Vo Savera Ho Jaayega Sabhi Ka (07/29/2023)

July 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1987

      Vo Savera Ho Jaayega Sabhi Ka

Guruji ke darbar mein
Sab hain ek samaan
Phir kaun raja toh kaun rankk
Sabhi hain buss insaan.

Kisee kisee ko insaaniyat yaad rehti hai
Kisee kisee ko bhool jaati hai
Kisee ko insaaniyat sataati hai
Toh veh banta asur ka saathi hai.

Kisee kee ruhaaniyat mein insaaniyat samaati hai
Kisee kee ruhaaniyat mein insaaniyat bulaane par bhi nahin aati hai
Ruhaani praani toh hum sab hain hee, anubhav hai ye safar insaaniyat ka
Isliye dono kee ekta se hee laabh hai ibadat ka.

Guruji ke darbar mein bhed nahin sikh hindu isaai musalmaan mein
Guruji kee mehar se ruhaaniyat chamke insaaniyat ke sangg sabhi ke praan mein
Sab bande hain kudarat ke
Sab maare hain karmon se banee kismat ke.

Guruji Gurbani ke dwaara insaaniyat ka paath padhaayein
Guruji bhakton ke bheetar ruhaaniyat kee chamak par se dhool hataayein
Niswaarth sewa karne ka dein Ve protsaahan
Taaki sabhi banein khushi phailaane ka vaahan.

Guruji kee kripa se insaaniyat aur ruhaaniyat ka vilay rahe sabhi ke bheetar
Guruji kee dee sumat se sabhi sadupyog mein laayein atma-sudhaar ka avsar
Phir andhere ke peechhe chhipa hai jo suhaana savera
Vo savera ho jaayega sabhi ka, uska, tera, aur mera.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Vo Savera Ho Jaayega Sabhi Ka (07/29/2023)

Guru Govind Mein Sada Basenge Bhagwaan (07/28/2023)

July 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1986

Guru Govind Mein Sada Basenge Bhagwaan

Asha ho ya ho niraasha
Sab hai duniya ka tamaasha
Na bhoolo safar ke saar aur mool ko
Sweekaaro phool aur shool ko.

Kalyuga mein maya aur avidya ke raaj ke kaaran chhaaya hai andhkaar
Shukr manaao ki Guruji rahe Hain tumhaari zindagi ko sanvaar
Yaad rakho raaste aur manzil ke mahatva ko
Karmon ka hisaab chal raha hai isliye nibhaate chalo apne kartavya ko.

Aastha se sajaao apna raasta
Saboori dwaara badha lo adheerata se duuri
Neevenpann mein doobo lo apna mann
Dekhna, nikharne lagega jeevan.

Sahaanubhooti rakho har praani ke prati
Pyaar ke bhaav ka karo niswaarthata se shringar
Uss pyaar ko tum yoon barsaao baarambaar
Ki tumhaare yogdaan se behtar baney sansaar.

Prakriti ke niyam aur faisle ko koi rok sakta nahin
Aur divya nirnay toh sada hota hai sahi
Kintu agar har jann deta chale apna sakaaratmak yogdaan
Toh vinaash kaal mein bhi gumraah nahin hoga insaan.

Pralay ke pashchaat phir awashya hoga nirmaan
Guruji kal bhi thei, aaj bhi Hain, aur kal bhi hongei shaktimaan
Insaaniyat ka farz nibhaakar karo Guruji ke bakhshe har shwaas ka sammaan
Duniya badle, ya yug badalte rahein, Guru Govind mein sada basenge Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Govind Mein Sada Basenge Bhagwaan (07/28/2023)

Sabse Vaddi Vadiyaayee (07/27/2023)

July 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1985

          Sabse Vaddi Vadiyaayee

Param poojya Guruvar,

Diya hai Aapne sabhi bhakton ko
Sarvsampann honei ka adhikaar
Lekin is uddeshya praapti ke raaste mein
Rukaavat bann jaate hain hamaare apne hee vikaar.

Aapka naam japte huey kartavya hai hamaara ki rakhein Aapka maan
Vo yaad rahe ya nahin, par yaad rehta hai karna abhimaan
Kaam, krodh, moh, laalach bhaari padte hain aksar
Saath mein bheetar vaas karne lagte hain madd aur matsar.

Hota hee nahin hai hamein iska ehsaas
Samajh baithte hain hum swayam ko khaas
Badhti jaati hai bhautik praapti aur aasakti kee pyaas
Aur santushti bann ke reh jaati hai ek aas.

Santushti nahin toh nahin hoti prassannata
Phir duuri badhaati hai hum se sarvsampannata
Phir antas mein uthte hain shanka bhare sawaal
Aur bechayyn ho jaata hai khud ka haal.

Sumat bakhshiye, Guruvar, ki hum dhyan dein swayam ke sudhaar par
Aur shukraguzar rehkar santusht rehna seekhein ruhaaniyat ke aadhaar par
Satark rahein ki apna karma karein lekin doojon ke karmon mein na jaayein ulajh
Aapka naam japte japte hamein asal gyan aaye samajh.

Apni galatiyon ka aarop doojon par na lagaayein
Aapki sharan mein rehkar vikaar rahit ho paayein
Hamaari soch chhoti, Aap aur Aapki soch kee hai sabse vaddi vadiyaayee
Jisne hum jaison kee naiya pehle bhi hai paar lagaayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sabse Vaddi Vadiyaayee (07/27/2023)

Sansaar Aur Srishti Ke Paalanhaar (07/26/2023)

July 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1984

   Sansaar Aur Srishti Ke Paalanhaar

Param poojya Guruji,

Samay chal raha hai
Magar ruk si gayi hai zindagi
Saansein chal rahi hain
Kintu ho na paaye bandagi.

Aap aa rahe Hain yaad
Kintu na ho paa rahi hai fariyaad
Jaanti hoon ki hoon azaad
Kintu vaise khil nahin rahe jazbaat.

Ye avidya hai ya hai maya
Ya hai dono ka hee saaya
Jo mere bheetar aur baahar hai chhaaya
Jiske kaaran antas mein sangharsh hai samaaya.

Aapki oar se vilamb toh hai darasal sahi waqt ka intazaar
Jiske aane par Aap swayam hee karte Hain uss daat kee bauchaar
Jo Aapki daya se hamein milti hai
Chaahe hum uske laayak hon ya nahin.

Ye jaante huey bhi hoon udaas
Ye agyan nahin toh aur kya hai, Guruvar?
Gyan ke deep kee lau ko dekh paayein mere antas ke chakshu
Apni kripa kar deejiye mujhe aisa var.

Meri naadaani ke liye kar deejiyega mujhe
kshama
Haunsala bakhshte rahiyega taaki meri atma ko bin ghaayal kiye beet jaaye ye samaa
Jaanti hoon ki Aap har lenge har dukh santaap
Jaanti hoon ki poore Brahmand ke Shehehshah Hain Aap.

Anaari hoon, Aapke samaksh hoon bhikhaari
Duur kar deejiye tann mann atma kee har beemaari
Aapki mehar se nikhar jaaye sabka ghar parivaar aur ye sansaar
Aap mein hee Shiv, Aap mein hee Shakti, Aap Hain sansaar aur srishti ke paalanhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sansaar Aur Srishti Ke Paalanhaar (07/26/2023)

Pareekshak Meharbaan (07/25/2023)

July 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1983

           Pareekshak Meharbaan

Ye tere bhaav ka imtehaan hai
Shaayad tujhe is baat ka gyan hai
Guruji ko bharpoor shraddha aur pyaar arpan kar
Chod kar har aashanka aur darr.

Ye pareeksha hai dharma kee
Ye parakh hai tere kiye har karma kee
Tu nibhaata chalna apna har kartavya
Guruji ye jaan lenge awashya.

Mehnat na chhootne de
Atma-vishwaas na tootne de
Aata hai zindagi mein kabhi kabhi aisa viraam
Jabb kaheen khoney lagta hai chayyn aur aaraam.

Guruji le rahein hain imtehaan anokha
Yakeenan nahin lagg raha hoga ye saukha
Prashnaavali ke bajaaye ismein hain paheliyan
Isliye nishtha aur saboori ko banaa tu apni saheliyan.

Guruji kee kripa se har paheli jaayegi sulajh
Tu bodh aur dhyan dwaara Guruji ka aadesh samajh
Ve rahein Hain tujhe taar
Tu kaayam rakh apna karaar.

Ye tathya hai bilkul sahi
Ki hai tu akela nahin
Guruji Hain tere angg sangg is imtehaan mein
Rakh vishwaas aur jhaankta chal apne gireban mein.

Apni khaamiyon par karta chal kaam
Leta chal tu Guruji ka naam subah shaam
Guruji aur Unka naam Hain atyant mahaan
Sarvottam hoga imtehaan ka parinaam
Sarvashreshth hoga teri mehnat ka anjaam
Guruji Hain pareekshak meharbaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pareekshak Meharbaan (07/25/2023)

Tarr Jaayega Tu Aur Tera Mann (07/24/2023)

July 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1982

Tarr Jaayega Tu Aur Tera Mann

Na shanka se, na sanshay se
Na jaanch kee bhavna na bhayy se
Na krodh se, na aazmaaish se,
Na virodh se, na bhautik khwaahish se
Chhoo le Guruji ke charan aye jann
Tarr jaayega tu aur tera mann.

Na dimaag se, na hisaab se
Na koi vaad vivaad se
Na roab se, na akad se
Balki bhaav vimamr se
Kar le Guruji ka chintan aye jann
Tarr jaayega tu aur tera mann.

Na baraabari se, na khoti khari se
Na tarjan se, na bhaav khandan se
Na mukaabale se, na hoad ΰ€Ήΰ₯‹ΰ€‘ΰ€Ό se
Balki shraddha se haath jod ke
Kar le Guruji ko naman aye jann
Tarr jaayega tu aur tera mann

Na bal se, na chhal se
Balki bhaav nishchhal se
Na shikva se, na shikaayat se
Balki imaan bhari ibadat se
Kar le Guruji ka vandan aye jann
Tarr jaayega tu aur tera mann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tarr Jaayega Tu Aur Tera Mann (07/24/2023)

Guruji Kee Divya Leela (07/23/2023)

July 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1981

           Guruji Kee Divya Leela

Guruji kee divya leela ka kya kehna
Har bhakt chaahe Unkee chhatr-chhaaya mein rehna
Guruji ke paraakram mein hai aisa prataapi dumm
Ki shukrana pratiroop samast shabd padd jaayein kumm.

Taakat Guruji ke tapp kee
Oorja Unke bakhshe japp kee
Karti hai bhakton ka uddhaar
Dekar unke antas ko sanvaar.

Shakti Guruji ke diye simran kee
Chetna jo saugat hai Unke chintan kee
Deti hai bhakton ko taar
Saaf kar unka mann aur mann ka dwaar.

Mamta Guruji ke aanchal kee
Komalta Unke dil kee
Laati hai bhakton par nikhaar
Dekar unko pyaar dulaar.

Pitritva ka bhaav Guruji ka
Sneh ka bahaav Guruji ka
Deta hai bhakton ko jeene ka sanskaar
Sikhaakar unhe ki kya hai shuddh aachaar.

Mahima Guruji kee vadiyaayee kee
Roshni Guruji kee guruyaayee kee
Deti hai bhakton ko noorani sakaash
Bhar ke unke jeevan mein gyan ka prakash.

Guruji kee leela mein basaa anugraha jabb bhakton ko hai milta
Toh lok aur parlok ke sanvarne se unka bhaagya hai khilta
Guruji kee leela hai hee aisee anokhi aur niraali
Ki Unke sabhi bhakt hain atyant bhaagyashaali.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Divya Leela (07/23/2023)

Kar Li Galatiyan (07/22/2023)

July 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1980

                    Kar Li Galatiyan

Kar li galatiyan, abb kya?
Kya tayyaar hain hum praayashchitt karne ke liye?
Kya jaley hain hamaare mann mein pashchaataap ke deeye?
Kya humne apne vichaar abb nirmal hain kiye?

Agar hamaari neeyat ho gayi hai nek
Toh maafi maangte huey maatha lein tek
Kewal tann se nahin, balki antarmann se
Aur maang lein bakhshish Guru Bhagwan se.

Bakhshish maangein simran ke dauran
Bakhshish maangein subah aur shaam
Swayam ke aantarik sudhaar par karein kaam
Karein apne Guruji ka sammaan.

Guruji Shiv Puran padhne sunn-ne ke liye kahein
Kyun na hum Unke kehne mein rahein?
Shiv Puran mein bhi toh hai likha
Agar humne padhi hai toh hamein bhi hoga dikha
Ki β€˜pashchataap hee paap karne wale paapiyon ke liye sabse bada praayashchit hai’
Isliye isey yaad rakh kar iska anusaran karne mein yakeenan hamaara bhi hitt hai.

Guruji ne thaama hai hamaara haath
Phir sanshay kee nahin hai koi baat
Unkee bakhshish se hum jaayenge tarr
Pashchaataap aur praayashchit se sudhar jaayega hamaara ye safar.

Guruji bakhshanhaar Hain
Guruji taaranhaar Hain
Shaayad Unkee bakhshish se bada nahin hai koi bhi kalyaan
Yoon hee toh nahin Ve Hain Guru ke roop mein swayam hee Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kar Li Galatiyan (07/22/2023)

O Vatika Vandan Kee (07/21/2023)

July 21, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1979

             O Vatika Vandan Kee

O vatika vandan kee
Ye nahin hai sugandh chandan kee
Na hee khushbudaar gulab kee
Balki in sabse bhi lajawaab kee.

O vatika vandan kee
Ye sugandh hai Guruji ke spandan kee
Ismein oorja hai chitt ke manthan kee
Ismein shakti hai karvaane chintan kee.

Is sugandh mein hai Guruji kee leela aabaad
Is sugandh mein basaa hai Unka ashirwaad
O vatika, jo bhi praani aayega tere parisar mein
Ye sugandh usey karegi harshit aur basegi uske mann mandir mein.

Guruji kee inaayat miltee hai ismein
Guruji kee ruhaaniyat khiltee hai ismein
Ye kewal sugandh nahin, ismein toh Guruji kee divyata samaayi hai
O vatika, tu dhanya hai ki tere aanchal mein ye aayi hai.

Guruji tujh par huey Hain meharbaan
Diya hai tujhe is ruhaani sugandh ka daan
Lekin kabhi ye sugandh na bhi aaye, toh tu na hona pareshaan
Kyunki Guruji jisey bhi de dete Hain Apne charnon mein sthaan,
Ve sada karte Hain uspar nadar
Ve sada barsaate Hain uspar Apni mehar.

Is sugandh mein basey anugraha ka jabb jabb ho tujhe ehsaas
Toh vinamr hoti jaana, na karne dena ahankar ko apne bheetar vaas
Vinamrata se tujh par aisa chadhega Guruji ka noor
Ki tu ho jaayegi har anuchit sanskaar se duur.

Tere hriday mein shraddha ke suman khilenge
Jinhe titaliyan aur bhanvare aakar milenge
Teri oar aakarshit hongei matvaale moar
Divya sugandh phailegi tujhmein har oar.

O vatika, apni sakaaraatmak soch ko tu rakhna aabaad
Guruji ke prati sada rakhna shraddha bhaav se saje apne jazbaat
O vatika, na bhoolna karna Guruji ka dhanyawaad
Jinhonei diya hai aur dete rahenge tujhe Apna ashirwaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

O Vatika Vandan Kee (07/21/2023)

Raahi Ka Jeevan (07/20/2023)

July 20, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1978

                 Raahi Ka Jeevan

Karoon kya
Jaaoon kahaan
Niraasha dikhti hai
Jaaoon jahaan
Baahar maya
Bheetar avidya
Andhera yahaan
Andhera vahaan.

Khud ko aisa baar baar kaha
Jaise jaise raahi thaa chal raha
Yakeenan usne kaafi kuch thaa saha
Dheeraj toota, toh yoon bhaav baha.

Beet chuke thei saal kayi
Ummeed nahin dikh rahi thi nayi
Maatha tek kar dar dar
Thakk gaya thaa maano uska sir.

Chalte chalte lagi usey pyaas
Ek chhoti si jheel thi paas
Vahaan paani peene ke liye baitha aur jhuka
Paani mein apne peechhe kisee ka pratibimb dekh kar ruka.

Uske peechhe ek sadhu khade thei
Dikhne mein raahi se bade thei
Sundar si muskaan aur maathe par tej sunehra
Maano jaise pehna ho ruhaaniyat ka noorani sehra.

Sadhu ne apne kamandalu se raahi ko amrit pilaaya
Raahi ko amrit peekar ek anokha anand aaya
Sadhu ne kaha, hoga sab achcha
Mera aisa kehna hai sachcha.

Raahi ne dekhi sadhu kee aankhon kee gehraayee
Usey sadhu kee baat mein lagi sachchaayee
Raahi ne sadhu ko kiya pranaam
Aur sir jhuka kar poocha unka naam.

Sadhu ne kaha, β€˜Mujhe Guruji kehte hain sab.’
β€˜Mai hoon apni sangat ke liye Rabb.’
Aisa sunn kar raahi ne sir uthaaya
Aur uss pal veh aashcharya se ghabraaya
Kyunki sadhu thaa hee nahin vahaan
Ek kshan pehle veh khada thaa jahaan.

Raahi ko lagaa ki usne sapna dekha
Lekin phir usne mitti mein dekhi amrit kee rekha
Usey ho gaya poora vishwaas
Ki Guruji aaye thei uske paas.

Uska roam roam harshaaya
Usne shukrana ka geet gaaya
Jaan gaya ki veh amrit thaa Guruji ka diya prasad
Maan gaya ki Guruji ne diya usey ashirwaad.

Uske bheetar jali ek ujjwal jyoti
Usey har pareshaani lagne lagi chhoti
Guruji ke ashirwaad se veh gaya tarr
Chod diya usne bhatakna dar dar.

Guruji kee kripa se usey mila achchi sangat ka saath
Abb toh veh Guruji mein magn rehne lagaa din raat
Apna kaam kaaj aur farz nibhaata chala raat din
Kuch bhi na karta thaa Guruji ka naam liye bin.

Raahi ka jeevan hua suhaana
Mila usey Guruji ne naam ka khazaana
Guruji ke darshan se mila usey aajeevan sukh
Agyan anjaan raahi se veh bann gaya Gurumukh.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Raahi Ka Jeevan (07/20/2023)