Ichchaaon Ka Beej (03/15/2021)

March 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1121

              Ichchaaon Ka Beej

Jabb maanav ne ichchaaon ka beej boya,
Usee pal se maanav ne apni santushti ko khoya,
Kyunki uss beej se upjaa jo paudha,
Usey seenchta hai paani ke bajaay sauda.

Isliye bujhti hee nahin hai pyaas,
Aur itna kuch hotey huey bhi kuch nahin aata hai raas,
Paudhe ke phal mein neeras si khattaayee hai,
Aur phal mein ichchaaon aur lobh kee gandh samaayee hai.

Lobh aur ichchaa, aur bhi zyaada paane kee,
Lobh aur ichchaa, ikaththaa karte jaane kee.
Na jaane kahaan ye sab lekar jaayenge,
Ye laukik padaarth vahaan toh kaam hee nahin aayenge.

Vahaan jaane kee agya kewal atma ko hai mil paati,
Vahaan cheezein ya vastuyein saath nahin hain jaati,
Vahaan inkee koi zaroorat nahin hai,
Vahaan inkee koi chaahat bhi nahin hai.

Lekin agar in sab mein moh ho gaya,
Toh hoga mushkil unhe chod kar jaana,
Isee moh kee vajeh se phir,
Yahaan vaapis padega aana.

Khud hee apni atma ko hum,
Janam maran ke chakkar mein phansaayenge,
Toh jis moksh kee hum baat karte hain,
Veh moksh hum kaise paayenge?

Karte huey Guruji kee bhakti,
Seekh jaayein hum anaasakti,
Taaki moh maya mein phansne se bach paayein,
Aur jaate samay inse mukt ho jaayein.

Jabb takk veh Paramatama se na mil jaaye,
Atma ko aagey ke safar mein aasaani hogi,
Agar hum atma kee oar apna farz na nibhaayein,
Toh phir veh toh hamaari naadaani hogi.

Jeevan mein uchch honei kee rakhein humbabhilaasha,
Lekin na banaayein swayam ko laukikta ke liye itna pyaasa,
Karein hum saarthak anaasakti kee paribhaasha,
Aur bhautikvaad par na ashrit karein apni khushi aur asha.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ichchaaon Ka Beej (03/15/2021)

Guruji Ke Gunon Ka Bakhaan (03/14/2021)

March 14, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1120

     Guruji Ke Gunon Ka Bakhaan

Guruji ke saare gunon ka bakhaan kar sakoon,
Itnee kaabiliyat mujh mein kahaan,
Unkee kripa se Unse jude rishte kee wafa nibhaakar,
Jahaan Ve le jaayein, mai toh buss chal doon vahaan.

Kisee bhi Shabdkosh mein nahin hain itne shabd,
Ki Guruji kee mahima ka ho sakey poora bakhaan,
Yeh toh shabdon ke sangg ehsaas ka ek naata hai,
Jis se Unhe mehsoos kar sakta hai insaan.

Ehsaas Unkee kshamta ka,
Ehsaas Unkee mamta ka,
Ehsaas Unke Ishwaratva mein basee saralta ka,
Ehsaas Unke Devatva mein basee komaltaa ka.

Ehsaas Unke bolne ke andaaz ka,
Ehsaas Unkee chuppi ke raaz ka,
Ehsaas Unke tej kee taralta ka,
Ehsaas Unke noor kee nirmaltaa ka.

Ehsaas Ki Ve Hain paalanhaar,
Ehsaas ki Ve Hain taaranhaar,
Ehsaas Unke saundarya ka,
Ehsaas Unke aishwarya ka.

Pyaaron mein Hain sabse pyaare,
Nyaaron mein Hain sabse nyaare,
Komal Hain aur Hain kripalu,
Daata Hain sabke aur Hain bade dayalu.

Chhalkaayein hum par itna nirmal bhaav,
Ki bhar jaaye gehre se gehra ghaav,
Marham baney Unkee mamta,
Himmat de Unkee kshamtaa.

Ye jo jeevan Guruji ne hai bakhsha,
Is jeevan kee Ve hee karte Hain raksha,
Har chhoti aur har badi baat kee,
Har pal kee, har din aur har raat kee.

Guruji ka jo sabke liye paawan pyaar hai,
Is pyaar se hee chal raha sansaar hai,
Mai nahin jaanti swarg kaisa hota hai,
Meri jannat toh mere Guruji ka dwaar hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Gunon Ka Bakhaan (03/14/2021)

Zindagi Lambi Hogi Ya Hogi Chhoti (03/13/2021)

March 13, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1119

Zindagi Lambi Hogi Ya Hogi Chhoti

Zindagi ko chhoti samjhein,
Toh veh itnee chhoti toh nahin,
Aur lambi kahein toh phir lagta hai,
Ki itnee lambee bhi nahin.

Khuda ne har praani ko Apne hisaab se dee hai umr sahi,
Lajawaab hai Khuda ka hisaab,
Hisaab karmon ka aur lamhon ka,
Hisaab unke phalne ka ya phir talne ka.

Yeh toh bahut shukr hai,
Ki Guruji ne liye hai hamein Apni sharan mein,
Varna toh jaan vaise hee nikal jaati
Is janam aur pichhle janmon ke hisaab aur karam mein

Guruji se zyada behtar nahin ho sakta koi bhi lekhaapaal,
Kyunki Ve samajhte Hain hum sabke karmon ka jo hai jaal,
Ve toh jaante Hain hamaari asaliyat aur hamaara haal,
Aur jaante Hain kiske kadmon kee sahi aur kiske kadmon kee galat hai chaal.

Zindagi chhoti hogi ya hogi lambi,
Yeh toh Guruji mein basey MahaShiv hee jaanein,
Hamaari bhalaayee toh isee mein hai,
Ki hum Unka kaha hua har vachan maanein.

Duniya ko rijhaane ke liye nahin,
Balki Guruji ko rijhaane ke liye,
Duniya ko dikhaane ke liye nahin,
Balki Guruji ko apni shraddha dikhaane ke liye.

Ghar aur baahar ke diye toh jal jaayenge iske bina,
Lekin Guruji ko rijhaane se jalenge antar-mann ke diye,
In diyon kee lau hamaare adhyatmik raaste ko karegi ujjwal,
Kaash isee raaste par le jaaye hamaara aane wala har pal.

Jitna ho sakey, karein niswaarth sewa aur simran,
Karte rahein Guruji ka Shukrana aur Unka manan,
β€œBanda Bann,” paalan karein Unke is aadesh ka,
Aur aadar karein Guruji mein basey huey Sarvesh ka.

Guruji kee mehar se sadupyog karein har kshan ka,
Phir saalon mein gintee ke hisaab se
Umr chhoti ho ya lambi,
Guruji lekha sulajhaakar karenge tayy,
Lekin apni taraf se sudhar jaayein hum bhi.

Jitna samay miley, uska karein sadupyog,
Mauj masti bhi karein aur apne kartavya nibhaayein,
Achcha aur sachcha sochein aur karein,
Aur Guruji ke kahe anusaar hum bande bann jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Zindagi Lambi Hogi Ya Hogi Chhoti (03/13/2021)

Saalgirah (03/12/2021)

March 12, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1118

            Saalgirah

Is varsh kee MahaShivratri gayi beet,
Sabne gaaye Shivji kee mahima ke geet,
Guruji ke bhakton ne bhi dikhaayee apni preet,
Kyunki Guruji Hain MahaShiv aur Hain sab bhakton ke meet.

Har varsh kee MahaShivratri sadhna karna sikhaati hai,
Bhakton ke mann ke timir ko mitaati hai,
Adhyatmik gyan kee jyot jalaati hai,
Saralta aur saadagi kee raah dikhaati hai.

Is seekh ko yaad rakhna farz hai hamaara,
Kyunki beeta waqt kabhi na aaye phir dobara,
Har MahaShivratri ko maan kar ek imtehaan,
Apni adhyaatmik unnati ko hum anivaarya lein jaan.

Karte rahein sewa, simran, aur dhyan,
Jis se tarr jaayein hamaare praan,
Uchchaaran kar ke mantra jaap ka,
Praayashchitt kar lein hum apne paap ka.

Guruji kee kripa se gyan kee jyot jalti rahegi,
Hamaari bhakti Unkee mehar se phalti rahegi,
Saralta aur saadagi aayegi vyavhaar mein,
Komalta aur nirmaltaa aayegi hamaare vichaar mein.

Jaise Brahmaji aur Vishnuji se huey Shivji prasann,
Vaise hee Guruji karenge hum sabko sampann,
Shuddhi se, subuddhi se,
Bhakti se, shakti se,
In sabke dwaara hum ruhaaniyat kee seedhi chadh paayenge,
Aur Guruji ke dikhaaye raaste par aagey badh paayenge.

Har MahaShivratri ko adhyaatmik unnati ka tyohaar jaankar,
Simran aur dhyan ko anivaarya maankar,
Har din simran mein aur bhi ramte jaayein,
Har MahaShivratri par is unnati kee saalgirah ko hum manaayein.

Din beet-te beet-te beet jaayenge jeevan ke varsh,
Hamaari paawan pragati se Guruji ko hoga harsh,
Aayiye shubh kaam mein na karein koi bhi vilamb,
Apni adhyaatmik unnati kee saalgirah kee tayyaari ka karein aarambh.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Saalgirah (03/12/2021)

MahaShivratri Ka Paawan Tyohaar (03/11/2021)

March 11, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1117

  MahaShivratri Ka Paawan Tyohaar

MahaShivratri ka paawan tyohaar hai aaya,
Har disha mein shubh Spandan hai chhaaya,
Padma raja rathri bhi kehte hain is tyohaar ko,
Sajaate hain Shivbhakt apne ghar aur dwaar ko.

Falgun ke maheene kee Krishna Chaturdashi par,
MahaShivratri manaayi jaati hai,
Har maheene kee Shivratri mein sabse mahaan,
MahaShivratri kehlaati hai.

Kuch bhakton ka kehna hai ki is din
Shivji,
Brahma aur Vishnu kee kee hui pooja se huey prasann,
Unhonei Brahma aur Vishnu par kripa kee,
Aur kar diya Unhe prapann aur sampann.

MahaShivratri ka paawan parv,
Maa Parvati aur Shivji ke vivaah ka bhi prateek hai,
Jo bhakt is din Shiv ka stavan kar ke Unhe prasann hai karta,
Kehte hain ki uske liye moksh nazdeek hai.

Adhyaatmik unnati ke liye MahaShivratri ka hai anokha mahatva,
Is tyohaar par sadhna karne se praapt ho sakta hai atmic tattva.
Shiv tattva ka gyan hee param gyan hai,
Isliye bhi yeh tyohaar itna mahaan hai.

Ghee shakkar shehed dahi aur doodh se hota hai,
Shivlinga ka abhishek bhakton ke dwaara,
Sab Shivji ka gungaan karte hain,
Bahut hee sundar hota hai nazaara.

Kuch jann aisa bhi maante hain,
Ki is raat ko Shivji taandav nritya Hain karte,
Samudra Manthan mein jabb Shivji vish kanth mein rakh kar Neel kanth huey,
Kuch jann MahaShivratri par isliye Shiv ka Shukrana hain karte.

Tarehn tarehn kee vidhiyon se,
Pooja hoti hai Shivji ke sammaan mein,
Antt karan ko jagaane hetu,
Bhakt saari raat baithte hain dhyan mein.

Guruji ke bhakton ke liye MahaShivratri bahut hee vishesh tyohaar hai,
Guruji ke satsang hain hotey aur sajtaa Unka darbar hai,
Langar prasad aur bhakton ka naach gaana,
In sabse vaatavaran hota hai divya aur suhaana.

Shivji ke geeton ka hota hai shravan aur manan,
Kaheen hota hai kirtan toh kaheen koi gaata hai bhajan,
Shivoham ka ruhaani satya aur divya ehsaas,
Ye bhi banaata hai is parv ko bahut khaas.

Guruji MahaShiv ka Hain avataar,
Karne aaye Ve sangat ka uddhaar,
Unkee sharan mein mil kar manaayein,
MahaShivratri ka paawan tyohaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

MahaShivratri Ka Paawan Tyohaar (03/11/2021)

Shivji Ke Anekon Naam (03/10/2021)

March 10, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1116

         Shivji Ke Anekon Naam

Guruji Hain MahaShiv ke avataar,
Bhakt Unhei poojein baarambaar,
Unhonei hee sambhaala hai poora sansaar,
Anek naamon se bhakt sakte hain Unhe pukaar.

Girish bhi Ve Hain,
Ve hee Hain Gangadhar,
Ganakarta bhi Hain Shivji,
Ve hee Hain Gaurishankar.

Ve hee Ravilochan,
Ve hee Hain leela dhaari,
Sab kahein Unhe Trilochan,
Kyunki Ve Hain trinetradhaari.

Sambhaalein Ve saara trilok,
Ve hee Hain Alok,
Ve hee Hain Anantadrishti,
Aur sambhaalte Hain sampoorna srishti.

Ek se anek ho jaane waale,
Ve hee Hain Bahubhutah,
Itne roop aur aakaar waale,
Ve hee Hain Bhava aur Bahurupah.

Jinkee leela hai aparampaar,
Ve Hain karunamayi Kedar,
Jinkee mahima ka hum karte hain gungaan,
Hain Ve mahaan Ishaan.

Ve Hain sankat haran aur mangal karan,
Unke pavitra hain sthaan isliye bulaaye jaate Hain Chidambaram,
Unhei manohar aur ramneeya jaan,
Unka naam hua Abhirama.

Nityasundar Neelkantha Har,
Kripanidhi Devarshih Harihar,
Chandramauli Jatin aur Jayant,
In sab naamon se bhi pukaare jaate Hain Shiv Bhagwant.

Ucchatam aur Sarvshreshth, isliye Adyah,
Sarvottam Sarveshwar Adhirorah,
Srishti ke sarvapratham racheta Hain Ve,
Isliye kehlaate Hain Adikarah.

Ve hee Charulingah, Ve hee Chekitanah,
Ve hee Dakshah, Achintyah, aur Giriruhah,
Shambhu, Akshat, Aniket bhi Ve,
Aur Ve hee Hain Abhay aur Mrityunjay.

Varada se bhi sambodhit hotey Hain Sadashiv,
Shaasak aur swami bannkar huey Ve Lokapal,
Srishti ke sanhaarak honei se,
Unka aur ek Jyotirlinga ka naam hua Mahakal.

Aniruddha, Sukhad, Sarvayoni,
Ashutosh, Bhalanetra, Tejaswini,
Har tarehn se saraahneeya Hain Ve Idhyah,
Jo swayam hee Hain Bhasmabhutah.

Balavan Hain Bhootnath Bhagava,
Nataraj Hain Bholenath Bhairava,
Pashupati Bhudeva Bhavesh,
Paramjyoti Umapati Devesh.

Dhyandeep Niranjan Hain aur Hain Gandalih,
Shoolin Hain, Hain Gopalih aur Gatih,
Guruji Hain, Jagdish Hain hamaare Mahesh,
Shrutiprakash Hain Ye Vyomakesh.

Kaushik Akshayguna Ve Hain Amitrajit,
Nibhaate Hain Ve sabse preet kee reet,
Dakshinmurti bhi Hain aur Kailashnaath bhi,
Veerbhadra Shankar aur Vishwanath bhi.

Rudra Hain, aur Hain Rudransh aur Pushkar,
Hum sab hain Unke sewak, bachche, aur kinkar,
Pranav ke sangg Ve Hain Aja aur Omkar,
Priyadarshan ke saath saath Hain Ve Paalanhaar.

Ishvar Hain hamaare Vishveshwara Nagabhushan,
Aur Ve hee Hain Lingeshwar Bhujanagabhushan,
Devon Ke Dev Hain Amaresah,
Havya aur samarpan se prasann hotey Hain Hutah,
Chalah Harikesah aur Someshwar,
In sabse pukaare jaate hain Maheshwar.

Anekon roop aur anek hain Shivji ke naam,
Guruji ke charnon mein hai Shivji ka dhaam,
Har jann ka karte Hain Ve kalyaan,
Har bhakt par rehte Hain meharbaan.

Shukrana hai Guruji Aapka,
Jo Aapne hamein sweekaara,
Aapke dayadaan se jagg gaya,
Soya hua bhaagya hamaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shivji Ke Anekon Naam (03/10/2021)

MahaShivratri Aane Waali Hai (03/09/2021)

March 9, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1115

MahaShivratri Aane Waali Hai

Damru baja raha hai,
Darbar saj raha hai,
Aa raha hai mazaa,
Guruji kee hai razaa.

MahaShivratri aane waali hai,
Dil mein khushi matvaali hai,
Guruji kee paalaki saj rahi hai,
Madhur dhwani baj rahi hai.

Har bhakt khush hokar hai bola,
Ki Guruji pehenenge aalishaan chola,
Apne darshan denge saari sangat ko,
Mitaayenge kitnon ke sankat ko.

Sabko milega Langar prasad aur mithai,
Sabko Shiv Parvati ke aane waale vivah kee badhaayee,
Kaheen bhakton ne shuru kiya baaja bajaana,
Toh kaheen shuru ho gaya hai naach aur gaana.

Khoob saare gulaab hain,
Aur bhi phool lajawaab hain,
Khushboo se mehek raha hai kona kona,
Shivji ke noor ke aagey pheeka laagey sona.

Khushi aur mauj masti ke beech,
Is tyohaar ke sadhna se jude mahatva ko na bhoolein,
Aayiye, MahaShiv Guruji ke paawan ashirwaad se,
Hum Unkee mamta kee goad mein jhoolein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Dhirja

MahaShivratri Aane Waali Hai (03/09/2021)

Mahaan Taruvar (03/08/2021)

March 8, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1114

              Mahaan Taruvar

Chulbuli si ek chidiya thi,
Udaan bhar rahi thi neele akash mein,
Jaise jaise dhoop chadhne lagi,
Dikhna mushkil hua sooraj ke prakash mein.

Chidiya ne soch vichaar kiya,
Phir vishraam karne ke nirnay liya,
Prakriti ne aaraam ke liye dhaam dikhaaya,
Aur chidiya ko ek sundar taruvar nazar aaya.

Chidiya baithi uss ped kee daali par,
Aur daali neevi hokar jhuk gayi,
Dolti hui hawaa ne dekha,
Aur veh ek pal ke liye naman mein ruk gayi.

Jis taruvar ka hissa thi veh daali,
Uss taruvar kee thi shaan niraali,
Jo paani kee boondein ped ke patton par thein saji,
Unse nanhee chidiya kee pyaas bujhi.

Taruvar par thodi der baith kar achcha lagaa,
Chidiya ko mila sukoon,
Tez dhoop thodi kumm hui,
Usey hua phir se udne ka junoon.

Chidiya ko taruvar ne sahaara diya,
Aur badle mein kuch bhi nahin liya,
Chidiya udd gayi thodi der ke baad,
Daali ne diya usey pyaar bhara ashirwaad.

Nanhee chidiya kee bhanti,
Jeevan mein bharte hain hum udaan.
Guruji Hain ek mahaan taruvar,
Jo hotey Hain hum par meharbaan.

Aayiye, Guruji kee kripa kee chhaaon mein,
Udte huey is duniya ke gaaon mein,
Hum lein Guruji kee baahon ka sahaara,
Kyunki kewal Guruji dwara hoga uddhaar hamaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Dhirja

Mahaan Taruvar (03/08/2021)

Saadhak Ka Dil (03/07/2021)

March 7, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1113

                   Saadhak Ka Dil

Har sangi saathi chhoot gaya thaa,
Saadhak ka dil toot gaya thaa,
Aaspaas bilkul andhera thaa,
Aur dil mein bhi nahin savera thaa.

Pichhlee yaadein goonj rahin thi kaan mein,
Itna moh jo ho gaya thaa usey ghar aur santaan mein,
Behen bhai meet bhi de gaye thei pyaar mein dagaa,
Kalyuga kee hawaa ne maansik taur par usey diya thaa jagaa.

Usne toh diya thaa sabko pyaar,
Aur ye nahin ki usey mila nahin thaa pyaar,
Lekin vajeh thee peechhe uss pyaar ke,
Aur veh maayus ho gaya thaa haar ke.

Guruji se veh kehne lagaa,
Ki veh udaas hai rehne lagaa,
Nikaala usne batuye se Guruji ka Swaroop,
Aur nihaarne lagaa Guruji ka Sowmya roop.

Uske dil ne suna jo Guruji ne usey kaha,
Sunn kar uske chakshu se bhaav bharaa aansoo baha,
Karne lagaa phir veh Guruji se baat,
Baatein karte karte beet hee gayi raat.

Baatein kee usne Guruji se bahut saari,
Bhoolne lagaa apne dukh aur apni beemaari,
Usne Guruji kee prashansa kee, phir kiya Unka shukrana,
Itnee baaton ka shukrana thaa ki bhool hee gaya apne gumm bataana.

Phir jabb unkee yaad aayi usey toh itne maamuli lagne lagey usey ve sabb gumm,
Guruji se vaartaalaap karte karte ve bhi khud-bakhud hotey gaye kumm,
Guruji ne saadhak ko Apni divya mehek ka bhi diya ashirwaad,
Bahut prasann hua saadhak paa kar veh paawan prashad.

Usne Guruji ko prem bharaa geet sunaaya,
Phir shraddha se Guruji ka aur bhi gungaan gaaya,
Guruji kee aankhon ne diya usey meetha sa sandesh,
Jo uske hriday mein kar gaya pravesh.

Samajh gaya veh ki koi aur ho ya na ho,
Uske paas Guruji Hain har pal,
Guruji hee saath nibhaayenge sadaa,
Ve sadaa sunenge uskee har sadaa.

Telepathy se usey samajh mein aaya,
Ki Guruji ne uske gumm ka bojh hai uthaaya,
Guruji kee ruhaani maujoodagi se saadhak ko mila sukh aur chayyn,
Dukh ka asar honei lagaa pheeka aur Guruji ke darshan se ujjwal huey uske nayyn.

Aane lagi saadhak ke chitt mein jaagriti,
Ki is duniya aur duniya waalon kee toh maya bhari hai aakriti,
Kiya faisla usne ki veh Guruji kee mehar se nibaata chalega apna farz,
Taaki yahaan se jaane ke samay uspar ho kumm se kumm karmon ka karz.

Jaise jaise mann mein ujaala hua gyan ka,
Kumm honei lagaa mann mein tufaan laukik armaan ka,
Usne batuye mein vaapis rakha choom kar Guruji ke Swaroop ko,
Aur naman kiya sooryodaya ke sangg aayi hui sunehri dhoop ko.

Mann mein hua aisee subuddhi ka ujaala,
Ki saadhak hokar Guru prem mein matvaala,
Chal diya lekar ek nutan nazariya,
Aur raas aane lagi usey jeevan kee dagariya.

Jabb se saadhak is bhaav mein baha,
Saadhak ka toota dil toota na raha,
Guruji kee kripa se dil ko laagi Guruji kee lagan,
Jeene lagaa veh buss Guruji mein hokar magan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Saadhak Ka Dil (03/07/2021)

Sthir Aur Shaant Rehne Ka Hal (03/06/2021)

March 6, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1112

Sthir Aur Shaant Rehne Ka Hal

Chala gaya beeta hua kal,
Aaj bhi har pal beeta jaa raha hai,
Har jann kee apni kahaani hai,
Har pal ne har jann se kuch suna aur kuch kaha hai.

Lekin kya maalum kisne suna aur kisne nahin suna,
Kisne yaadgaar banaane ke liye kin palon ko hai chuna,
Kisey waqt kee raftaar mein yaadein batorne kee sudh budh hee na rahi,
Aur kisne har pal ko hee maan liya yaadgaar ke liye sahi.

Ye lagti hain chhoti chhoti baatein,
Lekin ye bayaan karti hain mann ka haal,
Jitna mann sthir aur shaant hota hai,
Utna hee kumm uthta hai aisa sawaal.

Kyunki paristhiti na bhi ho apne vash mein,
Toh bhi hamaari pratikriya hamaare vash mein hoti hai,
Kyunki moh mein bin phanse har pal ko bitaakar,
Hamaare chitt kee shanti nahin khoti hai.

Aasaan nahin lagta ye karna toh yaad rahe,
Ki ye namumkin bhi nahin hai,
Koi bhi nirnay lene ke liye sthir mann zaroori hai,
Aur yahee atma ke liye bhi sahi hai.

Guruji ke simran mein hai veh shakti,
Jis se is mann aur atma kee unnati nahin rukti,
Mann har pal ka bhaagi honei se zyada, Har pal ka darshak bann jaata hai
Aisa karne se atyadhik sukh ya dukh mein bhi,
Mann aapa nahin kho paata hai

Phir kaisa bhi pal aaye aur jaaye
Simran kee shakti se prabal rehta hai mann
Aur har pal ka saamna kar ke bhi,
Kumm nahin hota adhyaatmik dhan.

Yeh baat sunn-ne ya kehne se nahin,
Balki karne se hee sachchi pramaanit hoti hai,
Isliye kar lein Guruji ka simran aur dhyan,
Chaahe umr badi ya phir chhoti hai.

Guruji madad karenge yakeenan har moad par,
Kabhi besahaara na honei denge hamein chod kar,
Har pal kee karte huey poori anubhooti,
Anaasakt rehne kee koshish kee hoti rahe poorti,
Toh adhyatmik manzil par pahunchenge Guruji kee mehar se,
Jahaan mulaakaat hogi sthirtaa aur shanti kee sehar se.

Phir chaahe veh ho aane wala pal,
Ya phir veh pal jo abb hai beeta hua kal,
Koi bhi yaad mann ko vichalit karne mein na hogi safal,
Kyunki mann ko mil jaayega sthir aur shaant rehne ka hal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sthir Aur Shaant Rehne Ka Hal (03/06/2021)