Mukammal Hoga Safar (06/02/2024)

June 2, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2296
             Mukammal Hoga Safar

Murjhaaya sa har jo phool hai
Guruji kee khushboo se veh dobara khil jaayega
Khoya hua jo raahi hai
Guruji ke noor se usey raasta mil jaayega.

Garbhit baadal jo bhaar uthaa rahe hain din raat
Guruji kee kripa se ve barsaayenge barsaat
Kalyuga ke mal se dooshit ho raha hai jo jal
Guruji ke aanchal se veh ho jaayega nirmal.

Jabb hadd paar karne lagega andhera
Guruji ke hukm se ho jaayega savera
Saanson ka jabb simran mein lagega na mann
Toh Guruji khud hee unhe Apne mein kar denge magan.

Jabb chhaane lagegi ghor udaasi
Aur raahat na milegi zara si
Guruji ke ruhaani kadmon kee aahat
Laayegi tumhaare chehre par muskuraahat.

Jaise jaise safar mein tum aagey badhoge
Jaise jaise adhyaatmik seedhiyan tum chadhoge
Kumm hoti chalegi atma kee gareebi
Badhti jaayegi atma kee Guruji se kareebi.

Guruji kee meher ka prabal prabhaav chhaayega
Har laukik sukh dukh ke paar tumhe le jaayega
Thaki hui tumhaari atma pahunchegi apne ghar
Guruji ke charnon mein mukammal hoga uska safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mukammal Hoga Safar (06/02/2024)

Awashya Praapt Hogi Sadgati (06/01/2024)

June 1, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2295
     Awashya Praapt Hogi Sadgati

Shunya se shuru, shunya par khatm
Hai is safar kee niyati
SadaShiv roopi Guruvar kee meher se
Awashya praapt hogi sadgati.

Zaroori nahin hai karna marne ka intazaar
Chaahe seekhein gir kar baar baar
Neeyat aur koshish achchi rahegi toh sudharegi niyati
Guru kripa se awashya praapt hogi sadgati.

Shunya ko bhula dena nahin hai samajhdari
Shunya mein hee basee hai shanti hamaari
Shunya mein hee khiltee hai sumati
Guru kripa se awashya praapt hogi sadgati.

Shunya se hee rachna hui srishti kee
Shunya mein leela hoti hai Guruji kee drishti kee
Shunya Hain swayam Guruvar Pashupati
Guru kripa se awashya praapt hogi sadgati.

Shunya mein basta hai tattvagyan ka saar
Shunya mein paripakva hon vichaarheenta ke aasaar
Shunya mein har paristhiti mein sthir hoti hai mann kee sthiti
Guru kripa se awashya praapt hogi sadgati.

Shunya hee tathya hai, baaki sab hai maya
Maya bhi Shiv kee shakti, shunya bhi Shiv se hai aaya
Shunya se kareebi badhegi Guruji ke prati
Guru kripa se awashya praapt hogi sadgati.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Awashya Praapt Hogi Sadgati (06/01/2024)

Prabhu Paramatama Prabal (05/31/2024)

May 31, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2294

Prabhu Paramatama Prabal

Guruji bin gati nahin
Guruji bin sumati nahin
Guruji bin na pahunch paaoon kaheen
Guruji Hain mera yakeen.

Guruji bin na ek bhi shwaas mera
Guruji bin mann udaas mera
Guruji ko paane ka hai prayaas mera
Guruji Hain vishwaas mera.

Guruji bin na ho paaye simran
Guruji bin sthir aur shant na ho paaye mann
Guruji bin toh mai hoon nirdhan
Guruji Hain nirmal niranjan.

Guruji bin na ho maargdarshan
Guruji bin na hon raahein roshan
Guruji bin murjhaaye mann ka upvan
Guruji Hain mere dukh bhanjan.

Guruji bin na ho bhram ka antt
Guruji kee maya hai be-antt
Guruji kee mahima hai anant
Guruji swayam Hain Neelkanth.

Guruji bin nahin koi gyan
Guruji bin na mai dhanwaan
Guruji bin bhatkoon yahaan vahaan
Guruji Hain SadaShiv sarvshaktimaan.

Guruji ke siwa koi nahin angg sangg har pal
Ve pehle bhi thei aur Ve rahenge kal
Aaj Unkee shakti mein hai pehle se bhi adhik bal
Guruji Hain Prabhu Paramatama prabal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Prabhu Paramatama Prabal (05/31/2024)

Guruvar Pyaare Aaye Hain (05/30/2024)

May 30, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2293
        Guruvar Pyaare Aaye Hain

Dwaar khula kalyaan ka
Pyaare Guru Bhagwaan ka
Dwaar pe maatha tek lo
Guruji ko tum dekh lo.

Guruvar pyaare aaye Hain
Jholi bharne aaye Hain.

Koi bhed bhaav nahin
Jahaan prem hai Guru vaheen
Tum bhi de do Unko pyaar
Unkee leela aparampaar.

Guruvar pyaare aaye Hain
Jholi bharne aaye Hain.

Mit jaayenge tumre dukhde
Simat jaayenge dil ke tukde
Guruji ko sab gyat hai
Kiske mann mein kya baat hai.

Guruvar pyaare aaye Hain
Jholi bharne aaye Hain.

Duniya se tum na darna
Guru se bewafaai na karna
Dhadkan lete Hain pehchaan
Yoon hee nahin Hain Ve Bhagwaan.

Guruvar pyaare aaye Hain
Jholi bharne aaye Hain.

Mayoosi hai jo dil mein
Dil nahin lagta mehfil mein
Guru ke satsang mein aao
Langar chhakte tum jaao.

Guruvar pyaare aaye Hain
Jholi bharne aaye Hain.

Aayi hai jo kathinaayee
Vaddi Unkee vadiyaayee
Ve hee paar utaarenge
Bigde naseeb sanvaarenge.

Guruvar pyaare aaye Hain
Jholi bharne aaye Hain.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruvar Pyaare Aaye Hain (05/30/2024)

Mitrataa (05/29/2024)

May 29, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2292
             Mitrataa

Kabhi saheli bannkar
Toh kabhi bannkar dushman
Kismat saath hee rehti hai har kshan
Ya dekar dard ya phir kar ke tumhe prasann.

Karmon se banti hai kismat
Ye hai mahapurushon kee dee sumat
Kismat ko saheli hai banaana
Toh karmon ko sudhaarte jaana
Varna kismat ka saath toh padega hee nibhaana
Lekin ho na paayega uss se dostaana.

Jo ho gaya vo tum badal sakte nahin
Kewal Guruji lekha likh sakte Hain dobaara
Isliye pichhle karmon ka bhaar saara
Khatm ho sakta hai kewal Unkee kripa ke dwaara.

Phir bhi bhugatna toh padega mool
Vahee paristhiti ko banaa sakta hai pratikool
Isliye bannkar Guruji ke charnon ke taley kee dhool
Arpit karte raho Unhe shraddha ke phool.

Guruji se maangte chalo kshama
Chaahe jaisa bhi ho samaa
Ve kismat ko denge panaah
Aur usey tumhaari saheli denge banaa.

Phir is mitrataa ko zaroor nibhaana
Ekatrit karna sadachari ka khazaana
Swayam ko ruhaani oonchaayee kee oar le jaana
Guruji ko apne neeven bhaav se rijhaana.

Na bhoolna tum
Karte rehna tahe dil se Guruji ka dhanyawaad
Ve swayam denge
Tumhaari aur kismat kee mitrataa ko ashirwaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mitrataa (05/29/2024)

Jyotirmay Ho Jaayega Tera Jeevan (05/28/2024)

May 28, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2291
  Jyotirmay Ho Jaayega Tera Jeevan

Guruji se ooncha koi nahin
Yeh jaan le, pehchaan le
Guruji se dayalu koi nahin
Tujhe gyat toh hai, buss, abb maan le.

Beshak tujhe kayi aakarshanon ne ho roka
Chod de abb tu dete rehna swayam ko dhokha
Bhatak na tu dar dar par
Guruji par poorna vishwaas kar.

Guruji ne Apni sharan mein tujhe apnaaya na hota
To tu kabb ka yahaan vahaan kho gaya hota
Is sansaar kee premaasakti mein
Aur shaayad na magn ho paata bhakti mein.

Har sukh dukh hai Guruji ka kiya ehsaan
Beshak tu iske rahasyamayi gyan se hai anjaan
Tu le is satya ko maan
Kewal Guruji hee jaante Hain ki Unhonei kaise karna hai tera kalyaan.

Tu buss koshish karta chal rakhne kee Guruji ko prasann
Saaf hotei hotei chamak jaayega tere mann ka darpan
Aise pratibimbit hogi tere bheetar Guruji ke noor kee kiran
Ki sada ke liye Unke prem se jyotirmay ho jaayega tera jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jyotirmay Ho Jaayega Tera Jeevan (05/28/2024)

Guruji Kee Yaad (05/27/2024)

May 27, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2290
     Guruji Kee Yaad

Guru kripa se savaar hua hai tu Unke naam kee naav mein
Doob jaa tu Guruji ke prati prem bhaav mein
Kaafi samay bitaa liya anekon tareh ke laukik chaav mein
Abb pirota chal Guruji kee yaad ka marham apne har ghaav mein.

Dard kumm hotei hotei ho jaayega gumm
Bheetar bajti rahegi Guruji ke naam kee madhur dhun
Is dhun dwaara Guruji se teri nazdeeki badhegi
Tere bheetar kee ruhaaniyat sunehri oonchaayee chhooegi.

Basey Hain Guruji tere antas kee gehraayee mein
Jahaan pahunchaayegi tujhe Unkee yaad
Tu bahut khushnaseeb hai ki Unhonei apnaaya hai tujhe
Unkee yaad mein shuddh bhaav ke sangg shaamil kar Unke prati dhanyawaad.

Guruji ko tu pyaar kar
Luta de apna sarvasva Unpar
Aur Guruji se kar fariyaad
Ki tujhe Ve har pal aayein yaad.

Guruji kee yaad se madhur
Kuch bhi nahin is sansaar mein
Guruji kee yaad tujhe magn rakhegi
Unke pavitra pyaar mein.

Tera har shwaas mehek jaayega
Unkee bakhshi hui ruhaani bahaar mein
Tera har din guzarne lagega
Unse milan ke meethe intazaar mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Yaad (05/27/2024)

Kalyaan Aparampaar (05/26/2024)

May 26, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2289
               Kalyaan Aparampaar

Toone kavach pehna hai Guruji ke naam ka
Kabhi na tootega tera sapna kalyaan ka
Jiske sir par haath ho Guruji meharbaan ka
Usey koi prayojan hee nahin Khudaayee ke pramaan ka.

Kyunki Guruji kee guruyaayee mein basee hai Khudaayee
Unkee vadiyaayee mein basee hai ruhaaniyat kee gehraayee
Divya hota hai Unka deedar
Unke vash mein hai saara sansaar.

Beshak pareshaaniyon ne tujhe hua hai ghera
Apitu kalyaan awashya ho raha hai tera
Tu kar Guruji ke hukm par gupt paath, sewa, aur daan
Guruji karte chalenge tera gupt aur pratyaksh kalyaan.

Shubhta ka raag hai saubhagya
Sukh, samriddhi, swaasthya
Shubhta ka ehsaas ho sabke liye
Isliye jalaaye rakh sadbhaav ke deeye
Sabke prati
Toh sudharegi gati
Badhegi sumati
Khush hongei Pashupati.

Paashon ka karenge Ve vinaash
Hota chalega tere dukhon ka naash
Mann jaise jaise hoga saaf
Adbhut azaadi aur halkepan ka hoga ehsaas
Jismein hoga ek aisa saatvik sukh
Jisey kumm na kar paayega koi bhi duniyavee dukh.

Tu anubhav kar paayega Guruji kee shakti apne bheetar
Vo hee hai Param anand ka anubhav nirantar
Kyunki Guruji Hain Pashupati Nath Parameshwar
Jo swayam Hain Pranav aur naad roopi Ishwar.

Khul chuka hai tere liye kalyaan ka dwaar
Guruji dete rahenge bakhshishein beshumaar
Unmein leen rakhega mann to tujhe baandh na paayega ye sansaar
Guruji dwaara tere kalyaan ka sapna sach hokar laayega sanatan sukh aparampaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kalyaan Aparampaar (05/26/2024)

Badi Der Bhayee (05/25/2024)

May 25, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2288
               Badi Der Bhayee

Anekon shareer mein baste baste
Rooh mein bechayyn ehsaas ka baar baar hua aana hai
Rooh ne Guruji ko apna anurodh sunaana hai
Ki badi der bhayee, abb ghar jaana hai.

Badi der bhayee, abb ghar jaana hai
Vahaan, jahaan mera asal thikaana hai
Guruji ne hee raasta dikhaana hai
Badi der bhayee, abb ghar jaana hai.

Raasta rokey huey ye janam maran ka fasaana hai
Guruji hee jaanein yahaan kewal laukik gharaana hai
Guruji ne toh vahaan pahunchaana hai
Jahaan asal gharaana hai.

Maut toh jeene ka antt nahin
Kewal aglaa janam lene ka bahaana hai
Guruji ne rachaa yeh khel deewana hai
Badi der bhayee, abb ghar jaana hai.

Ye duniya maya ka maikhaana hai
Na jaane yahaan se sada ke liye kab hona ravaana hai
Guruji ke naam ke amrit ne hee tadapne se bachaana hai
Badi der bhayee, abb ghar jaana hai.

Guruji kee sharan sabse anmol khazaana hai
Guruji ke hukm ke khilaaf nahin jaana hai
Jitnee baar Ve kahein, rooh ko janmon se guzar jaana hai
Har janam mein Guru charnon mein sees jhukaana hai
Har janam mein har saans mein Guruji ka shukrana hai
Badi der bhayee, abb ghar jaana hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Badi Der Bhayee (05/25/2024)

O Musaafir Matvaale (05/24/2024)

May 24, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2287
  O Musaafir Matvaale

O musaafir matvaale
Le tu dhyan se har kadam
Phayla hai kalyuga ka dal dal
Satark rehna tu har pal.

Aaspaas hain anginat aakarshan
Chalta hai nirantar vikaaron ka aakraman
Zaroori hai sudhaarte rehna vichaaron kee aakriti
Zaroori hai ki kaayam rahe tere chitt kee jaagriti
Taaki tu har nakaaratmak aakraman ka saamna kar paaye
Taaki tu kaheen kisee haanikaarak shakti se na darr jaaye.

Beparwahi achchi hai, lekin laparwahi nahin, rakh ye yaad
Guruji se maargdarshan ke liye karta chal tu fariyaad
Guruji kee yaad mein jeeta chal
Unke naam ka amrit tu peeta chal
Bheetar aur baahar ka har vish dhul jaayega
Bandd raasta bhi Unkee kripa se khul jaayega.

Jaise jaise Unke naam ka rangg tujh par chadhega
Tujhe bhatakna nahin padega
Tujhe raasta saaf aayega nazar
Tu ho paayega agrasar.

Dal dal mein na phansega tu
Dal dal mein na dhansega tu
Tujhe koi anuchit prabhav na sakega chhoo
Chalte rehne se na thakega tu.

Bahut hui tujh se naadaaniyaan
Parantu anginat hain Guruji kee meherbaaniyan
Ve toh sada karte Hain bhakton ka kalyaan
Isliye na chod Unka naam japp aur dhyan.

Mushkil safar lagta hai maano kabhi na hoga khatm
Sangharsh mein zyada dard karta hai har tareh ka zakhm
Tu Guruji par bharosa rakh aur dheeraj dhar
Na banaane de mayoosi ko apne antas mein ghar
Shraddha se pooja kar Guruji ko vahaan
Chalta chal Ve le jaayein jahaan
Ve hee preet Hain, Ve hee meet Hain
Ve maargdarshak Hain Bhagwaan ke roop mein
Aseem mamta mein bheega hai Unka aanchal
Ve sambhaalte rahenge tujhe jeevan kee chhaaon aur dhoop mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

O Musaafir Matvaale (05/24/2024)