Mere Satguru sarkar Mere Guruji paalanhaar Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Mere taaranhaar Aapka pyaar hai aparampaar Mere Shiv avatar Aap Hain shabdon ke paar Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Mai aayi Aapke dwaar Ye hai Aapka upkaar Aapse hee hai sangat ka ghar parivaar Mere param poojya pyaare daataar Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Aap Hain pyaare Shiv avatari Aapki deewani hai sangat saari Aapki leela hoti hai nyaari Sabke bhale kee aati hai baari Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Karte ho sangat ka kalyaan Dete ho Apne naam ka daan Mahima Aapki sabse mahaan Is se nahin hai koi bhakt anjaan Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Aapki prerna se chal raha hai sangat ka kaarvaan Aapki daya par nirbhar hai har bhakt kee dastaan Aapki sharan mein mil gaya mujhe saara jahaan Aapke charnon mein jaaoon mai samaa Mere Parwardigaar Aapki kripa apaar.
Jhuk jaata hai aasmaan Guruji jaate Hain jahaan Unse anugrahit hai teri dastaan Na bhatak tu yahaan vahaan.
Guruji ke kamal charnon mein hai tu Samarpan aur shraddha bhaav se unhe tu chhoo Unhe hee toh dhoondh rahi thi teri rooh Unkee kripa se hee tujhe miley Ve yoon.
Dekhega tu dastaan ke dauraan Ki lega jitna tu Guruji ka naam Teri dastaan lagne lagegi aasaan Chaahe tujhe parishram karna padey bina koi vishraam.
Baadal bijlee barkha barsaat Sunehri subah ho ya andheri raat Ho ghar, gharonda ya ho raaste ka koi ghat Dastaan mein Guruji har pal Hain saath.
Jitna sanyam rakhega tera mann Tufaanon ka zor lagega utna kumm Jitnee sakaaraatmak hogi teri vichaardhaara Utna utsaahit karega tujhe Guruji ka diya sahaara.
Dastaan mein mil jaaye tujhe asal khazaana Isliye Guruji se surt jodne ka koi mauka na gavaana Phir ek pal ke liye bhi sooni na rahegi teri dastaan Tujhe Guruji ke angg sangg honei ka ehsaas hoga tu hoga jahaan Guruji Hain komal karunanidhaan Saarthak karenge Ve teri dastaan.
Bhakt kee fariyaad Uske mann kee muraad Uske jazbaat Paayein Guruji ka ashirwaad.
Bhakt kee minnat Bhakt par rehmat Bhakt kee ibadat In sab par hoti hai Guruji kee inaayat Dekar simran aur dhyan mein ashish aur hidaayat Guruji karein bhakt kee poori hifaazat.
Bhakt ka Guruji se pyaar Bhakt ka Guruji se is pyaar ka izhaar Bhakt kee Guruji ko pukaar Guruji karte Hain sweekaar Dekar Apna darshan aur deedar Barsaa kar mehar kee bahaar.
Bhakt kee bhakti Bhakt kee shakti Bhakt kee mukti Sab hai Guruji kee yukti Bhakt ke uddhaar kee Uskee atma ke nikhaar kee.
Bhakt ka jeevan Bhakt ka antakaran Bhakt ka maran Sab Guruji ko samarpit Unke charnon mein arpit Unkee kripa se ho sabka hitt.
Bhakt ka ghar parivaar Uske karmon ka bhaar Uske safar ka sudhaar Uske sankat ko taalein Usey har jaal se nikaalein Guruji swayam hee sab sambhaalein.
Hum sabhi hain fakir Jo Guruji ke protsaahan bin ho jaate hain adheer Jinkee Guruji todna chaahein har paash aur zanjeer Taaki hum bann jaayein adhyaatmikta mein ameer.
Hum sabhi hain anjaan Jinkee agyanta kee Guruji ko hai poori pehchaan Jinhe mila hai Guruji se daya ka daan Varna kaise tarenge hum nirdhan naadaan.
Hum sabhi hain nasamajh Jinke kaaraj Guruji kee kripa bin jaate hain ulajh Kyunki Ve hee sakte Hain hamaari duvidhaaein samajh Varna hum kabhi na sakein sulajh.
Hum sabhi hain bhagyawaan Jinka Guruji karte rahe aur rahenge kalyaan Jinko Guru kripa se milta hai gyan aur dhyan ka daan Jinke liye Guruji Hain Guru ke roop mein Bhagwaan.
Hum sabhi hain Guruji ke pyaare Jinke liye Guruji Hain ekmaatra sahaare Jinhe Guruji ne bulaaya hai Apne dwaare Jinke Guru kripa se hotei hain naseeb nyaare.
Guruji ke kamal charan mein mil gaya ik naya janam Guruji se arzi hai ki shuddh ho jaayein atma, mann, aur tann Guruji dena chaahte Hain jo asal dhan Hum kaabil banein karne ke liye usey grahan.
Bheetar hota rahe Guruji ka simran Har saans se lein Guruji ka naam Toh jeete jee Guruji mein ramaa rahega mann Yahaan rehte rehte pahunchenge Guruji ke dhaam.
Anivaarya hai antakaran aur atma ka poshan Ye Guruji kee naam jyoti se hotei rahein roshan Guruji kee ruhaani maujoodagi ke hotei rahein darshan har kshan Toh saarthak honei lagega jeevan.
Badhti rahe jo Guruji ko paane kee pyaas Chalti rahe Guruji ke samaksh iskee ardaas Jo bhi Guruji se duur karey, usko chodne ka karein upvaas Guru praapti ke prayaas mein leen rahe har shwaas Guruji kee mehar se hota rahe simran aur sadhna ka abhyaas Guruji ke prati shraddha bhaav aur prem rahe khaas Toh Guru kripa se mit-ta rahega har traas Aur har pal nirmal anand mein rahega Unka har das.
Apne maalik kee nigraani mein kaam kar raha thaa ek das Kaam toh kar raha thaa, lekin thaa kuch udaas udaas Maalik ne bulaaya das ko apne paas Poochne uskee udaasi ka raaz.
Maalum chala ki das ka bachcha thaa beemaar Chal raha thaa uska upchaar Kharcha ho raha thaa baar baar Par haalat sudharne ke na dikh rahe thei aasaar.
Ek din vahaan kaam karte karte Peene ka paani botal mein bharte bharte Das ko vahaan dikhee ek chhoti si tasveer Na maalum thaa usey ki badalne wali thi uskee taqdeer.
Tasveer mein dekha das ne ek noorani chehra Aankhein Unkee aisee ujjwal ki de rahi hon pehra Muskaan suhaani, chhavi ruhaani Tasveer par chehre ke neeche ‘Jai Guruji’ kee likhee nishaani.
Uss tasveer kee oar das hua aakarshit Usey lagaa uskee koi chinta gayi mitt Tasveer ke peechhe thaa Guruji ke ashram ka pata aur naam Das vahaan pahunch gaya khatm kar ke uss din ka apna kaam.
Lagaa usey vo jannat ka sa nazaara Usne bhi baaki sangat kee tareh ‘Jai Guruji’ pukaara Uske antas mein jaagrit hui anokhi sakaaratmak oorja Karne lagaa veh mann hee mann pooja.
Darbar takk pahunchte huey shuru hua Guruji ka mantra jaap Guruji kee mehar se das bhi japne lagaa saath saath apne aap Aayi usey ek adbhut si khushboo Jis se gadd gadd hui uskee rooh Usne dekhi apne peechhe ek ladki Jisne kaha vo khushboo thi Guruji kee.
Guruji ke aasan par dikha usey jyotirmay prakash Jaan gaya ki Guruji shareer mein nahin kintu Unkee maujoodagi hai khaas Das ko bhi mila chai prasad aur langar prasad Jinka bhautik bhojan se kuch bhinn hee thaa swad Baahar nikalte huey kuch sangat ne sunaaye apne anubhav das ko Jinhonei aur bhi utsaahit kiya das ke Guruji kee mahima sunn-ne ke prayaas ko.
Das ko ho gaya poora yakeen Ki khaas hai ye mandir aur yahaan kee zameen Ek nayi ummeed jaagi uske bheetar Ki abb duur hoga uskee santaan ka roag aur jwar.
Abb se Guruji kee tasveer ko dekh kar Har roz Guruji ke samaksh maatha tek kar Veh hansne aur ronei lagaa Aur phir Guruji mein hee khonei lagaa.
Nirogi hua das ka putr Das ne manaaya Guruji ka shukr Usne roag ka bhi kiya bharpoor dhanyawaad Jiske kaaran Guruji ne joda usey Apne saath.
Aate hain aaj bhi das ke jeevan mein aur bhi imtehaan Hota hai abb pehle se kumm vo pareshaan Jaanta hai uske angg sangg Hain Guruvar mahaan Kabhi bhoolta nahin vo japna Guruji ka naam.
Guruji sabhi par banaaye rakhein Apni drishti Guruji sabhi par karein Apne ashish kee vrishti Guruji Hain asal maalik aur sangat bann ke rahe das Aur das nirantar karey maalik ko khush rakhne ka prayaas.
Bakhshishein milengi beshumar Sanvar jaayega har das ka ghar sansaar Jo das Guruji ka hukm maanega har baar Yakeenan ho jaayega uskee atma ka uddhaar.
Aapke charnon mein jhuka rahe rukh Jeevan mein chaahe sukh aayein ya dukh Vo bahut hon ya phir thode se Hum toh sada hain Aapke hee bharose.
Na sukh miley kabhi bhi Aapki kripa bina Na dukh mein Aapke bin mumkin jeena Bhoolein na ye kabhi hum Ki chaahe khushi ho ya gumm Chaahe dono mein aankhein hon numm Dono hee nahin kisee bakhshish se kumm.
Kyunki Aap Hain bakhshanhaar Aap Hain taaranhaar Aap Hain pratipaalak Hum hain Aapke baalak.
Hum kabhi bhool jaayein haath pakde rehne kee ada Toh bhi Aap daya kar hamaara haath thaame rahiyega sada Zamaane ke zehen mein beshak chhaayi ho bewafaai kee hawaa Hamein yakeen hai ki Aapke paas hogi bhakton ke har marz kee davaa.
Aapke bharose rahenge Toh doob kar bhi tayyr paayenge Aapki meher se is bharose ke sahaare Hum har chunauti ka saamna kar paayenge. Aapke pyaar ka hee hai asar Ki jeevan ho raha hai basar Varna toh yakeenan aasaan nahin Paheliyon se bhari is zindagi ka safar.
Guruji Maharaj bin nahin hai guzaara Guruji Maharaj Hain ekmaatra sahaara Nikaalne wale kashton ke dal dal se Saathi Hain Ve bhakton ke jeevan ke pal pal ke Nirdeshak aur sanchaalak Hain Ve har hal ke Prerna daayak strot bhakton ke manobal ke.
Adbhut hoti hai Guruji kee har leela Suraksha deta hai Unke satsang ka kila Jiske jeevan mein chale Unke simran ka paawan silsila Uska bhavishya aaj nahin toh kal hai khila.
Guruji sabhi ko jaanein pehchaanein Magar koi Unhe na paaya hai jaan Na ho Unkee kripa bin sewa, simran, satsang Na praapt ho Unkee daya bin gyan ya dhyan.
Guruji kee nazar hai har bhakt ke jeevan ke har nazaare par Guruji awashya le chalenge jeevan kee naiya ko kinaare par Har bhakt ka uddhaar aadhaarit hai Guruji ke diye sahaare par Srishti ka nritya nirbhar hai Guruji ke ek ek ishaare par.
Hriday mein prem bhaav ka ho vaas Prem bhaav mein mishrit ho vishwaas Shraddha aur samarpan banaayein bhaav ko khaas Toh kitna anandmayi ho hriday mein Guruji ka nivaas.
Gurbani ka ho raha ho shravan aur manan Guruji kee kripa se ho raha ho Unka simran Yaad mein basey hon Guruji ke kamal charan Soch aur karma mein atmasaat hon Guruji ke vachan Bheetar se gehra ho Guruji ke prati vandan Antas ko chhoo raha ho Guruji ka spandan Guruji kee sewa mein leen ho tann mann dhan Toh kitna sukhdaayi ho jeevan.
Rooh ke roam roam ko seenche amrit Guruji ke naam ka Naynon mein basaa rahe saundarya Guruji ke dham ka Dil ko milta rahe saubhagya Guruji ke paigam ka Toh Guru ashish se aarambh aur samaapan ho har kaam ka.
Har pal ke liye rahein Guruji ke shukrguzaar Guru kripa se laate rahein swayam mein sudhaar Saboori rakhte chalein beshak lamba ho intazaar Toh santosh se bharpoor ho ghar parivaar aur sansaar.