Vishwa Paryaavaran Divas (06/05/2022)

June 5, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1568

        Vishwa Paryaavaran Divas

Vishwa Paryaavaran Divas hai aaya
β€˜Kewal Ek Prithvi’ is naare se prakriti ka sammaan karte rehne kee chetaavani laaya
Paryaavaran ke poshan mein har taruvar ka hai bahut mahatva
Isliye aayiye pedon ke prati hum nibhaayein apna kartavya.

Har taruvar mein hai taazagi
Anokhi si hai sheetalta
Ye mandd mandd hilna patton ka
Ye hariyali, ye nirmalta…..

Ye teheniyan aur ye sundar suman
Jinhe dekh ullaasit ho raha hai ye mann
Phaylaa rahe hain ped apni sundartaa har kshan
Mil raha hai hum sabhi ko shuddh saanson ka dhan.

Aaj har ped paudhe ko khaas naman
Inkee badaulat shuddh rehta hai vaataavaran
Karte hain udaas mann kee udaasi ka haran
Har tareh se hain ye mangal karan.

Jabb se banee yeh srishti
Devi devataon kee bhi rahi pedon par drishti
Kalpavriksh aur Parijaat
Puraanon mein hain vikhyaat.

Peepal ka ped tabb se prateek hai yog bal kee prerna ka
Vat vriksh se milti subuddhi aur chhaaon
Aam ke ped ka mahatva hua dridh vishwaas ke liye
Aur anginat varshon se pedon se harey bharey rahe hain sheher aur gaaon.

Prakriti ka diya uphaar hain ye ped
Srishti ke sukh ka ek anmol aadhaar hain ye ped
Ped kee shakhaon ke beech ghonsala banaakar
Pakshi parivaar basaate hain
Kaheen par bhi udd kar jaayein lekin
Laut ke isee ghar mein aate hain.

Gileheriyan apni natkhat chaal
Pedon kee teheniyon par khelte huey karti hain
Neeche baithe kookar laachaar ho jaate
Lekin gileheriyan nahin darti hain.

Oxygen dekar aur carbon dioxide lekar
Ped nirantar dete hain hamein jeevan daan
Aahaar, aushadhi, lakdi dekar
Ye saabit karte hain apna anmol yogdaan.

Sach mein ped hain itne mahaan
Phir bhi inhe ujaadte gaye hum insaan
Abb jo jaan par hai bann aayi
Toh chetna kee awaaz kee hui hai sunvaayee.

Ashuddh ho gaya vatavaran
Beemariyan ho gayin zyada
Pashu pakshi bhi lupt hotey gaye
Sukh shanti mein padne lagi baadha.

Pedon ke upkaar ka hum par karz hai
Isliye bhi aur ped lagaana hamaara farz hai
Ped lagaane ka abhiyaan
Ye hai maanav jaati ka ek imtehaan
Aayiye sab mil kar ped lagaayein
Aur dharti maa ko ujadne se bachaayein.

Hum sabb hain pyaare Guruji ke bachche
Ve khush hotey Hain jabb hum karte hain kaam achche
Banaayein aaj ke din ko prakriti ke aadar ka paawan parv
Sada prakriti kee izzat karein taaki Guruji ko ho hum par garv.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Vishwa Paryaavaran Divas (06/05/2022)

Aadarneeya Guruji (06/04/2022)

June 4, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1567

    Aadarneeya Guruji

Na mai lekhak hoon na shaayar
Na hoon koi gaayak ya kalaakaar
Ek naadaan si bhakt hoon Guruji kee
Karti hoon Unse behad pyaar.

Meet kee preet hai Guruji ke pyaar mein
Pita ka laad hai Guruji ke dulaar mein
Mata kee mamta saji hai Unke aanchal mein
Bhraata ka aashray basaa hai Unke divya bal mein.

Guruji kee guruyaayee mein hai susajjit kayi janmon ka vaada
Hamein kabhi bhi na chodne ka atoot iraada
Sampoorna srishti ka sukh hai Unkee sharan mein
Kalyaan kee manzil hai Unke kamal charan mein.

Guruji kee aankhon mein hai mahasaagar se bhi gehri gehraayee
Unkee har leela mein hai Unkee vaddi vadiyaayee
Ek saumya anokhapan hai Unkee banaayi mudraaon mein
Suraksha kee sheetalta hai Unkee goad kee chhaaon mein.

Dil chaahe Unkee prashansa mai karti jaaoon
Magar Unkee taareef ke liye alfaaz dhoondhte huey khud hee kho jaaoon
Unhee kee chhavi ke spandan mein
Unke noor ke ruhaani aakarshan mein.

Jinhonei lee hai saari sangat ke kalyaan kee zimmedaari
Jinke saamne har dusht-ta mehsoos karti hai laachaari
Jinke ashirwaad se duur ho sakti hai har beemari
Unn aadaraneeya Guruji par mai toh jaaoon vaari.

Har bhakt ka anokha rishta hai Guruji ke sangg
Har bhakt kee bhakti ko mera aadar bhara naman
Shukrana karte huey har pal yeh arzi hai Guruji se
Ki Unkee kripa se khila rahe saari sangat ka jeevan roopi chaman.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aadarneeya Guruji (06/04/2022)

Gurbani (06/03/2022)

June 3, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1566

             Gurbani

Sunn sunn kar Guruon kee bani
Sanvarti jaa rahi hai sangat kee zindagaani
Yeh sachchaayee jisne aaj aur abhi takk nahin bhi hai jaani
Kal har uss shakhs kee rasna bhi sunaayegi Gurbani kee mahima kee kahaani.

Guruji Gurbani sunn-ne ke liye kahein
Jitna ho sakey, hum Gurbani ko sunte rahein
Gurbani karti hai kaam aushadhi ka
Dikhaati hai raasta sumati ka.

Har shabad ka hota hai mahatvapoorna sandesh
Har shabad mein samaata hai gyan
Shabad ke sur aur taal, shabd, vyaakhya aur drishtant
Sabhi hain poojaneeya aur mahaan.

Hai yeh Guruon kee inaayat
Karti hai chetna ko jaagrit
Jagaati hai soyi hui insaaniyat ko
Sundar saaz deti hai ibadat ko.

Gurbani ka ruhaani spandan
Sajaa deta hai bhaav aur vandan
Ho khushi ka lamha ya phir ho gumm ka kshan
Gurbani se raahat paata hai mann.

Gurbani ka shravan de chitt ko shanti
Gurbani ke ashirwaad se nikhar jaaye ruh kee kanti
Gurbani ka divya amrit de sakta hai jeevan daan
Gurbani ke kirtan kee shakti hai mahaan.

Gurbani ke prabhaav se hota hai antakaran ka pavitrikaran
Gurbani mein aisa prataap hai ki hota hai kashton ka haran
Jeene ka saleeqa sikhaati hai Gurbani
Tarne ka tareeka bataati hai Gurbani.

Har dukh ka marham hai Gurbani
Guruon ka hukm hai Gurbani
Karti sarbat ka kalyaan hai Gurbani
Nirankaar ka paigam hai Gurbani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Gurbani (06/03/2022)

Guruji Ne Bulaaya Apne Paas (06/02/2022)

June 2, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1565

      Guruji Ne Bulaaya Apne Paas

Guruji ne bulaaya Apne paas
Bithaaya Apne charnon mein
Baatein kee thodi bahut
Itna anand aaya unn lamhon mein.

Phir Ve khade huey aur mai bhi jhat se hui khadi
Achaanak drishya hee badal gaya aur saamne pahaad par meri nazar padi
Hari ghaas thi pahaad par, neela aur ujjwal thaa aasmaan
Guruji ne pahaad kee doosri oar ishaara kiya aur mainey dekha vahaan.

Uss paar ek adbhut prakash thaa jab ki aasmaan thaa gerua
Mujhe sehasaa vahaan jaane ka aakarshan hua
Guruji antaryaami Hain, pehchaan gaye meri neeyat
Kaha Unhonei mujhse ki aane hee wala hai veh haseen waqt.

Pehli baar dekha mainey Guruji ko
Sadhu ke se vesh mein
Yakeen hai Unkee har baat par
Ki pahunchoongi pardes se swadesh mein.

Na jaane Guruji ke sangg bitaaye tabb maine kitne pal
Guruji kee leela se drishya phir se gaya badal
Paaya khud ko nidra se jaagte huey
Guruji ka pyaara naam pukaarte huey.

Telepathy aur seedhi taar se Guruji ne diye swapn mein darshan
Kaise bataaoon ki mujhe kitne anmol lagey ve kshan
Jis mukaam kee Unhonei baat kee
Ve hee jaanein ki kab pahunchoongi vahaan
Mai toh buss itna hee jaanoon
Ki Unke charnon mein hee hai mera jahaan.

Phir chaahe veh jahaan ho is paar ya uss paar
Guruji kee kripa se karoongi Unke hukm ka intazaar
Guruji mehar karein ki intazaar kee ghadiyan na jaayein bekaar
Unse judi rehkar mai Unka Shukrana karti rahoon baarambaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ne Bulaaya Apne Paas (06/02/2022)

Nitya Aur Nirmal Hai Guruji Ka Pyaar (06/01/2022)

June 1, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1564

Nitya Aur Nirmal Hai Guruji Ka Pyaar

Chalte chalte is zindagi ke daur par
Kuch loag milte hain, kuch bichhad jaate hain kisee kisee moad par
Kuch virle hee sangg chalte hain poora raasta
Magar is naadaan dil ko ho jaati hai sabhi par aastha.

Tabhi toh Guruji sikha rahe Hain
Is kalyuga ka drishya dikha rahe Hain
Na jaane yeh dil kabb isey sweekaarega
Tabb takk ye shaayad logon par jaan vaarega.

Koi kitna bhi achcha ho
Zaroori toh nahin ki veh de sthaayi pyaar
Shukr hai kuch kuch seekh raha hai abb dil
Aur chod raha hai is pyaar ka intazaar.

Na jaane kiska sachcha aur kiska jhootha saabit ho vaada
Kabhi kabhi palak jhapakne se pehle badal jaata hai logon ka iraada
Har koi nahin hota aisa, is baat ka hai shukr
Lekin agar ghanisht hee gairon ka sa bartaav karey, toh kis se karein zikr?

Shukr hai Guruji ka vaada toh pakka hai
Aur Ve har pal saath nibhaate Hain
Aur khaaskar jis moad par dil toot-ta hai
Uss moad par toh Ve awashya yeh dikhaate Hain.

Unkee mamta hai beantt
Unkee anukampa hai anant
Unka aanchal hai sukhdaayee
Unka sahaara hai sthaayi.

Ve kabhi na karein vishwaas ghat
Ve samjhein bin kahi hui baat
Jabb ye zindagi hee hai Unkee dee daat
Toh Unse hichkichaane kee hai nahin koi baat.

Toote huey dil ke liye marham hai Unka dulaar
Unka simran le jaata hai chitt ko duniyavi uljhanon ke paar
Ve sikhaate Hain karna pyaar bin aasakti ke
Bahut ruhaani shakti miltee hai Unkee bhakti se.

Isliye har ummeed, har apeksha ko chod kar
Yaad rakhna hai ki Guruji sangg Hain har moad par
Nitya aur nirmal hai Guruji ka pyaar
Zindagi ke daur mein har moad par ye milega baarambaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nitya Aur Nirmal Hai Guruji Ka Pyaar (06/01/2022)

Jab Jab Guruji Ko Yaad Kiya (05/31/2022)

May 31, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1563

      Jab Jab Guruji Ko Yaad Kiya

Jab jab Guruji ko yaad kiya
Unhe paaya apne paas
Bin yaad kiye bhi aksar
Dilaate Hain Ve Apni maujoodagi ka ehsaas.

Chola choda Guruji ne
Lekin bhakton ka saath nahin
Jis divya haath ne hamein kal thaama thaa
Aaj bhi Hai Unka haath vahee.

Guruji ka haath
Guruji ka saath
Guruji kee dee hui har daat
Ye hai anant saugat.

Yaad dilaate Hain Ve khaaskar aaj ke din
Ki jisne liya janam, usey chodna hee hoga shareer
Sikhaate Hain Guruji hum sabko har din
Ki is janam mein sanvaar lein hum aane wale janmon kee taqdeer.

Karein Unka simran, karein Unka dhyan
Na rahein saanson kee kshanbhangurtaa se anjaan
Karein Unke kiye har kalyaan ka sammaan
Koshish karein doojon ke chehre par laayein muskaan.

Paakar Guruji ka paawan pyaar
Khul jaata hai uddhaar ka dwaar
Jod kar Unse seedhi taar
Ho sakta hai bhavsaagar paar.

Guruji kee divyata hai Unke anant paraakram ka raaz
Tabhi toh khaamoshi mein bhi sunaayi deti hai Unkee awaaz
Aaj bhi hota hai aur sada hoga Unkee maujoodagi ka ehsaas
Kyunki Guruji ne deh chodi, lekin Ve Hain hamaare bheetar aur aaspaas.

Karein hum Guruji ke vachan ka anusaran
Unkee mehar se sudhaarein hum apne karam
Shukrana karein ki Unhonei dee hamein sharan
Poojya Guruji ke charnon mein koti koti naman.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jab Jab Guruji Ko Yaad Kiya (05/31/2022)

Jeevan Ke Har Pehlu Mein (05/30/2022)

May 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1562

Jeevan Ke Har Pehlu Mein

Jeevan ke har pehlu mein
Koi na koi anubhav samaata hai
Kabhi kabhi saaf dikh jaata hai
Kabhi nazar nahin aata hai.

Pehlu chaahe ho jo koi bhi
Guruji saath na chodenge kabhi
Unhonei tumhe sweekaara hai
Abb takk bhi Unhonei tumhe taara hai.

Tum karte raho Unse arzi
Ki Ve chalaayein Apni marzi
Kyunki usee mein hai tumhaara kalyaan
Usee se sampoorna hoga tumhaara jahaan.

Guruji se maangte raho bakhshish
Kyunki paap ho jaate hain aksar
Pashchaataap paap karne waalon ke liye hai sabse bada praayashchitt
Isliye praayashchitt karne ka tum na chodna koi bhi avsar.

Guruji ke ashish ke saagar mein ho tum
Unkee suraksha tumhe sambhaale huey hai har oar se
Isliye har pehlu ke har anubhav se seekhte huey
Tum bandhe raho Guruji sangg seedhi doar se.

Samay ka pahiya chalta rahega
Guruji ka ashirwaad apna kaam karta rahega
Jeevan ka pehlu badalta rahega
Tumhaara drishtikon sanvarta rahega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jeevan Ke Har Pehlu Mein (05/30/2022)

Ruh Ko Milegi Raahat (05/29/2022)

May 29, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1561

              Ruh Ko Milegi Raahat

Guruji kitna pyaar karte Hain humse
Ye hum sabne hai dekha
Unkee sharan mein aane ke baad se
Anokhe dhangg se badalti hai haath kee rekha.

Shaayad jo kuch hona thaa kayee saalon mein
Hamaari is zindagi ke dauran
Veh sab kuch kumm samay mein honei lagta hai
Kyunki Guruji is tareh se karaate Hain karmon ka bhugtaan.

Aksar beshak hoti hai hairaani
Aur hoti hai kayee baar pareshaani
Shukrana bhool kar hum kar lete hain
Guruji se shikayat karne kee naadaani.

Phir bhi pyaare Guruji karte rehte Hain sahaayata hamaari
Hum na bhi jaanein toh Ve karaate Hain hamaari oordhvagati kee tayyaari
Bhakt na bhi dhyaayein Unhe, Guruji karte Hain bhakt kee parvaah har samay
Chodte nahin Apne bhakt ka saath Ve, chaahe aaye uske jeevan mein bade se bada pralay.

Duniya kitne bhi badal ke rangg
Hamaari bhakti par sada hai Guruji ka pehra
Isliye Unke naam ke simran se
Karein apni bhakti ke rangg ko hum gehra.

Khulega jabb anta-karan ka jharokha
Toh dikhega ki yeh safar hai anokha
Mehsoos hoti rahegi Guruji kee inayat
Chhootne lagegi har shikayat.

Kumm hoti jaayegi har bhautik chaahat
Mitt-tee jaayegi mann kee thakaavat
Imaandaari se hoti rahegi Guruji kee ibadat
Safar ko milega sukoon, aur ruh ko milegi raahat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ruh Ko Milegi Raahat (05/29/2022)

Sabhi Ka Safar (05/28/2022)

May 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1560

                 Sabhi Ka Safar

Safar par nikle hain sabhi
Khatm hoga yeh kabhi na kabhi
Kya manzil kee sehar dikhegi tabhi?
Ye koi na jaane.

Har kisee kee apni kamzoriyan hain
Har kisee kee hai koi taakat
Koi sochta nahin doojon ke jazbaat ka
Toh koi barat-ta hai sulook mein nazaakat.

Har tareh ke loag hain
Har tareh ke bhog hain
Kabhi kabhi toh aata hee nahin samajh
Ki maamale kyun jaate hain ulajh.

Shukr hai ki Guruji se judi hai seedhi taar
Aur Unse bhakt baant sakte hain har tareh ka haal
Varna mann mein reh jaate kitne bin jawaab ke sawaal
Jinke uttar dhoondhte dhoondhte beet jaate na jaane kitne janam ya saal.

Guruji dete Hain tassalli
Guruji dete Hain sehenshakti
Guruji dete Hain aisee prerna
Ki anta-karan kee chaal nahin thakti.

Saari sangat par ho Guruji kee aisee mehar
Ki sabhi ko dikh jaaye manzil kee sehar
Yahee dua dil mein rehti hai aathon pehar
Guruji se yahee kehti hai meri awaaz kee har leher.

Guruji ke ashirwaad se yeh safar chalta jaaye
Har din sooraj uday ho aur phir dhalta jaaye
Samay ke saath saath haalaat jaayein badal
Guruji kee kripa se sabhi ka safar ho jaaye safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sabhi Ka Safar (05/28/2022)

Kal (05/27/2022)

May 27, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1559

                                Kal

Kal ye saansein rahein ya nahin
Kal ye aansoo beh paayein ya nahin
Kal muskuraane wala chehra ho ya nahin
Lekin mujhe hai poora yakeen
Ki Guruji, Aapne jo socha hai mere liye
Veh hoga sada ke jaise bilkul sahi.

Ye duniya aur is duniya ke loag
Mann ka, atma ka, ya shareer ka roag
Inke alawa jo bhi hain bhautikvaad ke bhog
Ye sab toh raaste mein aayenge hee.
Lekin Aapki mehar rahi toh kuch pal ke saathi bannkar
Ye saare meri zindagi se jaayenge bhi.

Is beech bhi Aap kripa kar sambhaal lena
Taaki mai bhatak na jaaoon
Raaste par aane wali rukaavaton se
Mai vichalit na ho jaaoon.

Kyunki rukaavatein karengi apna kaam
Tabhi toh hoga mere karmon ka bhugtaan
Jaanti hoon ki Aapki mehar miltee rahegi is dauran
Aur Aapki sharan mein hoga mera pooran kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kal (05/27/2022)