Aap Hain Taruvar Vishaal (05/09/2020)

May 9, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 811

  Aap Hain Taruvar Vishaal

Guruji, Aap Hain taruvar vishaal
Mai mehez ek patta laachaar
Jeevit hoon Aapki dee hui oorja kee badaulat
Aapse judee rahoon jabb takk Aap de dein mohalat

Mujhe vaisa patta na bann ne dena
Jo patjhad mein ped se gir jaata hai
Aapse hai ye meri arzi
Kaash yahee ho Aapki bhi marzi

Apni kripa barsaayiye
Mujhe aisa patta banaayiye
Jo juda rahey Aapki baahon kee shaakhaaon ke saath
Kyunki Aap hee Hain mere sab kuch, mere Bholenath

Chaahe jaisa bhi tufaan aaye haalaaton ka
Mujhe na fark pade kisee kee baaton ka
Apne vishwaas mein dagamagaa na jaaoon
Sadaa Aapse jude rehkar atmabal paaoon

Shradha aur saboori salaamat rahey meri
Yeh vinamr guzaarish Aapse atma karey meri
Aap anant Hain, aye prem aur daya ke taruvar
Mujhe bhi sadaabahaar patta honei ka deejiye var

Bharee bheed mein na khone dena mujhe
Agyaanta kee neend na sone dena mujhe
Mujh patte se ek cheenti ko bhi madad mil jaaye toh apne ko samjhoongi khushnaseeb
Aapki dikhaayee raah par chaloon, taaki sadaa rahoon Aapke kareeb

Mera sanyam na kabhi bhi doley
Chaahe duniya kee bheed jo bhi boley
Aapkee ruhaaniyat kee buniyaad se paati rahoon mai dheeraj
Dua hai, ki is kalyuga mein mai banoon jaise keechad mein neeraj

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aap Hain Taruvar Vishaal (05/09/2020)

Kaheen Phool Toh Kaheen Shool (05/08/2020)

May 8, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 810

  Kaheen Phool Toh Kaheen Shool

Jeevan vatika mein kaheen phool toh kaheen shool hai
Kaheen sukh ke suman toh kaheen dukh kee dhool hai
Har haal mein hamaari raksha kar raha Guruji ka trishul hai
Guruji ka jaap aur beej mantra sarvottam aur mool hai

Isliye is samay ka karein sadupyog
Guru kee sharan mein seekhein ShivYog
Aakhir jeevan hai karambhog
Guruji milein Hain hamein, ye hai bahut hee shubh sanyog

Kaayinaat ka kaayda hee kuch aisa hai
Ki sukh ka suman sadaa nahin khila rahega, aur dukh kee dhool bhi udd jaayegi
Is dhoop aur chhaaon ke silsile mein
Zindagi apni waapasi ke liye mud jaayegi

Jo hai, veh yahee pal hai
Isey na jaane dein hum vyarth
Jitna simran hum karenge
Utna samjhenge in baaton ka arth

Samay aur srishti ke badalte rangon mein
Naam ka rangg sadaa hoga sabse gehra
Jisne naam ko kar diya sarvsamarpan
Uskee bhalaayee par sadaa hoga Guruji ka pehra

Phir chaahe ho tanhaayee ya ho tufaan
Chaahe akele hon ya saath ho saara jahaan
Kabhi bhi na mehsoos hogi laachaari
Guruji ka naam sadaa raksha karega hamaari

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kaheen Phool Toh Kaheen Shool (05/08/2020)

Guruji, Aapka Varnan Kaise Karein (05/07/2020)

May 7, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 809

Guruji, Aapka Varnan Kaise Karein

Guruji, Aapka varnan kaise karein
Jitne bhi alfaaz hon, ve kumm padein
Kripa kar is chhoti si koshish ko sweekaariye
Is Jai Jaikaar par Apni mehre nazar daaliye

Aap Hain mamta ka mahasaagar
Garima kee gaagar
Komaltaa ka kunj
Pyaar ka punj

Aap Hain Vadiyaayee kee vatika
Simran kee sarika
Udaarta ka upvan
Daya ka darpan

Aap hee Hain neevenpann ka nagma
Ruhaaniyat kee rasna
Gurbani ka geet
Saralta ka sangeet

Aap Hain taraltaa ka taruar
Saadagi ka sarovar
Amrit ka aangan
Saundarya ka saavan

Aap Hain kripa ka kinaara
Samarpan ka sahaara
Ashirwaad ka akash
Sakaaratmakta ka sakaash

Aap hee Divyataa kee duniya
Badappan kee bagiya
Nirmaltaa ka noor
Kanti ka kohinoor

Aapse hee zindagi shuru hamaari
Aap par hee ho khatm
Buss, hamein toh vaheen jaana hai
Jahaan le jaayein Aapke kadam

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji, Aapka Varnan Kaise Karein (05/07/2020)

Ik Ik Pal Hai Anmol (05/06/2020)

May 6, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 808

       Ik Ik Pal Hai Anmol

Aakhir sabko ek din hai marna
Isliye maut se kya darna
Darna chahiye burey karam se
Dosti karni chahiye dharam se

Dharam insaaniyat ka
Dharam ruhaaniyat ka
Hamaari madad karein Guruji, hamaare Parwardigaar
Taaki hameshaan ke liye duur ho sakein hamaare vikaar

Kyunki jab takk vikaaron ka prachaar rahega
Tabb takk kalyuga ka paakhand aur prahaar rahega
Chalna hamein hee hai, chaahe raasta Guruji dikhaate Hain
Anusaran hamein hee karna hai, unn sab baaton ka jo Guruji hamein sikhaate Hain

Ik ik pal hai anmol
Na jaane dein isey bekaar
Guruji ka hum simran kar lein
Sudhaar lein apne vichaar

Hamaare hee achche ke liye
Vyavhaar mein bhi aayega parivartan
Lekin sachchi koshish karni hogi
Jis se nikhar jaaye hamaara Guru vandan

Vichaar aur vyavhaar sudharne se
Vikaar mann mein ghar na banaa sakenge
Simran se mann shaktishali aur sthir banega
Aur hum vikaaron kee oar jhukne se bach sakenge

Jeevan kee asthirtaa ka ehsaas
Kabhi kabhi swayam ko shaayad bhool jaata hai
Simran mein aisa hunar hai
Ki veh is bhooli baat kee yaad dilaata hai

Simran hee yaad dilaayega
Ki Guruji ka ashirwaad hamaara ekmaatra sahaara hai
Guru naam ke simran ne toh
Anginat bhakton ko taara hai

Vikaaron ko tyaagne ka prayatna karein
Nirmaltaa ke noor se antaratma ko bhar paayein
Kyun na hum poori koshish karein
Ki Guruji kee kripa se hum tarr jaayein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ik Ik Pal Hai Anmol (05/06/2020)

Toh Hee Koi Baat Baney (05/05/2020)

May 5, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 807

   Toh Hee Koi Baat Baney

Wafaa se bewafaai jo kee toone
Toh haath mein kuch nahin aayega
Wafa se wafa nibhaa kar dekh tu
Toh hee koi baat baney

Bahut saare logon se rishtey jodna
Koi aisee badi baat nahin hai
Guruji se judey rishtey ko gehra banaa le
Toh hee koi baat baney

Khushi ke aansoon hon
Toh saath mein muskuraana aasaan hai
Gumm ke aansoon mein tu muskuraa le
Toh hee koi baat baney

Apne liye jeene kee koshish
Har koi kar leta hai
Neevenpann se doojon ke liye kuch kar le
Toh hee koi baat baney

Sab changaa chal raha ho
Toh Guruji par vishwaas salaamat rakhna aasaan hai
Sab changaa na honei par bhi jo tu vishwaas rakhey
Toh hee koi baat baney

Jyotish ke aagey sir jhuka kar
Kismat ka lekha bahut loag maan lete Hain
Lekha phir se likh dene waale Guruji ke aagey sees jhuka
Toh hee koi baat baney

Guruji se kuch milne ke baad
Shukrana toh tu kar hee dega
Har saans ka Shukrana kar ke jeeta chal
Toh hee koi baat baney

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Toh Hee Koi Baat Baney (05/05/2020)

Guruji Tere Meet Hain (05/04/2020)

May 4, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 806

           Guruji Tere Meet Hain

Guruji tere meet Hain
Teri antaratma ka sangeet Hain
Tere dil kee preet Hain
Isliye kaisa ghabrana

Guruji teri himmat Hain
Guruji teri taakat Hain
Guruji teri ibaadat Hain
Isliye kaahe ka darr jaana

Guruji tere naath Hain
Guruji tere saath Hain
Guruji Bholenath Hain
Isliye kaisa hichkichaana

Guruji divya prakash Hain
Guruji sakaraatmak sakaash Hain
Guruji dharti aur akash Hain
Isliye kaisa bhatak jaana

Guruji tere janmadaata Hain
Guruji tere annadaata Hain
Guruji tere bhraata Hain
Isliye kyun sanshay mein aana

Guruji tera ateet Hain
Guruji tera vartmaan Hain
Guruji tera bhavishya Hain
Isliye Unhee ke bharose tu chalte jaana

Guruji tere paalanhaar Hain
Guruji tere taaranhaar Hain
Guruji tere bakshanhaar Hain
Isliye tu karta chal Unka Shukrana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Tere Meet Hain (05/04/2020)

Guruji Bade Dilwaale Hain (05/03/2020)

May 3, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 805

      Guruji Bade Dilwaale Hain

Koi niyam nahin, koi upvaas nahin
Koi dikhaawe ka prayaas nahin
Guruji ke dhang niraale Hain
Guruji bade dilwaale Hain

Koi pravachan nahin, koi ahem nahin
Koi kaanoon nahin, koi vehem nahin
Guruji aish karaane waale Hain
Guruji bade dil waale Hain

Saadagi Unhe pasand, bholapan Unhe laage achcha
Khud bhi Hain nirmal, Ve chaahein Unka har bhakt ho sachcha
Guruji sangat ko taarne waale Hain
Guruji bade dilwaale Hain

Khud jaagte Hain taaki hum chayn kee neend soyein
Raasta dikhaate Hain taaki hum kabhi na khoyein
Guruji manzil par pahunchaane waale Hain
Guruji bade dilwaale Hain

Gupt paath, daan, sewa karne ko kehte Hain
Sangat ke liye itne kasht Ve sehte Hain
Guruji kashton ka nivaaran karne waale Hain
Guruji bade dilwaale Hain

Bin hamaare boley Ve hamaare mann kee baat jaante Hain
Bin hamaare kahey hamaari aslee neeyat pehchaante Hain
Guruji karmon ka hisaab rakhne waale Hain
Guruji bade dilwaale Hain

Adhiktar karam hamaare Ve swayam par le lete Hain
Jitna ho sakey, hamein kasht kum kar ke dete Hain
Guruji udaarta barsaane waale Hain
Guruji bade dilwaale Hain

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Bade Dilwaale Hain (05/03/2020)

Har Din Pehle Se Behtar Insaan Banoon (05/02/2020)

May 2, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 804

Har Din Pehle Se Behtar Insaan Banoon

Mai gunehgaar Guruji maaf karein
Mera maylaa mann Ve saaf karein
Mai raah mein bhatkoon toh Ve sahi disha dikhaayein
Mai bhaybheet ho jaaoon toh Ve bahadur bann na sikhaayein

Har din pehle se behtar insaan banoon
Is duniyawi ghar pariwaar ke kaam aa sakoon
Guruji, madad keejiye is prayaas mein
Taaki koi kamee na reh jaaye is aas mein

Aap raasta dikhaate jaayein, mai chalti jaaoon uspar
Aap himmat bandhaayein, jab bhi mujhe laagey darr
Mera har pal aur bhi pakka ho vishwaas Aap par
Abb toh ek pal ke liye bhi na chhoote Aapka dar

Aapse simran kee daat milee, Aap se mil jaaye gyan
Gyan se aur gehra ho jaaye mera dhyan
Isee dhyan se Aapki bhakti ka rass aur badh jaaye
Aur atma ruhaaniyat kee manzil kee oar jaane waali seedhi chadh paaye

Uss seedhi par chadhaate samay mann kee shuddhi dena
Neevanpann badhta chaley, aisee subuddhi dena
Aapke sneh aur shikshan se mera anushaasan rahey barkaraar
Aapke pyaar aur ashirwaad ke liye Shukrana baarambaar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Har Din Pehle Se Behtar Insaan Banoon (05/02/2020)

Tu Na Ho Pareshaan, Guruji Hain Tere Saath (05/01/2020)

May 1, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 803

Tu Na Ho Pareshaan, Guruji Hain Tere Saath

Tufaan aaya hai toh thum bhi jaayega
Tu na ho pareshaan, Guruji Hain tere saath
Apnon ne bagaavat kee toh kya hua
Tu na ho hairaan, Guruji Hain tere saath

Duniya kee oonch neech ne tujhe dabaa diya
Tu na ho udaas, Guruji Hain tere saath
Tere khwaab poore nahin huey toh kya hua
Tu na ho niraash, Guruji Hain tere saath

Toone koshish kee, magar safaltaa nahin milee tujhe
Tu himmat na haar, Guruji Hain tere saath
Toone ummeed ke jo chiraag jalaaye, ve zamaane kee aandhi se bujhe
Tu na ho bekaraar, Guruji Hain tere saath

Toone sach ka raasta apnaaya, lekin logon ne jhooth kehne waalon par kiya vishwaas
Tu rehna bilkul mastt, Guruji Hain tere saath
Jhooth ka kabhi na kabhi zaroor hota hai pardaafaash
Isliye na ho ast vyast, Guruji Hain tere saath

Tu buss saahas se apna farz nibhaata chal
Barkaraar rakh apna vishwaas, Guruji Hain tere saath
Tu apni bhakti aur shradha se Guruji ko rijhaata chal
Isee mein lagaa de tu har shwaas, Guruji Hain tere saath

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tu Na Ho Pareshaan, Guruji Hain Tere Saath (05/01/2020)

Shanti, Shuddhi, Sampannataa (04/30/2020)

April 30, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 802

    Shanti, Shuddhi, Sampannataa

Paisa, dhan, aishon aaraam
Sab yaheen reh jaana hai
Kuch bhi toh saath nahin jaana
Jabb antt vela aana hai

Yeh zindagi toh darasal mithya hai
Mrityu hai par satya
Isliye maut se darna chod dein
Kyunki maut hee hai tathya

Har din hum behtar insaan banein
Apni kamzoriyon par kaam karein
Taaki bhavishya mein purani galatiyon ko na doharayein
Aur har din vikaaron se duur honei kee koshish karte jaayein

Yeh bhi ek safar hai, isliye samay se hee tayy hoga
Lekin Guruji hamaare sangg Hain, isliye na koi bhayy hoga
Hum kya anuchit soch ya kar rahein hain, hamaari chetna ko hai khabar
Aur har soch aur karam ka ho raha hai hamaare bhavishya par asar

Apna nijee safar hai ye har insaan ka
Lekin sab ko ashish mila hai Bhagwaan ka
Sabko alagg alagg samay par manzil milegi
Karmanusaar niyati kee chakri phiregi

Uddhaar kee disha mein phir jaaye toh hai achchaa
Lekin uskey liye bann na hoga changaa aur sachchaa
Neki kee oar liya har kadam safar ko chhota banaa sakta hai
Aur mukti kee manzil par thoda sheeghr pahuncha sakta hai

Apni taraf se kar lein prayatna
Ki swayam mein sudhaar laayein har din
Lekin yeh mumkin nahin
Niswaarthtaa aur shradha ke bin

Isliye Shukrana ke saath guzarish karein
Ki Guruji hamaare paap harein
Aur jo buddhi aur jaagriti Ve Hain de rahey
Hum uske dwara apni yatra poori karein

Hamaari neeyat aur koshish ko Guruji pehchanate Hain
Kitne nishkapat aur nekneeyat hain hum, Ve bhali bhanti jaante Hain
Hamaara behtar insaan bann na Guruji ko dega prassannataa
Aur hamein milegi shanti, shuddhi, aur sampannataa

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shanti, Shuddhi, Sampannataa (04/30/2020)