Jeena Safal Ho Jaayega (06/06/2020)

June 6, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 839

          Jeena Safal Ho Jaayega

Na jaane hum mein se kaun kab toad dega dumm
Prabhu ke haath mein hai doar jinkee, ve katputliyaan hain hum
Jaise atmasaat karte hain khushi, vaise hee graas kar lein gumm
Toh jeena safal ho jaayega

Apni kamzoriyon par karein kaam
Har pal karein smaran Guruji ka naam
Chaahe ho subah, chaahe ho shaam
Toh jeena safal ho jaayega

Nakaraatmak prabhaav se na bigaadein apni zindagi
Na-insaafi ke khilaaf awaaz uthaane mein na ho sharmindagi
Bharose kee buniyaad par ho apni bandagi
Toh jeena safal ho jaayega

Antarmann ko saaf rakhein
Apne zameer kee raksha karein
Zarooratmand kee madad karne se na darein
Toh jeena safal ho jaayega

Baahari cheezon aur logon se judne ke bajaaye
Bheetar kee ruhaani yaatra par gaur farmaayein
Divyataa se hee judte jaayein
Toh jeena safal ho jaayega

Hamaari ruhaani pragati ke liye jo bhi anuchit ho, usey chod dein
Saare vikaaron se bilkul muh moad lein
Sarvsamarpan kar ke chinta kee bediyaan toad dein
Toh jeena safal ho jaayega

Sewa, simran, aur satya ka sangg karein
Sachchaayee aur neki ka saath dene se na darein
Guruji ke divya gyan se atma kee tijori bharein
Toh jeena safal ho jaayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jeena Safal Ho Jaayega (06/06/2020)

Leave a comment