Pyaare Guruji Ko Beintehaa Pyaar (04/04/2021)

April 4, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1141

   Pyaare Guruji Ko Beintehaa Pyaar

Jinke vash mein hamaara kal, aaj, aur kal hai,
Jinke niyantran mein hamaari zindagi ka har pal hai,
Jinkee mahima se prithvi, akash, vaayu, agni, aur jal hai,
Jinke paas har bhakt kee har mushkil ka hal hai,
Unn pyaare Guruji ko Shukrana baarambaar,
Unn pyaare Guruji ko namaskaar,
Pyaare Guruji ko naman baar baar,
Pyaare Guruji ko beintehaa pyaar.

Jinkee karuna se bigdee bann jaati hai,
Jinkee kripa se shanti mil paati hai,
Jinke kehne pe sachchaayee saamne aati hai,
Jinkee kanti se raah ujjwal ho jaati hai,
Unn pyaare Guruji se hai duniya aabaad,
Unn pyaare Guruji ko dhanyawaad,
Pyaare Guruji ko naman baar baar,
Pyaare Guruji ko beintehaa pyaar.

Jinke charan mein sees jhuk jaate hain,
Jinkee sharan mein kadam ruk jaate hain,
Jinke diye imtehaan mein sukh aur dukh aate hain,
Jo Apni rahnumaayee mein duniya ke badalte rukh dikhaate Hain,
Unn pyaare Guruji kee inaayat se milti hai shakti,
Unn pyaare Guruji ke anugreha se khilti hai bhakti,
Pyaare Guruji ko naman baar baar,
Pyaare Guruji ko beintehaa pyaar.

Jinhonei abb takk sambhaala hai aur aagey bhi sambhaalenge,
Jinhonei har kaaj sanvaara hai aur aagey bhi sanvaarenge,
Jinhonei kismat ke lekh ko sudhaara hai aur aagey bhi sudhaarenge,
Jinhonei kitnon ka jeevan nikhaara hai aur aagey bhi nikhaarenge,
Unn pyaare Guruji ko salaam,
Unn pyaare Guruji ko pranaam,
Pyaare Guruji ko naman baar baar,
Pyaare Guruji ko beintehaa pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaare Guruji Ko Beintehaa Pyaar (04/04/2021)

Jab Se Pahunchi Guruji Ke Dwaar (04/03/2021)

April 3, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1140

Jab Se Pahunchi Guruji Ke Dwaar

Jabb se pahunchi Guruji ke dwaar,
Ho gaya mujhe Guruji se pyaar,
Kar diya Unse is pyaar ka izhaar,
Unpar ho gaya poora aitbaar.

Jabb chunauti deti hai waqt kee raftaar,
Ya duvidha mein daalta hai dil aur dimaag ka takraar,
Jabb mann ko bhatkaane lagta hai koi vikaar,
Toh Guruji sambhaal lete Hain sudhaar kar mere vichaar.

Jabb ho jaati hoon kabhi beemaar,
Toh Guruji dete Hain aur bhi dulaar,
Jabb vash mein karne lagtaa hai yeh kalyugi sansaar,
Toh Guruji bachaa lete Hain honei se laachaar.

Abb toh Unhee ka zikr hota hai baar baar,
Aankhein karti rehti hain Unke deedar ka intazaar,
Guruji ke dwaar par hee hota hai uddhaar,
Isliye baaki sab lagne lagaa hai abb bekaar.

Dekar Guruji ne Apni bhakti ka uphaar,
Kiya hai mujh naacheez par itna upkaar,
Unse hee hai mera ghar parivaar,
Ve hee Hain jeevan ka mool aur saar.

Sunte huey apne antar-mann kee pukaar,
Hokar Guru vandan ke vimaan par savaar,
Peechhe chodkar yeh saara sansaar,
Mai udd jaaoon buss baadalon ke uss paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jab Se Pahunchi Guruji Ke Dwaar (04/03/2021)

Ve Hain Poojya Guruji Hamaare (04/02/2021)

April 2, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1139

     Ve Hain Poojya Guruji Hamaare

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jinkee aankhon mein sabke liye hai pyaar,
Jinke dil mein hai sabke liye dulaar,
Jo ashirwaad dete Hain baarambaar.

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jo hamaare bin boley hee sabb samajh jaate Hain,
Jinkee mehar se sab uljhe kaaj sulajh jaate hain,
Jinkee kripa se hee hum Unka naam bhaj paate hain.

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jinke simran se hota hai Unkee karuna ka ehsaas,
Jinke satsang se Unkee mahima ke anubhav aate hain raas,
Jinka hota hai har bhakt ke chitt mein vaas.

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jinkee sharan mein mahasaagar se bhi gehri mamta hai,
Jinke charan mein ksheersaagar se bhi adhik kshamtaa hai,
Jinkee bhakti mein bhaav-vibhor hokar mann ramta hai.

Ve Hain poojya Guruji hamaare,
Jinke aanchal mein saara jahaan hai,
Jinkee leela aparampaar aur mahaan hai,
Jinkee muthhi mein ye zameen aur ye aasmaan hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ve Hain Poojya Guruji Hamaare (04/02/2021)

Aapka Deewana (04/01/2021)

April 1, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1138

   Aapka Deewana

Pyaare Guruji,

Na udaas hoon mai na hoon niraash,
Kyunki Aap Hain mere paas,
Na haari hoon na hoon bechaari,
Kyunki Aapki sharan hai sadaa hitkaari.

Na jaagi hoon na soyi hoon,
Buss, har pal Aapke khayaalon mein khoyi hoon,
Na din kee khabar rehti hai na raat kee,
Lagan lagi rehti hai Aapke saath kee.

Na chinta rehti hai phansne beech majdhaar kee,
Mithaas mehsoos hoti rehti hai Aapke pyaar kee,
Na aakulta hoti hai aandhi kee na tufaan kee,
Shanti miltee hai kar ke pooja Aap mein basey Bhagwaan kee.

Na sataate hain duniya ke badalte rangg,
Bahut himmat deta hai Aapka sangg,
Na fikr hoti hai kisee cheez kee kamee kee,
Tript kar deti hai anubhooti Aapki mamta kee nami kee.

Na bechayyn karte hain ve maamle jo pehle pareshaan thei karte,
Aapke simran aur satsang ke pal har bechayyni ko hain harte,
Jo pehle kabhi dukhi karte thei, abb na dukhi karte hain ve maajre,
Antar-mann bahut himmat paata hai reh kar Aapke aasre.

Na dhyan mein aata hai is safar ke alaawa abb daur koi,
Aapke siwa na basaa hai mann mandir mein aur koi,
Na bujha sakta hai is mandir ka diya abb yeh zamaana,
Kyunki yeh dil toh sadaa ke liye ho gaya hai Aapka deewaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
DHIRJA

Aapka Deewana (04/01/2021)

Sachkhand Ke Dar Par (03/31/2021)

March 31, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1137

            Sachkhand Ke Dar Par

Aaj se pehle toh usey maalum hee nahin thaa,
Ki veh so raha thaa,
Kyunki jo bhi ho raha thaa,
Veh toh usee mein kho raha thaa.
Samajhkar usey hee hakeekat,
Nazar andaaz kar ke har museebat,
Khush rakhte huey apni tabeeyat,
Sunte huey sabki nasihat.

Kal takk daaman mein liye ehsaas-e-falak,
Na jaane veh soya kabb talak.
Jabb aaj neend khuli aur jhapki usne palak,
Toh aankhon se aansoo gaye chhalak.

Kyunki sachchaayee ka ehsaas hua,
Jabb jhooth ka pardaafaash hua,
Pehle pehle toh veh niraash hua,
Lekin phir dil ko sabb bardaasht hua.

Kyunki Guruji ne thaama hua thaa uska haath,
Aur Unhonei vaada kiya thaa ki Ve chalenge uske saath,
Aur har pal ke jaise uss pal mein bhi,
Uske sangg thee Guruji kee ruhaani surbhi.

Buss, phir yoon hee waqt gaya guzar,
Uskee soch par hota raha Guruji ka asar,
Jabb jabb veh jhapakta thaa palak,
Usmein Guruji ke liye pyaar jaata thaa chhalak,
Jabb takk jeevit raha, uskee shwaas rahi tabb talak,
Jabb praan tann se nikle, toh Guruji ne uske daaman mein sajaayee ruhaani falak.

Uska kalyaan hua jabb uska daaman yoon bhar gaya,
Guruji kee rehmat se veh tarr gaya,
Veh duniyadari kee durbal deewaarein paar kar gaya,
Aur Guruji kee mehar-e-nazar se veh antt vele mein sachkhand ke dar par gaya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sachkhand Ke Dar Par (03/31/2021)

Bhakti Ka Indradhanush (03/30/3021)

March 30, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1136

Bhakti Ka Indradhanush

Aayiye, Guruji ke ashirwaad se,
Indradhanush nihaarein bhakti ka,
Jiska har rangg raasta dikhaaye,
Guruji ke saath jude rehne kee yukti ka.

Simran hai bhakti ka rangg pehla,
Is se jeevan bann jaata hai itna suhela,
Har pal mann mein hota hai jo Guruji ka naam,
Toh Guruji hee sambhaalte Hain bhakt ke saare kaam.

Sewa hai bhakti ka rangg dooja,
Gupt ho toh aur bhi nikhar jaati hai pooja,
Niswaarth sewa ho doosron ke prati,
Is se neevanpann aata hai aur praapt hoti hai sumati.

Satsang aur sadh-sangat bhi is indradhanush ka rangg hai,
Guruji ke bhakton ke dil mein sadaa hoti satsang kee umangg hai,
Bheed nahin, na hee jhootha dikhaawa,
Buss satya ka sangg aur Guruji ka bulaava.

Samarpan hai bhakti ka rangg chautha,
Jis se tarr jaata hai bhakti ka paudha,
Is rangg se bayaan hota hai Guruji par bhakt ka poorna vishwaas,
Kyunki sab kuch Guruji par chod kar buss Unkee marzi aati hai raas.

Shraddha ka rangg bhi anivarya hai bhakti ke liye,
Isee se hee jalte hain Guru naman mein divyataa ke diye,
Shraddha se hee Guruji ke sangg waqt bitaane ka karta hai mann,
Shraddha se hee Guru shishya ka rishta hota hai aur bhi sampann.

Prem ka rangg chadhne se bhakti mein aata hai ek nutan nikhaar,
Prem ke bhaav se saadhak paata hai vinamrataa ka sanskaar,
Prem ke bina bhakti toh bilkul neeras hai, bejaan hai,
Niswaarth prem kee pavitrataa hee bhakti kee jaan hai.

Shukrana hai bhakti ka saatvaan aur sabse gehra rangg,
Is rangg kee raunak kabhi na honei paaye bhangg,
Shukrana hee baaki har rangg ko indradhanush mein rakhta hai jod kar,
Varna zindagi ke utaar chadhaav mein kitne bhakt jaate hain is dar ko chod kar.

Jis bhakt par chadha ho Shukrana ka rangg,
Veh jeeta hai hokar Guruji kee mahima mein malang,
Veh Guruji kee har meharbaani kee karta hai kadar,
Aur uske chehre aur charitra par hota hai Guruji ke noor ka asar.

Prem aur shraddha se seench kar bhakti ko,
Uska poshan karein sewa simran aur satsang se,
Samarpan se bhakti ka maan badhaayein,
Shukrana roopi sundar suman se bhakti ko sajaayein.

Aur buss phir bhakti mein magn hokar,
Guruji ko hum yaad karein,
Bhakti ke is indradhanush se,
Mann roopi akash ko aabaad karein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bhakti Ka Indradhanush (03/30/3021)

Pyaare Parwardigaar Hamaare (03/29/2021)

March 29, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1135

Pyaare Parwardigaar Hamaare

Poojya Guruji, samajh leejiye isey Aap hamaari aas,
Ya isey maan leejiye hamaari ardaas,
Hamein Apne se duur kabhi na karna,
Hum kaheen ke na reh jaayenge varna.

Samajh leejiye isey hamaara Aap par vishwaas,
Ya isey maan leejiye Aapko khush karne ka hamaara prayaas,
Aapke dar ke alaawa sooojhta hee nahin koi aur dar,
Duur ho gaya hai bin murshid aur bin Khuda ke jeevan jeene ka darr.

Kyunki Aap mein hee murshid hai hammara,
Aap mein hee baste Hain hamaare Khuda,
Aap mein hee mata, pita, maargdarshak,
Aur Veh meet, jo kabhi na hoga juda.

Isliye samajh leejiye isey hamaari khudgarzi,
Ya phir hamaari guzaarish manvaane kee Aapse kee gayi arzi,
Rehne dena sadaa hamein Apni sharan mein,
Abb toh jeena marna ho buss Aapke charan mein.

Aap hee Hain hamaare har din ke sooraj,
Aap hee Hain disha dikhaane wale Dhruv ke taare,
Isliye aye Maalik, aye pyaare Parwardigaar hamaare,
Hum toh is paar bhi, aur uss paar bhi Hain buss Aapke sahaare.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaare Parwardigaar Hamaare (03/29/2021)

Naya Jeevan (03/28/2021)

March 28, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1134

           Naya Jeevan

Pyaare Guruji,

Aap jeevan mein aaye mere,
Toh jaise isee jeevan mein hee ek naya jeevan mil gaya,
Mere mann ke niraash konei mein,
Asha ka suman nikhar kar khil gaya.

Aapki divyata kee khushboo se veh suman mehekne lagaa,
Mann ke aangan mein vipultaa ka vihang chehekne lagaa,
Aapke ashirwaad se har kamee ko mila santushti ka saahil,
Isliye jeevan mein paripoornataa hui haasil.

Honhaari se mehnat karne kee dete Hain Aap prerna,
Aapke siwa kisee aur se ummeed na rakhne kee dete Hain Aap chetna,
Toot-te taaron ko dekh kar kuch maangne kee zaroorat nahin,
Aapke sangg honei se jo bhi chahiye veh Aap denge agar vo hoga sahi.

Andhere se abb lagta nahin hai darr
Kyunki ekant chaahe ho, akelapann nahin
Dekhti hoon jis dwaar par, jis dar par,
Aap nazar aate Hain vaheen.

Aapke pyaar ne, Aapke protsaahan ne,
Dikhaayee hai jo kendrit disha,
Uspar chalne se itihaas bann gayi hai,
Dharma-sankat kee dhundh kee nisha.

Shukriya Aapka ki Apna naam dekar dvij banaaya hai Aapne,
Naya jeevan dekar janma- janmaantar ke liye karzdaar banaaya hai Aapne,
Yeh kshamtaa nahin mujhme ki mai kabhi bhi Aapka karz chukaa sakoon,
Kripa keejiye aisee ki har pal achche se apna har farz nibhaa sakoon.

Dhundhli nisha ko sunehra spasht savera dikhaane ka Shukrana,
Mere antar-mann mein Apna ruhaani basera sajaane ka Shukrana,
Meri har galati, har gunah ko bisaarne ka Shukrana,
Mujhe naya jeevan dekar is jeevan ko nikhaarne ka Shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Naya Jeevan (03/28/2021)

Aayi Aayi, Holi Aayi (03/27/2021)

March 27, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1133

  Aayi Aayi, Holi Aayi

Phaalgun ke maheene kee poornima hai aayi,
Apne Sangg holi ka parv hai laayi,
Rangon ka tyohaar hai aaya,
Kisee ne rang phenka toh kisee ne dhol bajaaya.

Pauraanik kathaayein ho gayin praacheen,
Lekin aaj bhi suni aur sunaayee jaati hain,
Aise hee holi ke sambandh mein,
Holika se judi kathaayein yaad aati hain.

Hiranyaaksh ko maara Vishnu Bhagwaan ne,
Toh uske bhraata Hiranyakashipu ne tapasya kee bhaari,
Brahma ji ko jabb usne prasann kiya,
Toh aayi uske vardaan maangne kee baari.

Vardaan maanga Hiranyakashipu ne itna uljhaa hua,
Ki Brahma ke paas thaa hee nahin upaay suljhaa hua,
Brahma ko vardaan dena pada,
Aur phir Hiranyakashipu saatvein aasmaan par chadhaa.

Brahma se mila usey yeh vardaan,
Ki na maar sakega usey pashu aur na maar sakega insaan,
Na maara jaayega veh din mein aur na raat mein,
Aur bahut chaalaaki thi uskee har baat mein.

Koi shastra na maar paayega usey, na baahar na andar ghar ke,
Yeh bhi maanga usne Brahma ke dar pe,
Na zameen par maara jaayega na vaayu mein,
Yeh maang kar usne suraksha paa lee apni aayu mein.

Veh khud ko samajh baitha Bhagwaan,
Aur jabb Vishnu kee pooja karne lagi uskee santaan,
Toh usne krodh se apni santaan, Prahlaad ko dhikkaara,
Lekin Prahlad ka toh thaa hee nahin Vishnu kee pooja ke bina guzaara.

Holika kee goad mein Prahlad ko agni mein baithakar,
Hiranyakashipu ne apne putr ko chaaha jalaana,
Lekin Prahlad Vishnu ka naam leta raha, Aakhir veh thaa Unn ka bhakt aur deewaana.

Prahlad kee shraddha aur bhakti rangg laayi,
Aur jeet gayi achchaayee,
Holika uss agni mein jal gayi,
Aur Prahlad kee maut tal gayi.

Guruji kee kripa se hum par bhi chadh jaaye,
Rangg achchaayee aur sachchaayee ka,
Hamaari shraddha aur bhakti bhi badh jaaye,
Nasha ho jaaye hamein Guruji kee vadiyaayee ka.

Guruji, chadhaa deejiye hum par sewa ka rangg,
Jismein mishrit ho Satsang kee umangg,
Rangg jaayein Aapke simran ke gulaal mein,
Jis haal mein Aap rakhein, hum khush rahein uss haal mein.

Aapke rangg mein rangg jaayein sadaa ke liye,
Aur yeh rangg kabhi utarne na paaye,
Jaan bhi chali jaaye agar hamaari,
Toh bhi atma Aapke rangg mein rangi reh jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aayi Aayi, Holi Aayi (03/27/2021)

Sarhad Par (03/26/2021)

March 26, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1132

        Sarhad Par

Upvan aur vann kee sarhad par veh khada thaa,
Uske saamne usee ka shareer nidhaal pada thaa,
Adbhut sa ehsaas thaa,
Aur koi na paas thaa.

Ya phir usey yoon lagaa ki veh thaa akela,
Lekin darasal yeh mauka thaa suhela,
Kyunki usey Guruji kee khushboo aayee,
Aur Unkee divya chhavi dee dikhaayee.

Ruhaani see anubhooti thi,
Jismein Guruji kee vibhuti thee,
Unkee vadiyaayee ke noor kee kanti thi,
Aur atma ko mehsoos ho rahi shanti thi.

Haan, usee atma ko, jo dekh rahi thi sarhad par dharey shareer ko,
Aur Guruji ke saameepya hetu nihaar rahi thi apni taqdeer ko.
Na koi duvidha, na dard, na dukh,
Na garm, na sard, kewal sukh hee sukh.

Vayumandal mein Guruji kee divyata ka thaa spandan,
Pheeka lagg raha thaa chandan ke vann ka chandan,
Pheeki lagg rahi thi upvan ke phoolon kee khushboo,
Kyunki Guruji ke spandan se mehek rahi thi rooh.

Yeh adhyatmik anubhav thaa itna suhaana aur prabal,
Ki ehsaas na hua ki beet gaye usmein itne pal,
Uss avastha mein Guruji ne rakha Apni ichchaa ke anusaar,
Aur phir shareer mein lauta diya dekar bahut saara pyaar.

Shareer mein jaan aayee toh jaana,
Ki upvan aur vann toh hain mann kee dhaarna,
Upvan mein hee vann bhi samaaya hai,
Aur vann mein bhi upvan kee chhaaya hai.

Is chhaaya ke liye dhoop ka hona bhi zaroori hai,
Varna astitva hee na hoga chhaaya ka,
Shaayad is adhyatmik anubhav ke bina yeh samajh na aata,
Shaayad uske mann ka yeh duvidha bhara vichaar na sulajh paata.

Kaaran Guruji ko maalum hai,
Usey tasalli thi is baat kee,
Guruji ne anubhav ka avsar diya,
Usey khushi thi is saugat kee.

Upvan aur vann dono ka hona,
Aawashyak hai jeevan mein,
Sahi mainey mein dekho aur socho,
Toh dono hee hain hamaare mann mein.

Jisko seenchega neeyat aur niyati ka neer,
Usee se banegi hamaari taqdeer,
Guruji kee tasveer ho jis shareer mein basee atma mein,
Uska ek din awashya vilay hoga Paramatama mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sarhad Par (03/26/2021)