Lekha Aisa Likhna (07/03/2021)

July 3, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1231

                Lekha Aisa Likhna

Yeh baat hai apne apne nazariye kee,
Koi din kee karta hai prateeksha, toh koi raat ka karta hai intazaar,
Lekin maano ya na maano, jaano ya na jaano,
Har kisee kee atma hai adhyaatmik savere ke liye bekaraar.

Kyunki yeh shareer toh kewal ek poshaak hai,
Jo pehenkar aayi hai yahaan atma,
Atma ko anand toh tabhi milega,
Jabb usey milenge Paramatama.

Atma ke liye toh vahee hoga asal savera,
Kyunki atma ko fark nahin padta ki kya hai tera aur kya mera,
Kyunki atma jahaan se aayi hai vahaan jabb veh jaayegi,
Tabhi veh sahi lafzon aur arth mein shanti
paayegi.

Har raat ke baad aane wale din ke liye rahein hum tayyaar,
Magar in lamhon ko maan kar chalein ek meetha intazaar,
Ek aisee prateeksha, jo Guruji kee kripa se uss waqt muqammal hogi,
Jabb atma Paramatama mein samaakar safal hogi.

Na jaane yahaan takk pahunchne ke liye,
Atma ko jalaane hongei intazaar ke kitne saare deeye,
Hum har janam mein aate jaayein is manzil ke kareeb,
Lekha aisa likhna Guruvar, ki nirvaan ke nageene se nikhar jaaye naseeb.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Unke Hukm Kee Taal (07/02/2021)

July 2, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1230

  Unke Hukm Kee Taal

Rakhta chal tu saboori,
Banaaye rakh aasakti se tu doori,
Teri khwaahish ho ya na ho poori,
Maan le jo hai Guruji kee manzoori.

Jitnee bhi tu karta hai mehnat mazdoori,
Na soch isey tu ek majboori,
Balki veh sabb tere bhog ka hai intazaam,
Jisey sachchaayee aur shraddha se karna hai tera kaam.

Phal kee chinta matt kar,
Uske liye sadaa Hain Har,
Haan, toone sahi pehchaana,
Har Hain parampoojya Guruvar.

Jinhonei Srishti ka daayitva sambhaala hai,
Jinka Guru ka roop hee tera aur mera rakhwaala hai,
Isliye Guruji ko bhool na jaana,
Chaahe moh maya kee oar kheenche yeh zamaana.

In sab kee kshanbhangurta ko rakhna hameshaan yaad,
Aur Guruji se tu karte rehna fariyaad,
Ki chaahe Ve iske liye tere anginat imtehaan kyun na lein,
Ve tujhe bhautikvaad ke daldal mein doobne na dein.

Yeh daldal bada khatarnaak hai,
Antt mein deta dukh aur santaap hai,
Aur is se nikalna nahin hai aasaan,
Bachaa sakte Hain tujhe kewal Guruji mahaan.

Isliye saboori aur prem ke saath,
Tayy karta chal zindagi ka safar,
Tere sir par hai Guruji ka haath,
Unhe hai har baat kee khabar.

Nek rakh tu neeyat, aur dridh rakh tu bharosa bhi,
Guruji sambhaal lenge agar tu bhatakne lagey thoda sa bhi,
Tu buss saump de Unhe jeevan kee doar,
Unke hukm kee taal par naachega tere mann ka moar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Unke Hukm Kee Taal (07/02/2021)

Itna Kaabil Banaa Dein Guruji (07/01/2021)

July 1, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1229

Itna Kaabil Banaa Dein Guruji

Dekh liya duniya par bharosa kar ke,
Aayi mai thakk kar dwaar Har ke,
Har ke avtaar Guruji ke paas,
Jahaan pahunch kar pakka hua vishwaas.

Zindagi hai saanson ka sauda,
Bahut anmol hai inka ohada,
Isliye unhe vyarth na jaane doon,
Unhe simran se tarr jaane doon.

Har saans mein Guruji ka naam ho,
Taaki har saans mein basey huey Bhagwaan hon,
Anmol saanson ko anmol anubhav dena hai mera farz,
Unhe simran se vanchit kar ke na chadhaaoon swayam par karz.

Apni jholi mein Guruji ka ashirwaad bharoon,
Har shwaas ko simran se aabaad karoon,
Guruji ke sangg hotei huey kisee aur se na daroon,
Har pal buss Unkee sharan mein rahoon.

Jo koi ya jo kuch Unse duur le jaaye,
Unn taakaton ke prabhaav se mai bachi rahoon,
Itna kaabil banaa dein Guruji,
Ki mai Unke naam ke gehne se saji rahoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Itna Kaabil Banaa Dein Guruji (07/01/2021)

Guruji Maharaj Hamaare (06/30/2021)

June 30, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1228

Guruji Maharaj Hamaare

Jo Hain hum sabke meet,
Jo nibhaate Hain sachche saath kee reet,
Jo karte Hain sabse niswaarth preet,
Ve Hain Guruji Maharaj hamaare.

Jinke darbar mein koi karmakaand kee zaroorat nahin,
Jinke charnon mein aane ke liye chahiye koi mahoorat nahin,
Jinke samaksh kaal bhi kar sakta jurrat nahin,
Ve Hain Guruji Maharaj hamaare.

Jo khud toh sehte Hain dard,
Jo sadaa hotey Hain hamaare hamdard,
Jo protsaahit karte Hain samvardh,
Ve Hain Guruji Maharaj hamaare.

Jo Hain bhakton ke adheen,
Jinke bina hum ho jaayein bilkul ksheen,
Jo dete Hain jeevan naveen,
Ve Hain Guruji Maharaj hamaare.

Jinke charnon mein hai yeh sansaar,
Jo Hain taaranhaar parwardigaar,
Jinka sabke liye khula hai dwaar,
Ve Hain Guruji Maharaj hamaare.

Jinse ho jaata hai paawan pyaar,
Jinke darshan ka rehta hai intazaar,
Jinkee mahima hai aparampaar,
Ve Hain Guruji Maharaj hamaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Maharaj Hamaare (06/30/2021)

Guruji Ka Naam (06/29/2021)

June 29, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1227

      Guruji Ka Naam

Lekar Guruji ka naam,
Nishchay hee hota hai kalyaan,
Kalyaan aaj ho ya ho kal,
Na jaane ho jaaye kis pal,
Isliye naam lete rahein hum har kshan,
Taaki Unka naam hee japta rahe yeh mann.

Guruji ke naam mein hai itnee shakti,
Ki yeh dila sakta hai hamein mukti,
Hai yeh itnee saral yukti,
Jis se susajjit hoti hai bhakti.

Guruji ka nirmal naam lene se,
Unmein basey MahaShiv ka karte hain hum vandan,
Unhee mein samaaye Hain sab devi devta,
Aur Unke naam mein hai sampoorna brahmaand ka spandan.

Jis bhi tarehn se dekhein ya jaanein,
Guruji ke naam kee mahima pehchaanein,
Is naam ke amrit ko behne dein har kaam mein,
Kyunki Satchittanand hai basaa Guruji ke naam mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Naam (06/29/2021)

Sanaatan Santaan (06/28/2021)

June 28, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1226

 Sanaatan Santaan

Pal do pal ka har din aur raat hai,
Pal do pal ka sabke sangg ka saath hai,
Pal do pal kee khushi, pal do pal ka hai gumm,
Phir bhi in sabko sanaatan maan lete hain hum.

Sanaatan hai Guruji ka pyaar,
Aur Unka diya hua ashirwaad,
Sanaatan aur nitya hai Guruji ka saath,
Aur Guruji se juda shraddha ka jazbaat.

Sanaatan hai Guruji kee dee hui suraksha,
Sanaatan hai Unka har vachan,
Dua karein ki sanaatan ho hamaari wafa,
Aur sanaatan rahe hamaara vandan.

Dhoop chhaaon kee is duniya mein,
Guruji ne jo thaama hai haath,
Yahee sabse anmol tohfa hai,
Na ki koi heere jawaharaat.

Kar lein is sanaatan tohfe ka sammaan,
Jisey dene waale daata Hain swayam MahaShiv Bhagwaan,
Jabb takk hamaari atma na paa le nirvaan,
Tabb takk bane rahein hum Guruji kee sanaatan santaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sanaatan Santaan (06/28/2021)

Bhakti Ka Rangg (06/27/2021)

June 27, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1225

                    Bhakti Ka Rangg

Prem ke aadhaar par judo Guruji se,
Na ki sharton ke bal par,
Bhool na jaaya karo Unhe,
Jabb kasht duur hotey hain tal kar.

Ve hee toh Hain,
Kasht taalne waale,
Ve hee toh Hain,
Hum sabko paalne waale.

Guruji se judne se pehle aur baad,
Socho kitna fark aaya hai jeene ke dhangg mein,
Aur Guruji ka shukrana karte karte,
Rangte jaao Unkee bhakti ke rangg mein.

Zindagi ka rangg pheeka padega agar,
Toh bhakti ka rangg uss pheekepan ko duur karega,
Jabb Guruji ka dhyan samaayega tumhaare kann kann mein,
Toh bhakti ka rangg tumhaare astitva mein noor bharega.

Yeh Guruji ka noor bahut khaas hai,
Kyunki yeh seenchta hai antar-mann ko,
Aur yeh noor chamkaa deta hai,
Mann ke malin darpan ko.

Guruji se zyada kaabil nahin hai koi chitrakaar,
Guruji kee bhakti ke rangg mein basaa hai pyaar,
Veh pyaar, jiske liye tarasta hai yeh sansaar,
Veh pyaar, jis se hota hai beda paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhakti Ka Rangg (06/27/2021)

Yoon Hee Chalte Chalein (06/26/2021)

June 26, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1224

         Yoon Hee Chalte Chalein

Yoon hee chalte chalein,
Guruji kee dikhaayee raah par,
Simran se kaabu paa lein,
Vyarth kee har chaah par,
β€˜Aish karein’ Guruji ke bataaye anusaar,
Na bhoolein ki saraay hai yeh sansaar.

Yoon hee chalte chalein,
Sadbhavna badhaate huey,
Apni oar se samaj mein,
Saamanjasya jagaate huey,
β€˜Banda banein’ Guruji ke bataaye anusaar,
Na bhoolein ki saraay hai yeh sansaar.

Yoon hee chalte chalein,
Guruji kee mahima gaate huey,
Guruji ko dil mein basaakar,
Unke satsang sunte sunaate huey,
β€˜Kalyaan kitta’ ke ashirwaad ka karein aadar satkaar,
Na bhoolein ki saraay hai yeh sansaar.

Yoon hee chalte chalein,
Karte rahein Guruji ka dhanyawaad,
Gupt sewa, gupt daan, aur gupt paath,
Inhe shraddha se karna rakhein yaad,
Guruji ka ehsaan maanein hum baarambaar,
Na bhoolein ki saraay hai yeh sansaar.

Yoon hee chalte chalein,
Sarvsamarpan ke bhaav se,
Guruji ke sangg baithkar,
Unse baatein karein hum chaav se,
Guruji sangg jaa paayein hum uss paar,
Na bhoolein ki saraay hai yeh sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Yoon Hee Chalte Chalein (06/26/2021)

Yeh Daat Divya Saugat Hai (06/25/2021)

June 25, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1223

Yeh Daat Divya Saugat Hai

Praanon ko shakti dene waale,
Prem bhari bhakti dene waale,
Har shishya ke pyaare rakhwaale,
Guruji hamaare Hain bade dilwaale.

Simran mein hotey Hain Ve saath,
Sewa ka jagaate Hain Ve jazbaat,
Satsang karaate Hain din raat,
Guruji Hain hum sabke naath.

Na kisee se vair na kisee se nafrat,
Jaanein Ve har bhakt kee hasrat,
Unke hee vash mein hai yeh kudrat,
Guruji sangg Hain toh sangg Hai kismat.

Guruji ka gungaan hai mangalkaari,
Guruji ka ashish hai kalyankaari,
Guruji swayam Hain leela dhari,
Guruji duur karte Hain har laachaari.

Chaahe koi ameer ho ya ho gareeb,
Guruji sanvaarte Hain sabka naseeb,
Unke paas hai har upaay, har tarkeeb,
Aur Ve Hain sab bhakton ke kareeb.

Buss, Unse jodni hai seedhi taar,
Unse karna hai sachchaa pyaar,
Sadaa khula hai Unka dwaar,
Bahut sundar hai Unka har darbar.

Yeh bahut khushnaseebi kee baat hai,
Ki jo bhi hamaari bhaasha ya jaat hai,
Hamein milee Guruji ke pyaar kee daat hai,
Yeh daat divya saugat hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Yeh Daat Divya Saugat Hai (06/25/2021)

Yeh Faisla (06/24/2021)

June 24, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1222

                    Yeh Faisla

Har vehem har sanshay ko chod do,
Jagaa lo tum apne dil mein vishwaas,
Apni mai ko neevenpann ke tej se toad do,
Le lo vinamrata bharaa shwaas.

Nakaaraatmakta se muh moad lo,
Sakaratmak rehne ka karo prayaas,
Guruji se antar-mann ko aise jod lo,
Ki rahe na Unke alaawa koi bhi aas.

Yeh jagg maya ka jaal hai,
Bade badon ka hua bura haal hai,
Bhaagte na rehna peechhe duniya waalon ke,
Paap dhote chalna pichhle kayee janmon aur saalon ke.

Tumhaari atma ne dhaaran kiya yeh shareer,
Yeh hai kewal ek poshaak,
Mitti mein mil jaayegi ye,
Ek din jabb ho jaayegi raakh.

Phir kyun itnee bhaaga dauri,
Jagg ke logon aur padaarthon ke peechhe,
Bhog lo sabb kuch jaan kar usey kshanabhangur,
Taaki tumhaare liye pradhaanta mein ve ho sabse neeche.

Guruji kee sharan mein hai veh sukh,
Jo har pareshaani ka hai upaay,
Guruji har lenge tumaare saare dukh,
Bin koi ehsaan jataaye.

Saath hee tumhaara nazariya badlenge,
Jis se tumhaare anubhav nikharenge,
Sehensheelta badhegi tumhaari,
Chaahe ho koi baadha ya beemaari.

Saahas badhega satya ke liye khade honei ka,
Raasta banega tumaare paapon ko dhone ka,
Guru kripa se urdhvagati kee oar tum bhadd jaaoge,
Baahari duniya mein rehte huey bheetar
jaa paaoge.

Tumhe Guruji ke dikhaaye raaste par chalna hai ya nahin,
Yeh faisla toh abb tumhe hee hai karna,
Ve tumhaare liye jo bhi karenge, veh hoga sadaa sahi,
Ve sangg Hain tumhaare, toh phir kaahe ka darna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Yeh Faisla (06/24/2021)