Ruhaani Raahat (03/27/2022)

March 27, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1498

   Ruhaani Raahat

Pyaare Guruji,

Jeevan hee bann gaya satsang
Jabb chadha vandan aur spandan par Aapka rangg
Abb toh aisa hua hai jeene ka dhangg
Ki koi pal nahin jabb Aap nahin hotey Hain sangg.

Aapka vaas hua hai yoon mann mein
Ki akelapann duur hua jeevan mein
Aap bheetar bhi Hain aur sangg bhi sada
Divyata hee nibha sakti hai yeh adaa.

Salona hai Aapka saath
Kar sakti hoon Aapse dil kee har baat
Baat na bhi ho paaye toh Aap jaate Hain samajh
Usee se kitnee uljhanein jaati hain sulajh.

Aapne sweekaara toh hua mera ek naya janam
Honei lagaa itne pehle se chale aa rahe kashton ka haran
Jeevan ka saaz hota chalaa pehle se kaheen zyada ruhaani
Befikr ho gaya mann saump kar Aapko zindagi kee kahaani.

Aapki sharan mein milee aisee ruhaani raahat
Ki abb nahin sataati swarg jaane kee bhi chaahat
Aapke charnon se pyaara nahin hai koi aur mukaam
Aapki sharan mein yakeenan praapt hoga sachkhand ka dham.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ruhaani Raahat (03/27/2022)

Aapki Rehmatein Hain Beshumaar (03/26/2022)

March 26, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1497

   Aapki Rehmatein Hain Beshumaar

Pyaare Guruji,

Aapki rehmatein hain beshumaar
Aap Hain jeene ka aadhaar
Aap Hain prem ke punj
Aap Hain karuna ka kunj.

Aap Hain MahaShiv kee moorat
Aapki har leela khoobsoorat
Aapki khushboo hai ruhaani
Aapki mehar se har meharbaani.

Aap mamta ka mahasaagar
Aapse har hunar ho ujaagar
Aap har vehem se duur
Aap ahankar karein chuur.

Aap sarvgyata
Aap akhandata
Aap daya ke daata
Aap vishwa ke vidhaata.

Aap sangat ke nath
Aapka salona hai saath
Aap chitt kee chetna
Aap paawan prerna.

Aap samay ke swami
Aap anupam antaryaami
Aapki mahima anant
Aap hum sabke Bhagwant.

Hamaare sir aankhon par rahe Aapka hukm
Hamaare aacharan mein basey rahein Aapke vachan
Hamaare chintan mein chalta rahe Aapka vandan
Hamaari shakhsiyat par chhaaya rahe Aapka spandan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapki Rehmatein Hain Beshumaar (03/26/2022)

Japein Guruji Ka Diya Naam (03/25/2022)

March 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1496

Japein Guruji Ka Diya Naam

Jeevan vyarth bhayaa
Agar Guru Govind ka Naam na liya
Jo japey yeh Naam
Uska nishchit hai kalyaan.

Aaj ho ya kal ho
Kalyaan hoga zaroor
Isliye aye bande
Naam se na hona duur.

Mann mein chaahe ho niraasha
Naam se milega dilaasa
Naam sahaayak hai roag mein
Naam sahaayak hai bhog mein.

Naam se miltee hai himmat
Naam se miltee hai sumat
Naam se miltee hai taakat
Naam se miltee hai raahat.

Kaam krodh lobh moh ahankar
Inhe kumm karne mein naam hai madadgaar
Kumm hotey hotey khatm ho sakte hain ye vikaar
Naam hee kar sakta hai yeh chamatkaar.

Kalyuga ka jo hai yeh samay
Ismein Naam beda paar lagaayega bin sanshay
Naam se hoga mann nirbhay
Anginat jann Naam se hain tarr gaye.

Guruji MahaShiv ke avataar Hain
Bashar bann kar aaye hamaare liye
Unhonei sangat ko diya uddhaar ka upaay
Kaha ki hum japein β€˜Om Namaha Shivaya.’

Guruji ka anantam dhanyawaad
Ki Unhonei hamaare antarmann ko kiya Naam se aabaad
Ye toh hai ek aisa adhyaatmik prasad
Jo badhta jaata hai har baar japne ke baad.

Beej Mantra ho ya ho Mantra jaap
Inse awashya kumm hoga dukh aur santaap
Karte chalein jeevan ko sanvaarne ka intazaam
Shraddha aur vishwaas se japein Guruji ka diya Naam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Japein Guruji Ka Diya Naam (03/25/2022)

Zindagi Jeete Chalein (03/24/2022)

March 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1495

Zindagi Jeete Chalein

Kaise jeeni hai yeh zindagi
Isey seekhne mein hee beeta jaa raha hai har pal
Na jaane yeh seekh paayenge ya nahin
Jabb takk is shareer mein hai saanson ka bal.

Kyun na Guruji ka kaha maan lein
Ve Guru bhi Hain aur naath bhi
Ve kabhi galat raasta na dikhaayenge
Ve bheetar bhi Hain aur sada saath bhi.

Aaj takk nahin bhi suni toh abb bhi hai samay
Guruji kee baat maan lein hum bin sanshay
Guruji sangat ko aish karaate Hain
Saath saath karmon ka bhugtaan karaate Hain
Karte Hain saari sangat ka har pal kalyaan
Chaahe kisee ko ho ya na ho is satya ka gyan.

Unhonei kaha banda bann jaane ko
Insaaniyat kee reet nibhaane ko
Neevenpann aur nirmalta par dete Hain Ve zor
Mann mein sada sajee rahe Shukrana kee bhor.

Guruji ne ahem aur vehem chodne ke liye kaha hai
Andhvishwaas se muh modne ke liye kaha hai
Ve chaahein ki badhta rahe hamaara atma-bal
Taaki hamaari chetna kee duvidhaaein jaayein tal.

Guruji har pal vidyamaan Hain
Ve hamaari antaratma mein viraajmaan Hain
Sunein hum apni antaratma kee awaaz ko
Toh awashya jaan paayenge is raaz ko.

Yoon hee toh nahin β€˜Shivoham’ shabd ne astitva hai paaya
Guru aur Unka hukm hamaari antaratma mein hai samaaya
Unke har vachan se seekhein jeene ka tareeka
Seekhein aur vyavhaar mein laayein insaaniyat ka saleeqa.

Kisee kee sahaayata kar sakein toh awashya karein
Sansaar ko behtar banaane mein dein apna yogdaan
Bhautikvaad mein ulajhe hain toh sulajhaayein apni zindagi
Antt mein kaam aayegi saralta aur saadagi.

Gupt rakhein hum paath, sewa, aur daan
Kehte Hain Guruji mahaan
Jitna ho sakey karein simran aur dhyan
Aur apne har farz ko nibhaayein dekar sammaan.

Yaad rakhein ki har lamha Guruji kee daat hai
Aur ye ki yeh zindagi Unkee dee hui saugat hai
Jeena nahin bhi seekhe abb takk
Toh Unka naam lekar koshish karein zaroor
Hamaari nek neeyat dekh kar Guruji khush hongei
Aur karte chalenge hamaari duvidha duur.

Thaama hai hamein Guruji mein basey Parwardigaar ne
Ye yoon hee toh nahin hua bekaar mein
Shukrana karein ki Guruji ne kee hai hum par inaayat
Aur zindagi jeete chalein karte huey Unkee ibadat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Zindagi Jeete Chalein (03/24/2022)

Bade Achche Hain Bhaagya Hamaare (03/23/2022)

March 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1494

Bade Achche Hain Bhaagya Hamaare

Bahut hee pyaare Hain Guruji hamaare
Bade achche hain bhaagya hamaare
Jo hum pahunche hain Unke dwaare
Ve hee Hain hum sabke sahaare.

Mumkin hee nahin karni Unkee poori prashansa
Chaahe prayog kar lein hum duniya ka har alfaaz
Har bhakt ka anokha rishta hai Unke sangg
Aur divya prem hai uss rishte ka saaz.

Aaye Ve Apni marzi se karne jagat ka kalyaan
Apni hee ichcha se Unhonei kiya yahaan se prasthaan
Lekin Unkee ruhaani maujoodagi se kar nahin sakta koi bhi inkaar
Har bhakt ko Ve yeh mehsoos kara dete Hain baar baar.

Bahut virle hotey Hain aise mahapurush jo swayam hon roop Bhagwaan ka
Hamaare Guruji mein toh prataap hai MahaShiv mahaan ka
Maamuli baat hai Unke liye dena aarogyata aur bhautik sukh
Ve toh bakhshna chaahte Hain sabhi ke antar-mann ko ruhaaniyat ka rukh.

Sabke praarabdh ka bhugtaan karaate Hain, Ve chaahein ki sab bhakt jaayein tarr
Unke sabhi bhakton kee ek hai manzil, chaahe alag hai sabhi ka safar
Safar mein bhi Guruji kee hai hum sab par nadar aur nazar
Hamaare hee karmon ka hoga aagey ke jeevan aur janmon par asar.

Agar hum apne har vichaar aur karam se Unhe rijhaayenge
Toh hum galat raasta apanaane se ruk paayenge
Beshak jeevan mein khushi aur gumm dono aayenge
Lekin Guruji Apni mehar se hamein manzil takk zaroor pahunchaayenge.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bade Achche Hain Bhaagya Hamaare (03/23/2022)

Guruji Ka Sahaara (03/22/2022)

March 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1493

   Guruji Ka Sahaara

Jeevan ka har pal ek sa nahin hota
Insaan jeevan mein kuch paata hai aur kuch hai khota
Yeh bhaagya hee toh hai praarabdh karma hamaara
Shukr hai ki hamein mila hai Guruji ka sahaara.

Chaahe jeevan mein ho bahaar
Chaahe rangeen ya phir sangeen lagey tujhe sansaar
Chaahe kabhi toot pade dukhon ka pahaad
Ya phir aayi ho museebaton kee baad ( flood )
Tu rakh apna vishwaas barkaraar
Guruji zaroor karenge tera uddhaar.

Beshak tujhe lagg raha ho Guruji kee oar se vilamb
Uss dauran bhi Ve tere bhale ka kar rahe Hain prabandh
Ho sakta hai ho raha ho tere jeevan mein kisee shubh kaarya ka aarambh
Ya phir kisee mushkil ke hal honei ka ho raha ho praarambh.

Udaas na ho, niraash na ho
Yoon vyarth mein tu dheeraj na kho
Guruji ka naam lete huey jaag aur so
Na bujhne de vishwaas ke deepak ko.

Samajhte Hain Ve tere mann kee har baat
Phir bhi mann karta hai toh tu Unse kehta chal
Tu apna farz adaa karta jaa
Tera uddhaar hota jaayega har pal.

Unke ashirwaad aur tere bhakti bhaav se hogi teri unnati
Tu rakhta chal poori shraddha Unke prati
Mila hai tujhe Unke charnon mein sir jhukaane ka shubh avsar
Apne kiye gunaahon ke liye maafi maangta chal aur Unka Shukrana Kar.

Guruji ne itnon ka kalyaan kiya hai
Guruji karenge tera bhi beda paar
Unhonei tujhe Apni sharan mein liya hai
Is daat ka mol hai aparampaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Sahaara (03/22/2022)

Mann Mein Yugon Ka Vaas (03/21/2022)

March 21, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1492

Mann Mein Yugon Ka Vaas

Mann mein hee satyuga hai rehta
Mann mein hee tretayuga
Mann mein hee dwapar ka spandan hai behta
Mann mein hee kalyuga.

Ek din ek yug basey mann mein
Dooje din yug ho dooja
Kabhi kabhi ek hee din mein badlein yug mann mein
Aise asthir mann se kaise kar paayenge pooja?

Sattva gunn ke honei se
Satyuga basta hai mann mein
Lekin mann mein rajogun ke aane se
Yug badal jaata hai ek hee kshan mein.

Tretayug karne lagta hai mann mein vaas
Hadd paar karey toh honei lagg sakta hai lobh aur ashanti ka ehsaas
Agar tabb bhi swami bann kar raha mann
Toh mann mein ho jaayega dwaparayug ka bhi darshan.

Mann ka spandan aaj ya kal, ya phir agley hee pal
Kalyugi spandan mein sakta hai badal
Isliye mann ke vash mein rehna chod kar
Uska swami bann-ne mein ho jaayein hum safal.

Mann ke yug ke badalne se
Badalta hai mann ka bhaav
Uske kaaran badal jaata hai
Uss jann ka bhi swabhaav.

Guruji ne sakaaraatmak soch par diya hai zor
Hamein aadar se karna chahiye is aadesh par gaur
Guruji ne hamaare karmon ka adhiktar bhaar saha hai
Unhonei simran aur dhyan karne ke liye kaha hai
Inhee se badhaate chalein hum sadhana
Aur mann mein karein sattvikta kee sthaapana.

Na vikaar ko ghar banaane dein mann mein, na paap ko
Taaki ve na protsaahit kar paayein klesh aur santaap ko
Sadbhaav ho mann mein sabke prati
Shant aur sthir ho jaaye mann ka bhaav aur mann kee gati.

Mann mein honei lagega satyuga ka vaas
Na krodhit, na adheer hoga mann, na hee hoga veh udaas
Satyugi hoga spandan, madhur hoga mann ka vaataavaran
Aur Guruji kee mehar se nakaratmakta ka hoga haran.

Chakra kee bhanti chalta hai yeh silsila
Is chakra kee oorja hai sakaraatmak vichaardhaara
Jaisi soch, vaisa spandan, aur mann mein yug bhi uske anusaar
Aur jaisa yug mann mein, usee prakaar ke mann mein vichaar.

Guruji toh de rahein Hain ashirwaad
Kyun na karein mann ko satyuga se aabaad
Abb na karein thoda sa bhi aur vilamb
Abhi se hee karein is shubh kaarya ka aarambh.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mann Mein Yugon Ka Vaas (03/21/2022)

Khush Rahein (03/20/2022)

March 20, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1491

                      Khush Rahein

Guruji kee vaddi hai vadiyaayee
Unhonei Apne darbar mein kitnee sangat bulaayee
Jiskee jo khwaahish ho, veh Unkee leela se poori ho paayi
Jisey asal dhan kee kaamna ho, Guruji ne uss skaks ko uskee vidhi bataayi.

Is zindagi ne laut kar nahin hai aana
Ek ek pal hai ek khazaana
Karte chalein hum Guruji ka Shukrana
Khush rehne ke liye na dhoondhna padega phir koi bahaana.

Abb takk nahin kiya toh shuru karein sahi tareeke apnaana
Taaki baad mein na pade hamein pachhtaana
Vahaan jaakar zaroori hai Oopar wale ko muh dikhaana
Koshish karein ki vahaan na padey jurm ke maare sharmaana.

Khush rahein, doojon se khush rehne ke liye kahein
Sabke liye sochein achcha
Iraade aur karma ko rakhein sachcha
Jeevan kee doar ka dhaaga hai bahut kachcha
Uskee marzi se tootega, na chalegi ismein hamaari ichcha.

Guruji ke kahe anusaar
Sambhaalein apna ghar parivaar
Gupt sewa, paath, daan karte rahein
Simran ka dhan apne khaate mein bharte chalein.

Kisee kee zindagi nahin hai sthaayi
Koi praani aisa nahin jisey maut nahin aayi
Har kisee kee kismat leti hai angdaayee
Aisee sthiti kayiyon ke jeevan mein hai aayi.

Dukh dard mein bhi khush rehne kee tarkeeb jisne hai apnaayee
Uske bheetar aur aaspaas sakaaratmak spandan kee leher umad kar yoon aayi
Ki akelepann kee tanhaayee mein bhi bajne lagey shaant shehnaayee
Shukrana karein, khush rahein, yaad rakhein….Guruji kee vaddi hai vadiyaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Khush Rahein (03/20/2022)

β€˜Mai’ Kee Beemaari (03/19/2022)

March 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1490

             β€˜Mai’ Kee Beemaari

Kalyuga ka raajya hai aajkal
Vigyaan aur daan se kayi mushkilein hui hain hal
Lekin kaheen kaheen bhalaayee aur sadaachaari kee kamee si hai
Tabhi toh anginat logon kee aankhon mein namee si hai.

Kaheen par mahaamaari hai
Kaheen par ladaayi jaari hai
Aur jo ye β€˜mai’ kee beemaari hai
Yeh bhi toh laa rahi laachaari hai.

Na yeh dharti teri, na tera hai gagan
Na koi jalaashay tera, na hee tera koi chaman
Phir kyun yeh β€˜mai’ aur β€˜mera’ karte rehne ka yatna
Jabb antt mein, aye bande, toone hee ho jaana hai khatm?

Paanch bhoot se banaa hai tera shareer
Pal pal badalti hai teri taqdeer
Vikaaron kee baandhi hai toone zanjeer
Phir bhi sochta hai tu khud ko ameer?

Apne karma toh tu sambhaal nahin sakta
Phir bhi β€˜mai’ aur β€˜mera’ karte nahin tu thakta
Pata bhi nahin chalega kaise saanson ka ye khel hoga chukta
Phir bhi tu β€˜mai’ aur β€˜mera’ karne se nahin rukta.

Guruji ne kaha ki Unke darbar mein β€˜ego’ aur β€˜logic’ ka koi kaam nahin
Toone Guruji ko khush karna hai toh vahee kar jo Unhe lagta hai sahi
Is β€˜mai’ ko chod de, β€˜meri’ kee bedi ko toad de
Neevenpann kee nazakat ko odh le.

Is β€˜mai’ ka ilaaj tere bheetar hai, kaheen baahar nahin
Maan le har baat, jo Guruji ne hai kahi
Ve tere shubhchintak Hain, tujhe sahi raah dikhaate Hain
Tere kalyaan ke liye tujhe tere bhale kee baat sikhaate Hain.

Is β€˜mai’ kee beemaari ko duur kar
Apne ahankar ko chuur kar
Na abb tu aur guroor kar
Beemaari ko sangg rehne ke liye na majboor kar.

Tera atma-bal badh jaayega
Tu chayyn se so paayega
Tere karmon ka bhaar halka ho jaayega
Kyunki β€˜mai’ chodega, toh vikaaron ka bojh kumm ho paayega.

Guruji tujhse hongei prassann
Dekhkar tera neevanpann
Jabb β€˜mai’ kee beemaari ka antt ho jaayega
Tu poori tareh se Guruji ke pyaar mein kho paayega.

Tyaag de abb β€˜mai’ ka vikaar
Na hota chal β€˜mai’ se beemaar
Is jeevan ke din hain do chaar
Abb toh apne jeevan ko le tu sanvaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

β€˜Mai’ Kee Beemaari (03/19/2022)

Guruji Ke Naam Ka Rangg (03/18/2022)

March 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1489

         Guruji Ke Naam Ka Rangg

Beet gayi holi is varsh kee
De gayi yaadein kayiyon ko harsh kee
Rangon kee hui bauchhar
Aur phir beet gaya ye tyohaar.

Kuch rangg thei pakke aur kuch thei kachche
Khoob khele kayi bade aur kayi bachche
Kuch rangg khud hee padne lagenge pheeke
Kuch ke liye prayog karne hongei dhone ke tareeke.

Utar jaayega gulaal aur rangg neela
Dhul jaayega rangg hara aur peela
Na utarne dena tum Guruji ke naam ka rangg
Uss rangg se sanvaarna jeene ka dhangg.

Guruji ke naam ka rangg
Laata rahega ruhaaniyat kee tarang
Jabb takk is rangg mein rangey rahoge
Tum Guruji ke prem bhaav mein bahoge.

Is bhaav ko tum sewa se sajaana
Is bhaav ke rangg mein samarpan ka rangg milaana
Is rangg ke mandal mein simran kee jyot jalaana
Aur Guruji ka Shukrana kar ke Unhe rijhaana.

Ye koi saadhaaran rangg nahin hai pyaare
Is rangg se hongei tumhaare vaare nyaare
Is rangg mein rangna bahut khushakismati kee baat hai
Kyunki ye sanket hai ki Guruji ka ashirwaad tumhaare saath hai.

Yeh rangg bhakti bhaav ka hai
Ye kabhi pheeka na honei paaye
Is rangg mein rangenge tumhaare dwaara arpit kiye suman
Isliye dhyan rahe, koi phool na murjhaaye.

Guruji kee kripa se har aane wali holi par
Aur bhi gehra ho jaaye yeh rangg
Is rangg mein rangkar tum Guruji mein yoon leen raho
Ki tumhaare chitt mein har pal samaaye Guru naam kee umang.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Naam Ka Rangg (03/18/2022)