Mann Kee Yuddh Bhoomi (03/25/2021)

March 25, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1131

Mann Kee Yuddh Bhoomi

Raahi ke mann kee yuddh bhoomi mein,
Dharma sankat kee mushkil thi aan padee,
Maansik roag ko aur chintajanak banaane,
Uspar mano-vikaar ke roag kee chaadar jaa chadhee.

Aaspaas thaa kalyuga ka kohra,
Isliye dikh nahin raha thaa kuch bhi saaf,
Bheetar ke dvandva mein,
Kisee bhi paksh ko na kar sak raha thaa veh maaf.
Isee duvidha mein jeeye jaa raha thaa,
Kisee se bhi usne kuch na kaha thaa.

Bhool gaya thaa ki zindagi hai pal do pal ka safar,
Guruji ka simran karna bhi chod diya thaa,
Kalyugi hawaa ka hua thaa uspar aisa asar,
Ki Guruji se toh usne muh hee moad liya thaa.

Jabb se uska zameer thaa soya,
Usne itna kuch thaa khoya,
Dhan daulat aur roab se veh bigad gaya,
Uskee maasumiyat ka bhola ankur ujad gaya.

Dil aur dimaag kee bhi ladaayee hoti rehti thi,
Mann manmaani karna chaahta thaa aur atma chetna kee baat kehti thi.
Guruji kee baatein aati thein yaad,
Lekin bhool jaata thaa unhe kuch hee pal ke baad.

Mushkil ho gaya uske shareer ka bhi kaam karna,
Aur uss se bhi zyada mushkil ho gaya uska aaraam karna,
Na veh idhar ka raha, na veh raha udhar ka,
Tabb ek awaaz ne usey jhanjhod kar kaha,“Abb toh tu sudhar ja.”

Saamne dekha toh aayiney mein usey dikha apna chehra,
Uska apna anta-karan de raha thaa uspar pehra,
Aankhein bandd keen usne toh dikhi usey Guruji kee sowmya soorat,
Aur usne thaana ki yahee hai kaaya palatne ka mahoorat.

Guruji kee kripa se aa gayi jaagriti,
Sanvarne lagi uske charitr kee aakriti,
Vikaar honei lagey kumm,
Chetna mein aane lagaa dumm.

Guruji se judne ke mahatva ka hua usey ehsaas,
Aur logon se judne ka chod diya usne prayaas,
Saamanjasya ka farz pehle jaise apni oar se bakhoobi nibhaaya,
Guruji ko usmein hua parivartan nazar aaya.

Yuddh bhoomi mein hui shaanti,
Jabb vahaan chhaa gayi Guruji kee kaanti,
Guruji ne parakh lee uskee neeyat,
Aur dobara likh di uskee niyati kee vasiyat.

Hum sabb ke bheetar bhi shaayad hota ho aisa koi yuddh,
Kyun na Guruji kee dee hui prerna se hum karein uss bhoomi ko shuddh,
Hum shraddha se sudhaar ka prayatna karenge,
Toh Guruji ko veh sachchaa lagega,
Aur hamaara sachcha prayaas dekhkar,
Unhe kitna achchaa lagega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Kee Yuddh Bhoomi (03/25/2021)

Guruji Kee Sharan Mein Basera (03/24/2021)

March 24, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1130

Guruji Kee Sharan Mein Basera

Jiska Guruji kee sharan mein ho basera,
Uske liye toh andhere mein bhi ho jaata hai savera,
Uskee raah toh Guruji ke noor se ujjwal rehti hai,
Uske dil mein utsaah kee umang har pal behti hai.

Kabhi kabhi waqt ke tanaav ka shor ooncha honei se,
Behte utsaah ka shaayad kum ho jaata hai ehsaas,
Lekin mann kee aankhon se dekhenge toh,
Guruji nazar aayenge apne bilkul paas.

Buss, is se zyada kya chahiye,
Ki Guruji sadaa Hain saath,
Ye saath janam janam ka hai,
Ye hai bilkul pakki baat.

Jabb is baat mein sanshay nahin,
Toh phir kaisa ghabraana,
Jabb Guruji ko apna maana hai,
Toh phir kaisa hichkichaana.

Jisko Guruji de dete Hain ashirwaad,
Uske liye har pal bann jaata hai prasad,
Uska antar-mann hota hai Unke jazbaat se aabaad,
Usey Guruji hee karte Hain karmic bandhanon se azaad.

Apni taraf se sarv samarpan karna zaroori hai,
Chaahe marzi se karein ya isliye kee mukti paane ke liye majboori hai,
Kyunki agar Guruji ke vash mein hogi poori tarehn se jeevan kee naiya kee patvaar,
Toh Guruji Apne nazariye se karaayenge naiya ka beda paar,
Aur Unka sahaara dikhaayega jo saahil,
Hamein vaheen hoga sachcha sukh haasil.

Isliye Guruji kee sharan mein karte huey basera,
Bhool jaayein kya tera hai aur kya mera,
Jaanein aur maanein jagg ko Ishwar ka banaaya dera,
Shukrana karte huey dekhein hum har savera.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Sharan Mein Basera (03/24/2021)

Aap Hee Sarvesh Hain (03/23/2021)

March 23, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1129

              Aap Hee Sarvesh Hain

Pyaare Guruji,

Hum sab insaan hain naadaan,
Aap Hain MahaShiv Bhagwaan,
Aap hee keejiye uddhaar,
Aap hee sanvaariye sansaar.

Mahamaari, beemari, laachaari,
In mein raahat deejiye Prabhu,
Har insaan ke dil mein dooje ke liye,
Bhale kee chaahat deejiye Prabhu.

Bahut zaroorat hai bhaav kee shuddhi kee,
Bahut aawashyakta hai kalyaankaari buddhi kee,
Taaki sadbhaav kee sugandh ho vaataavaran mein,
Aur mann bhaari na ho janam ya maran mein.

Guruji, hamein sahi disha dikhaayee hai Aapne,
Uspar chalne kee sumat bakhshiye daata,
Sansaar ke uddhaar mein na ho vilamb,
Apni mehar se keejiye uddhaar ka aarambh.

Jo pal Aapko lagey sahi, uchit hoga vahee pal,
Uskee intazaar mein bitaa denge hum uss se pehle waale pal,
Jinhe jaagriti aa gayi hai, Unhe aagey badhte rehne ka deejiye ashirwaad,
Aur jo abb bhi agyaan kee neend soye hain, Unhe deejiye chetna roopi prasad.

Hum Kartikeya ya Ganesh ke aagey toh bilkul tuchh hain,
Par hum bhi Aapke bachche hain, isliye rishte mein Aapke kuch hain
Aap toh dariyadil dayalu Dhanadeep Devesh Hain,
Hamaare liye Aap hee naath aur Aap hee Sarvesh Hain.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aap Hee Sarvesh Hain (03/23/2021)

Tumhaare Haq Se Bhi Zyada (03/22/2021)

March 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1128

       Tumhaare Haq Se Bhi Zyada

Agar lagey kabhi bhi tumhe,
Ki kismat nahin de rahi saath,
Toh yaad dilaa dena khud ko,
Ki Guruji ne thaama hai tumhaara haath.

Kismat toh khud hee tarse,
Ki Guruji kee mehar uspar barse,
Isliye dekhkar tumhaare haath ko Guruji ke haath mein,
Kismat toh khud bakhud chal padegi tumhaare saath mein.

Isliye bilkul bhi ghabraao nahin,
Bilkul bhi hichkichaao nahin,
Buss Guruji kee mazboot pakad se apne saahas ko badhaao,
Aur kismat ke sanvarte rangg ko sajaao.

Guruji toh ek pal mein vo kar sakte Hain,
Jo namumkin hai janm janmaantar mein bhi hona,
Kismat ke khotey ya zung lagey sikke ko bhi,
Guruji palak jhapakte hee banaa sakte Hain sona.

Isliye jabb tak hai Guruji ka saath,
Jabb takk Unke haath ne pakda hai tumhaara haath,
Tabb takk kismat bhi karegi tumhaari khidamat,
Aur aaj nahin toh kal usey aa jaayegi sumat.

Phir dekhte huey Guruji ke haath mein tumhaara haath,
Veh bhi ho jaayegi tumhaare saath,
Karam aur niyati ka hisaab karenge Guruji, tumhaare naath,
Aur tumhaare haq se bhi zyada behtar banaayenge tumhaari har bigdi baat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tumhaare Haq Se Bhi Zyada (03/22/2021)

Tanhaayee Mein Shehnaayee (03/21/2021)

March 21, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1127

    Tanhaayee Mein Shehnaayee

Kalyuga kee is bheed mein,
Jabb ehsaas hota hai tanhaayee ka,
Tabb dil ko bahut sahaara deta hai,
Ehsaas Guruji kee vadiyaayee ka.

Ek Guruji hee Hain jo dil kee vyatha ko samajhte Hain,
Guruji kee kripa se uljhe huey maajre sulajhte hain,
Ek Ve hee Hain jo andhere mein ujaala laate Hain,
Jabb sab mujhe bhool jaate hain, Guruji tabb bhi mujhe bulaate Hain.

Phir jabb tanhaayee mehsoos hoti hai,
Aur aankh Guruji ke deedar ke liye roti hai,
Aise mein Guruji ka simran hee bachaata hai,
Aur Unka naam Unke kareeb laata hai.

Insaan hoon, naadaan si,
Agyaani hoon, anjaan si,
Kayiyon ke jaise hoon is ruhaani safar mein,
Guruji hee sambhaal rahe Hain har din kee guzar basar mein.

Guruji kee sharan mein udaasi kee gunjaaish nahin,
Lekin kabhi kabhi niraasha ho jaati hai kyunki hum insaan hain,
Bhool jaate hain hum ki yeh toh buss ek pehlu hai safar ka,
Guruji ko hee anjaam maalum hai is dagar ka.

Guruji kee mehar har pal baras rahi hai,
Swayam ko yahee hai yaad dilaana,
Jitna ho sakey simran karna hai,
Vahee kaam aayega jabb yahaan se hongei ravaana.

Simran karte karte goonjne lagegi,
Mann mein Guruji ke naam kee shehnaayee,
Aur Guruji kee kripa se isee prayaas se,
Duur ho jaayegi dil kee tanhaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tanhaayee Mein Shehnaayee (03/21/2021)

Vo Hai Pyaare Guruji Ka Dar (03/20/2021)

March 20, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1126

Vo Hai Pyaare Guruji Ka Dar

Jahaan koi shart nahin hai pyaar mein,
Jahaan ek priya rishta hai ikraar mein,
Koi vehem nahin hai vandan mein,
Koi kayda kaanoon nahin hai chintan mein,
Jahaan bin boley hee sunvaayee hoti hai,
Jahaan har bhakt kee bhalaayee hoti hai,
Jahaan milta hai ashirwaad ka var,
Vo hai pyaare Guruji ka dar.

Jahaan mann shaant hota hai Gurbani ke shravan se,
Jahaan dheeraj badhta hai dhyan aur manan se,
Jahaan dil ko sukoon milta hai charan ke naman se,
Jahaan maangne kee nahin hai zaroorat,
Jahaan har pal har din hai ek shubh mahoorat,
Jahaan daras deti hai mamta kee manoram moorat,
Jahaan khud hee jhuk jaata hai sir,
Vo hai pyaare Guruji ka dar.

Jahaan satsang mein mann lagg jaata hai,
Jahaan mann pehle se kumm ghabraata hai,
Jahaan ruhaaniyat ka raasta dikh jaata hai,
Jahaan har bhakt seedhi taar joad paata hai,
Jahaan ujjwal hoti hai jeevan kee raah,
Jahaan umadta hai ek anokha utsaah,
Jahaan ashish se jholi jaati hai bhar,
Vo hai pyaare Guruji ka dar.

Jahaan aakar tamanna nahin hoti kaheen aur jaane kee,
Jahaan fikr nahin karni padti bilkul bhi zamaane kee,
Jahaan ichchaa hoti hai baar baar aane kee,
Jahaan aakar kabhi zaroorat nahin hoti pachtaane kee,
Jahaan agyan ka timir khatm ho jaata hai,
Jahaan chetna ka sooraj uday ho paata hai,
Jahaan divya noor mein Ishwar aate Hain nazar,
Vo hai pyaare Guruji ka dar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Vo Hai Pyaare Guruji Ka Dar (03/20/2021)

Badalte Haalaat (03/19/2021)

March 19, 2021

Om Namaha Shivaya

Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1125

                      Badalte Haalaat

Kitna badla badla sa hoga ye jahaan,

Jabb is mahamaari ko alvida kahega,

Kisee kisee ko dekhkar khushi hogi,

Aur kisee kisee ko yaad kar ke aansoo bahega.

Kyunki kitnon kee jaan le chuki hai ye mahamaari,

Aur aagey bhi shaayad legi,

Aise mein kewal ruhaani shakti hee,

Dil ko saantvanaa degi.

Vaise bhi badal raha hai itna kuch har pal,

Kal nahin thaa aaj ke jaisa, aur aaj jaisa na hoga kal,

Kuch na kuch toh badalta hee hai, chaahe hamein maalum chale ya nahin,

Maan lein ki niyati aur karam ke anusaar ho raha hai sabb sahi.

Karam aur niyati ke beech mein hastakshep karna,

Kewal Guruji ka adhikaar hai aur Unkee hee kaabiliyat,

Vahee nirdhaarit karte hain jeena aur marna,

Aur Ve hee lekha phir likh sakte Hain, ye bhi hai hakeekat.

Guruji kee sharan mein rehkar badh jaati hai ruhaani shakti,

Aur samarpan ke dwaara sweekriti ka saahas deti hai bhakti,

Sweekriti badalte haalaaton kee,

Sweekriti chhoti aur badi baaton kee.

Guruji, aisee kripa keejiye sabpar,

Ki Aap mein gehri hoti jaaye hamaari bhakti,

Burey haalaat mein sabr aur achche haalaat mein neevenpann kee,

Aapke naam kee bhakti hee hai ek maatra yukti.

Jaise bhi hon haalaat,

Buss, Aap har pal rehna hamaare saath,

Aapka sanaatan saath,

Hai bhakton ke liye sabse badi daat.

Aapki is daat se Daata,

Juda rahega sadaa Aapse naata,

Chaahe haalaat ho jaise shaant samundar,

Ya ho jaaye jaise jwaar bhaata.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻

Dhirja

Badalte Haalaat (03/19/2021)

Jeevan Safal Ho Jaaye (03/18/2021)

March 18, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1124

           Jeevan Safal Ho Jaaye

Mere pyaare Guruji,

Aapki mahima ke geet mai gaati rahoon,
Aapke divya roop ko saraahti rahoon,
Aapko mann mandir mein nihaarti rahoon,
Toh jeevan safal ho jaaye.

Aapse mai har baat karoon,
Aapse baat din raat karoon,
Aapke hotey huey na mai kisee se daroon,
Toh jeevan safal ho jaaye.

Aapke baare mein sochti rahoon,
Aapki honei ke liye kuch bhi sahoon,
Aapke prem ke bhaav mein bahoon,
Toh jeevan safal ho jaaye.

Aapki muskaan ko dekh kar muskuraaoon,
Aapke aadar mein sees jhukaaon,
Aapki baatein sabko bataaoon,
Toh jeevan safal ho jaaye.

Aapke darbar ko pyaar se sajaaoon,
Aapke satsang sunoon aur sunaaoon,
Aapko mai kabhi bhi na bhool paaoon,
Toh jeevan safal ho jaaye.

Aapke charnon mein naman karoon,
Aapke vachanon ka manan karoon,
Aapki baani ka shravan karoon,
Toh jeevan safal ho jaaye.

Aapka diya prasad khaaoon,
Har pal Aapka ashirwaad paaoon,
Aapko har pal sangg mai paaoon,
Toh jeevan safal ho jaaye.

Aap par mai vaari jaaoon,
Aapki divyata mein mai kho jaaoon?
Antt vele mein Aapki goad mein mai so paaoon,
Toh jeevan safal ho jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jeevan Safal Ho Jaaye (03/18/2021)

Sabse Shubh Mahoorat (03/17/2021)

March 17, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1123

            Sabse Shubh Mahoorat

Brahma Vishnu aur Shiv Bhagwaan,
Hai in teenon ka itna oonchaa sthaan,
Aur Guruji kehte Hain ki Ve MahaShiv Hain,
Isliye Ve divyata mein bhi sabse adhik divya Hain.

Saare devi devta,
Guruji mein samaaye Hain,
Anek bhakton ne Guruji mein,
Apne kul devi devta ke darshan paayein Hain.

Vrindavan ke Krishna hon,
Ya ho Pahaadon wali Mata Rani,
Guruji ne inke roop mein darshan dekar,
Kitnon kee dhanya kee hai zindagaani.

Kisee ko dikhein Sai Baba ya Baba Nanak Unmein,
Toh koi dekhkar Isa Masih rahe Unkee hee dhun mein,
Roop badalne se koi fark nahin padta Unke kisee bhi divya gunn mein,
Isliye Guruji ke saare bhakt rehne lagte hain buss Guruji kee hee dhun mein.

Guruji ke sangg hai jo yeh ruhaani safar,
Ismein Guruji hee Guruji har oar aate Hain nazar,
Udhar bhi aur idhar bhi,
Baahar bhi aur bheetar bhi.

Jaise jaise Guruji ke simran se,
Dheere dheere dhyan lagna shuru ho jaata hai,
Vaise vaise Guruji ka divya noor,
Divya prakash ke roop mein nazar aane lagg jaata hai.

Kaha hai yeh bhi Guruji ne hee,
Ki Ve punj Hain divya prakash ka,
Yeh prakash sanaatan aur anant hai,
Aur iske dwara dil mein jalne wali jyot akhand hai.

Bhaagyashaali hain hum ki hum hain MahaShiv kee sharan mein,
Abb yahaan se kaheen aur jaane kee nahin chaahat ya zaroorat,
Jis pal Guruji ne hamein thaa sweekaara,
Veh thaa hamaare jeevan ka sabse shubh mahoorat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sabse Shubh Mahoorat (03/17/2021)

Kaheen Khushi Kaheen Gumm (03/16/2021)

March 16, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1122

      Kaheen Khushi Kaheen Gumm

Kaheen khushi kaheen gumm,
Kaise phans gaye hain hum,
Is zindagi ke bedard jaal mein,
Jeena padega chahey ho jis haal mein.

Ek taraf maut ka saya chhaa raha hai,
Doosri taraf kisee aur ka janamdin aa raha hai,
Yahi toh duniya ka a-jab sa mela hai,
Sab hain magar phir bhi har koi akela hai.
Khaali haath aaye khaali haath jaana hai
Phir kyun itna khudgarz ye zamaanaa hai?

Is Kalyuga mein aise har khayaal se duur rehne ka hai ek upaay,
Guruji ka simran karo, veh har niraashajanak vichaar se bachaay.
Aur agar mann mein koi aisee soch aa bhi jaaye,
Toh simran karne se niraasha nakaraatmakta na bann paaye.

Simran karte karte dhyan badhne lagega,
Niraasha par asha ka noor chadhne lagega,
Guruji kee aseem kripa ke dwaara,
Aashawaadi hoti jaayegi vichaaradhaara.

Sukh dukh ke lamhe
Dhoop chhaaon bannkar aayenge,
Guruji ke ashirwaad ke moti
Sadaa apni chamak dikhaayenge.

Mushkilein aur chunautiyaan toh shaayad poori tarehn se saath nahin chodengi,
Lekin ye bhi nishchit hai ki Guruji ke hastkshep kee leelaayein muh nahin modengi,
Aur Unke anugraha se sakaaraatmak hota jaayega nazariya,
Toh Unke divya saath ke sangg tayy ho jaayegi jeevan kee ye dagariya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kaheen Khushi Kaheen Gumm (03/16/2021)