Mera Ye Janam (07/25/2025)

July 25, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2714
                    Mera Ye Janam

Param poojya Guruji Maharaj,

Aapke naad se mera bheetar hai aabaad
Kintu mujhe abhi uskee nahin pehchaan
Phir bhi shukr hai Aapka, mere maalik
Ki mai is sundar satya se nahin hoon anjaan.

Aapki kripa kee behti dhaara
Hai mere liye atoot sahaara
Jo amrit ke roop mein mere bheetar ke vish ko dhota rahe
Aapki kripa se Aapki aseemata mein mera katra katra khota rahe.

Aapki shunyata kee sampoornata ke saagar mein basee shanti
Aapki karuna kee komalta ke kunj mein basee kanti
Jabb jabb Aap dilaate Hain inka khoobsoorat ehsaas
Toh ek aise anand se garbhit ho jaata hai mera shwaas
Jiska mai varnan kar na paati hoon
Kintu jis se mai aur bhi aakarshit hoti jaati hoon
Aapki aur Aapki mahaanata kee oar
Aur meri ruhaani aankhein dekh paati hain vo doar
Jis se Aapne mujhe joda hai Apne se
Jo kaheen adhik sundar hai kisee bhi sundar sapne se
Kyunki vo doar hai uss anmol rishte kee gavaah
Jismein Aapne dee hai mujhe Apni paawan panaah.

Jhuka hai sir mera, uspar hai Aapka haath
Shukraguzaar hoon ki mila hai Aapka saath
Aapne itnee daya kee hai mujh gareeb par
Vinamr sa naaz hota hai mujhe mere naseeb par
Ki Aapki meher se milee hai Aapki sharan
Varna vyarth chala jaata mera ye janam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Mera Ye Janam (07/25/2025)

Duniya Kee Ye Mehfil (07/24/2025)

July 24, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2713
               Duniya Kee Ye Mehfil

Duniya kee ye mehfil
Ye na teri hai na hai meri
Kuch bhi na paayega tu antt mein
Kar ke hera pheri.

Maalik Hain param poojya Guruji Maharaj
Saari sangat ke Shiv Sartaj
Unkee sharan mein hee karmon ke khaate khulenge
Unkee sharan mein hee paap dhulenge
Kyunki Unke charnodak se zyada pavitra koi jal nahin
Ve kalyaan na kar rahe hon, aisa koi pal nahin.

Is satya ko bhi rakhna hoga yaad
Ki Guruji hamaari swatantra ichcha mein na karein hastakshep kabhi
Is yaad se rakhein matt ko aabaad
Toh ho sakta hai ki khud jeeyein aur doojon ko bhi jeene dein sabhi.

Agar aisa ho jaaye sabka jeevan
Toh kalyuga swayam hee satyuga jaayega bann
Guruji hum sabse hongei kitne prasann
Jabb hum sabb Unke bande jaayenge bann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Duniya Kee Ye Mehfil (07/24/2025)

Aapke Kadmon Ke Nishaan (07/23/2025)

July 23, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2712
         Aapke Kadmon Ke Nishaan

Mere param poojya Guruji Maharaj,
Mere dayavaan sartaj,

Aapke kadmon ke nishaan
Le jaayein jahaan
Meri manzil hai vaheen
Aur kaheen nahin.

Rahoon sada Aapke kadmon ke taley
Mera kann kann dhool bann kar paley
Neeche Aapke kadmon ke
Paap dhulein mere kayi janmon ke.

Aapke kadam, Aapke vachan
Karti rahoon Inka naman
Sada jhuka rahe mera antakaran
Aapki sewa mein beete jeevan.

Mai Aapko sada khush kar sakoon
Aapko rijhaate huey kabhi na thakoon
Meri saansein bheegeein hain Aapki rehmat mein
Samarpit rahein ve sada Aapki khidamat mein.

Aap mil jaayein toh bhaagya khil jaayein
Aur koi tamanna baaki na rahe
Apne se kabhi juda na keejiyega
Mere dil kee har dhadkan Aapse ye kahe.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Aapke Kadmon Ke Nishaan (07/23/2025)

Aapka Dwaar Aur Aapki Dagar (07/22/2025)

July 22, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2711

Aapka Dwaar Aur Aapki Dagar

Param poojya Guruji Maharaj,

Pichhle janmon ke karmon ka bhaar
Bilkul bhi na sambhaal paaoon mai khud
Shukr hai Aapka, mere Prabhu
Ki Aapse gayi mai jud.

Ye deh bann jaayegi raakh kee dheri
Par Aapka ansh hai ye rooh meri
Is rooh ko Aapne liya hai chhoo
Iss rooh kee hai ye arzoo
Ki Aapko khush rakh paaoon
Aapke charnon mein tann mann se sees jhukaaoon
Aapko nihaarti rahoon
Aapko pukaarti rahoon
Aapki sunti rahoon
Kewal apni na sunaati rahoon.

Aapke deewanepann mein yoon rahoon mastt
Ki sataaye na mujhe koi chhal kapat
Sumat bakhshiye ki na karoon gaflat
Vivek deejiye taaki jaanoon kya hai sahi kya galat
Sahi aur satya ko apnaane kee deejiye buddhi
Bakshte rahiye antakaran kee shuddhi
Aapki kripa bin mumkin nahin ye sabb
Aapke charnon mein hee rehna chaahoon mai abb.

Sada bulaate rahiyega Aap mujhe Apne dar par
Kabhi na keejiyega mujhe Apne se duur, mere Guruvar
Bahut saari zindagi beet gayi karte huey agar magar
Shukr hai ki mil gaye Aapka dwaar aur Aapki dagar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Aapka Dwaar Aur Aapki Dagar (07/22/2025)

Unkee Yaad Se Aabaad (07/21/2025)

July 21, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2710
             Unkee Yaad Se Aabaad

Koi aaye lekar mann mein koi abhilaasha
Koi aaye jaan-ne dhyan aur ruhaani gyan kee paribhaasha
Koi aaye lekar koi koi asha
Koi aaye mitaane niraasha
Guruji ke dar par
Paate hee shubh avsar.

Naseebon se milta hai aisa avsar
Vo bhi Guruji ke hee bulaane par
Jahaan sangat sakti hai maatha tek
Aur Guruji badal sakte Hain unke lekh.

Kar na paaye ye Guru ke siwa koi bhi aur
Guru chaahein toh badal dein raaste ka har moad
Unhee kee kripa se manzil mil paaye
Unhee kee daya se bheetar ka kamal khil paaye.

Guruji ne thaama hai jiska haath
Guruji kabhi na chodein uss sangat ka saath
Phir chaahe ho khushnuma savera ya ho udaas si raat
Sangat sada kar paaye Guruji se baat.

Guruji se baat, ruhaani taar dwaara
Ye taar hai har sangat ka mazboot sahaara
Guruji se judey rehne ke liye
Unkee sunn-ne aur Unse kehne ke liye.

Mushkil chhoti ho ya ho badi
Har din, har peher, har ghadi
Guruji ke saanidhya mein rehna hai mumkin
Balki abb toh namumkin hai jeena Guruji kee yaad ke bin.

Guruji se hai fariyaad
Ki dil mein basee rahe Unkee yaad
Rehkar Unkee yaad se aabaad
Milta rahe Unka divya ashirwaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Unkee Yaad Se Aabaad (07/21/2025)

Mann Se Karoon Naman Aapka (07/20/2025)

July 20, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2709
       Mann Se Karoon Naman Aapka

Param poojya Guruvar,

Mann se karoon naman Aapka
Mann se karoon manan Aapka
Deejiye aisa manobal
Ki mann Aap mein magn rahe har pal.

Mann ko mai swayam kaabu kar paaoon
Mujh mein vo saamarthya kahaan
Mann ko bhi iskee khabar hai
Aur veh daudta hai yahaan vahaan.

Daat bakhshte rahiye simran kee
Sthirta bakhshiye mann kee
Bheed ho ya ho ekant
Aapki daya se mann rahe shant.

Mann vichalit na ho kisee tareh ke bhi tufaan se
Mann ghabraa na jaaye kisee bhi imtehaan se
Vikaaron ke aakraman ke dauran mann na padey kamzor
Mann par na chale kisee pratikool prabhav ka zor.

Mann mein ho sanyam
Mann par ho mera niyantran
Vaisa, jaisa Aap chaahein
Aap hee ujjwal keejiye mann kee raahein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Mann Se Karoon Naman Aapka (07/20/2025)

Rabb Ka Dar (07/19/2025)

July 19, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2708
                   Rabb Ka Dar

Param poojya Guruji Maharaj,

Aapka shukrana karte karte
Bhaav vibhor hokar aankhein huin numm
Jitna bhi shukrana karoon Aapka, daata
Vo sach mein hoga kumm
Kyunki Aapki meher aseem hai
Aur bahut seemit si hai meri shabdaavali
Dil chaahta hai ki Aapka gungaan karti rahoon
Ghar ghar aur gali gali.

Aapki dee har niyaamat, har bakhshish
Aapka diya hua har ashish
Seemabaddh nahin duniyavi daayare dwaara
Kyunki Aapki har niyaamat hai deerghkaalik sahaara.

Mai bilkul agyani, Aapki leela na samajh paaoon
Buss, dil ye chaahe har pal Aapke gunn gaaoon
Saari duniya ko Aapki mahima sunaaoon
Aapke deedar mein palkein bichaaoon.

Aapke hukm ko sir aankhon par rakh kar
Jaari rahe mera ye ruhaani safar
Shukr hai abb rulna nahin mujhe idhar udhar
Shukr hai mujhe mil gaya hai Aap Rabb ka dar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Rabb Ka Dar (07/19/2025)

Sampoorna Savera (07/18/2025)

July 18, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2707
                  Sampoorna Savera

Param poojya Guru Sahib,

Zindagi ke har moad par
Kayi chale gaye chod kar
Par Aap sada saath rahe Hain
Jaise jaise waqt ke jharne bahe hain.

Jaanti hoon aur maanti hoon ki aagey bhi
Mere angg sangg hongei Aap hee
Aapke sangg bandhi rahe meri doar
Isliye na sochoon bhi jaane kee kaheen aur.

Aap hee raasta, Aap manzil bhi
Har vele jo mann mein yaad rahe Aapki
Toh niraasha kar na sakegi ghar
Aisa dayalu hai Aapka dar.

Mainey jeevan kee jo bhi ghadi abb takk Aapki sharan mein guzaari hai
Uske liye mera tann mann, meri rooh ka kann kann, Aapka aabhaari hai
Jaise sambhaala hai Aapne aaj takk mujhe, vaise hee sambhaalte rahiyega
Apne charnon ke chetan chinh ke sahaare mere kamzor kadmon ko chalaate rahiyega
Thak na jaaoon, ruk na jaaoon
Aapke naman mein jhukti jaaoon
Aapki sharan mein rahe mera basera
Usee basere mein hai mera sampoorna savera.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Sampoorna Savera (07/18/2025)

Guruji Ke Phool (07/17/2025)

July 17, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2706
      Guruji Ke Phool

Beej se upjaa paudha
Paudhe mein phool anek
Guruji nirmaata hamaare
Unkee sangat hai phool pratyek.

Har phool ko Apne amrit se seench kar
Guruji dete Hain khilne ka pyaara sa avsar
Sabhi phool Guruji kee sangat
Sabb par chadhe Guruji kee rangat
Guruji toh poora karein Apna vaada
Par rangg kisee phool par kumm, toh kisee par zyada.

Guruji se sabhi judey hain
Kuch Guruji kee oar mudey hain
Kuch jhuk jaate hain baahari hawaa ke prabhav se
Kuch gir jaate hain bhakti ke abhaav se
Tufaan mein sabhi phoolon ka hota hai imtehaan
Koi murjhaa jaate hain, koi lete rehte hain Guruji ka naam.

Guruji karein har sangat kee rooh ka poshan
Par sabki rooh ho bhinn bhinn janam mein roshan
Ve jaanein kaun Unke kareeb aur kaun Unse duur
Kisee par kumm, kisee par zyada hota hai Guruji ka noor.

Lekin sabse zaroori baat
Jo satya hai din raat
Vo ye ki Guruji ko sabhi phool hain pyaare
Guruji bante Hain har phool ke sahaare.

Guruji kee kripa se Unke sangat roopi phool
Sada sada khile rahein
Har phool mein atmasaat ho Guruji kee khushboo ruhaani
Aur Guruji ke kamal charnon mein beete har phool kee zindagaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Guruji Ke Phool (07/17/2025)

Ye Hai Shiv Ka Sheher (07/16/2025)

July 16, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2705
              Ye Hai Shiv Ka Sheher

Ye hai Shiv ka sheher
Yahaan bahe naad kee nirmal neher
Guruji ke roop mein Shiv Bholenath
Sada rehte Hain yahaan bhakton ke saath.

Guruji ke hain anekon gann
Rehte Hain Ve Guruji mein magan
Karte Hain Guruji kee sewa anant
Jaankar Guruji ko Shiv Bhagwant.

Sabke roop rangg alagg hain
Sab ke liye Guruji hee jagg Hain
Bhinn hotey huey bhi unmein hai ye satya ek
Ki Guruji kee sharan mein hai unmein se pratyek.

Ye hai Shiv ka sheher
Yahaan Gurbani goonjti hai aathon peher
Guruji ke saanidhya mein bhakt jann
Karte hain sewa, satsang, aur simran.

Ye hai Shiv ka sheher
Yahaan umadti hai shukrana kee leher
Har jann aur gann ke dil se
Sabke dil rehte hain khil ke.

Ye hai Shiv ka sheher
Yahaan kewal Guruji kee meher
Deti hai aane kee anumati
Aur Guruji bakhshte Hain sumati.

Ye hai Shiv ka sheher
Yahaan ke amrit se dhul jaata hai bheetar ka zeher
Yahaan Guruji ke charnon mein sab tarr jaate hain
Sab Guruji se kalyaan ka var paate hain.

Guruji se jitna jude rehne ka karenge aap prayaas
Mehsoos hogi Guruji ke sangg utnee Aapko kareebi
Jaan leejiye, ye hai Shiv ka sheher
Aap yahaan hain, ye Aapki khushnaseebi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🙏
Dhirja

Ye Hai Shiv Ka Sheher (07/16/2025)