Thoda Aur (12/26/2020)

December 26, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1042

                     Thoda Aur

Thoda aur tu kar le simran,
Thoda aur ekaagrachitt kar ke mann,
Tu kar le Guruji ka naman.
Thoda aur dhyan lagaa le,
Thoda aur gyan badha le,
Tu kar le Unka manan.

Thoda aur prayatna kar,
Thoda aur tu jatna kar,
Unhe raaze dil bataane ka,
Thoda aur kar le prayaas,
Thoda aur kar le abhyaas,
Unhe haale dil sunaane ka.

Thoda aur zehen se jaane de,
Thoda aur zubaan par aane de,
Unse kehte huey tu apna gumm,
Thoda aur dard tu pee jaa,
Thoda aur mastt hokar tu jee jaa,
Is se bhi tera gumm ho jaayega kumm.

Thoda aur achchaa tu bann ja,
Thoda aur sachchaa tu bann ja,
Kar ke Guruji ka sammaan,
Thoda aur vishwaas jagaa le,
Thoda aur sanshay mitaa le,
Kar le tu Guruji ka maan.

Thoda aur kar apne mein sudhaar,
Thoda aur karaa le apna uddhaar,
Unkee karuna se tu reh prassann,
Thoda aur le le Unka ka ashirwaad,
Thoda aur jod le ashirwaad ka prasad,
Unkee kripa se tu ho jaa sampann.

Thoda aur tu gaa le,
Thoda aur muskuraa le,
Baithkar Unke kamal charan mein,
Thoda aur shukr tu manaa le,
Thoda aur haq tu jataa le,
Samaakar Unkee sukhdaayee sharan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Thoda Aur (12/26/2020)

Eko Ek Sahaara, Guruji (12/25/2020)

December 25, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1041

Eko Ek Sahaara, Guruji

Maya se malin is mann ka,
Paapon se peedit praaniyon ka,
Dukh dard se dabey dil ka,
Eko ek sahara, Guruji.

Vikaaron se vyaakul vichaaron ka,
Chaalaaki kee chot se cheekhte huey chayyn ka,
Ahem se ashant hui atma ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Imaan se inkaar karte huey insaan ka,
Kaam krodh se kalapti hui kismat ka,
Buraayi ke bojh se bigde huey bhavishya ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Haalaat se haare huey haathon ka,
Matsar se mayyle huey manobhaav ka,
Nakaratmak nazaaron se numm huey naynon ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Imaan se ikraar karte huey insaan ka,
Sadachari se sajey huey sajjan ka,
Prem se prerit pooja ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Shraddha se shobhit shakhs ka,
Bairaag se huey baanvre bhakt ka,
Samarpan se santusht satpurush ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Sewa se sukhi huey sewadaar ka,
Ruhaaniyat ke rass mein ramey huey raahi ka,
Maalik kee mehar mein muskuraate huey musaafir ka,
Har haalaat mein hanste huey humsafar ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Divyataa mein doobey huey deewaane ka,
Ashirwaad se anandit huey afsaane ka,
Taralta se tarte huey taraane ka,
Khudaayee ke khaas khazaane ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Eko Ek Sahaara, Guruji (12/25/2020)

Guruji Hum Sabse Karte Hain Pyaar (12/24/2020)

December 24, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1040

Guruji Hum Sabse Karte Hain Pyaar

Shaayad hum mein se koi bhi Guruji ke prem ke yogya nahin,
Phir bhi Guruji hum sabse karte Hain pyaar,
Apne har bhakt ko Unhonei kiya hai sweekar,
Aur Apni karuna se dete Hain Ve sabko taar

Is se badi khushkismati kya hogi,
Is se mubarak niyati kya hogi,
Ki MahaShiv ke haath mein hai jeevan kee doar,
Buss, phir dekhne kee zaroorat hee nahin hai kaheen aur.

Karna hai hamein simran aur dhyan,
Aur pyaare Guruji ka gungaan,
Har paristhiti mein rakhna hai Guruji ka maan,
Kyunki Ve Guru ke roop mein Hain MahaShiv Bhagwaan.

Kisee ka bhalaa kar sakein toh achcha ho,
Lekin kisee ka bura na karein,
Guruji ko khushi ho jab bhakt sachcha ho,
Isliye sachche rehne kee koshish karein.

Bina vehem ke saral rakhni hai zindagi,
Bina ahem ke karni hai Guruji kee bandagi,
Bhakti kee shakti se todni hai durvichaar kee deewar,
Aur apnaane hain hamein satyugi sanskaar.

Jo bhi kaam karein, rakhein is baat ka dhyan,
Ki Guruji ko uss kaam se honi chaahiye prassannata,
Jo Guruji ko na bhaaye vaisa kaam bilkul na karein,
Kyunki uss kaam se phir hamein bhi na milegi sampannata.

Chaahe hum hon jis bhi sheher ya gaain mein,
Chaahe hum hon waqt kee dhoop mein ya chhaaon mein,
Guruji ko sadaa hai hamaari bhalaayee kee fikr,
Chaahe hum karein ya Unse na bhi karein kisee chinta ka zikr.

Isliye apni khushkismati ka jashn manaate huey,
Har museebat ko kshanabhangur jaante aur maante huey,
Guruji ke laad aur pyaar se tarte jaayein,
Aur chunautiyon ka saamna karne ke liye dheeraj dharte jaayein.

Unhonei sweekaara hai hamein,
Hamaari khaamiyon ke baavajood,
Unkee inaayat ke bagair,
Ek pal bhi nahin hai hamaara wajood.

Hum hain prayashchit karte huey paapi praani,
Hum par Maalik kee mehar kee hai meharbaani,
Unke ashish ke bina namumkin hai jeeni yeh zindagaani,
Isliye Unke prati Shukrana se saji rahe hai zindagi kee kahaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Hum Sabse Karte Hain Pyaar (12/24/2020)

Hitt Ka Uttam Saadhan, Shiv Purana (12/23/2020)

December 23, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» #
1039

Hitt Ka Uttam Saadhan, Shiv Purana

Kalyuga ka kaal roopi sarp insaan ko dastaa jaa raha hai,
Insaan vikaaron ke jaal mein phansta jaa raha hai,
Aise mein Shiv Purana uttam saadhan hai sabke hitt ka,
Aur ye granth hai upaay paapon ke praayashchitt ka.

Iska shravan karein aur pathan karein,
Saath mein Shivji ka manan karein,
Toh duur ho sakti hai har mushkil aur beemari,
Ye itna uttam paath hai ki iska adhyayan hai mangalkaari.

Guruji chaahein ki Unke bhakt,
Har din Shiv Purana ko padhein,
Taaki moksh kee manzil par le jaane waale raaste par,
Unke bhakt isee janam mein aagey badhein.

Shiv Purana ko poojne se,
Paapon kee hoti hai shuddhi,
Shiv Purana ko padhne se,
Praapt hoti hai adhyatmik buddhi.

Shivji swayam hee Hain Shiv Purana ke aadhaar,
Aur Guruji is dharti par aaye bannkar MahaShiv ke avataar,
Atyant gehra hai Guruji aur bhakt ka naata,
Jo har janam mein saath hai nibhaata.

Sundar sa saath nibhaate huey,
Yeh naata moksh takk hai pahunchaata,
Jo shraddha aur bhakti se Shiv Purana hai padhta,
Guruji kee mehar se veh bhakt kasht mein bhi shant reh paata.

Karam bhoomi hai ye saara ka saara sansaar,
Kisee par kumm kisee par zyada hai karmon ka bhaar,
Jo Shiv Purana ko padhey ya sunei baar baar,
Uska aaj nahin toh kal awashya hota hai uddhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Hitt Ka Uttam Saadhan, Shiv Purana (12/23/2020)

Satya Ka Sahaara (12/22/2020)

December 22, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1038

                  Satya Ka Sahaara 

Guruji se hai rachna prakriti kee,
Guruji se hai buniyaad sansaar kee aakriti kee,
Guruji uthaate Hain zimmewaari jagg kee jagriti kee,
Aur samjhaate Hain saarthakta satya kee sweekriti kee.

Kyunki satya se hee hai nyaya paraayantaa,
Satya se hee hai sadaachaari,
Satya se hee hai dhaarmikta,
Satya hai hum sabki zimmedaari.

Satya se miltee hai shanti,
Satya se aati hai adhyaatmik kanti,
Satya se bhayy duur hota hai,
Satya se ahem chuur hota hai.

Satya se andhera mitt jaata hai agyan ka,
Satya se deep ujjwal hota hai atma-sammaan ka,
Satya se har chunauti ka saamna karne kee miltee hai shakti,
Satya se aur bhi anandmayee ho jaati hai bhakti.

Satya Shiv hai,
Satya shubh hai,
Satya saidhaantik hai,
Satya shudh hai.

Satya mein hai sooraj ke tej jaisa prakash,
Satya hai aseem aur anant, jaise akash,
Satya kee antt mein hameshaan jeet hoti hai,
Har Devi Devta ko satya se preet hoti hai.

Satya ko ashish deti hai Khuda kee khudaayee,
Satya ko ashirwaad deti hai Guruji kee vadiyaayee,
Kabhi kamzor nahin padta hai satya ka sahaara,
Satya Guruji ko sadaa lagta hai pyaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Satya Ka Sahaara (12/22/2020)

Atma Ka Shringaar (12/21/2020)

December 21, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1037

   Atma Ka Shringaar

Yeh kalyuga zoron se raha hai lalkaar,
Tabaahi, vipdaaon, beemaariyon se insaan hua hai laachaar,
Guruji ke vash mein hai jagg ka uddhaar,
Lekin zaroori hai insaan ka jhuk jaana abb kee baar.

Agar soch mein ho jaaye sudhaar,
Aur vyavhaar mein samaa jaaye pyaar,
Koi bhi na karey kisee dooje kee bhavna se khilvaad,
Toh mitt jaayega tanaav aur takraar.

Guruji ko hain hamaari laakhon khaamiyaan sweekaar,
Ve har pal hamaari madad karne ke liye Hain tayaar,
Ve awashya denge hamein taar,
Namumkin ko mumkin banaa sakte Hain Parwardigaar.

Agar paawan karne hain apne sanskaar,
Toh insaan ko tyaagna hoga har vikaar,
Saamanjasya mein nahin chalta koi bhi vyaapaar,
Isliye insaan ko shudh karne hongei apne vichaar.

Do char din ka saraay hai yeh sansaar,
Yahaan se bahut duur hai mukti ka dwaar,
Jo pahunchna chaahta hai uss paar,
Uska khatm hona hee hoga saare karmon ka udhaar.

Buss, phir parinde pinjare se azad ho udte hain jis prakaar,
Vaisi hee udaan lekar jaayegi atma uss paar,
Khul jaayenge saumya sachkhand ke dwaar,
Aur mukti ke manohar manke karenge atma ka shringaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Atma Ka Shringaar (12/21/2020)

Nirmal Naam Ka Daan (12/20/2020)

December 20, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1036

           Nirmal Naam Ka Daan

Pal pal sangat par hai Guruji kee mehre nazar,
Unhee ke ashirwaad ka hai ye asar,
Ki simran mein lagta hai mann,
Aur mila hai hamein dhyan ka dhan.

Is dhan ko Guruji kee kripa se badhaayein,
Atma ko ruhaaniyat kee oonchaayee par pahunchaayein,
Saath hee neevenpann se aur bhi zyada jhukte jaayein,
Aur hum galat kaam karne se rukte jaayein.

Simran aur dhyan se hoga Guruji se naata gehra,
Guruji ka sadaa hoga hamaare adhyatmik kram-vikaas par pehra,
Jitnee nek neeyat aur jitna dridh hoga hamaara iraada,
Hamaari adhyatmik unnati Guruji kee mehar se hogi utnee hee zyada.

Simran kee gehraayi mein lagne lagega dhyan,
Niyamit roop se ye karenge toh vikasit hoga ruhaani gyan,
Kalyuga mein is se bada na hai koi bhi vardaan,
Isliye zaroori hai ruhaani gyan ke vardaan ko dena sammaan.

Guruji ne diya hai hamein Apne naam ka daan,
Unke bhakt β€˜bande’ banein, yahee hai Unka armaan,
Agar hum insaan Guruji kee baat lein maan,
Toh bilkul nishchit hai hamaara kalyaan.

Phir kyun taalein hum yeh shubh kaam,
Is shubh kaam se hum paa sakte hain param dhaam.
Karein Guruji ka koti koti Shukrana aur pranaam,
Ki Kalyuga mein hamein mila hai Unke nirmal naam ka daan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nirmal Naam Ka Daan (12/20/2020)

Trilok Ke Taaranhaar (12/19/2020)

December 19, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1035

Trilok Ke Taaranhaar

Apne pichhle janmon ke karam,
Kya thei ye na jaanein hum,
Phir bhi yahee suna aur seekha hai,
Ki aksar vahee bante hain aaj ke khushi aur gumm.

Ye toh achchaa hua,
Jo Guruji ne hamein apni sharan mein le liya,
Hamaare karmon ke bhugtaan mein,
Hamein sahaara Unhonei hai diya.

Nahin toh kis kis dar par padta hamein jaana,
Aur aaj se bhi zyada padta hamein pachhtaana,
Khair aagey kya hona hai veh bhi hum ne na jaana,
Isliye kyun na jaayein udhar, jidhar ka raasta Guruji ne hai dikhaana.

Guruji ka dikhaaya hua raasta galat ho hee nahin sakta,
Guruji ke dar par pahunch kar divya khoj ka safar hai rukta,
Kyunki veh MahaShiv ka dwaar hai,
Jinhe bhinn bhinn roop mein poojta saara sansaar hai.

Kisee ne sahi farmaaya hai ki galat disha mein jaane wali bheed ka hissa bann ne se achcha hai,
Ki sahi disha mein akele chale insaan,
Lekin aisa karne ke liye poorna samarpan aur vishwaas hai zaroori,
Kyunki phir saath dete Hain swayam Bhagwaan.

Guruji toh khud hee MahaShiv Bhagwaan Hain,
Apni pakki sangat kee Unhe poori poori pehchaan hai,
Jo aisa nahin sochta, veh toh sach mein naadaan aur anjaan hai,
Guruji ke dayalu dar par hota sadaa kalyaan hai.

Guruji ke dar par sukoon hai, sanshay nahin,
Guruji ke dar par bhaav zaroori hai, bhayy nahin,
Guruji ko hum pyaar karein, na ki karein Unhe pareshaan,
Guruji kee sharan mein shudh banein, na ki banein shaitaan.

Aaj ya kal khatm ho jaayega is janam ka
har kissa,
Phir is janam ka har karam banega aagey kee niyati ka hissa,
Rabb Guruji ke roop mein aaye khel sulajhaane hamaare har karam ka,
Isey sulajhaate sulajhaate Ve khatm kar denge ye silsila janam maran ka.

Ye hai Guruji kee leela aparampaar,
Is tathya se koi nahin kar sakta hai inkaar,
Poori srishti mein kaheen na milenge aise paalanhaar,
Jo swayam hee Hain sampoorna trilok ke taaranhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Trilok Ke Taaranhaar (12/19/2020)

Pyaar Ko Bahut Pyaar Se (12/18/2020)

December 18, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1034

Pyaar Ko Bahut Pyaar Se

Pyaar ko bahut pyaar se pyaar milta hai,
Jabb Guruji kee sharan mein dil ka murajhaaya phool khilta hai,
Jabb raaste ka bhaari se bhaari pathar Unkee kripa se hilta hai,
Jabb Unka sneh ghaayal mann ke har ghaav ko silta hai.

Asha bahut asha se asha ko paati hai,
Jabb Guruji kee chhavi mann par chhaati hai,
Jabb Unkee kripa se har chinta duur ho jaati hai,
Jabb ummeed kee kiran dil ko chhoone aati hai.

Dhyan karne se dhyan karne ka dhyan badhne lagta hai,
Jabb simran ka suramya sur bajne lagta hai,
Jabb samarpan se jeevan sajne lagta hai,
Jabb dil har pal Guruji ka naam bhajne lagta hai.

Anand bahut anand se satchittanand hota hai,
Jabb bhakt Guru naam ke amrit se apne paap dhota hai,
Jabb bhakt maanta hai ki Bhagwaan bada hai aur veh swayam bahut chhota hai,
Jabb bhakt sadaa ke liye Guru ka hokar apna astitva khota hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pyaar Ko Bahut Pyaar Se (12/18/2020)

Ateet Kee Dastaan (12/17/2020)

December 17, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1033

  Ateet Kee Dastaan

Kitnee kashmakash mein hai aaj saara jahaan,
Kitnee vyaakultaa chhaayi hai yahaan vahaan.
Aayiye, karke sachche dil se Guruji ka vandan,
Hum phailaayen har oar sakaraatmakta ka spandan.

Guruji ne dee hai ye zindagaani,
Hamaara bhalaa karne waali bani,
Simran kee saugat suhaani,
Unkee sab par hai itnee meharbaani.

Is se mil rahi hai jo adhyatmik taakat,
Uss se hum karein Guruji ke hukm kee hifazat,
Saath mein Unmein basey Ish kee ibadat,
Aur jeevan mein saralta ka swaagat.

Sukhi jeevan kee jo hai paribhaasha,
Usmein samaayi hai anand kee abhilaasha,
Jyotirmay jeevan kee jigyaasa,
Aajeevan aman kee asha.

Jabb ek oar hogi nirmal nadar Guruji kee,
Aur doosri oar hoga hamaara sachchaa prayaas,
Toh hamaari asha aur abhilaasha na rahegi adhoori,
Aur jyotirmay jeevan kee tamanna ho jaayegi poori.

Zindagi mein dinacharya par hoga akhandataa ka asar,
Jiske spandan kee kirnein phaylengi idhar udhar,
Hum sab prayaas karenge toh saara jagg jaayega sudhar,
Aur Guruji kee kripa se zaroor safal hoga ye safar.

Aayiye, bhavishya kee is hakeekat par se kalpana ka kavach utaarein,
Aayiye sab koshish karein ki swayam ko sudhaarein,
Jabb sakaraatmakta kee sugandh se mehekega ye jahaan,
Toh kalyuga kee har vipda bann jaayegi ateet kee dastaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ateet Kee Dastaan (12/17/2020)