June 7, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 840
Mann Ka Aangan
Karmon ka anjaam hota hai bahut gehra
Kyunki Guruji ka sadaa rehta hai hum par pehra
Hamaari bhakti dekhte Hain Ve, toh hamaare karam bhi Unse chhipe nahin hai
Unhe bhi Ve dekh rahey Hain, jinke anuchit vichaar aur karam rukey nahin hai
Yeh jo hamaare mann ka aangan hai
Yeh tabb hee rahega hara bharaa
Jabb hum mein samaayega neevanpann
Jabb hamaara har vichaar hoga kharaa
Varna hamaare jaane bina hee
Janglee ghaas is aangan mein ug jaayegi
Aur samay beetne ke saath saath
Sundar phoolon kee upaj ruk jaayegi
Shaayad pehle pehle hamein fark na pade is parivartan ka
Lekin jabb hum dekhenge roop rangg apne dil ke darpan ka
Toh swayam par aayegi sharam
Ki kyun humne kiye bure karam
Kyun na achchi soch aur achche karmon kee khushboo se
Mehekaayein apne mann kee bagiya ke phool
Is bagiya kee salaamati hamaare karmon se hai
Yeh hum kabhi bhi na jaayein bhool
Kyun na mann ke is anokhe aangan mein
Vichaar roopi suman ugne dein saral pyaar ke
Jinhe prem se choomte rahein
Jhonkei khushnumaa bahaar ke
Mann mein phir hogi sheetalta
Atma mein hogi nirmaltaa
Charitra mein hogi komaltaa
Guruji ko bhaa jaayegi yeh saraltaa
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja