Gagan Mein Sooraj Ke Uday Honei Se (05/26/2025)

May 26, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2654

Gagan Mein Sooraj Ke Uday Honei Se

Gagan mein sooraj ke uday honei se
Pheeke padd jaate hain chand aur taare
Aise hee Guruji ke samaksh
Naman mein jhuk jaate hain baaki devi devta saare
Kyunki Guruji Hain SadaShiv ke roop
Jinkee shakti hai anokhi aur anoop
Guruji sab mein Hain aur Guruji mein sab Hain
Guruji Guru aur nath Hain, Guruji Rabb Hain.

Guruji ke prataap kee upma karni
Mushkil hee nahin, balki namumkin hai
Guruji agar raat ko bhi kahein din
Toh bhakt ke liye vo raat din hai.

Aisa hai Guruji ka har hukum aur vachan
Atal aur sarvshaktimaan
Yoon hee toh nahin Guruji kehlaate Hain
Bhagwaanon ke bhi Bhagwaan.

Unka astitva akhand hai
Unkee mahima anant hai
Unkee karuna be-antt hai
Unke har roop mein Bhagwant hai.

Unke pyaar mein paawan sakaash hai
Unkee prerna mein prakash hai
Unke charnon taley zameen
Aur Unke charnon mein akash hai.

Guruji Hain shehenshah srishti ke
Ve Apni kripa kee drishti se
Sangat ka karein kalyaan
Is se bada nahin koi vardaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Gagan Mein Sooraj Ke Uday Honei Se (05/26/2025)

Har Saans Se Niklee Fariyaad (05/25/2025)

May 25, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2653

Har Saans Se Niklee Fariyaad

Param poojya Guruvar,

Aapke prataap ka prakash
Aapke tapp ka tilmatra taras
Aapki bakhshish jo jaati hai baras
Usee kee badaulat beetey hain ye baras.

Aagey bhi rahegi Aapki meher
Jiske aadhaar par hoti rahegi jeevan kee seher
Aap aur Aapki meharbaani
Inhee se chalti hai zindagaani.

Har tareh ke haalaat mein
Aap jabb hongei saath mein
Toh na bhaybheet karega kalyugi keher
Antas mein rahegi utsah kee leher…

…Aapse judey rehne ka utsah
Aapse dil kee baatein kehne ka utsah
Kyunki Aap samajhte Hain dil ka haal
Aap Hain saantvanaa aur suraksha kee dhaal.

Aap hee jaanein ki kya hona hai aane wale kal mein
Aapki daya ke sahaare jee rahi hoon aaj is pal mein
Aap maalik Hain, maharaj Hain, aur mai hoon kinkar
Phir bhi Aap itna laad pyaar dete aaye Hain jeevan bhar
Is se zyaada khushnaseebi ho nahin sakti
Jindri Aapka shukrana karte nahin thakti.

Daan kee hai Aapne jo vel vishwaas kee
Usey thaame rehne ka deejiyega mujhe bal
Jitna vishwaas mujhe Aap par hai aaj
Uss se bhi zyaada vishwaas ho jaaye kal.

Aap par mera vishwaas kabhi tootne na paaye
Aapka daaman kabhi chhootne na paaye
Dil Aapki yaad se sada aabaad rahe
Har saans se niklee fariyaad ye kahe.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Har Saans Se Niklee Fariyaad (05/25/2025)

Is Raaste Par Chalte Huey (05/24/2025)

May 24, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2652
         Is Raaste Par Chalte Huey

Param poojya Guruji Maharaj,

Is raaste par chalte huey
Aksar lagne lagaa hai
Ki hosh sambhaala mainey jabb se
Aapse lagan lagne lagi tabb se.

Beshak roop alag thaa
Kintu Aapse honei lagaa thaa pyaar
Maya ka parda kuch aisa thaa
Ki veh utha jabb mai pahunchi Aapke dwaar.

Jabb jabb Bhagwaan se hoti thi baat
Tabb bhi Vo Aap thei jo sunte aur kehte thei
Mandir jaati thi ya Gurudware jabb jabb
Aap hee vahaan bhi ashish dete thei tabb tabb.

Ye bhi Aapki hee leela thi
Ki mai Aapko pehchaan na paayi
Tabb ki baat toh kya hai
Mai toh abb bhi Aapko jaan na paayi.

Na hee kabhi paaoongi jaan
Kyunki Aap Hain SadaShiv Bhagwaan
Aur Bhagwaan kee mahima ko koi virla hee jaan paaya hoga poornataya
Vo bhi jabb agar Aap Parameshwar kee ho daya.

Aap Hain Guruji Maharaj mahaan
Mai naari naadaan
Agyani anjaan
Maangoon buss Aapse Aapki daya ka daan.

Usee mein hai mera kalyaan
Jo Aapne socha hai mere liye, mere Bhagwaan
Mere liye Aap hee Guru Nanak Ji, Aap hee Sai
Mai ye maanti hoon ki meri har pooja Aap takk hai pahunch paayi.

Aap roop Hain Shiv Shakti ka
Aap saadhya Hain meri bhakti ka
Shukr har devi devta aur santt ka
Jo mere liye baney Aap takk pahunchne ka zariya
Jabb se mila Aapke dulaar ka dariya
Aur mainey uss dulaar ke amrit mein snaan kiya
Tabb se milee hai adbhut ruhaani raahat
Tabb se badhti jaati hai is snaan kee chaahat
Vishwaas hai mujhe ki Aapki kripa se mere paap dhul jaayenge
Aur mere liye ve dwaar khul jaayenge
Jo mujhe dikhaayenge raasta Aapse aise milan ka
Kabhi na hogi phir judaayi jiske baad
Mere pyaare Guruvar, mere Bhagwaan
Mera har shwaas karey Aapka dhanyawaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Is Raaste Par Chalte Huey (05/24/2025)

Dikha Deejiye Raasta, Guruji (05/23/2025)

May 23, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2651

Dikha Deejiye Raasta, Guruji

Dikha deejiye raasta, Guruji
Dikha deejiye raaste kee disha
Uspar chalne kee prerna de deejiye
Taaki khatm ho mujh bhoole-bhatke raahi kee nisha.

Ye nisha nahin gagan mein
Ye nisha hai mere antakaran mein
Isliye mai gaya hoon ghabraa sa
Uljha sa hoon aur daraa daraa sa.

Aap toh Hain meharbaan
Dikha deejiye mujhe mera girebaan
Jaise aur jabb Aap chaahein
Taaki mai jaan paaoon apni raahein.

Kuch bhi nahin mumkin
Aapke ashirwaad bin
Raat ko banaa deejiye abb din
Mai thakk chuka hoon lamhe gin gin.

Bakhsh deejiye oorja
Na soojhe mujhe Aapke siwa koi dooja
Kyunki Aap Hain Sarveshwar, Aap hee Vaidyanath
Ek Aap hee sada rehte Hain mere saath.

Aapke charnon mein hai mera ghar parivaar
Aapke charnon mein hee hai mera sansaar
Aapke charnon mein nishchit hai mera uddhaar
Aapke charnon mein rahoon sada, hai meri rooh kee pukaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Dikha Deejiye Raasta, Guruji (05/23/2025)

Karam Bade Balvaan (05/22/2025)

May 22, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2650
              Karam Bade Balvaan

Karam bade balvaan, musaafir
Karein ve kismat ka nirmaan
Par sabse bade Bhagwaan, musaafir
Sabse bade Bhagwaan.

Bhagwaan swayam dharti par aaye
Lekar roop Guruji Maharaj ka
Unhonei Apni sharan mein liya kitnon ko
Anginat jann lete Hain naam Unn sartaj ka.

Rakhte Ve koi bhed bhaav nahin
Har bhakt ko dete Hain pyaar
Sabhi dho rahe hain jo karmon ka bhaar
Usey kumm karne aaye Guru sarkar.

Karmon se kaheen adhik balvaan
Hain Guruji Maharaj karunanidhaan
Tabhi toh abhi takk bach paaye hain hum insaan
Jinhe Guruji ne banaaya Apni santaan.

Varna jaane anjaane mein
Kiye hongei humne dushkarma kitne
Ye toh kewal Guruji hee jaanein
Phir bhi Ve Hain dayavaan itne.

Bakhshte rehte Hain Ve bakhshanhaar
Karte Hain Apni kripa dwaara sabka uddhaar
Utarvaate Hain bhakton ke karmon ka bhaar
Taaki balvaan karam na bann kar reh jaayein bhaar.

Beshak karam balvaan Hain
Par Guruji meharbaan Hain
Unkee marzi ho toh lekha bhi likh dete Hain dobaara
Bhaagya nikhaar Ve dete Hain saara
Parantu zaroori hai Unhe aur Unke hukm ko maan-na
Zaroori hai ye jaan-na
Ki rakhna hoga Unhe rijhaakar
Khud achcha insaan bann kar Unhe dikhaakar
Rakhte huye nek neeyat, nek kriyamaan karam
Nibhaate huey ruhaaniyat aur insaaniyat ka dharam
Varna is jeevan mein vyarth chala jaayega samay
Is baat mein nahin hai koi bhi sanshay.

Musaafir, Is jeevan ke dauran
Karta chal Guruji ka gungaan
Tu banaa balvaan apne mann ko
Taaki vo rok sakey vikaaron ke aakraman ko.

Guruji ka bakhsha simran karta chal
Taaki badhta rahe tera manobal
Vikaaron ka aakraman jaayega tal
Manobal kaam aayega aaj aur kal.

Sab kuch antar sambandhit hai
Ye jaan lene mein tera hitt hai
Guruji se judi rahegi jo teri rooh kee taar
Toh tujhe ye smaran hoga baar baar.

Pichhle karmon se milee ye kismat
Abb ke karmon se aagey kee kismat banegi
Aaj ke balvaan karam aise hon ki unke dwaara ho tere kalyaan ka nirmaan
O musaafir, Guruji kee bakhshi chetna aur sumat se apni soch aur karam par deta chal tu dhyan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Karam Bade Balvaan (05/22/2025)

Mere Guruji Ka Sahaara Hai (05/21/2025)

May 21, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2649

Mere Guruji Ka Sahaara Hai

Samay aur yug ke saath saath
Jagg ka drishya badalta jaata hai
Jaisa bhi jagg ka nazaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

Koi lamha nahin jabb mujhe nahin hoti mere Guruji kee zaroorat
Ve hotey Hain angg sangg toh har pal hota hai shubh mahoorat
Ve yaheen hotey Hain jabb bhi mainey pukaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

Guruji jaanein mere liye kya sahi hai aur kabb
Unhee ke bharose choda hai abb sabb
Unka kaaraj sanvaarne ka har tareeka nyaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

Bin Unke baare mein jaane bhi mai jeevit rahi hoon Unhee ke ashirwaad se
Ve toh waakif Hain meri har arzi, har fariyaad se
Unke bin abb jeena nahin gavaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai

Duniya ke apne aur paraaye, darasal mein sabhi paraaye hain
Sabhi yahaan karmon ka hisaab chukaane aaye hain
Abb mujhe koi bhi nahin Guruji se zyaada pyaara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

Shivji ne kaha thaa Brahma se ki dukhi jeevon ko karaane sansaar saagar se paar
Ve Guru ke roop mein aakar unn jeevon ka karenge uddhaar
Unhee Parameshwar ne Guruji ka roop liya saara hai
Mujhe toh har pal mere Guruji ka sahaara hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Mere Guruji Ka Sahaara Hai (05/21/2025)

Shivalay Hai Guruji Ka Dar (05/20/2025)

May 20, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2648
          Shivalay Hai Guruji Ka Dar

Shivalay hai Guruji ka dar
Ye dar hai Unke bhakt ka sachcha ghar
Yahaan pita bhi aur maa bhi Shiv Shakti ke Guru roop mein Hain rehte
Bhakt kee har baat Hain sunte aur baatein Hain kehte.

Nyaayalay hai Guruji ka dar
Jahaan Ve bakhshte Hain, karte Hain maaf
Sabhi ke karmon ko nazar mein rakhkar
Guruji nadar kar ke karte Hain insaaf.

Vidyaalay hai Guruji ka dar
Jahaan aadarsh vaakya hai β€˜banda bann’
Yahee hai sidhaant har kaksha aur har paath ka
Sadupyog karna hai Gurbani ke saath ka.

Vishwavidyaalay bhi hai Guruji ka dar
Jismein praapt hota hai aagey ka gyan
Shiv se jeev bann kar aaya insaan
Bann-ne lagta hai jeev se Shiv Bhagwaan.

Granthaalay hai Guruji ka dar
Guruji ke vishay ke granthon ko suna sunaaya jaata hai
Jo bhi likhta, padhta, aur sunta hai inhe
Vo Guruji kee mahima gaata hai.

Nireekshanaalay hai Guruji ka dar
Jahaan Guruji bhakt ka nireekshan toh karte hee hain
Aur bhakt ko bakhsh kar simran aur dhyan
Usey atma-nireekshan karne ka mauka bhi dete Hain.

Hridayaalay hai Guruji ka dar
Jahaan bhakt kee atma ko miley sukoon aur shanti
Guruji ke prem kee khushboo se mehekta hai ye ghar
Aur atma ko noor bakhshti hai Guruji kee kanti.

Is dar ka mahatva
Is dar par aane wala hee jaan paata hai
Jo bhi Guruji kee kripa aur leela dekhta hai
Vo Unka Ishwaratva maan paata hai.

Guruji Maharaj Hain har bhakt ke
Ye jaane har bhakt Guruji Maharaj ka
Har bhakt ka kalyaan prayojan hai Unn sartaj ka
Ve hee sambhaalein bhaar bhakt ke bhoot, bhavishya, aur aaj ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Shivalay Hai Guruji Ka Dar (05/20/2025)

Bhool Na Jaana… (05/19/2025)

May 19, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2647
 Bhool Na Jaana…

Bhool na jaana tum jeete jeete
Ki Guruji ke ashish ka amrit peete peete
Jee paa rahe ho tum har pal is janam ka
Varna na jaane kya hota haal is jeevan ka.

Guruji kee vaddi vadiyaayee ko
Unkee param oonchaayee ko
Pehchaan paana nahin hai saral
Beshak koshish karo tum aviral.

Tumhaare kitne kasht, kitnee chunautiyan
Inmein kee Hain Guruji ne kitnee katautiyan
Tumhaare kalyaan ke vaaste
Aur banaaye Hain Unhonei raaste
Bilkul bhi na thaa koi raasta mumkin jahaan
Aur uss raaste se Ve tumhe le gaye vahaan
Jahaan tum soch bhi na sakte thei kabhi
Aur jahaan tum khade ho abhi.

Ye kewal duniyavi raaston ka nahin hai silsila
Jinmein tumhaari kismat ka kamal hai khila
Balki ye silsila hai ruhaani raaston ka bhi
Jinkee parvarish Guruji ne hai kee.

Isliye duniyavi raaston par chalte chalte
Bhoolna nahin ruhaani raaston ka poshan
Duniyavi raaste toh yaheen reh jaayenge
Ruhaani raaste hee karenge aagey ke safar ko roshan.

Guruji bade dayalu Hain
Amrit barsaate rahenge Apne ashish ka
Guruji bade kripalu Hain
Praapak banaayenge tumhe Apni dee bakhshish ka.

Unkee leela tumhe na bhi aaye samajh
Toh bhi jaan lo ki tumhaare kaaraj rahe hain sulajh
Aisee hee hai Unkee meharbaani
Chaahe sangat ho Unkee leela se anjaani.

Kyunki Guruji SadaShiv Hain swayam
Jo sanvaarne aaye hum sangat ke karam
Lekar roop aise insaan ka
Jinmein gupt raha roop Bhagwaan ka.

Guruji ke kamal charan mein hai ardaas bhara vandan
Na chhoote kabhi bhi Guruji ka daaman
Sir sada Unke charnon mein jhuk kar karey Unka naman
Khushnaseeb hai har vo jann, jisey milee Guruji kee sharan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Bhool Na Jaana… (05/19/2025)

Tu Jaan Le… (05/18/2025)

May 18, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2646
         Tu Jaan Le…

Kabb aa jaaye Guruji ko tujh par taras
Kabb Unkee kripa jaaye tujh par baras
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki Ve Hain tere akhand sahaare.

Guruji kee marzi bin ek patta bhi na hil paaye
Unkee ichcha se kabb teri kismat khil jaaye
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki tere parivaar ke sabhi sadasya hain Unhe pyaare.

Guruji ke hukm ka tu paalan karta chal
Guruji kee meher se tere kasht kabb jaayein tal
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki Unke kalyaan ke tareeke hain nyaare.

Guruji ke dar par jo bhi aata hai
Kabb uska uddhaar ho jaata hai
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki sabhi hain karmon ke maare.

Kaise Guruji trilok ko sambhaalte Hain
Aur kaise Ve sab ko taarte Hain
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki Unhee ko naman karte hain saare.

Kabb kis par padd jaaye Guruji kee nazar
Kabb ho jaaye kis par Unkee nadar
Ye toh Guruji hee jaanein, o pyaare
Tu jaan le ki Ve sabhi kee naiya ko lagaate Hain kinaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Tu Jaan Le… (05/18/2025)

Guruji Ka Pyaar (05/17/2025)

May 17, 2025

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2645
                 Guruji Ka Pyaar

Jeevan mein bahut pyaar mila
Thoda nahin, balki beshumaar mila
Phir Guruji ka dwaar mila
Yahaan ke pyaar ka thaa anokha silsila.

Guruji ke dwaar par
Guruji ka pyaar mila is kadar
Ki chhoti padne lagi jholi
Aur mai Guruji kee ho li.

Guruji ke hee khayaal din aur raat
Guruji ke zikr bin poori na lagey koi bhi baat
Har shwaas hai Guruji kee hee dee hui daat
Jeevan ka har pehlu hai Unhee kee dee saugat.

Guruji ke simran mein bhi mehsoos hota hai Unka pyaar
Unke har satsang mein hoti hai Unke ruhaani pyaar kee bauchhaar
Guruji kee sewa mein prateet hota hai Unka kiya pyaar bharaa uddhaar
Jitna samarpan hota hai Unhe, Unke aur kareeb laata hai Unka pyaar.

Guruji se miley paawan pyaar ne badhaaya hai mera atma-vishwaas
Guruji ka pyaar deta hai har pal Unke saanidhya ka mujhe ehsaas
Guruji ke pyaar ke roop mein Guruji Hain mere paas
Guruji ke pyaar kee badaulat hua hai Unka mere mann mandir main vaas.

Varna mai is yogya kahaan
Ki meri ho aisee shubh kismat
Ye toh hai mere Guruji kee rehmat
Ki Unhonei bakhshi Apne pyaar kee divya daulat.

Chaahoon toh bhi na naap sakoon, na tol sakoon
Itna aseem hai Unka pyaar ki mai shabdon mein na bol sakoon
Unhee kee meharbaani se mehsoos hota rehta hai Unka pyaar
Unhee kee daya se badhta jaa raha mera Unke liye pyaar.

Ve nath Hain, Ve Guru aur Ve hee Bhagwaan
Unka pyaar paakar mai hui itnee dhanwaan
Apni is khushkismati par hota hai neevan sa naaz
Guruji ka pyaar mila hai, vo hee hai is naaz ka raaz.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ™
Dhirja

Guruji Ka Pyaar (05/17/2025)