Chitt Kee Chadariya (05/15/2022)

May 15, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1547

Chitt Kee Chadariya

Beete jaa rahe thei saal
Sudhar nahin raha thaa musaafir ka haal
Mann mein liye anginat sawaal
Sulajh nahin rahi thi samay kee uljhee hui taal.

Jeevan kee dagariya mein odhi chitt ne jo
chadariya
Veh mayli ho gayi zindagi ke aandhi aur tufaan mein
Vikaaron kee kheencha taani se phatt bhi gayi
Kahaan se laaoon mai chadariya nayi?

Yeh soch raha thaa musaafir chalte huey
Dekh raha thaa sooraj ko dhalte huey
Aaj ka din bhi guzar gaya, socha usne
Na badal paaya thaa abb takk chadariya
Asmanjas mein thaa vo
Ki kaise tayy karega jeevan kee dagariya.

Suna thaa kayi varsh pehle usne Guruji ka naam
Jabb usne chalna kiya thaa shuru
Na jaane kaise dil mein vahee naam aaya
Jaise jaise usne har kadam badhaaya.

Thodi si baarish hui, phir usey dikha indradhanush ka nazaara
Na jaane kyun, magar usey lagaa ki mil gaya sahara
Aise lagaa usey ki veh naav par hai savaar
Aur dhoondhte dhoondhte usey mil gaya ho kinaara.

Usne akash ka kiya dhanyawaad
Ki shubh sanket usey mila
Haath phaylaa kar vahaan khada raha
Usey lagaa ki paas hee koi phool khila.

Gulab kee khushboo aane lagi usey
Koi phool na dikha toh usne aankhein leen moond
Tabhi uskee hatheli par pyaar se aa giri
Palkon par saji thi baarish kee jo boond.

Mann kee aankhon ne dekha Guruji ka sundar roop
Uske dil mein jaaga bhakti ka ehsaas
Guruji uss se baat karne lagey
Veh sunta raha lete huey magn shwaas.

Guruji ne usey indradhanush dekhne ke liye kaha
Aur usne hukm maana
Phir Guruji ne usey aisa aadesh diya
Jo uske liye thaa asal khazaana.

Guruji ne usey pyaar se samjhaaya
Chadariya ko saaf karne ka upaay bataaya
Kaha Unhonei ki veh bhakti ko saat rangon se sajaaye
Taaki indradhanush ka saar uskee bhakti mein samaaye.

Kaha Guruji ne musaafir se:
“Sewa, simran, satsang, aur dhyan
Samarpan, shukrana, aur ruhaani gyan
Anaasakt rehne kee shakti
Inse nikhaar tu apni bhakti.
Jaise jaise in saat rangon se rangne lagegi teri bhakti
Mil jaayegi chadariya ko swayam saaf honei kee yukti
Aur tu is abhyaas ko kabhi na rokna
Chaahe yeh jagg na chode tujhe tokna.”

Musaafir ne poochha nahin aur kuch
Baaki sab kuch usey lagne lagaa tuchh
Usey Guruji ke noor se ho gaya pyaar
Aur chadariya saaf karne ke liye veh hua tayyaar.

Indradhanush thaa jin saat rangon ka prateek
Guruji swayam de chukey thei usey Unkee seekh
Mann mein Guruji ko naman karte hee
Mayyl udne lagi chadariya par se
Aur Guruji ke diye saat rangon ke asar se
Veh judta gaya Guruji ke dar se.

Bhaav kee sui mein daala naam simran ka dhaaga
Bhoolne lagaa ki kabhi thaa veh abhaaga
Is paawan dhaage se hui chadariya kee silaayi
Aur phati hui chadariya mein nayepann kee chhavi aayi.

Musaafir ko hua ehsaas ki kayi janmon ka bojh utaraa atma se
Uske roam roam mein Shukrana samaaya
Chitt kee chadariya par Guruji kee chhavi chaayi
Is ehsaas se musaafir ko nirmal anand aaya.

Guruji kee mehar se indradhanush ke rangon se
Musaafir ko suhaani lagne lagi jeevan kee ruhaani dagariya
Aaj bhi veh Guruji kee mahima ka gungaan karta hai
Chitt par odhe huey veh chaarul chadariya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Chitt Kee Chadariya (05/15/2022)

Amoolya Hai Tera Ye Janam (05/14/2022)

May 14, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1546

        Amoolya Hai Tera Ye Janam

Amoolya hai tera ye janam
Na bhoolna nibhaana insaaniyat ka dharam
Varna yahaan aane jaane ka silsila na hoga khatam
Kyunki badhte rahenge tere sanchit karam.

Har janam mein praarabdh toh bhugatna hoga
Uss se bachna nahin hai mumkin
Uske dauran bhi tujhse aur karam awashya hongei
Ye silsila chalega har din, ho sakta hai tere jaane bin.

Jo ho raha hai tere sangg jis bhi pal jis bhi jageh
Itefaaq nahin, zaroor hogi uskee koi vajeh
Tujhe kaaran nahin maalum toh koi baat nahin
Tu galat hai agar tujhe lagey ki Guruji tere saath nahin.

Unkee nadar bhi hai
Mehar-e-nazar bhi hai
Tu Unke aadesh ko maan
Apni khaamiyon ko pehchaan.

Ve maargdarshan kar rahe Hain tera ruhaani roop mein
Ehsaas ho tujhe iska, iska prayaas kar
Unke naam ke simran mein bahut shakti hai
Naam simran ka tu riyaaz kar.

Ye zaroori hai tere karmon ke bhugtaan ke liye
Ye zaroori hai tere chitt ke aaraam ke liye
Is se hogi tere antarmann kee shuddhi
Is se badhegi teri chetna aur teri subuddhi.

Insaan ka darja mila hai tujhe Parwardigaar se
Milee hai tujhe naam japne kee kshamtaa
Jitna ho sakey, karta chal tu karmon ka bhugtaan
Guruji kee sharan main hai tu, swayam ko bhaagyashaali jaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Amoolya Hai Tera Ye Janam (05/14/2022)

Farz Nibhaane Ka Raasta (05/13/2022)

May 13, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1545

         Farz Nibhaane Ka Raasta

Farz nibhaane ke raaste par chunauti na aaye
Mumkin toh hai magar aksar hota nahin
Kalyuga hai ye janab, ungali uthti hai kayi baar usee shakhs par
Jo hota hai sahi.

Isliye jod kar rakhna hai zaroori
Guruji ke saath seedhi sachchi taar
Taaki Guru kee matt se na ho tumhaare vichaaron kee duuri
Chaahe zamaana sochey kuch aur baar baar.

Apna farz tum nibhaate chalo
Gumm bhi aa jaaye toh uske saaye se na daro
Kaayam rakhte chalo tum Guruji par vishwaas
Aur Ve har pal denge tumhe Apni maujoodagi ka ehsaas.

Tum Unke charnon mein karo sab kuch samarpan
Dekhna, Ve Apni hatheli par le lenge tumhaara bhaar
Tum apni neeyat aur Unkee kripa se saaf kar lo mann ka darpan
Ve Apne noor se kar denge tumhaare antarmann ka shringar.

Jabb Unka noorani roop hoga tumhaare antarmann mein
Toh kabhi vilamb na hoga tumhaare maargdarshan mein
Kyunki tumhaari chetna Unkee divyata se rahegi prakaashit
Aur Guru kripa ke uss prakash se tumhaara hoga hitt.

Is hitt se kumm hoga tumhaare kayi janmon ka bhaar
Isliye karte raho Guruji ka simran baar baar
Guruji har kadam par Hain tumhaare madadgaar
Ve tumse sada karenge niswaarth pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Farz Nibhaane Ka Raasta (05/13/2022)

Khushi Aur Gumm Ke Darmiyan (05/12/2022)

May 12, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1544

     Khushi Aur Gumm Ke Darmiyan

Khushi aur gumm ke darmiyan
Toot gayi jabb deewar
Har tareh ke anubhav honei lagey
Toh hakeekat se hua deedar
Thoda waqt toh lagaa zaroor
Phir hua niyati ka faisla manzoor
Maan liya bande ne zindagi ka yeh dastur
Kuch sapne poore huey, kuch ho gaye chuur chuur.

Ajeeb lagaa usey ki usne kee nahin Guruji se shikayat
Balki veh karne lagaa dhanyawaad
Kyunki shaayad deewar reh jaati
Toh atma ko pahunchti ghaat.

Kyunki kewal gumm ka hee hota rehta ehsaas
Toh uska jeevan ho jaata bilkul udaas
Har khushi haseen ajnabi reh jaati
Aur uske dil mein ghar na banaa paati.

Aur kewal khushi hee mehsoos hoti
Toh vikaar karne lagg sakte thei uspar hukm
Ye bhi ho sakta thaa ki unkee vajeh se
Uss se ho jaata koi jurm.

Vaise hee anjaane mein bhi zaroor hoti hongi kitnee galatiyan
Yeh soch kar usne Guruji ke charnon mein sees jhukaaya
Guruji kee mehar se usey deewar tootne ka raaz samajh mein aaya
Aur jaankar ki Guruji jaante Hain sab, uske thakey se dil ko aaraam aaya.

Usne Guruji kee prerna ko apni chetna mein samaaya
Apni soch aur apne karma par har pal gaur farmaaya
Neeyat ko nirmal rakhte huey, ravaiye mein basaaye huey shukrana
Banda aagey ke safar ke liye hua ravaana.

Utaar chadhaav aaye kayi
Paristhitiyan bhi aayin kuch nayi
Kuch jann bichhad gaye, kuch naye aaye zindagi mein
Lagan badhti chali uskee Guruji kee bandagi mein.

Jaise jaise hawaa mein ghulte rahe
Tooti hui deewar ka choona aur mann par chadhi hui dhool
Vaise vaise mann kee bagiya mein ek anokhi azaadi se
Khilte rahe bandagi ke ruhaani phool.

Guruji usey taarte rahe
Uske janmon kee dasha sanvaarte rahe
Bande ne laabh dekha samarpan ka
Chinta chod mahatva pehchaana chintan ka.

Zindagi roz naye paath padhaati hai
Har anubhav se usey kuch sikhaati hai
Guruji kee kripa se badhta hai uska dheeraj
Uskee koshish hai ki nirlep ho jaaye jaise neeraj.

Kyun na sabhi karein aisee koshish Guruji kee mehar se
Neeyat aur koshish dekhkar Guruji mulaakaat karaayenge sachkhand kee sehar se
Hogi veh mulakat hamaare kis janam mein
Veh toh Guruji jaanein
Hamaara toh kaam ye hai
Ki hum Guruji ka kehna maanein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Khushi Aur Gumm Ke Darmiyan (05/12/2022)

Ye Qurbaani Bhi Hamaare Hitt Mein Hai (05/11/2022)

May 11, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1543

Ye Qurbaani Bhi Hamaare Hitt Mein Hai

Kayee baar mann mein aate hain kayee khayaal
Aksar mann mein aata hai ye bhi sawaal
Ki hamein jaana hee hai toh yahaan kyun aate hain?
Yahaan aaye hain hum karmon ka karz adaa karne
Jisey karte huey aur karma ekatrit ho jaate hain
Phir dobaara yahaan aate hain jurmaana bharne.

Yahaan laukik rishte nibhaane zaroori hain
Isliye kabhi kabhi andhe bann jaayein, aur kabhi bann jaayein goongey
Lekin jaise Guru kee bani kehti hai, simran aur satsang ke maamale mein baney rahein hum doongey.

Taaki chitt bani ke mool arth ko kar le yoon grehen
Ki usey atmasaat kar ke sab kuch kar sakey sehen
Taaki hota rahe antakaran ka pavitrikaran
Aur sada rahe ye smaran
Ki shishya ka Guru aur bhakt ka Bhagwaan ke sangg jo rishta hai
Koi aur rishta nahin hai inse behtar
Kyunki baaki rishte mehez laukik hai, jab ki inka hai sarvottam starr.

Guruji toh intazaar mein Hain
Ki kab samajh aayegi ye baat hamein
Samajh aakar phir ispar amal karenge
Jabb aayega veh shubh samay.

Yahaan ka har rishta karmic kartavya maankar nibhaayein
Guru aur Bhagwaan ke saath jo rishta hai, usey farz ke saath lakshya banaayein
Kyunki uss rishte ke shikhar par hai veh shivir
Jahaan pahunch kar mitt jaayega saara timir.

Is rishte mein divya prakash hai
Is rishte mein milan kee aas hai
Is rishte par har saans bhi ho jaaye agar qurbaan
Toh ye qurbaani bhi hamaare hitt mein hai, hum lein ye jaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ye Qurbaani Bhi Hamaare Hitt Mein Hai (05/11/2022)

Jabb Se Jaana Ki Guruji Hain Angg Sangg (05/10/2022)

May 10, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1542

Jabb Se Jaana Ki Guruji Hain Angg Sangg

Jabb se jaana ki Guruji Hain angg sangg
Tabb se yoon badla zindagi ka rangg
Ki duur ho gaya bhayy
Mitt gaya har sanshay
Vishwaas ka hua yoon mann mein vaas
Ki ye vishwaas jagaata rehta hai mann mein aas
Guruji ko paane kee
Unhee mein khud ko kho paane kee.

Raasta lamba hai, Guruji kahein
Lekin usee disha mein Unkee kripa se bhaav bahein
Suna hai raaste mein bhakton ne kayee kasht hain sahe
Koi baat nahin, buss Guruji saath hee rahein.

Jinhonei yahaan takk pahunchaaya hai
Ve aagey bhi pahunchaayenge
Jinka aanchal aaj takk aansoon ponchh paaya hai
Ve hee aagey bhi mamta barsaayenge.

Jabb raahein pathreeli hongi
Guruji girne se bachaayenge
Jabb raahon par sangamaramar hoga
Ve phisalne se bachaayenge.

Agar gir gayi ya phir phisal gayi
Toh Guruji lagaayenge Apne ashish ka marham
Jitna kasht hona thaa, uss se toh bahut kumm hoga
Kyunki Guruji adhiktar bojh uthaakar meri takleef karenge kumm.

Simran bhi Unka
Unka hee dhyan
Unhee ke naam se aaye har subah
Unhee ke naam se ho har shaam.

Haunsala bhi Unhee se hai
Unhee se hai himmat
Taralta bhi Unhee se hai
Unhee se hai taakat.

Unhee se meri ye saansein hain
Is jeevan ka har pal aata hai bannkar Unkee dee hui saugat
Meri khushakismati hogi jo Ve rakhein sadaa banaakar mujhe Apna kinkar
Kyunki meri toh Unke charnon ke dhool jitnee bhi nahin hai aukat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jabb Se Jaana Ki Guruji Hain Angg Sangg (05/10/2022)

Ashirwaad Ke Akshaypaatra (05/09/2022)

May 9, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1541

       Ashirwaad Ke Akshaypaatra

Pyaare Guruji,

Veh kshamta nahin hai mujh mein
Ki kar paaoon Aapka gungaan
Phir bhi vinamra prayatna karti hoon
Qubool kar leejiye meri yeh koshish naadaan.

Aap mein mil gaye mujhe,
Ruhaaniyat ke raja, kalyaan ke kunj
Suraksha ke samrat, pyaar ke punj
Komalta ke kamal, mahima kee moorat
Nirmalta kee neev, saralta kee soorat.

Aap mein paaye mainey,
Srishti ke shehenshah, mamta ke mandir
Daya ke dhaam, sneh ke samundar
Anukampa ka aanchal, dulaar ke daata
Haunsle ke haath, vishwa ke vidhaata.

Maanti hoon mai Aapko,
Sangat ke swami, bhakton ke Baghban
Raahi ke rehnuma, nimaaniyon ke maan
Brahmand ke Brahma, Naaraayan aur naatra
Niyati ke nirmaata, aur ashirwaad ke akshaypaatr.

Aur kehna chaahoon magar soojhte nahin hai alfaaz
Aapki aseemta ka har tareh se hai itna anokha andaaz
Jidhar dekhti hoon, Aap aate Hain nazar
Aapka pyaar ruh par kar gaya hai akhand asar.

Galatiyon ke liye kar deejiyega kshama
Poorna keejiyega mere mann kee yeh kaamna
Ki rahoon sada Apni sharan mein
Aur mai jeeyun aur marun Aapke kamal charan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ashirwaad Ke Akshaypaatra (05/09/2022)

Maa Ka Pyaar (05/08/2022)

May 8, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1540

         Maa Ka Pyaar

Dhanya Hain Mata ji
Jinhonei Guruji ko diya janam
Bachpan mein hee Guruji ne Unhe
Apne Shiv roop ke diye darshan.

Mata ji ne Guruji ko apni mamta dee
Unke sangg thaa Unke putr ka ashirwaad
Kaisa adbhut aur nirmal naata hai
Shiv Avatari Guruji aur Unkee mata ka.

Aulad kee jitnee bhi aayu ho jaaye
Maa ka pyaar na kumm honei paaye
Aulad beshak ruhaani ya bhautik oonchaayee ko chhoo jaaye
Veh oonchaayee maa kee mamta ke samaksh sir jhukaaye.

Maa ka yogdaan maana jaata hai mahaan
Maa se janam, paalan poshan aur sanskaar paati hai santaan
Lekin har atma ka apna anokha hai safar
Jis par praarabdh aur kriyamaan karma ka hota hai asar.

Guruji dete Hain sangat ko maa kee komal mamta
Dete Hain Ve har tufaan ka saamna karne kee kshamtaa
Paa kar Unmein maa ka ruhaani roop
Chhaaon mil jaati hai chaahe jitnee bhi kadak ho kalyuga kee dhoop.

Khaaskar jis aulad kee maa
Aaj nahin hain is sansaar mein
Tasalli rakhey har veh santaan
Kyunki unkee mamta aaj bhi hai Guruji ke pyaar mein.

Duniya mein jitnee bhi hain mataayein
Unn sabko pyaar bhari shubhkaamnaayein
Jis maa ne janam diya, ya jis maa ne goad liya
Aayiye, kewal aaj hee nahin, balki hamesha adaa karein dono ka shukriya.

Guruji ka Shukrana aparampaar
Jo dete Hain sabko maa ka pyaar
Maa ke pyaar mein basaa hai jo laad aur dulaar
Uss se nikhar jaata hai har bhakt ka ghar parivaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Maa Ka Pyaar (05/08/2022)

Guruji Ko Garv Ho Apne Bhakton Par (05/07/2022)

May 7, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1539

Guruji Ko Garv Ho Apne Bhakton Par

Guruji kee mahima gaate sunte
Bhakton ka dil hee nahin bharta hai
Jahaan bhi jaayein, jis se bhi milein
Guruji kee baatein karne ka hee dil karta hai.

Guruji Hain hee itne pyaare
Unke deewane bann jaate hain bhakt saare
Jo bhi jann aate hain Unke dwaare
Ve kehte hain ki Guruji Hain hamaare.

Kyunki Guruji Hain hum sabke maargdarshak
Hain Ve hamaare murshid aur rakshak
Aaye Ve hamein ruhaani safar mein aagey badhaane
Hamein bin aasakti ke jeevan jeena sikhaane.

Kyunki jis ka chintan hum karte rahenge
Uss mein hoti jaayegi aasakti
Aur agar aasakti ke bann jaayenge hum gulam
Toh phir kaise hoga hamaari oordhvagati ka intazaam?

Isliye Guruji kee mahima gaate huey
Swayam mein parivartan laate huey
Guruji kee kahi baaton ka karna hoga anusaran
Taaki uddhaar kee sthiti mein rahe hamaara janam maran.

Phir kumm se kumm hogi ye tasalli
Ki humne chuni hai raah bhalee
Aur jaise jaise Guruji kee kripa hoti rahegi
Unkee mehar kee amritdhaara jeevan mein behti rahegi.

Isliye gaate aur sunte huey Guruji kee mahima
Unke bataayein huey raaste par hum chalein
Taaki beshak akash ke soorya har shaam dhalein
Har janam mein hamaari raahein gyan ke sooraj se roshan rahein.

Guruji hamaare liye sab kuch karte Hain
Kaash hum bhi Unhe khush karne ke liye kuch kar paayein
Guruji ko garv ho Apne bhakton par
Kyun na hum kuch toh aisa kar jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ko Garv Ho Apne Bhakton Par (05/07/2022)

Har Pal Tere Sangg Rahega (05/06/2022)

May 6, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1538

Har Pal Tere Sangg Rahega

Chaahe tu kaam mein pravritt rahe har subah aur har shaam
Kabhi nahin khatm honei wale hain tere saansaarik kaam
Lekin har pal tere sangg rahega Guruji ka naam
Deta rahega tere thakey huey tann aur mann ko aaraam.

Guruji ne tere haath ko liya hai thaam
Buss, tu chal de jahaan le jaate Hain Unke kadmon ke nishaan
Har kadam par har pal tere sangg rahega Guruji ka naam
Deta rahega tujhe surakshit maargdarshan ka paigaam.

Guruji kee sharan mein hain saare teerath dhaam
Yeh satya hai, nahin hai ye kewal koi bhajan ya gungaan
Yaatra mein har pal tere sangg rahega Guruji ka naam
Deta rahega tujhe har dhaam ke darshan ka inaam.

Ho sakta hai hamesha na ho tere chehre par phoolon jaisi muskaan
Ho sakta hai ki jeevan kee bagiya mein kabhi aa jaaye koi tufaan
Lekin har pal tere sangg rahega Guruji ka naam
Deta rahega tera saath bannkar tere gulistaan ka baghban.

Mukti takk ka safar shaayad ho ya na ho aasaan
Chalta rahega janam janam mein karmon ka bhugtaan
Lekin har pal tere sangg rahega Guruji ka naam
Deta rahega tujhe bhugtaan mein safalta ka parinaam.

Har pal jokhim mein hai teri jaan
Na jaane kabb shareer ko chod denge praan
Lekin har pal tere sangg rahega Guruji ka naam
Deta rahega teri atma ko kalyaan ka daan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Har Pal Tere Sangg Rahega (05/06/2022)