Imtehaan (02/23/2021)

February 23, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1101

Imtehaan

Param poojya Guruji,

Imtehaan leejiye beshaq
agar vahee hai Aapki marzi,
Lekin imtehaan mein safal bhi karaana, yahee hai hamaari arzi.
Aapki mehar ke bina toh mumkin hee nahin,
Ki hum kisee bhi pareeksha mein safal ho paayein,
Lekin Aapka suhaana saath aur akshay ashish ho,
Toh hum kathin se kathin kasht bhi seh paayein.

Aapke prem mein aisee komalta hai,
Jo kaanton kee chubhan sehne kee himmat de,
Aapke ashish mein aisee nirmaltaa hai,
Jo har nakaraatmakta ko nishphal karne kee taakat de.

Jeevan mein aandhi aaye ya phir aaye tufaan,
Aap sadaa rehte Hain Apne bhakton par meharbaan,
Aapki hee kripa se safal hoga har imtehaan mein Aapka bhakt,
Chaahe raasta ho chunautiyon kee vajeh se jitna bhi sakht.

Aapke ashish mein veh chetna hai,
Jo hamein pyaar se aagey badhaati hai,
Aapki bakhshish mein veh prerna hai,
Jo sahi aur galat ka fark samjhaati hai.

Phir bhi hum thehre ahankaari aur anjaan,
Nahin gyaat hamein ki hum hain kitne naadaan,
Isliye imtehaan mein safalta dene ke sangg,
Kripa kar hum par chadhaa dena neevenpann ka rangg.

Aap Hain sarvshaktimaan mahaan Bhagwaan,
Hum hain Aapke hee banaaye huey insaan,
Aapki meher kee khushboo se mehek jaayein hamaare sanskaar,
Aapki karuna ke amrit mein bheegta rahe yeh sansaar.

Har pal Apni kripa banaaye rakhiye, dayalu daata,
Aapka har bhakt ke sangg hai atoot naata,
Aap sangg Hain toh kyun hum hon adheer,
Aap madad karenge, chaahe paristhiti ho jitnee bhi gambheer.

Hamein veh shuddhi deejiye,
Ki hum is naate ko dein poorna sammaan,
Hamein veh buddhi deejiye,
Ki Aapki inaayat se safal hokar poorna ho hamaara har imtehaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Imtehaan (02/23/2021)

Kaise Kahoon (02/22/2021)

February 22, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1100

Kaise Kahoon

Kaise kahoon, kis kis se kahoon,
Jee chaahta hai ki sabse kahoon,
Kahe bina mai kaise rahoon,
Bhaav vibhor bhakti ke bahaav mein bahoon.

Ichchaa hai ki har pal Guruji kee mahima ka bakhaan karoon,
Guruji saath Hain isliye kabhi bhi mai na daroon,
Iss se bhi kahoon aur uss se bhi kahoon,
Guruji kee baatein hee karti rahoon.

Kahoon mai poojya Guruji ke baare mein,
Jo mujhe dikhte Hain akash ke har taare mein,
Chaand ko bhi Apne noor se Ve sundar banaate Hain,
Aur sooraj ko Ve jeevan bakhshte jaate Hain.

Kahoon mai ki Guruji MahaShiv ka avataar Hain,
Jo karte Apne sab bhakton se pyaar Hain,
Jo bhakton ka haath pakad kar kabhi nahin chodte,
Jinke paas bhakt deewaane hokar hain daudte.

Kahoon mai ki Guruji pita bhi Hain, aur mata bhi,
Ve meet bhi Hain, aur bhraata bhi,
Ve hee har pal ka atoot sahaara Hain,
Ve hee divya pyaar hamaara Hain.

Unkee barasti rehematon ko choomti hoon,
Unke hee khayaalon mein ghoomti hoon,
Unkee karuna se hee mai kasht aur dukh bhi sahoon,
Dil karta hai ki har pal kehti hee rahoon,
Ki maiUnkee itnee shukraguzaar hoon,
Ki har saans ke liye Unhe dhanyawaad doon.
Kitna prem hai mujhe Unse, mai kaise bayaan karoon,
Arzoo hai ki Unke hee charnon mein jeeyoon aur maroon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kaise Kahoon (02/22/2021)

Guruji Ke Naam Ka Nasha (02/21/2021)

February 21, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1099

Guruji Ke Naam Ka Nasha

Koi madira peeta hai pyaar kee,
Koi peeta hai madira ahankar kee,
Kisee ko nasha hota hai dhan kee madira peene ke baad,
Toh koi madira mein doobne deta hai apne jazbat.

Har tarehn ke nashe se bante hain hamaare karam,
Dhan aur jazbat ka nasha moh ko deta hai janam,
Moh se bhayy hota hai kuch ya kisee ko khone ka,
Aur phir usey kho kar uske gumm mein ronei ka.

Bahut bura hai nashaa ahankaar ka,
Na jeene deta hai, na chayyn se deta hai marne,
Neend bhi churaa leta hai yeh nasha,
Ghulam see kee banaa deta hai bande kee dashaa.

Pyaar ka nasha toh ho bhi sakta hai achchaa,
Agar pyaar ho niswaarth, moh-rahit, aur sachchaa,
Varna yeh bhi bann jaata hai karam ka jaal,
Aur mann mein paida karta hai bahut saare sawaal.

Kaam, krodh, lobh bhi hain madira ke nashe ke samaan,
Har nasha bann jaata hai ek mushkil sa imtehaan,
Lekin ek nasha hai jo deta hai anand anant,
Uss nashe ka beshaq na honei dena kabhi antt.

Yeh nasha hai Guruji ke naam ke simran ka,
Jo hamesha dhyan rakhta hai mann ka,
Mann swasth hoga toh rahega swasth tann,
Roag bhi hua toh usey seh sakenge hum.

Har pal dil mein Guruji ka dhyan hoga,
Toh bhavishya mein saralta ka gyan hoga,
Jitna saral hota jaayega yeh jeevan,
Utna hee anand paayega yeh mann.

Chaahe vaapis nahin laa sakte ve mauke jo humne ganvaaye,
Kum se kum galat nashe mein khud ko khone ke bajaaye,
Kyun na naam ke simran ke nashe mein jaayein hum doob,
Sach mein yeh nasha hai bahut hee khoob.

Aisee divyata hai jo aur kaheen nahin,
Aisa dulaar jo milta hai sirf vaheen,
Jahaan Guruji ka hee naam ho,
Aur mann mein Guruji ka dhaam ho.

Yeh nasha hai hamaare uddhaar ka,
Yeh nasha hai hamaare sudhaar ka,
Guruji ke naam ke simran se jeevan sanvar jaata hai,
Guruji ke naam ke simran se har bhakt tarr jaata hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Naam Ka Nasha (02/21/2021)

Guruji Kee Shakti (02/20/2021)

February 20, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1098

                 Guruji Kee Shakti

Guruji ka pyaara hai darbar,
Guruji Hain sabke sarkar,
Guruji lagaayein beda paar,
Guruji kee mahima aparampaar.

Guruji MahaShiv Hain, Unhe praapt hai har Siddhi,
Guruji ke satsang mein hoti hai shuddhi,
Guruji ke simran se milti hai adhyatmik buddhi,
Guruji kee praapti hai sabse kalyaankaari riddhi.

Guruji Srishti ke sartaaj Hain,
Guruji karte bhakton ke dil par raaj Hain,
Guruji kee mehar ke hum mohtaaj Hain,
Guruji sanvaarte bigde kaaj Hain.

Guruji ke ashish ke bina sadgati nahin,
Guruji ke anusaran ke bina unnati nahin,
Guruji se preet ke bin prem kee pragati nahin,
Guruji ke ashirwaad ke bin sumati nahin.

Guruji ke anginat hain hum sabb par ehsaan,
Shabdon mein kiya jaa nahin sakta unn sabka bakhaan,
Aaj nahin toh kal jaan jaayega yeh saara jahaan,
Ki koi bhi shakti nahin hai Guruji kee shakti se mahaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Shakti (02/20/2021)

Na Bhaag Tu Apne Bhayy Se (02/19/2021)

February 19, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1097

      Na Bhaag Tu Apne Bhayy Se

Na bhaag tu apne bhayy se,
Na sankoch kar apne sanshay se,
Toot raha hai agar dil toh sunn uskee awaaz,
Guruji jaante Hain tere har manobhaav ka raaz.

Ghutt ghutt kar kyun jeeta hai,
Jo bhi tujh par beeta hai,
Veh beet gaya, aur badal nahin sakta,
Yeh waqt bhi aisa hai, chalte chalte nahin thakta.

Karvi yaadon ko mann se mitaa de,
Usee mein teri bhalaayee hai,
Varna is duniya ka kya hai,
Yeh kabhi baaz thode hee na aayi hai.

Gumm ke lamhe bhoolne kabhi mushkil honge,
Aur kabhi honge namumkin,
Kyunki jab apne bichad jaate hain,
Toh ve yaad aate hain raat din.

Lekin kya karein, jo yahaan aaya hai,
Usey jaana hee hai kabhi na kabhi,
Yahee Shiv ji ka hukm hai,
Isee hukm ke aagey jhuke huey hain hum sabhi.

Isliye uss dukh ko bhi jhelta chal,
Guruji kee bhakti mein hai iska bhi hal,
Kyunki Guruji kee bhakti mein simran bahut zaroori hai,
Aur simran se maayusi aur bebasi se hoti duuri hai.

Simran se miltee hai ek anokhi shakti,
Jo har pal karne lagti hai antar-mann mein vaas,
Lekin iske liye ati-aawashyak hai,
Rakhna Guruji mein shraddha aur vishwaas.

Guruji toh parwardigaar Hain,
Hameshaan chaahte Hain Ve hamaari khairiyat,
Unke samaksh toh hum keede makode hain,
Buss, yahee hai hamaari haisiyat.

Sarveshwar MahaShiv roopi Guruji ne,
Apne haathon mein le lee hai hum sabki doar,
Tu kar le saamna har sanshay aur har bhayy ka,
Aur simran karte karte chal samanvayy kee oar.

Jabb mitt jaayega har bhayy aur har sanshay,
Aur simran dwaara safal hoga samanvay,
Toh antar-mann ko milegi shakti aur shaanti,
Aur tujhe ashirwaad degi Guruji kee kanti.

Le le Guruji kee baahon ka sahaara,
Unhe rijhaa le apni bhakti ke dwaara,
Unka saath hai sukhad aur anant,
Ve Hain bhakti ko nikhaarne wale Bhagwant.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Na Bhaag Tu Apne Bhayy Se (02/19/2021)

Karaa Kar Har Pal Tu Shukrana (02/18/2021)

February 18, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1096

    Karaa Kar Har Pal Tu Shukrana

Karaa kar har pal tu shukrana,
Is shukrana ne hee kaam hai aana,
Baaki sab ne vyarth hai ho jaana,
Is shukrana ne tujhe neeva hai banaana.

Subah so kar jeevit uthne ka shukrana,
Din mein kaam kaaj kar sakne ka shukrana,
Raat ko so sakne ka shukrana,
Subah phir jaag sakne ka shukrana.

Is taqdeer ka shukrana,
Is shareer ka shukrana,
Shareer ke har angg ka shukrana,
Ruhaaniyat ke rangg ka shukrana.

Ghar parivaar ka shukrana,
Guruji ke pyaar ka shukrana,
Guruji ke darbar ka shukrana,
Guruji par aitbaar ka shukrana.

Jisne Guruji se joda, uss kasht ka shukrana,
Jisne Guruji kee oar moda, uss waqt ka shukrana,
Khushi aur gumm kee har leher ka shukrana,
Guruji kee barasti hui mehar ka shukrana.

Ann aur jal ka shukrana,
Satsang ke har pal ka shukrana,
Prakriti ka shukrana,
Sanskriti ka shukrana.

Simran aur dhyan ka shukrana,
Gupt sewa, paath, daan ke gyan ka shukrana,
Karmon ke bhugtaan ka shukrana,
Is dil aur is jaan ka shukrana.

Saralta ke satya ka shukrana,
Taralta ke tathya ka shukrana,
Komalta aur nirmaltaa kee swatantra reet ka shukrana,
Shukrana karne kee taakeed ka shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Karaa Kar Har Pal Tu Shukrana (02/18/2021)

MahaShiv Ka Simran (02/17/2021)

February 17, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1095

MahaShiv Ka Simran

Itne khayaal ghoom rahe thei mann kee gumm-summ galiyon mein,
Jaise hazaaron titaliyan mandraa rahi hon phoolon mein aur kaliyon mein,
Titaliyon ko toh saath mila jhoomti hui bahaaron ka,
Lekin mann ko saath mila idhar udhar ke vichaaron ka.

Musaafir ko vash mein kar rakha thaa haalaat ne,
Pareshaani aur ashanti chhalakti thi uskee har baat mein,
Vyaakul thaa, toota thaa,
Khud se hee jaise veh rootha thaa.

Subah se shaam ho gayi chalte chalte,
Veh ek viraane mein pahuncha sooraj ke dhalte dhalte,
Vahaan ek baba samadhi mein leen thei,
Chehre par noor thaa Unke, chaahe angg lagte ksheen thei.

Unhe dekh kar musaafir unkee oar aakarshit honei se
Swayam ko roak na paaya,
Bahut mann kiya uska baba se baat karey, Magar Unkee sadhna ko toak na paaya.

Unke sakaaraatmak spandan se mantra-mugdh hokar,
Musaafir baith gaya Unke paas,
Uska bhi chitt shant ho jaaye,
Usey honei lagi yeh aas.

Baba ke maathe par tripund dekha aur gale mein thi Rudraksha kee mala,
Yeh dekh musaafir ke mann mein jali Shivji ke naam kee jwaala,
‘Om Namaha Shivaya’ ka veh karne lagaa jaap,
Uska dhyan lagne lagaa phir apne aap.

Bandd honei lagey uske nayyn,
Uske dil ko milne lagaa chayyn,
Dhyan karte karte beete kuch prahar,
Waqt beet-te beet-te ho gayi sehar.

Jab musaafir kee aankhein khulin dhyan ke pashchaat,
Toh usne jaana ki dhyan mein beet gayi raat,
Usey baba vahaan nazar nahin aaye,
Veh chale gaye musaafir ko bin bataaye,
Bahut dhoondhne par bhi baba miley nahin,
Lekin is musaafir ko vyaakulta ka ilaaj mila vaheen.

Mann ko milee shanti dhyan ke dwaara,
Uskee jaagriti hui is gyan ke dwaara,
Phir simran aur dhyan veh badhaane lagaa,
Swayam ko adhyaatmik seedhi par chadhaane lagaa.

Guruji aaye thei uss baba ke roop mein,
Usey Guruji ne svapn mein aakar bataaya,
Sapne mein Guruji ne usey ashirwaad diya,
Aur musaafir phoola nahin samaaya.

Hum sabb bhi yahaan par musaafir hee hain,
Aayiye, susthir karein hum bhi apna bhi jeevan,
Is simran se shant aur sukhi hota hai mann,
Kyunki Guruji ka simran hai MahaShiv ka simran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

MahaShiv Ka Simran (02/17/2021)

Ritu Raaj Ka Swaagat (02/16/2021)

February 16, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1094

            Ritu Raaj Ka Swaagat

Ritu Raaj Basant ka swaagat karein,
Mehekte phoolon kee khushboo se mann kee bagiya bharein,
Kheton mein sarson kee saloni si hai fasal,
Parishrami kisaanon kee mehnat hui hai safal.

Chaman mein aayi kaliyon aur phoolon kee bahaar hai,
Mandarati hui titaliyon ne bikhera anand aur pyaar hai,
Kayee logon ke vastra hain aaj peele,
Toh kuch logon ke hain kapde rangeele.

Suna hai ki aaj Vishnu ji kee agya se,
Brahma ji ne uthaaya apna kamandal,
Aur phir Unhonei Apne divya prem se,
Chidka dharti par kanon ke roop mein jal.

Jabb jal ke kann dharti par gaye bikhar,
Toh phir kampan see hui idhar udhar,
Vriksh ke beech mein prakat hui ek shakti,
Jinkee honei lagi phir bhakti.

Veh shakti aayi Maa Saraswati Devi ke roop mein,
Bhujaaon mein thaame Veena, Var mudra, pustak, aur mala,
Unhonei kiya Veena dwaara madhurnaad,
Aur vidya aur buddhi pradaan karne ka daayitva sambhaala.

Pawan ke chalne se hui sarsaraahat kee awaaz,
Kuch jann kehte hain ki yahee hai Saraswati naam ka raaz,
Saraswati Maa Hain shuddh aacharan ka aadhaar,
Manovrittiyon kee raksha ka sambhaala hai Unhonei bhaar.

Lekhak ho, vidyaarthi ho, ya ho kavi,
Sabhi mein hai Maa Saraswati kee chhavi,
Gaayak ho ya ho naatak-kaar, vaadak ho ya ho nrityakaar,
Maa Saraswati sabko ashirwaad deti Hain baarambaar.

Maa Saraswati ka janamotsav bhi,
Basant panchami par manaaya hai jaata,
MahaShiv Guruji ke divya drishtikon kee kripa se,
Bhakton ko har tyohaar ka anand hai aata.

Pyaare Guruji Hain hamaare pita aur mata,
Unhe bhi bhakton ka srijansheel hona hai bhaata,
Unhee ke ashirwaad se hota hai sab mumkin,
Unkee kripa se manohar aur madhur hai har din.

Sabhi ko aaj ke paawan din kee,
Bahut bahut badhaayee,
Sabke liye nayee ummeed lekar,
Basant Panchami hai aayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ritu Raaj Ka Swaagat (02/16/2021)

Janam Maran Ke Chakravyuh Mein (02/15/2021)

February 15, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1093

    Janam Maran Ke Chakravyuh Mein

Guruji ke vandan ko hum maan dein,
Vandan ke shubh spandan ko sammaan dein,
Guruji sadaa saath Hain, is tathya ko jaan lein,
Is paraaye jagg mein ek Ve hee apne Hain, is satya ko pehchaan lein.

Aaj nahin bhi hai agar hamein yakeen in baaton par,
Toh kal kisee na kisee tarehn se yakeen ho jaayega zaroor,
Sada khula hai Guruji ka dwaar aur dar,
Guruji mein nishtha rakhne ka barkarar rakhein hum dastoor.

Ye din beet jaayenge,
Yeh yug ho jaayega khatm,
Sab yahaan se jaayenge ek din,
Aur kuch lenge dobaara janm.

Kuch virlon ka bahut changa hoga naseeb,
Ve honge Paramatama ke itne kareeb,
Ki Unkee atma ka milan Patamatama se ho paayega,
Aur Unka jeena marna safal ho jaayega.

Guruji, kripa kar aisee sumat bakhshiye,
Ki hum is kaabil bann paayein,
Taaki jabb antt vela aaye hamaara,
Hum bhi isee tarehn se jaayein.

Anginat paap kiye hain humne,
Buss, Aap hee ka hai sahara,
Subuddhi deejiye aur shuddhi keejiye hamaari,
Taaki galatiyan na karein dobaara.

Yeh ek janam mein toh shaayad na ho,
Kyunki hamaari galatiyan hain behisaab,
Lekin Aapke charnon mein uddhaar nishchitt hai,
Aapke samaksh hain hum ek khuli kitaab.

Janam maran ke chakravyuh mein apna nirdhaarit samay bitaate huey,
Aapki kripa se swayam ko aur paap karne se bachaate huey,
Hum Aapki bhakti mein apna sab kuch kar dein arpan kar ke Aap par poorna vishwaas,
Jabb yahaan se jaane kee haseen bela aaye, toh Aapke charnon mein lein hum apni antim shwaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Janam Maran Ke Chakravyuh Mein (02/15/2021)

Komal Kripa Nidhaan (02/14/2021)

February 14, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1092

              Komal Kripa Nidhaan

Kaise prashansa karoon Guruji kee,
Alfaaz kumm pad jaate hain,
Itne pyaare aur itne saare sadgunn,
Ki shabdon mein nahin samaa paate hain.

Kabhi hansi itnee pyaari,
Kabhi mandd muskuraata sa chehra,
Kabhi thodi si baat karna,
Toh kabhi karte huey vichaar gehra.

Kabhi aasan par viraajmaan hotei Hain Guruji,
Shehenshah is sampoorna srishti ke,
Toh kabhi bhakton ke beech mein baithein,
Aur taarein Apni divyataa kee dayalu drishti se.

Prabal Hain, nirmal Hain, aseem hai Unkee mamta,
Saral Hain, taral Hain, lekin anant Hai Unkee kshamtaa.
Ameer ho ya ho gareeb, har bhakt hai Unka bachcha,
Saari duniya jhoothi ho jaaye, kintu Guruji ka pyaar sada hai sachchaa.

Guruji ke nayynon mein hai itnee gehraayee,
Ki mahasaagar bhi lajjit ho jaaye,
Har leela mein hai aisee vadiyaayee,
Ki devatva susajjit ho jaaye.

Phoolon ke gulistaan se bhi kaheen zyada adhik mehek,
Guruji kee ruhaani khushboo mein hai hoti,
Jisey bhi iss divya khushboo ka anubhav ho jaaye,
Uss bhakt kee rooh uss anubhooti mein hai khoti.

Kitne dayalu Hain Ve karuna nidhaan,
Hain Ve swayam MahaShiv Bhagwaan,
Patit ko paawan banaate Hain,
Niraash kee aas bandhaate Hain.

Unke vash mein hai nirogi karna kaaya,
Kalyuga kee prakhar dhoop mein Hain Ve sheetal chhaaya,
Karte Hain sab par amrit varsha Apne aashirwaad kee,
Bin boley jaante Hain sab, isliye zaroorat nahin fariyaad kee.

Unkee oar se vilamb ho, toh usmein bhi hota hai hamaara uddhaar,
Sab bhakton ke jeevan mein laate Hain Ve sudhaar,
Sudhaar aur uddhaar karte karte,
Antt mein Ve pahunchaate Hain mukti ke dwaar.

Karmon ka bhaar chukaane mein Unhee ka toh sehyog hai,
Yaad dilaate Hain Ve ki jeene ka sahi tareeka Shiv Yog hai,
Apni leela se chudaate Hain bhakton ka paakhand aur ahem,
Sikhaate Hain tyaagna andhvishwaas aur vehem.

Gupt sewa, gupt paath, gupt daan karne ko Hain Ve kehte,
Sadaa apne upaasakon ke sangg Hain Ve rehte,
Unka langar prasad, simran, aur Unka satsang,
Neeras jeevan mein bharta hai ruhaaniyat ke rangg.

Har pal bhi karti rahoon agar,
Guruji kee mahima ka bakhaan,
Toh bhi zindagi chhoti pad jaaye,
Kyunki Guruji Hain itne mahaan.

Mai toh hoon ek anjaan naadaan insaan,
Aur Guruji Hain Guru ke roop mein Bhagwaan,
Apne pyaar kee Shradhanjali hee arpit kar sakti hoon,
Kripa kar qubool keejiye, komal kripa nidhaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Komal Kripa Nidhaan (02/14/2021)