Aye Mann Chhote (06/22/2024)

June 22, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2316
                  Aye Mann Chhote

Aye mann chhote
Aye mann khote
Tu aksar deta hai aise nyote
Ki insaan gumraah hain hotey.

Parantu jisey miley Guruji kee sharan
Jisey Guruji bakhshte Hain simran
Vo jann banaa sakta hai tujhe hee apna das
Kyunki ye Guruji kee mahima hai khaas.

Guruji de rahe Hain tujhe sambhalne ka mauka
Isey gavaa kar na de tu swayam ko dhokha
Guruji bakhshte rahenge tujhe har jo daat
Tu uska sadupyog karna kyunki har vo daat hogi anmol saugat.

Guruji bakhshte rahenge jo simran
Vo karta rahega tera pavitrikaran
Guruji kee meher se tujh se ho paayega jo dhyan
Uss se tujhe praapt hota rahega gyan
Besharte tu jaari rakhega abhyaas
Ki tu karey sudharne ka prayaas.

Tu idhar udhar jo dolega
Toh hota rahega pareshaan
Tabb bhi simran kar paayega tujhe sthir aur shant
Isliye Guruji sangg zaroor bitaaya kar tu ekaant.

Guruji ke naam japp aur dhyan se, o mann
Tu rok sakega vikaaron ka tujh par aakraman
Kyunki teri sthirta tujhe degi ek vishesh shakti
Jisey aur bhi prabal banaayegi har din teri kee gayi bhakti.

Kabhi jo lagega tu bhatakne
Kabhi jo lagega tu atakne
Toh Guruji ko karna yaad
Unse karna maargdarshan kee fariyaad.

Apni neeyat rakhna tu nirmal
Apna swabhaav rakhna tu komal
Duniyadari ke maamalon mein na hee ulajhna
Vaise hee abhi toh tujhe bahut hai sulajhna.

Jitna sanyam tu karega atmasaat
Utne chayyn se tu reh paayega din raat
Guruji ko saadh aur swayam ko anushaasan sikhaata chal
Taaki sukhmayi ho tera aaj aur aane wala kal
Tu bhakt ke antakaran ka hai anmol hissa
Tere sangg juda hai tere maalik kee kahaani ka har kissa.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aye Mann Chhote (06/22/2024)

Sharton Ke Vyaapaar Ke Bin Pyaar (06/21/2024)

June 21, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2315
   Sharton Ke Vyaapaar Ke Bin Pyaar 

Sharton ke vyaapaar ke bin pyaar ho
Bhakt ka Guruji ke sangg
Toh hee nikhar paata hai
Niswaarth bhakti ka rangg.

Shraddha ka jazbaat ho
Guruji se bhakt kee baat ho
Atoot vishwaas ho das ke mann mein
Toh sabr saathi banaa rahega jeevan mein.

Kyunki sabr kee toh zaroor hoti hai zaroorat
Khaaskar jabb takk aata nahin uddeshya poorti ka mahoorat
Lekin phir ek aur sawaal ubhar kar aata hai
Ki β€˜uddeshya’ shabd se kisko kya samajh aata hai?

Kyunki koi toh uddeshya ko khwaahish poorti samjhe
Koi maane vo ho jabb purusharth sulajhe
Kyunki purusharth ke raaste par chalna hoga insaan ko
Jiske liye paar karna hoga Guruji dwaara diye har imtehaan ko.

Guruji dayavan Hain, bhakt ko rakh kar Apne charan mein
Paristhitiyon ka saamna karaate Hain uske jeevan mein
Rakhkar Guruji par vishwaas aur dekar Unhe shraddha bhara pyaar
Jo bhakt kar le bandagi ko ikhtiyaar
Usey sada suraksha ka ehsaas dilaayegi Guruji kee sharan
Aur anupam anmol Guru pyaar mein bhakt rahega magan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sharton Ke Vyaapaar Ke Bin Pyaar (06/21/2024)

Kar Ke Guruji Ka Shukrana (06/20/2024)

June 20, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2314
        Kar Ke Guruji Ka Shukrana 

Behaal bhakt ho jaaye nihaal
Pehen kar Guruji ke naam kee dhaal
Nirbal ko mil jaaye bal
Peekar Guruji ka amrit roopi jal.

Naadaan insaan ko mil jaaye gyan
Kar ke Guruji ka shraddha poorna dhyan
Bechayyn jann ko mil jaaye chayyn
Jabb Guru daras se anugrahit hon uske nayyn.

Patjhad mein mehsoos ho saawan
Lekar Guruji ka naam paawan
Andhere ko vida kar de uttam ujaala
Jabb mann ho jaaye Guru prem mein matvaala.

Gumraah ko mil jaaye raah
Kar ke Guruji kee bhakti ka utsah
Beghar ko mil jaaye Guruji ka dar
Jabb pyaare Guruji karein nadar.

Sangat par barsey Guruji ka ashirwaad
Grahan kar ke Unka diya langar prasad
Dawaai kar paaye apna asar
Paakar Guruji kee mehar.

Apni asaliyat se ho jaaye milan
Jabb Guruji kee kripa se ho simran
Dukhiyaare ke dukh ho jaayein lupt
Kar ke daan, sewa, aur paath gupt.

Thaki hui atma ko mil jaaye raahat
Sunnkar Guruji ke aane kee aahat
Niraasha ko mita de asha ka rangg
Jabb suno sunaao Guruji ke satsang.

Dhanya ho jaaye zindagi
Paakar Guruji kee bakhshindagi
Tarr jaaye jeevan ka afsaana
Kar ke Guruji ka shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kar Ke Guruji Ka Shukrana (06/20/2024)

Sabhi Ho Jaayein Sukhi (06/19/2024)

June 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2313
           Sabhi Ho Jaayein Sukhi

Badal kar mausam ka rukh
Dooji oar kar ke apna mukh
Hawaaon ne jaari rakha apna safar
Chhoote huey na jaane kaunse kaunse dar.

Chooma unhonei Guruji ke paaon ko
Sajda kiya Unke aanchal kee chhaaon ko
Kehne lagi ve Guruji Maharaj se
Brahmand ke sundar Sartaj se,
β€œAapke hukm par hum badal deti hain rukh mausam ka
Kintu kewal Aap badal sakte hain rukh har sankat aur gumm ka
Jo bann gaya hai hissa jann jann ke jeevan ka
Jo chheen raha hai saundarya sabke mann ke aangan ka.”

Guruji ne hawaaon ko samjhaaya,
β€œYe hai insaan ka kiya karaaya
Prakriti ka kiya nahin sammaan
Kalyugi insaan hain bilkul naadaan.”

β€œKewal duniyavi hai Unka gyan
Duur hona hoga unka ruhaani agyan
Ve kehte sunte hain ki Mai hoon kann kann mein
Phir bhool bhi jaate hain ek hee kshan mein.”

β€œEk toh ekatrit kiye hain unhonei karma sanchit
Ve Meri kripa se rahe hain mitt
Parantu ikattthaa karte jaate hain aur bhi bhaar
Aise mein kaise gumm rahit hoga sansaar?”

Guruji ne kaha, β€œMainey liya bashar ka roop
Phailaane vivek aur kalyaan kee dhoop
Kayi jann baney mere bhakt aur chhaatr
Kaiyon ne khali kiya mann ka paatr.”

β€œKintu ve bacha na paayein apne ko vikaar ke aakraman se
Isliye sankat aur gumm duur nahin hotey hain unke jeevan se
Mai kripa karta rahoonga Unhe jodey rakh Apne dhyan aur simran se
Kintu unhe sahi kaam karna hoga apni swatantra ichcha ke dhan se.”

β€œTabhi toh rukh badalega gumm ka
Aansoo sookhega har aankh numm ka
Mai toh gumm ka rukh badalta hoon par nasamajh hain ye insaan
Mutthi bhar reh jaayenge jinhe hogi asal dhan kee sahi pehchaan.”

β€œVe hongei taruvar ke unn patton ke samaan
Jo taruvar se judey rahenge beshak aaye patjhad ya tufaan
Mai toh karta chaloonga sabhi bhakton ka kalyaan
Aur saath hee leta chaloonga har bhakt ka imtehaan.”

Hawaaon ne Guruji ke charnon mein sees jhukaaya
Guruji ne unhe Apni ruhaani khushboo se mehkaaya
Hawaaon ne dua kee ki har manmukhi ho jaaye Gurumukhi
Taaki Guruji ke ashirwaad se sabhi ho jaayein sukhi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sabhi Ho Jaayein Sukhi (06/19/2024)

Guruji Kee Kripa Rangg Laayegi (06/18/2024)

June 18, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2312
     Guruji Kee Kripa Rangg Laayegi

Jabb bheetar aur baahar ho andhera
Jabb dikh hee na raha ho kaheen bhi savera
Guruji tabb bhi Hain bheetar aur baahar tere liye
Tayyaar kar rahe Hain ashirwaad ke deeye.

Tujhe Ve dikh nahin rahe hon beshak
Kintu mann mein na aane de tu shak
Kyunki chaahe Guruji kee maujoodagi hai teri shaareerik aankhon ke paar
Tere antas kee aankhon ko hota reh sakta hai Guruji ka deedar.

Guruji kee mamta bhari mehar
Yakeenan dikhaayegi apna asar
Tu koshish karte rehne kee koshish kiya kar
Guruji ne pehle bhi tera dukh har liya hai aksar.

Tujhe vaasta tere akhand vishwaas ka
Na chod daaman tu prayaas ka
Guruji ke samaksh badi se badi samasya chhoti hai
Unke hastakshep se samasya khatm hoti hai.

Unke naam amrit se seench apne har shwaas ko
Ve jaante Hain teri har kahi aur ankahi aas ko
Unse ardaas kar ki judi rahe teri surt Unkee surt ke saath
Unke ashirwaad ke deeye jald hee roshan karenge teri andheri raat.

Guruji kee kripa rangg laayegi
Subah zaroor aayegi
Tujhe aagey badhaayegi
Safalta takk pahunchaayegi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Kripa Rangg Laayegi (06/18/2024)

Satchittanand Ke Sampoorna Aadhaar (06/17/2024)

June 17, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2311
Satchittanand Ke Sampoorna Aadhaar

Kaanon se ho shravan
Hriday mein ho havan
Mann mein ho simran
Pyaare Guruji ke naam ka
Apne bheetar anand aaye
Guru mein basey Shiv ke dhaam ka.

Unhee ke sangg har lamha aaraam ka
Unhee ke saath har lamha vishraam ka
Unhee mein deedar Ram aur Shyam ka
Unhee se aarambh aur antt har kaam ka.

Ye kalpana nahin, yahee ho hakeekat
Buss, apni oar se chaahiye dridh nishchay aur nek neeyat
Unhee se ishq bakhsh deti hai Unkee ibadat
Bhakt kee rooh ko shringaarit kar deti hai Unkee inaayat.

Ye rooh se rooh ka rishta na jaane kab hua thaa shuru
Parantu ye awashya jaante Hain hamaare pooran Guru
Unka diya asal sukh hai har sambhaavya sukh suvidha se paar
Guruji Maharaj swayam Hain Satchittanand ka sampoorna aadhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Satchittanand Ke Sampoorna Aadhaar (06/17/2024)

Aapki Kripa Se (06/16/2024)

June 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2310
                    Aapki Kripa Se

Param poojya Guruji Maharaj,

Aapki kripa se sunaaoon sundar sa anubhav aaj
Dekha ik manohar drishya
Dikha ek susheel shishya
Mastaana Aapke dar ka
Pyaasa Aapki meher-e-nazar ka
Deewaana Aap pyaare se Guruvar ka
Sewak Aap Mahadev Har ka.

Aap maalik ke charnon mein rakh kar veh apni matt
Koshish karta hai vo ki rakhe vikaaron se vrat
Aapko yaad kiye bina na soyey, na jaagey, na khaaye
Aapki agya bin ek kadam bhi aagey na badhaaye.

Rakh kar Aapka hukm sir aankhon par
Aapke simran aur chintan mein magn rehkar
Aapki mahima gaate huey jeeta hai vo zindagi
Usey santusht rakhti hai Aapki bandagi.

Aisa shishya bann paane ke liye
Jalaaye hongei usne awashya samarpan ke deeye
Mann ka paatr kiya hoga tayyaar
Taaki ekatrit kar paaye Aapki kripa aparampaar.

Adarneeya Guruji, mujh par bhi kar deejiye aisee meharbaani
Ki mai chod paaoon apni har naadaani
Aapki shishya kehlaane ke yogya bann paaoon
Aapko apne vichaar aur karma se sada prasann rakh paaoon.

Aapke charnon mein samarpit karoon apni akal
Aapke paas hee hai mere bheetar ke har agyan ka hal
Nishchay hee ho jaayega mera safar safal
Jabb Aapki kripa se praapt hoga mujhe gyan asal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapki Kripa Se (06/16/2024)

Apni Meher Ka Noorani Nazaara (06/15/2024)

June 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2309

Apni Meher Ka Noorani Nazaara

Bhakt kee palak se jabb aansoo chhalak jaaye
Karmon ka karz chukaate huey jabb rooh thakk jaaye
Toh Guruji ko hoti hogi sabse zyada pareshaani
Jabki humne kee hoti hai jaane anjaane mein naadaani.

Vo naadaani hui ho is janam mein ya pichhle kisee janam mein
Vahee banti hai kaaran abhi ke gumm mein
Kintu jo aushadhi hai Guruji ke naam ke marham mein
Vo raahat deti rahegi gumm ke har kshan mein.

Guruji ke naam ka marham
Zaroor bharta rahega hamaare zakhm
Kumm karta rahega hamaara gumm
Jaise jaise beetega hamaara jeevan.

Thaki hui rooh ko miltee rahegi raahat
Poori honei lagegi aagey badhne kee chaahat
Paramaarth ke raaste par
Guruji ke is dayalu dar par.

Guruji ka naam hee hai sahaara
Iske bin kisee bhakt ka nahin hai guzaara
Jisne bhi Guruji ko hai deen bhole bhaav se pukaara
Guruji ne dikhaaya hai usey Apni meher ka noorani nazaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Apni Meher Ka Noorani Nazaara (06/15/2024)

Keejiye Aisee Inaayat (06/14/2024)

June 14, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2308
               Keejiye Aisee Inaayat

Param poojya Guruvar,

Aap taral taruvar, Aap taaranhaar
Aap prakash ke punj, Aap hee paalanhaar
Aap komalta ke kunj, Aap kalyaankaari
Aap saralta ke sarovar, Aap Shiv avatari.

Jo shanti miltee hai Aapki sharan mein
Usmein der ho sakti hai par andher nahin
Jo chayyn milta hai Aapke charan mein
Vahaan uday hoti hai sada saver sahi.

Raahon mein kaantein ho toh bhi Aap rukne nahin dete
Zara sa dard kya hota hai bhakt ko, Aap toh usey Apni goad mein Hain le lete
Jabb dhoop hoti hai karkash, Aap Apne aanchal kee chhavi bhari chhaaon Hain dete
Aur jabb sheet se hoti hai kathinaayi, Aap Apni mamta ka narm sauhaard Hain dete.

Utsah bakhshiye taaki mai kabhi na ho jaaoon udaas
Prerna bakhshiye ki sada mehsoos kar paaoon Aapko mai Apne aaspaas
Deejiye gyan, dhyan, atma-sammaan aur vinamrata ka daan
Keejiye aisee inaayat ki mai bann paaoon changa insaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Keejiye Aisee Inaayat (06/14/2024)

Mumkin Hai (06/13/2024)

June 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2307
          Mumkin Hai 

Kaayinaat ke kore kaagaz ko
Pyaare Guruji, Aapne Apni kripa se kiya kritagya
Har brahmand, sooraj, chand aur taare
Aapke hukm mein hain ye saare.

Aapka vandan karey vanaspati
Pawan bhi Aapko maane Pashupati
Dharti, jal, agni, aur akash
Na lein ve bhi Aapki sewa se avakaash.

Aapki bakhshish hoti hai har sewa jo miltee hai
Aapki kripa barasti hai toh rooh khiltee hai
Saari kaayinaat ho ya phir ho ek bhakt kee zindagi
Aap lekhe mein likhein toh hee mumkin hoti hai kar paani Aapki bandagi.

Aapka naam lene ke liye bhi
Zaroori hai Aapki manzoori
Aap bhakt kee koshish par meher karein
Toh hee mit sakti hai uskee Aapse duuri
Aap toh dena chaahte Hain har bakhshish, har daat
Lekin hum kaabil toh banein ki sambhaal paayein Aapki dee saugat.

Is kaabiliyat kee bhi bakhshish deejiye, Guruvar
Varna har saugat paakar bhi hum khaali reh jaayenge
Aapka dar na chhoote kabhi, Prabhu
Kalyaan ka khazaana hum yakeenan yaheen paayenge.

Yeh kewal ummeed nahin, ye hai akhand vishwaas
Jiske sangg judi hai Aapko paane kee atoot aas
Ye hai toh chhota muh aur bahut badi baat
Kintu Aapke dayalu dar par mumkin hai paani har daat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mumkin Hai (06/13/2024)