Sachet ho jaa aye praani Beeti jaa rahi hai zindagaani Buss bhi kar abb karni aur naadaani Varna aagey chalkar tere liye nishchit hai pareshaani.
Agar tu chaahta hai ki teri aagey kee yatra ho suhaani Toh rutba rakh ruhaani aur imaan rakh insaani Aise karmon se susajjit kar apne jeevan kee kahaani Ki aane wale janam na banein tufaani.
Jo beet gaya usey tu nahin sakta badal Kintu tu awashya sanvaar sakta hai apna aane wala kal Uske liye apne vartmaan par kar le parishram bhara kaam Japta jaa Guruji Maharaj ka nirmal naam.
Beshak yahaan hai tu aur tera shareer Parantu tera antas pahunch jaayega Unke dhaam Guruji sanvaar denge teri taqdeer Aur denge tere safar ko kalyaankaari anjaam.
Tu na kar sanshay ya koi tark vitark Mastt reh kintu reh apne karmon kee oar satark Tere angg sangg Hain srishti ke sartaj Teri niyati hai Unkee meher kee mohtaaj.
Baisakhi ka paawan tyohaar hai aaya Dil mein sabke mangal ke liye vintee hai ye laaya Guruji ne kitnon ko Apni sangat hai banaaya Ye jaan kar mera roam roam hai harshaaya.
Hoti rahe Guruji kee meher kee sangat par barsaat Sangat Guruji kee yaad mein magn rahe din raat Guruji kee kripa se hamaare shubh karmon kee fasal kee hariyaali ho Guruji ke ashish se sabke ghar parivaar mein khushhaali ho.
Sangat kee Guruji mein lagan matvaali ho Gyan ke deep jalein aise ki har raat diwali ho Guruji yoon bakhshein ki kisee kee jholi na khaali ho Kisee kee bhi ghargrahasthi mein kabhi bhi na kangaali ho.
Har oar ho Guruji kee mahima ka gungaan Koi bhi na rahe Guruji kee mahaanta se anjaan Guruji ke dikhaaye raaste par chalein sangat ke paaon Guruji ko rijhaane mein vyast rahe har sheher aur har gaaon.
Ye satya ki har saans hai Guruji ka diya hua uphaar Ye yaad rakh kar har din ko jeeyein jaise ho khaas tyohaar Guruji ke hukm maankar hum prakat karein Unke prati apna aabhaar Guruji ka shukr manaayein ek baar nahin, balki anginat baar.
Ek gaaon mein thaa ek saadhaaran sa kisaan Vyapaar karne laga toh uska mann bharne lagaa shaan se bhari udaan Sheher thaa ek vaheen paas mein Vahaan jaane lagaa veh aadami.
Lagne lagi usey bhautikvaad kee hawaa Bann gayi veh uske kamzor mann ke liye davaa Mann ko miltee thi vahaan ke vaataavaran se aisee raahat Ki vahaan phir jaane ke liye badhti jaati thi uske mann kee chaahat.
Sheher jaakar vaapis aata thaa jabb har baar Mann uss-se karvaata thaa tabb se intazaar Ki phir vahaan kabb jaayega Jahaan mann ko mazaa aayega.
Karte karte mann ko hee arzi Yoon maan-ne lagaa mann kee marzi Ki banta gaya veh mann ka das Badhti gayi uskee vishayon kee aas.
Beet gaye kuch saal Bechayyn hua uska haal Vyaapaar se dhan toh bahut kamaaya Kintu mann ka das bannkar sab ganvaaya.
Simran karna bhoolta gaya har din Chalta raha Guruji ko yaad kiye bin Guruji sangg na jod paaya seedhi taar Pareshaan karne lagi usey zindagi kee raftaar.
Chal kar jaa raha thaa ek shaam Maano usey bheja Guruji ne paigam Usey gulab kee khushboo aayi Usey shabad kee dhvani dee sunaayi.
Saamne wale ghar se aa rahi thi veh awaaz Bheetar dekha usne toh veh samjha khushboo ka raaz Vaheen se khushboo aa rahi thi usey Usey peechhe se ek sajjan ne kaha ki veh bheetar ghusey.
Usne joote utaare aur gaya bheetar Mudd kar dekha toh koi na thaa uske peechhe darwaaze par Veh hua hairaan ki sajjan gaye kahaan Phir dekha toh unhee kee tasveer thi vahaan.
Unkee aarti karne lagey vahaan sabhi jann Kisee ne vyaapaari se kaha ki ho raha hai Guruji ka satsang Vyaapaari aashcharyachakit hua Is anubhav ne uskee rooh ko chhua.
Hui uspar Guruji kee meher Ho gayi uskee chetna kee seher Usey shabad simran ka ho gaya phir se chaav Simran hotei hotei shuddh hota gaya uska bhaav.
Badhne lagaa uska manobal Kamzoriyan jaane lagin tal Mann honei lagaa shant aur sthir Uskee bechayyni duur honei lagi phir.
Guruji kee kripa se milee usey sadh sangat Satsang aur sewa dwaara milee ruhaani rangat Har pal veh paane lagaa Guruji ko apne paas Jo mann ka das thaa, veh bann gaya abb Guruji ka das.
Guruji ke charnon mein namaskaar Inhee charnon mein ho bhakt ka uddhaar Yaheen gyat ho janam maran ka saar Yaheen tarey sangat ka ghar parivaar.
Guruji ke charnon mein miley jo pyaar Vaisa na miley beshak dhoondh lo saara sansaar Uss pyaar se sukh miley beshumaar Uss pyaar mein barasta hai divya dulaar.
Guruji ke charnon mein miley jo jaagriti Uss se sanvar jaaye rooh kee aakriti Uss se badhe Guru Govind se preeti In charnon mein miley naseeb waalon ko sweekriti.
Guruji ke charnon mein jhukey jo sheesh Inhee charnon mein usey mil jaaye Guruji se bakhshish Yaheen praapt ho bhakt ko mangal ka ashish Yaheen milein Guruji ke roop mein Gireesh.
Guruji ke charnon mein hai aseem aasmaan Guruji ke charnon mein anokhi ho jeevan kee dastaan Guruji ke charnon mein jo swayam ko kar de qurbaan Inhee charnon mein ho jaaye uska pooran kalyaan.
Ek baar phir Guruji se mulaakaat hui Rooh se rooh kee baat hui Baat karte karte din se raat hui Aur phir aise hee agli prabhat hui.
Lekin pataa hee nahin chala samay ke guzar jaane ka Bayaan nahin kar sakti anand uss khazaane ka Jo mujhe mila Guruji kee meharbaani se Jabb Unhonei baatein kee is deewani se.
Agya lene ke liye mainey sees jhukaaya Phir Guruji ne mujhe yaad dilaaya Ki Unhe yaad karna na bhooloon kabhi Kintu nibhaati rahoon apne farz sabhi.
Rakhe huey Unke hukm ko sir aankhon par Unka shukrana kiya mainey haath jod kar Ki Unhonei ruhaani guftagu ka diya avsar Jiska hua meri rooh par aisa asar Ki ek oar se saarthak bann gaya ye safar Aur dooji oar mitne lagaa vyarth ka darr.
Guruji ke sangg har bhakt ka rishta hai kitna anokha Guruji Apni manzoori se dein sabhi ko swayam se judne ka mauka Guruji ka ashirwaad har bhakt ke jeevan mein vardaanon kee vrishti hai laaya Har veh bhakt bahut khushkismat hai jisey Guruji ne hai apnaaya.
Mit jaaye har sanshay Duur ho jaaye har bhayy Tabhi hoga ye tayy Ki Guruji se judi hai layy.
Jeevan mein Guruji ka ho agrasthaan Koi kaam na kiya jaaye bin liye Unka naam Tabhi yoon hoga sammaanit hriday mein basaa Guruji ka dham Ki Guruji bhakt ke hriday mein baney aasan par nirantar rahenge viraajmaan.
Guruji se sada ho arzi Ki hamaare jeevan mein chale Unkee marzi Tabhi pehchaanega ye mann Ki kitna sukhdayi hai Guruji ko samarpan.
Guruji ka har hukm sada ho sir aankhon par Unka anusaran karte huey har pal jaaye guzar Tabhi Guruji kee mehar ka aisa hoga asar Ki mangalmayi ho jaayega jeevan ka safar.
Guruji se na ho koi shikaayat Har sukh dukh mein mehsoos ho Unkee inaayat Tabhi Unke prati shukrana ka aisa hoga ehsaas Ki shukrana mein jeevan bita lega Unka das.
Jabb Guruji ke ruhaani deedar mein beetne lagey kshan pratyek Jabb sotey jaagte bhakt kewal Guruji ke charnon mein raha ho maatha tek Jabb Guruji mein liv aise jude ki bhoolne lagg jaayein vichaar anekanek Tabb Guruji ke sangg rishte mein bhakt ka jhukaav hoga nirmal aur nek.
Soch mein bahut oorja hoti hai Ye vyaktitva ka hissa kabb jaati hai bann Ye jaan hee nahin paata ye baavra mann Soch bigaad ya banaa sakti hai jeevan.
Guruji Maharaj hotey Hain prasann Apne bhakton ke sakaaraatmak soch vichaar se Apne bhakton ke sadachar se Apne bhakton ke shuddh vyavhaar se.
Simran bakhsh kar, bakhsh kar dhyan Pavitrikaran karte Hain karunanidhaan Dete Hain sakaaraatmak soch ka paigaam Sumat bakhsh kar karte Hain bhakt ke vyaktitva ka nirmaan.
Jabb bhi aaye mann mein koi nakaaraatmak vichaar Ya kabhi bhi duvidha ya sanshay karein bhakt par prahaar Toh Guruji kee yaad mein leen ho jaayein Simran aur dhyan mein Unse prerna paayein Sakaaratmak soch vichaar kee Swayam ke uddhaar kee Sanvarte huey ghar parivaar kee Sudharte huey sansaar kee.
Samast srishti mein mahatvapoorna hai sabhi ka spandan Aur sakaaraatmak soch se sudharenge sabhi ke karam Sadbhaavna aur shubhta se anand poorna ho jaayega vandan Sabhi ke sehyog se shuddh spandan dwaara khil jaayega srishti ka upvan.
Kalyuga mein ye hai bahut zaroori Taaki mit jaaye Guru Govind se bhakt kee bhi duuri Sakaaraatmak soch se kisee kee bhi niyat na hogi buri Aur kalyuga mein satyugi jeevan jeene kee tamanna ho paayegi poori.
Jabb se dil hua Guruji ka deewana Tabb se kar diya dil ne Guruji ke liye gungunaana Labon par aksar hota hai Guruji se juda shabad ya gaana Na bhi ho toh bhi Guruji kee yaad mein mausam lagne lagta hai suhaana.
Karuna hai ye Guruji kee Ki Unhonei bulaaya mujhe apne dar par Kripa hai ye Guruji kee Ki Unhonei diya pyaar karne ka avsar.
Guruji ke pyaar mein Zindagi gayi hai nikhar Ye hai Unkee mahima Ye hai Unhee kee meher.
Aisa nahin ki aate nahin hain duvidhaaon ke kshan Lekin pehle se zyada suljha hua nazariya apnaane lagaa hai jeevan Neeras aur saadhaaran lamhe bhi jaate hain khoobsoorat bann Jabb Guruji ke khayaal se aabaad rehta hai mann.
Bhautikvaad kee daud kee nashwarta ka aur bhi gehra ho raha hai ehsaas Jo shwaas Guruji kee yaad mein ho, safal lagta hai vahee shwaas Phir veh yaad ho chaahe sewa, satsang, shabad ya aur kisee roop mein Phir veh yaad ho chaahe meethi chhaaon mein ya kadak dhoop mein.
Guruji kee yaad mein hota hai Guruji ke prati jo pyaar Lagta hai kumm hai aur usey badhaane ko jee chaahta hai baar baar Guruji ka shukrana hai ki kar paati hoon apni bhaavanaaon ka kumm se kumm thoda toh izhaar Guruji kee toh itnee rehmatein hain ki kaafi nahin chaahe mai shukrana karte huey doon apni ye saari umr guzaar.
Bahut koshish kee mainey Ki pareshaaniyaan mujh se ho jaayein naaraaz Kintu aisa atal hota hai unka andaaz Ki ve duur nahin jaati aur aati nahin hain baaz.
Piroh kar apni ye pareshaaniyaan Apni har fariyaad mein Aapke saamne laati rahi hoon Jabb bhi Aapke paas aati rahi hoon.
Mere is swaarth ko kar deejiye maaf Mai aur jaaoon bhi toh kahaan aur kyun jaaoon Chalte chalte thakk chuke thei mere paaon Phir mujhe milee Aap mein taral taruvar kee chhaaon Meri rooh kehti hai ki mai abb yaheen par ruk jaaoon.
Kyunki Aap hee Hain sarvshreshth aur param Aap Hain poornataya sampoorna Shiv avatari Jo himmat aur protsaahan mila hai mujhe Aapke dwaare Jo jo seh aur kar paayi hoon Aapke sahaare Vo hakeekat mein toh kya balki sapne mein bhi thaa namumkin Abb yakeenan jeevan chal nahin sakta Aapke saath ke bin.
Aapke prati jo hai mera pyaar Usey niswaarth banaa deejiye Aapke prati mera har izhaar Usey aisee panah deejiye Ki usmein na ho koi bhautik chinta ya fikr Usmein ho kewal Aapke prati prem bhaav ka zikr.
Pareshaaniyon ka aana jaana toh tabb takk chalta rahega Jabb takk jeevan kee har shaam ka sooraj dhalta rahega Pareshaaniyon kee chinta karte karte mai chintan ko na gavaaoon Unse bhramit hokar Aapke dikhaaye raaste par na dagmagaaoon Aapke kisee bhi hukm kee avahelanaa kar Mai jadta kee neend mein na so jaaoon Apne har swaarth ko tyaag kar Mai Aapse Aapko paane kee dhun mein kho jaaoon.
Dekar apratim pyaar Sangat ko taar Guruji le chale Hain uss paar Jahaan hai shubhta kee bahaar.
Na zaroorat hai kisee dooje lok mein jaane kee Na aawashyakta mrityu ke aane kee Balki jeete jee Guruji ke kamal charan mein Hamein poori madad mil rahi hai kashton ke haran mein.
Guruji kee bakhshish hai bemisaal Unkee daya hai divya dhaal Unkee vaani se vinamr hon vichaar Unke simran se ho sanskaar mein sudhaar.
Chalte huey Guruji ke nakshe kadam par Sangat ko mil raha hai ye anupam avsar Kitna dayalu hai Guruji Maharaj ka dar Ve haanikar haalaat ke halahal ko rahe Hain har.
Kal bhi sambhaala Jinhonei saari sangat ko Nikhaara sangat kee ruhaani rangat ko Aaj bhi rakh rahe Hain jo saari sangat ka khayaal Bhavishya mein bhi jo sanvaarenge sangat ka haal Aise meharbaan Mahadev avatari Guruvar ka dena koi na de paaye Unke ehsaanon ke prati aabhaar ke ehsaas se antas sajde mein sees jhukaaye.