Is Naam Kee Badaulat (12/16/2020)

December 16, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1032

            Is Naam Kee Badaulat

Bharee bheed se banaa hai yeh zamaana,
Lagaa hee rahega yahaan logon ka aana jaana,
Bahut kumm ne hai sachcha saath nibhaana,
Ve hee Hain laukik rishton ka khaas khazaana.

Tu maanta chal Guruji ka bhaana,
Isee ne jeevan mein kaam hai aana,
Chaahe pade tujhe aansoo bahaana,
Phir bhi is se toone hai tarr jaana.

Safal kar le tu apna is jahaan mein aana,
Taaki antt vale mein na pade tujhe pachhtaana.
Guruji ke naam ko banaa le tu apna aashiyana,
Is naam ke ashish se sanvar jaayega har janam ka fasaana.

Kyunki jitnee baar bhi tujhe hai is jeevan mein aana,
Guruji ke is naam ne hee tujhe moksh takk hai pahunchaana,
Isliye na dhoondh naam ko bhoolne ka koi bhi bahaana,
Is naam kee badaulat tujhe meetha lagega Guruji ka har bhaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Is Naam Kee Badaulat (12/16/2020)

Jitna Bhi Shukrana Karein Guruji Ka (12/15/2020)

December 15, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1031

Jitna Bhi Shukrana Karein Guruji Ka

Guruji toh sab par meharbaan Hain,
Is sach se koi nahin anjaan hai,
Unke bhakton se bharaa hua saara jahaan hai,
Aur har bhakt kee apni anokhi daastaan hai.

Kisee ke liye meet, kisee ke liye naath,
Guruji har pal Hain sabke saath,
Bhakt kar sakte hain Unse har baat,
Aur sabpar hoti hai Unke ashirwaad kee barsaat.

Bigde kaam banaate Hain,
Har haal mein jeena sikhaate Hain,
Patit ko paawan banaate Hain,
Bhoole ko raah dikhaate Hain.

Kisee ke liye murshid, kisee ke liye bhraata,
Sabke saath Unka hai ek khaas naata,
Jo shraddhaalu Unke charnon mein aata hai,
Veh nishchay hee apna kalyaan karva jaata hai.

Koi vehem nahin, koi sakht niyam nahin,
Kewal anushaasan aur sabke sangg pyaar,
Satsang mein shaant hokar sunn-ni hai gurbani,
Aur Shukrana karna hai baarambaar.

Koi chadhaava nahin, koi dikhaawa nahin,
Kewal sarvsamarpan karna hai rakh kar mann mein vishwaas,
Uddhaar karte Hain poori tarehn se,
Sabse pehle Guruji bakshte Hain shwaas.

Jeevan daan ke baad sehat kee aati hai baari,
Guruji kumm ya duur karte Hain beemari,
Swaasthya honei lagta hai behtar,
Kalyaankaari hai Unka dayaalu dar.

Lekin, kalyaan karte samay,
Guruji karmon ka bhugtaan karaate Hain zaroor,
Aur kyunki moksh praapti ke liye karmon ka bhaar halka karna anivaarya hai,
Isliye karmon ke aagey kabhi kabhi Guruji bhi ho jaate Hain majboor.

Phir bhi adhiktar karam swayam par lekar,
Hamein kumm se kumm kashton ka bhugtaan dekar,
Hamaari kitnee madad karte Hain Guruji,
Aur karmon ka bojh kumm karte Hain Guruji.

Is paar se uss paar le jaate samay bhi,
Guruji Apni mamta ke aanchal mein Hain sambhaalte,
Jabb takk moksh kee praapti na ho jaaye,
Ve hamein sudhaarte huey har janam mein Hain taarte.

Isliye aayiye, mann mandir mein sajaayein simran ke suron kee sargam,
Guruji ke kiye ehsaanon ko kabhi bhi na bhoolein hum,
Unhee kee kripa se hee toh saans le rahein hain hum har dumm,
Sach mein, jitna bhi Shukrana karein Guruji ka, vo hai kumm.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jitna Bhi Shukrana Karein Guruji Ka (12/15/2020)

Jabb Se Yahaan Par Bulaaya Hai Aapne (12/14/2020)

December 14, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1030

Jabb Se Yahaan Par Bulaaya Hai Aapne

Pyaare Guruji,

Aapke dar par jabb pehli baar aa rahe thei,
Toh na maalum thaa ki kya paayenge,
Aapke dar par aakar ye jaana humne,
Ki bin maange hee sab paa jaayenge.

Yahaan kehne kee koi zaroorat nahin,
Yahaan shubh kaaj ke liye koi mahoorat nahin,
Yahaan niswaarth pyaar ka sabse bada ohda hai,
Yahaan hota nahin koi bhi sauda hai.

Yahaan gunah maaf ho jaate hain,
Buss, neeyat honi chahiye sachchi,
Yahaan bin kahey bhakt sab kuch paate hain,
Buss, bhavna honi chahiye achchi.

Yahaan niswaarth sewa ka bada mahatva hai,
Yahaan simran karna hamaara karvatya hai,
Yahaan Aapki mahima ka hota hai bakhaan,
Yahaan sab karte hain Aapka gungaan.

Is dar par koi na ameer hai na gareeb,
Is dar par Aap Hain sabke kareeb,
Yahaan sunvaayi hoti hai sabke manobhaav kee,
Yahaan davaa miltee hai har ghaav kee.

Yahaan jo aata hai khali jholi lekar,
Veh maalaamaal hokar yahaan se jaata hai,
Jisko jaise dhan kee ichchaa hoti hai,
Veh vaisa hee dhan yahaan paata hai.

Jo maangta hai paise aur heere jawaaharaat,

ya phir chaahta hai hona mashhoor,
Usey Aap veh sab dete Hain zaroor.
Jo chaahta hai naukari aur ghar,
Usey milta hai veh bhi is dar par.

Lekin, jo Aap par deta hai chod,
Ki Aap dein jo Aapko lagta hai theek,
Usey kabhi bhi Aapse,
Maangni nahin padti bheekh.

Kyunki uchit samay aane par,
Aap dete Hain usey sab,
Uska adhoorapan poora kar dete Hain,
Aap Hain mata, pita, aur Rabb.

Vahee sabse achchaa dhansangreh hai,
Jo Aap swayam dete Hain,
Varna toh kitne anuchit padaarth,
Hum vyarth mein ekatrit kar lete hain.

Lekin, Aapka diya hua sab kuch,
Sach mein hota hai kalyaankaari,
Sabse badi saugat hai ruhaani gyan,
Jiskee prerna se beet paaye ye umr saari.

Is prerna se samajh aane lagta hai,
Ki har bhautik dhan hai vyarth,
Bhakti, gyan, bairaag kya hai,
Samajh aane lagta hai inka arth.

Guruji, aisee kripa keejiye,
Ki Aapke dar par hum saarthakta ko paayein,
Gyan, bhakti, bairaag ke sahaare,
Aapki karuna se hum tarr jaayein.

Bhalaa keejiye hamaara, aye daata,
Aapke dar ke alaawa nahin hai aur koi bhi dar,
Jab se yahaan par bulaaya Hai Aapne,
Yahee hamein lagta hai abb apna ghar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jabb Se Yahaan Par Bulaaya Hai Aapne (12/14/2020)

Jaisa Bhi Ho Safar (12/13/2020)

December 13, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1029

                 Jaisa Bhi Ho Safar

Ruhaani safar shuru hua hai,
Guruji kee rehanumai mein,
Anubhav behtareen hai aise,
Jaise Khuda kee khudaayee mein.

Ek nazar Guruji kee,
Aur baras jaati hai mehar,
Ek ishaara Unka,
Aur uday hoti hai seher.

Ek hamaari shraddha,
Dooja hamaara vishwaas,
Saath mein ho samarpan,
Aur prem se bhara har shwaas.

Na shikva, na shikaayat,
Buss, imaandaari aur ibadat,
Chaahe dard ho ya ho koi dukh,
Saath hai sadbhaav ka meetha sukh.

Lekin sabse badi baat ye hai,
Ki Unhonei hamein sweekaar liya,
Itnee khaamiyaan hum mein hain, phir bhi,
Unhonei har pal hai pyaar diya.

Kahein Guruji ya kahein Khuda,
Na Hain Ve ek dooje se juda,
Qadr e mutaliq kee nigraani mein hain bande sabb,
Sabko har waqt dekhta hai Vo Rabb.

Ek hukm Guruji ka,
Aur hamaara jhuka hua sir,
Ek chhoti si jageh Unke charnon mein,
Na rahey koi aur tamanna phir.

Imaandaari se karein Unkee ibadat,
Unke har hukm kee karein hifaazat,
Safar hai ye viraane se lekar aashiyaane takk ka,
Raasta hai ye samarpan aur aman ka.

Yahaan paison ko koi mol nahin,
Yahaan buss bhaav chaahiye sahi,
Nek ho neeyat aur iraada ho sachchaa,
Toh jaisa bhi ho safar, veh laagega achchaa.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jaisa Bhi Ho Safar (12/13/2020)

Kar Lo Maan (12/12/2020)

December 12, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1028

        Kar Lo Maan

Kar lo maan ruhaaniyat ka,
Kar lo maan insaaniyat ka,
Kar lo maan insaniyat aur ruhaaniyat dene waale Parwardigaar ka,
Kar lo maan Guruji ka jinmein basaa hai deedar Paalanhaar ka.

Na karo dikhaawe kee milaavat is maan mein,
Na chodo koi bhi kasar is maan ke sammaan mein,
Guruji ne sharan mein liya hai vahee sabse anmol uphaar hai,
Maan kar ke maan lo jo Guru keh raha baar baar hai.

Bande bano, changey kaam karo,
Guruji se pyaar karo, na ki daraao aur daro,
Kisee ka bhalaa kar sakte ho toh karo zaroor,
Kisee ka bura na karo aur na karo kabhi bhi guroor.

Maan kar lo Guruji ke naam ka,
Kar lo simran baarambaar,
Niswaarth sewa karte raho,
Paa lo Guruji ka pyaar.

Guruji ko har baat ka gyan hai,
Unhe maalum hai kahaan hum sabka dhyan hai,
Isliye kar lo divyataa aur ruhaaniyat ka dhyan,
Kar lo Khuda aur Guru aur insaaniyat ka maan.

Guruji ne diya hai jo naam ka daan,
Ismein basaa hai Guruji ka gungaan,
Isliye kar lo is gungaan ka sammaan,
Aur poora karo Guruji kee mahima karne ka armaan.

Guruji kee mahima karne se hoga kalyaan,
Isee se aayegi antar mann par muskaan,
Isee par nirbhar hai saara jahaan,
Kyunki Guruji swayam Hain MahaShiv Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kar Lo Maan (12/12/2020)

Aapke Naam Kee Mohar (12/11/2020)

December 11, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1027

        AAPKE NAAM KEE MOHAR

Guruji, Aapke naam kee mehar bhari mohar lagee,
Toh kritagya hua yeh dil,
Tabb se rooh ko anokhi khushi,
Har pal ke liye gayi hai mil.

Tabb se saaf dikhaayee dene lagaa,
Duniya ka aslee chehra,
Aur is tathya se saantvanaa milee,
Ki srishti par hai Aapka pehra.

Aapke naam kee manoram mohar hai mangaldaayee,
Aapke naam kee sundar mohar hai sukhdaayee,
Aapke naam kee manjul mohar har leti hai museebat saari,
Aapke naam kee paawan mohar hai bahut hee pyaari.

Is se bada koi ashirwaad nahin,
Is se kalyaankaari koi prashad nahin,
Yeh mohar taaranhaar hai,
Ismein basaa Aapka dulaar hai.

Is mohar mein shanti kee sheetalta hai,
Ismein basee Aapki kripa kee komaltaa hai,
Is mohar mein tej hai Aapki taralta ka,
Is par nishaan hai Aapki nirmaltaa ka.

Haalaat se yeh kabhi pheeki na pad jaaye,
Yeh mere har janam ke paap ko har paaye,
Iskee kripa se mera har vikaar ho jaaye chuur,
Is se mann mein sadaa basey Aapka divya noor.

Is noor kee badaulat,
Har andhera pal do pal ka mehmaan hoga,
Aur is noor kee mehre nazar se,
Yakeenan kalyaan hee kalyaan hoga.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapke Naam Kee Mohar (12/11/2020)

Aushadhi Kee Pudiya (12/10/2020)

December 10, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1026

Aushadhi Kee Pudiya

Mareez pareshaan thaa,
Kaafi hairaan thaa,
Har davaa le chuka thaa,
Lekin roag na ruka thaa.

Koi shareerik roag na thaa,
Shareer ke sab angg theek thei,
Lekin uska chehra pheeka laagaa,
Aur sab lakshan maansik dukh ke prateek thei.

Roag thaa usey niraasha aur udaasi ka,
Roag jeevan kee haari hui baazi ka,
Roag thaa samaaj mein bhatakte rehne ka,
Roag aapey mein na rehne ka.

Kabhi zor zor se rota thaa,
Kabhi bilkul chup hota thaa,
Kabhi aahein bharta thaa,
Kabhi bahut darta thaa.

Raaste mein usey ek musaafir mila,
Jiska chehra thaa itna khila,
Mareez ko dekhkar Veh raahi ruk gaya,
Aur usey namaste kar ke Veh jhuk gaya.

Raahi ke chehre par divya noor thaa,
Aankhon mein thaa prem, na ki guroor thaa,
Usne poochha mareez se kya beemaari hai,
Toh mareez ne kaha ki har tarehn se buss laachaari hai.

Raahi ne mareez ka pakda haath,
Aur dee usey aushadhi kee ek pudiya,
Kaha usne mareez se ki is aushadhi se,
Haal uska ho jaayega badhiya.

Mareez thoda sa ghabraaya,
Aur thoda sa muskuraaya,
Usne raahi ko galey se lagaaya,
Aur raahi ne usey samjhaaya,
Ki jitnee aushadhi lega vo,
Utna changaa hota jaayega uska haal,
Yeh sun mareez ne pudiya kholni chaahi,
Aur poochne lagaa veh raahi se sawaal.

Lekin veh aasharyachakit hua,
Jabb ojhal ho gaya raahi,
Isliye vishwaas ko jagaakar mann mein,
Usne aushadhi shuru karni chaahi.

Pudiya kholi toh usmein na thi koi goli,
Lekin usne padha jo kaagaz par thaa likha,
Haath jodey aur aankhein bandd kein,
Toh Guruji ka chehra saamne dikha.

Pudiya ke kaagaz par likha thaa,
Ki aushadhi hai Guruji ka naam,
Badi lagan se veh naam japne lagaa,
Aur usey aane lagaa aaraam.

Din aur raat, subah aur shaam,
Mareez ne shuru kar diya japna naam,
Ehsaas hua ki Guruji aaye thei raahi ke roop mein,
Dene usey aushadhi ke roop mein naam ka daan.

Khushkismati thi uskee ki Guruji ne usey ilaaj diya thaa bataaye,
Shukrana kiya usne ki Guruji usey darshan dene thei aaye,
Mann ke mandir mein basaaya usne Guruji ko,
Aur Ve uske mann mandir mein muskuraaye.

Gehra hota gaya uska simran,
Simran se badhta chala uska dhyan,
Har maansik roag ko bhulaakar,
Veh honei lagaa adhyatmikta mein balvaan.

Atma-bal paakar usey achchaa lagaa,
Uskee har vivashtaa hui duur,
Guruji mein magn veh rehne lagaa,
Chaaya uspar Guruji ka noor.

Badi kalyaankari saabit hui,
Aushadhi kee veh pudiya,
Naam kee aushadhi lee jab se usne,
Uska haal honei lagaa badhiya.

Har tarehn ka dukh dard bhool kar,
Guruji mein rehne lagaa vo magan,
Guruji ke naam mein kho diya usne swayam ko,
Aisee laagee usey naam kee lagan.

Aushadhi lene mein mareez kee neeyat thi sachchi,
Isliye mareez kee sehat Guruji kee kripa se hui achchi,
Aushadhi kee pudiya apna kaam kar gayi,
Mareez swasth hua aur uskee atma tarr gayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aushadhi Kee Pudiya (12/10/2020)

Raees (12/09/2020)

December 9, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1025

                        Raees

Heere kee angoothi daal lee,
Aur har aishon aaraam hai,
Moti kee mala galey mein hai,
Lekin japaa nahin Guru ka naam hai.

Kalaayi mein soney ka kangan banaa gehna,
Lekin niswaarth sewa ka sanskaar na pehna,
Toh kis kaam kee hai zindagi, pyaare,
Kabhi socha hai kya?

Tarehn tarehn ke khaan pakwaan banaaye,
Thoda khaaye khilaaye baaki koodey mein jaaye,
Jaante huey ki kitne loag bhookhe mar rahey hain,
Kyun tera dhyan unn zarooratamandon par na jaaye?

Baaton mein milaavat kar ke,
Unhe tu duur duur takk pahunchaaye,
Ye tere karmon mein jamaa ho raha hai,
Kyun tujhe ye nazar na aaye?

Abb bhi tu kyun nahin samajh raha,
Kitna zaroori hai tera sudharna,
Sach mein janam maran ke chakkar se bachna hai toh,
Zaroori hai Guru kee nazron mein kharey utarnaa.

Sau baaton kee ek baat,
Na yoon vyarth ganvaa apne din raat,
Milee hai jo naam kee daat,
Uske prati rakh izzat ka jazbaat.

Kuch nahin rakha bekaar ke dikhaawe mein,
Saara sukh hai naam ke chadhaave mein,
Naam japp shraddha aur vishwaas se,
Guruji ko prasann kar apne prayaas se.

Unkee prasannata se hee milegi tujhe asal sampannataa,
Kyunki Ve bakhshenge tujhe akhandataa,
Jiske sahaare tu jeevan ke imtehaan mein kharaa utar paayega,
Aur tera sudharne ka prayaas safal ho jaayega.

β€˜Der se aaye durust aaye’ kewal kahaavat nahin, satya hai,
Ruhaani yaatra mein bhi iska bahut bada mahatva hai,
Isliye abb bhi samay hai sahi raasta apnaane ka,
Aur apni atma ka roam roam ruhaani ratnon se sajaane ka.

Yahee ratna hain kaam ke,
Isliye japp le moti Guru naam ke,
Ye dhan jabb tu paayega,
Dekhna, tu vakai mein raees ho jaayega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Raees (12/09/2020)

Thoda Sa Toh Ruk Jaa (12/08/2020)

December 8, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1024

         Thoda Sa Toh Ruk Jaa

Thoda sa toh ruk jaa,
Thoda sa toh jhuk jaa,
Aagey tu Taral Taaranhaar ke,
Thoda thoda kar ke ruhaaniyat mein aagey badh,
Thoda thoda kar ke har vikaar se ladd,
Pyaar kar le tu pyaare Paalanhaar se.

Thoda sa toh soch,
Thoda sa toh kar sankoch,
Tu Guruji se shikaayat karne se pehle,
Thoda sa toh badal jaa,
Thoda sa toh sudhar jaa,
Apne uddhaar ke liye kuch kasht tu sehle.

Thoda sa toh shaant tu ho jaa,
Thoda sa toh Guruji mein kho jaa,
Tu Guruji ko dhyaate dhyaate,
Thoda sa prayatna tu karle,
Thoda Unke paas jaane ka yatna tu karle,
Tu Unko apne paas bulaate bulaate.

Thoda toh rishta nibhaa apni oar se,
Thoda thoda kar ke jagg ko chod de,
Kar le nazar andaaz tu dar anek,
Thoda aur tu naam japp,
Thoda aur tu kar le tapp,
Kar le abb tu din raat ek.

Thoda aur kar le tu vandan,
Thoda shudh kar le spandan,
Kar le tu Guruji ka aadar,
Thoda sa toh Unhe nihaar le,
Thoda sa apna noor nikhaar le,
Odh le tu Unke naam kee chaadar.

Thoda sa toh kar dhanyawaad,
Thoda sa toh satyugi kar jazbaat,
Kar le tu Guruji ka maan,
Thoda sa toh ho jaa pavitra,
Thoda sa sanvaar le charitra,
Kar le tu Unhe paawan pranaam.

Thoda thoda karte karte,
Tera har prayaas ho jaayega poora,
Guruji mein is tarehn se leen hoga tu,
Toh tera jeevan na rahega phir adhoora.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Thoda Sa Toh Ruk Jaa (12/08/2020)

Thoda Sa Sabr Rakho (12/07/2020)

December 7, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1023

Thoda Sa Sabr Rakho

Thoda sa sabr rakho pyaaron,
Yeh mushkil bela bhi beet jaayegi,
Mahamaari ke atyaachaar ke aagey,
Divyataa hee jeet jaayegi.

Aaj jo hum nibhaayenge paarasparik doori,
Toh kumm hogi aane waale kal kee majboori,
Kyunki abhi kee doori se niyantran mein ho paayegi beemaari,
Aur phir dheere dheere kumm hogi hum insaanon kee laachaari.

Yeh saamaajik doori hai, dilon kee duuri nahin,
Yahee aajkal kee paristhiti ke liye hai sahi,
Yeh waqt ruhaani spandan ke maadhyam se judne ka hai,
Yeh mauka dikhaawe aur khokhli baaton se mudne ka hai.

Guruji ne kaha thaa jis maade waqt ke baare mein,
Uskee shuruaat ho chuki hai,
Insaan ne divyataa par apna ahem hai jataaya,
Isliye hee toh aaj insaaniyat thaki hai.

Kaha thaa Guruji ne ki ghar ghar mein,
Honei lagenge Unke satsang,
Aur aaj jabb aisa ho raha hai,
Toh insaan kyun hain dangg?

Guruji ka hee kehna hai,
Maree hui machhlee hee bahaav ke sangg behti hai,
Hum sab samajhdaar hain aur jaante hain,
Ki yeh arth prakaashak baat kya kehti hai.

Isliye duniya ke dabaav par na dein hum dhyan,
Balki Guruji kee baat lein hum maan,
Khudaayee aur waqt ka maan lein kehna,
Nahin toh bahut nuksaan padega sehna.

Kitnon kee jaan hai chali gayee,
Na jaane aur kitnon kee jaayegi,
Agar hum ek dooje kee madad karein,
Toh sansaar kee tabaahi ruk paayegi.

Yeh sewa hai, na ki koi paap,
Is se mitega kitna dukh aur santaap,
Aaj har insaan ko dena hai imtehaan,
Ki veh kitna chaahta hai jagg ka kalyaan.

Pareekshak swayam Hain Bhagwaan,
Hamaara karam hai hamaari pehchaan,
Chaahe dooje insaan dekh sakein ya nahin,
Sab kuch dekh rahei Hain Karunanidhaan.

Kyun na paarasparik doori banaaye rakhein,
Lekin dil se dil ka rakhein nirmal naata?
Apni oar se hum mahamaari ko badhne se rokein,
Aur yaad rakhein ki sab kuch dekh rahey Hain Vidhaata.

Guruji ke kehne ke mutaabik karein sewa, simran, aur satsang,
Saamanjasya banaaye rakhein aur na karein shanti ko bhangg,
Guruji parakh rahein Hain hamaari neeyat aur hamaara yogdaan,
Devon ke Dev Hain Ve Bholenath Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Thoda Sa Sabr Rakho (12/07/2020)