazaara ho uske baad kee sehar ka.
Sooraj kee pehli kiran se bhi pehle Jabb chidiya chehekti hai Mauka jo mil jaaye is anubhav ka Toh mere mann kee bagiya aksar mehekti hai Aapki ruhaani khushboo ke ehsaas se Kehti hui shukriya Aapke bakhshe huey mere shwaas se.
Sooraj phailaata hai akash aur dharti par apna prakash Usey bhi maano oorja deta hai Aapka noorani sakash Koi din na guzare Aapke simran aur chintan bin Chaahoon bhi toh Aapki rehmatein na sakoon gin.
Har jageh har pal paaoon Aapko angg sangg Aapki maujoodagi mein aasmaan badle apna rangg Dopeher ka sooraj ho aakaash mein uchch shikhar par viraajmaan Aur uske pashchaat shuru karey utarnaa dhalaan Aapki kripa se japp paaoon Aapka naam Aur phir aa jaaye shaam aane ka paigaam.
Har alfaaz jo boloon vo ho Aapki vadiyaayee mein Doobti jaaoon Aapki bhakti ke mahasaagar kee gehraayee mein Kalyaan hee kalyaan basaa hai Aapki guruyaayee mein Jeevan ka har lamha beete Aapki rahnumaayee mein.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1995
Aane Wala Kal Toh Aayega
Aane wala kal toh aayega Rok sakey na koi Guru miley toh saubhagya hai Guru bin gati na hoi.
Guruji Shiv avatari Hain Unkee sharan mein miley jo gyan Uss se nishchay hee Parmeshwar baney Har anugrahit insaan.
Besharte bhakti ho sachchi Besharte neeyat ho achchi Besharte uddhaar kee ho nek kaamna Besharte jeevit rahe jigyaasa kee bhavna.
Guruji ke satsang mein miley disha Sahi raah par jaane kee Unke bakhshe simran se mitey nisha Sambhaavna badhey gyan kee subah ke aane kee.
Mil jaaye jo aisee disha Duur ho jaaye jo agyani nisha Toh badhta jaaye bhakti ka nasha Aur sanvarti jaaye antas kee dasha.
Bheetar kee dasha sanvaarni hai zaroori Agar mitaani hai Paramatama se janam janam kee duuri Ye praapti awashya hogi Guruji kee sharan mein Deen bhaav se arzi lagaa Unke charan mein.
Saraahate huey apne saubhagya ko Jagaaye rakh apne bheetar ke daasya ko Teri daasya bhakti se Guruji hongei prasann Unkee kripa se tu hota jaayega param gyan se sampann.
Disha yahee Hai sahi Tere agyan kee nisha jaayegi tal Nikhar jaayega tera aane wala kal.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1994
Kripa Keejiye,Parwardigaar
Baahar bhi shor Bheetar bhi shor Shor hee shor har oar Aisa kyun ho jaata hai Jabb Guruji ne thaami ho dor?
Kaheen moh maya ne jakda hai Kaheen bhautik aakarshanon ne pakda hai Aise mein kaise hoga antas ka manthan Kaise praapt hoga gehraayee mein chhipa alaukik dhan?
Aawashyak hai sthiti shant Aawashyak hai ekant Tabhi toh jaagenge sidhant Aur samjhenge veh gyan hum jo dein vedant.
Koi vikarshan na ho chaahe hon duniya ke beech Aur mann rahe bilkul shant Unn Guruvar roopi ek jyot ke anant mein samaana Vahee toh hai ekaant.
Vishwaas badhaana zaroori hai Abhyaas badhaana zaroori hai Simran, manan, aur chintan ka Ekaagrata aur dhyan bhare vandan ka.
Guruji, bakhsh deejiye jo maarg par chalte chalte dagmaga jaayein Guruji, bakhshiye aisee sumat ki duniyavi maajare sataa na paayein Guruji, Aapki karuna se nikharta rahe bhakti bhaav aur vandan Aapki mehar se ho paaye antas ka aisa manthan Ki pahunch kar bheetar kee gehraayee mein Samaa jaayein Aapki guruyaayee mein Ho jaaye atma-saakshaatkaar Kripa keejiye, Parwardigaar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1993
Sakaaratmak Yogdaan
Prakop prakriti ka Apmaan sanskriti ka Dooshan vaataavaran ka Shoshan paryavaran ka Aisa hoga Guruji ne pehle hee diya thaa inka sanket.
Inke saath saath Japp Guru Govind ke naam ka Sewa bhaav aur yog har insaan ka Guru agya se rahega sahaayak kalyaan ka Guruji ne sada se hee dee aisee prerna Taaki hum jagaaye rakhein chetna.
Is maade waqt mein mann ka sthir rehna hota hai mushkil Dhyan aur sadhna mein shaayad na laagey dil Shaayad hai ya hoga aisa anubhav adhiktar jann ko Lekin karte rahein Guruji ke bataaye aur sikhaaye simran ko Toh Guruji kee kripa se dhyan bhi lagg jaayega Aur soya hua chaitanya bhi jagg jaayega.
Shraddha aur prem bhaav se Bakhshish maangte huey Karni hai Guruji se arzi Aur maan-ni hai Unkee marzi.
Karte huey prakriti aur sanskriti ka sammaan Tyaag kar vaataavaran aur paryavaran ka apmaan Tyaag kar dehbhaan apnaa kar dehi abhimaan Hum Guruji kee kripa se dein sakaaratmak yogdaan.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1992
Prafullit Ho Jaayegi Ye Srishti
Guruji kar rahe Hain Nirantar ashirwaad kee vrishti Kintu agar mayli hogi hamaari drishti Toh kaise sudharegi srishti?
Yog nahin hai pal do pal ka kirdaar Yog ko bann-na hoga hamaara sahaj vyavhaar Anuchit chitt vrittiyon ko tyaagna hai zaroori Chod kar bahaana ki ve jeene ke liye hain majboori.
Anivaarya hai atma-nireekshan pal pal Taaki vikarma se pehle hee buddhi mein ho bal Aur vikarma karne se hum jaayein bach Varna durdasha hogi, ye hai bilkul sach.
Jabb takk vikaaron se milega ras Tabb takk atma rahegi bebas Phir yog ho na paayega Vyarth baaton mein jeevan beet jaayega.
Apne paap toh dhoyein Na ki jaage jaage soyein Duniya waalon se na darein Kaayar na banein.
Guru Govind ko khush kar ke uddhaar hoga Duniya waalon ko khush kar ke nahin Ye yaad rakhein hamesha Toh kaafi hadd takk charitra honei lagega sahi.
Aisa sochein ki yahaan aayein hain karne sayr Na kisee se aasakti aur lagaav, na kisee se vayr Samta se paripoorna ho jaaye hum sabke bheetar kee drishti Toh paawan aur prafullit ho jaayegi ye srishti.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1991
Uddhaar Se Shringaar
Aye ruki hui zindagi Tu chalne ka kya legi? Aye jhuki hui bandagi Tu praapti kab degi?
Zindagi ne bandagi ko kiya namaskaar Bandagi ne kiya uss sammaan ko sweekaar Dono ne ek saath sunaaya apna ye vichaar Ki meri oar se aana chahiye aur bhi zyada bhaav bhara pyaar.
Kaha unhonei ki meri koshish par hai Guruji kee nazar Aur Guruji kee kripa ka ho raha hai asar Kintu mere prayatna mein reh gayi hai koi kasar Jiske kaaran thamm sa gaya hai ye safar.
Kaha unhonei ki mai badhaaoon simran aur manan Taaki saaf hota jaaye mere mann ka bartan Samjhaate huey zindagi aur bandagi ne mujhse kaha βPraarabdh karmon ko bhugatna abhi baaki hai raha Jaante Hain Guruji ki toone bahut hai saha Sambhaalte Hain Ve har aansoo jo teri aankhon se hai baha.β
Yeh sunkar toh meri aankhein dobaara huin numm Mehsoos kiya mainey ki mujhe udaas dekhkar Guruji ko hota hai itna gumm Mainey mann hee mann maangi Guruji se maafi Ki meri shraddha, mera pyaar aur vishwaas nahin hai kaafi.
Kaha mainey zindagi aur bandagi se Ki mai hoon Unkee shukrguzaar Kaha unse ki mai bhakti bhaav mein piro-oongi Aur bhi vishwaas aur pyaar Unhonei kaha ki meri koshish dekhkar Guruji awashya banenge mere madadgaar.
Is mulaakaat ka hua mujh par gehra asar Jaanti hoon ki Guruji kee inaayat se zindagi aur bandagi hongei agrasar Pahunchaane mujhe bhavsaagar ke paar Kar ke meri atma ka uddhaar se shringaar.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1990
Pashu Se Insaan Bann-ne Ka Safar
Koi bhed bhaav nahin Guruji ke darbar mein Unkee sangat toh basti hai is poore sansaar mein Jo bhi ho, ho vo jaisa bhi Guruji ko toh har bhakt lagey pyaara hee.
Lekin zaroori hai ye satya rakhna yaad Ki Unkee kripa bin Unke swaroop ko nahin ho sakte hum praapt Iske liye pashu bhaav tyaagna toh hai yakeenan anivaarya Chaahe hum karein koi bhi maansik ya shaareerik kaarya.
Pashu se insaan bann-ne ka hai ye safar Yaad rakhein hum ki Guruji kee hum par hai nazar Hum khushnaseeb hain ki Guruji kee baras rahi hai mehar Kitna zaroori hai ki hum karein Unkee is mehar kee kadar.
Seekh jaayein karna apne vikaaron par niyantran Na dein kisee nakaaraatmak vichaar ko nimantran Karein Guruji aur Gurbani ka manan aur chintan Pashuon ke vyavhaar ko tyaag kar bande jaayein bann.
Guruji mein sirf Guru nahin, balki hamaare Prabhu aur naath Hain Ve toh meet aur maargdarshak bannkar bhi sada hamaare saath Hain Ve hamein paashon se mukt karaane wale Pashupatinath Hain Khushnaseeb hain ve bhakt jinhonei Guruji ke aadesh kiye atmasaat hain.
Pashu se jabb hum banenge insaan Toh prasann hongei Guruvar meharbaan Ye uddhaar hoga Unka diya daan Jis se ho jaayega hamaara kalyaan.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1989
Sahaara
Na antas mein hai kshamta Na mann mein hai samta Guruji, Aapke naam ka hai sahaara Jisne sainkdon kee matt ko hai sudhaara.
Na hai mujhe asal gyan Na kar paaoon dhairya se dhyan Guruji, Aapke simran ka hai sahaara Jiske dwaara Aapne kitnon ko hai taara.
Aasakti ko na tyaag paaoon Moh maya kee nidra se na jaag paaoon Guruji, Aapke maargdarshan ka hai sahaara Jiske liye anekon ne hai Aapko pukaara.
Na ho paaye mujhse sarvsamarpan Bin hichkichaaye na dekh paaoon darpan Guruji, Aapse rehmat aur kshamaa ka hai sahaara Jinse dhul jaaye mere bheetar ka mal saara.
Shukrana karna aksar na rahe yaad Shikaayat shikva mein ho jaaye waqt barbaad Guruji, Aapki niswaarth mamta ka hai sahaara Jis se Aapne meri akritagyata ko bhi hai sweekaara.
Haalaat se ho jaati hoon majboor Lekin soch bhi na sakoon kabhi apne ko Aapse duur Guruji, Aapki ruhaani maujoodagi ka hai sahaara Jisne sada yaad dilaaya hai bheetar ka divya dwaara.
Aapki kripa bin koi bhi sahaara dikh na paaye Aapki kripa se hee har sahaara mujhe sambhaal paaye Guruji, Aapke kamal charnon ka hai sahaara Kyunki Aapki sharan ke bin ek pal bhi nahin hai mera guzaara.
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1988
Gaaon Ka Har Ghar Parivaar
Sukh shanti thee gaaon ke ghar ghar mein Sabhi kee bahut shraddha thee Bholenath Har mein Waqt badalte badalte gaaon vaasiyon kee badhne lagi aasakti Logon kee aapas mein aur bhautik padarthon mein bhi Kuch samay baad toh sukh shanti pehle si na rahi.
Aasakti ke kaaran bhed bhaav badhne lagaa Moh maya mein phanskar koi koi toh raat bhar jagne lagaa Kaam krodh lobh ne bhi kitnon ke mann ka chayyn liya cheen Ruhaaniyat mein in sab baadhaaon ke aane se manobal hua ksheen.
Madd aur ahankar badhne lagaa aasakti ke kaaran Kumm honei lagaa βOm Namaha Shivayaβ ka ucchaaran Ashubhta aane lagi vaataavaran mein Neerasta chhaayi paryavaran mein.
Ichchaaon ke badhne se zyada honei lagaa bhayy Vishwaas aur atma-vishwaas kumm hua, badh gaya sanshay Mitne lagaa sukh shanti ka naam-o-nishaan Shukr hai ki kuch virlon ko yaad raha japna Bholenath na naam.
Ve chandd loag βOm Namaha Shivayaβ ka japp karte rahe Ve Guruji ke dikhaaye maarg par chalte rahe Bheed kee doosri thi disha Lekin unn chandd logon ko na daraa paayi nyoon paksh kee nisha Unhe Guruji par thaa vishwaas poorna Unka samarpan thaa sampoorna.
Ve karte rahe Shiv avatari Guruji se dua Ki gaaon mein jis jis se bhi paap ya dosh ho hua Guruji kar dein poore gaaon ko kshamaa Aur bakhsh dein phir se sukhad shant samaa.
Ve Guruji kee mahima gungunaate rahe Guruji unse sewa aur satsang karvaate rahe Unhonei apni galatiyon ke liye bhi kiya praayashchit Unkee atma par se daag Guru kripa se gaye mitt.
Gaaon mein Guruji ke naam ka amrit barasta raha βOm Namaha Shivayaβ goonjta raha har sadak har moad par Guruji kee mehar se nisha se uday hui sundar sehar Aasakti dukh vikaar ke bandhanon ko toad kar.
Uss sehar kee dhoop kee har kiran ne Guruji ke aadesh par madad kee dukh ke haran mein Sabhi ghar shubh huey uss dhoop se Sabhi ko bakhshish milee Shivji ke Guru roop se.
Guruji ne bachaaya poora gaaon Dekar Apne naam kee sheetal chaaon Gaaon ke sabhi vaasiyon ne chhooye Guruji ke charan Maangi sabne Guruji se sada ke liye Guruji kee sharan.
Gaaon mein ek baar phir hui santushti aur shanti Gaaon kee oorja muskuraayi dekhkar Guruji ke naam kee kanti Sabhi tarr gaye, mitt gaye sabhi ke mann ke vikaar Bin bhed bhaav aur aasakti ke sukhi hua gaaon ka har ghar parivaar.