Janam Kayi Hazaar (04/23/2024)

April 23, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2256
                Janam Kayi Hazaar

Guruji kee ek nigaah
Ujjwal kar deti hai andheri raah
Deti hai uspar chalne ka utsaah
Badha deti hai Unke kareeb aane kee chaah.

Guruji kee pyaar bhari inaayat
Bakhsh deti hai ghar mein barkat
Nikhaar deti hai bhakt dwara kee gayi ibadat
Mita deti hai har shikva, har shikayat.

Guruji kee ek nazar
Kar deti hai bhakt par aisee nadar
Ki anugrahit ho jaata hai uska safar
Vo janam janamaantar ke liye jaata hai tarr.

Guruji ka paawan pyaar
Bhakt ko bulaata hai Unke dwaar
Jahaan hota hai uska uddhaar
Paakar Guruji kee kripa aparampaar.

Guruji kee har rehmat
Sanvaarti hai bhakt kee kismat
Sulajhaati hai bhakt kee duvidha aur dikkat
Deti hai bhakt ko taakat aur himmat.

Guruji kee meethi meher bhari muskaan
Bhakt ke veerane ko banaati hai gulistaan
Dekar komal kalyaan ka divya daan
Bhakt ko dhanya kar dete Hain Guru karunanidhaan.

Guruji kee dee har bakhshish, har daat
Hai param aadarneeya saugat
Chod kar har shart aur sabhi sawaalaat
Guru charnon mein rehne ko jee chaahe din raat.

Guruji se judi hui seedhi taar
Karti hai bhakt ka beda paar
Beshak jeevan ke din hon do chaar
Kintu sanvar jaate hain janam kayi hazaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Janam Kayi Hazaar (04/23/2024)

Nihaal, Nihaal, Nihaal (04/22/2024)

April 22, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2255
             Nihaal, Nihaal, Nihaal

Thaa ik raahi deewana
Jagg lagta thaa usey begaana
Dinacharya chal rahi thi seedhi saadi si
Utnee bhautik bhaag daud uske liye kaafi thi.

Darasal usey thi khoj
Vo khoj rehti thi har roz
Ki kya hai uska uddeshya asal
Jis se uska janam hoga safal.

Kayi teerath sthaanon ka kiya usne bhraman
Kahee bhi shanti na paata thaa uska mann
Lagg na paata thaa uss se dhyan
Veh pehchaan paa raha thaa apne bheetar ka agyan.

Uske antas mein thei kayi ruhaani sawaal
Jawaab dhoondhte dhoondhte hua bechayyn uska haal
Unn sawaalon ne kiya usey nidhaal
Kintu Guruji ne sapne mein aakar usey kaha
β€˜Nihaal nihaal nihaal.’

Utha veh, toh usey yaad aaya achaanak veh kshan
Jabb kayi saal pehle usey Guruji ke huey thei darshan
Vo gaya thaa Guruji ke mandir Unke ek bhakt ke saath
Usey yaad aayi veh shubh raat.

Hua usey ehsaas ki sapne mein thei Ve Guruji Maharaj
Usey achcha lagaa ki Unhonei usey yaad kiya aaj
Usne mann hee mann kee Guruji se ardaas
Ki Ve uskee madad karein aakar uske paas.

Arzi sunn lee Guruvar karunanidhaan ne
Baithaaya Unhonei raahi ko simran ke vimaan mein
Uskee lagan badhti gayi simran aur dhyan mein
Guru kripa se badhauti hui uske ruhaani gyan mein.

Guruji kee meher se vo apne sawaalon ke jawaab paane lagaa
Uske jeevan se bechayyni ka pehlu jaane lagaa
Dikhne lagi thi usey ruhaani raah
Laut aaya thaa uska utsaah
Vahee raahi jo hua thaa kabhi bilkul nidhaal
Aaj Guruji kee daya se veh hua nihaal, nihaal, nihaal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nihaal, Nihaal, Nihaal (04/22/2024)

Anubhavon Ke Afasaanon Ka Aangan (04/21/2024)

April 21, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2254
 Anubhavon Ke Afasaanon Ka Aangan

Anubhavon ke afasaanon ke aangan mein
Satsang ke phool khilte hain sundar
Chaahe hamein lagey chhota ya bada
Guru kripa dikhtee hai har satsang ke bheetar.

Guruji ke har satsang ke anubhav mein
Guruji hotey Hain angg sangg mein
Uss ruhaani anubhav ke dauran
Chaahe kasht taley ya bachey jaan
Milta hai Guruji kee ruhaani maujoodagi ka pramaan
Ehsaas hota hai ki aisa anubhav bakhsh sakte Hain kewal Bhagwaan.

Jitna grahan sheel ho bhakt ka antakaran
Utna samaahit kar paayega veh Guruji ke ashirwaad ko
Aur antakaran jaise jaise karta jaayega Guru kripa ko grahan
Mehekne lagega aubhavon ke afasaanon ka aangan
Guruji ke divya ashish kee khushboo se
Aur ye khushboo rooh takk ko chhoo ke
Kar ke uska shringaar, degi usey taar
Aur Guruji kee mehar se hoga bhakt ka uddhaar.

Kyunki swayam Guruji Hain is aangan ke baghban
Aur har anubhav mein Ve karte Hain bhakt ka kalyaan
Andekhe anjaane sankat bhi jaayenge tal
Aisa hota aaya hai aur hoga aaj aur kal
Darasal aisa hota hai hamaare bin jaane bhi har pal
Aisa hai param poojya Guruji ka prataap aur bal.

Guruji se hai vinamr ardaas
Ki aisa aangan ho saari sangat ke paas
Har uss aangan mein khilte rahein sundar phool
Aur har shool kee chubhan mita de Shiv avatari Guruji ka trishul.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anubhavon Ke Afasaanon Ka Aangan (04/21/2024)

Jinhe Paane Ke Liye…… (04/20/2024)

April 20, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2253

Jinhe Paane Ke Liye……

Jinhe paane ke liye khud ko khona kewal jaayaz hee nahin, balki hai zaroori
Jinke kareeb aane ke liye badhaani hogi har vishay, har vikaar, har duniyavi aasakti se duuri
Jinke ashirwaad ke bin purusharth kee yatra nahin hogi poori
Jinke hukm kee avahelna se reh jaayegi kalyaan kee aas adhoori
Unn sarv-vardaata Sadashiv Guruvar ko naman
Unke kamal charnon mein hai vinamr vandan
Ki Unke sangg bandhan mein bandhi rahoon har janam
Aur har janam ke har kshan mein laagi rahe Unse lagan.

Guruvar Maharaj ke vash mein hai mera aaj
Arzi hai Unse ki mere aane wale kal par bhi Ve karein raaj
Meri har soch ho Unkee dee hui sumat kee mohtaaj
Unke paas hee hai mere har marz ko mitaane ka ilaaj.

Guru sahib swayam Hain maalik mere muqaddar ke
Unhonei anumati dee hai ki mai maatha tek sakoon Unke dar pe
Unhonei mujh par rehmat kee hai na jaane mere kitne kasht har ke
Unkee kripa se mai jeeti hoon Unkee bakhshishon se apni jholi bhar ke.

Mai toh bakhshish ke bhi kaabil nahin
Khushnaseeb hoon kyunki Guruji kee itnee vaddi hai vadiyaayee
Jis jis ko bhi sweekaara hai Guruji Maharaj ne Apni sharan mein
Har uss shakhs ne Unkee daya aur mamta bhari inaayat hai paayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jinhe Paane Ke Liye…… (04/20/2024)

Atoot Akshay Sahaara (04/19/2024)

April 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2252
              Atoot Akshay Sahaara

Yahaan na koi lagey apna na begaana
Mann buss ho Guruji ka deewana
Ve hee apne thei, Hain, aur rahenge sada
Seekhni hai toh buss Unhe paane kee adaa.

Guruji kee praapti hai praapti Ishwar kee
Isliye bahut mahaanta hai Guruji ke dar kee
Yahaan kintu parantu se kuch milta nahin
Yahaan sanshay karna nahin hota sahi.

Jitne hotey jaaoge tum Guruji ke deewane
Jitna sunoge sunaaoge Unkee mahima ke afsaane
Jitne kumm banaaoge Unhe yaad na kar paane ke bahaane
Utna hee Guruji ke prati bhakti bhaav lagega tum mein samaane.

Uss bhakti bhaav mein ramm jaayega zarra zarra tumhaara
Tumhe beech majdhaar mein bhi dikhne lagega kinaara
Tufaan aur kohre mein bhi tumhe saaf nazar aayega raasta saara
Guruji ko arpit kar do har karma apna, Ve Hain tumhaara atoot akshay sahaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai GurujiπŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Atoot Akshay Sahaara (04/19/2024)

Hamaari Har Minnat (04/18/2024)

April 18, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2251
Hamaari Har Minnat

Hamaari har minnat
Paati hai Guruji kee rehmat
Guruji toh har pal har minute
Yakeenan Hain hamaare nikat.

Bhakt ho ya na ho Unke faisle se sehmat
Unka toh har faisla hota hai nishkapat
Kyunki Guruji thakte nahin Hain karte huey bhakt ka kalyaan
Kintu aksar ye samajh nahin paate hum bhakt jann naadaan.

Guruji hum sabke baare mein sochte Hain har pal
Yoon hee thode hee na hamaare anginat kasht jaate hain tal
Vichaar keejiye ki Guruji ke charnon mein bulaaye jaane se pehle kaisa thaa jeevan
Toh swayam hee ek nutan nazariye ka bakhaan karega aapka antakaran
Zindagi ke har pehlu par ho rahi hai Guruji kee nadar
Abb takk na kee ho toh abb se kar lein is nadar kee kadar.

Bin hamaare iskee kadar kiye bhi Guruji toh karte rahenge paropkaar
Kintu hum ahankar ke vash mein rehkar kaheen reh na jaayein beemar
Hamaare Guruji Maharaj Hain Vaidyanath Shiv avatari
Jinhonei sansaadhit kee hai yeh srishti saari
Har bhakt ke har marz ke liye aushadhi hai Guruji ke paas
Unkee rehmaton par hee nirbhar hai Unka har bhakt, har das.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Hamaari Har Minnat (04/18/2024)

Rangg Hain Kayi Sansaar Mein (04/17/2024)

April 17, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2250

Rangg Hain Kayi Sansaar Mein

Rangg hain kayi sansaar mein
Lekin ruhaani rangg ke jaisa rangg na hai koi aur
Aur jabb Guruji swayam chadhaayein veh rangg bhakt par
Toh atma aur antas dono hee jaate hain nikhar.

Bheetar ka nikhaar kar deta hai bhakt ka chehra noorani
Yahee nikhaar sanvaar deta hai bhakt kee zindagaani
Jitnee badhe bhakti, utna hee ye nikhaar ho jaaye gehra
Ruhaani rangg ka nikhaar na padta pheeka, Guruji ka sada rehta hai uspar pehra.

Guruji Apne har bhakt ko pehnaate Hain kavach kalyaan ka
Guruji Apne har bhakt mein samaate Hain bannkar swaroop Bhagwaan ka
Unke bhaav poorna simran aur chintan se bhakt ke hriday mein aasan sthaapit karte Hain karunanidhaan
Aur phir Guruji ho jaate Hain swayam uss aasan par viraajmaan.

Har bhakt par Guruji barsaate Hain Apna pyaar
Saari sangat par daya karte Hain Ve aparampaar
Uthaate Hain sabhi ke paapon ka bhaar
Kintu jataate nahin Hain ek bhi baar.

Unke chadhaaye ruhaani rangg mein roam roam ramm jaaye
Unke sikhaaye jeene ke dhangg mein jeevan vyateet ho jaaye
Unkee yaad mein jis bhakt ka har pal beet jaaye
Veh bhakt har pal Guruji ka salona saath paaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Rangg Hain Kayi Sansaar Mein (04/17/2024)

Sanatan Thikaana (04/16/2024)

April 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2249
                  Sanatan Thikaana 

Na samajh lena ghar ko
apna sanatan thikaana
Tum ho musaafir aur ghar hai kewal musaafir khana
Tumhaare liye behtar hoga ki maan le tumhaara dil
Ki yahaan par nahin hai tumhaari atma kee manzil
Kyunki jo hai Paramatama ka dar
Vaheen mukammal hoga atma ka safar.

Isliye chal raha ho jaisa bhi daur
Guruji ke kareeb pahunchne kee kaayam rakho daud
Vehem aur andhvishwaas ko tum do chod
Dhyan lagaao atma kee unnati kee oar
Kewal mukh ko nahin, mann ko bhi lo Guruji kee oar tum moad
Ve tumhe kamzor karne wali sabhi bediyan denge toad.

Guruji sangg rishte mein bandh kar
Tum ho jaaoge sahi mainey mein azad
Jaise jaise badhegi Guruji se tumhaari preeti
Sakaaraatmakta se sajj jaayegi tumhaari manovritti.

Guruji kee mahima ke mahasaagar kee gehraayee ka tum lagaa nahin sakte andaaza
Guruji kee kripa se kumm ho sakta hai karmon ka takaaza
Sochoge Guruji kee sharan mein beete jeevan ka toh jaanoge tum
Ki kitne aaye huey kasht toh tumhaare bin jaane hee ho gaye kaheen gumm.

Guruji kee kripa se tum safar mein aagey badh paaoge
Unke ashish se tum ruhaani oonchaayee par pahunch jaaoge
Apni neeyat, apna parishram rakho nek
Dekhna, safal hoga tumhaare safar ka pal pratyek.

Jaise jaise waqt kee dhaara bahegi
Tumhaari yatra khiltee rahegi
Karte raho har pal tum Guruji ka shukrana
Unkee mehar se tumhe milega Unhee mein sanatan thikaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sanatan Thikaana (04/16/2024)

Guruji Kee Drishti (04/15/2024)

April 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2248
                  Guruji Kee Drishti

Badhaa lo prem Guruji ke sangg
Chadhaa lo swayam par Guru bhakti ka rangg
Tum khud hee reh jaaoge dangg
Ki kaise badal jaayega tumhaare jeene ka dhangg.

Ek nayi himmat, ek naya utsaah
Sajaa dega tumhaare jeevan kee raah
Sehenshakti badh jaane ka hoga ehsaas
Kathin samay mein ye ehsaas mehsoos hoga khaas.

Jin chunautiyon se pehle tum thei ghabraate
Abb Guruji ke sahaare rahoge tum unhe galey se lagaate
Sakaaraatmak hoti jaayegi tumhaari vichaardhaara
Beshak tumhaara waqt chal raha ho maada.

Mann karta rahega satsang mein jaane ka
Chaav hoga Guruji kee mahima sunn-ne sunaane ka
Dinacharya ke saath bhi Guru chintan aur simran mein vyast rahoge
Duniya ke rangg dekhte dekhte bhi Guruji mein tum mastt rahoge.

Buss, tumhaari oar se chahiye hoga atal prayaas
Aur Guruji par poorna aur atoot vishwaas
Ki Ve har haalaat mein angg sangg Hain tumhaare
Tum swayam jaan logey ki Unhonei kaise Hain tumhaare kaaj sanvaare.

Unkee yaad mein raho har pal
Taaki Unke prem mein beete tumhaara aaj aur kal
Duvidhaayein aayengi toh jaayengi tal
Guruji ke simran aur dhyan se badhega tumhaara manobal.

Ye sab mumkin hai Guruji ke ashirwaad se
Kitne paapi bhi tarr gaye Guru prasad se
Tum par bhi awashya hogi bhakti ke rangon kee vrishti
Tum bhole bhaav se bulaate raho, tumhe bhi awashya taaregi Guruji kee drishti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Drishti (04/15/2024)

Shehenshah Mahaan (04/14/2024)

April 14, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2247
             Shehenshah Mahaan

Muskuraaye mera mann
Chhoo kar Guruji ke charan
Paakar Unke naam ka dhan
Safal ho gaya mera ye janam.

Guruji kee daya par mai vaari jaaoon
Unkee divyata ke samaksh mai sees jhukaaoon
Unkee leela mai naadaan na samajh paaoon
Unke prem mein mai toh phooli na samaaoon.

Unkee sharan mein aane se pehle na jaane kaise jee rahi thi Unke bin
Phir sochoon ki Unkee toh tabb bhi mujh par nazar thi raat aur din
Mai hee thi anjaan
Ki mai hoon Unkee santaan.

Abb toh mainey yeh jaana hai
Ki Unhe Guru Govind jo maana hai
Toh Unhee mein dikhein mujhe pita aur mata
Aisa sundar hua hai Unse mera naata.

Ye Unkee hee karuna ka hai kamaal
Ki Unhonei kiya hai mujhe Apni meher se maalaamaal
Alfaaz hee nahin hain mere zehen mein Karne ke liye Unkee meharbaani ka bakhaan
Kaash mere dil kee ye awaaz sunn le ye saara jahaan
Ki mere Guruji Maharaj Hain har Brahmand ke shehenshah mahaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shehenshah Mahaan (04/14/2024)