Guruji kehte Hain hum niswaarthtaa ka karein prayog Guruji sikhaatey Hain hamein Shiv Yog Isee se ho paayega karam bhog Aur mitenge shaareerik aur maansik roag
Shiv Yog se praapt hoti hai sadgati Shiv Yog se hoti hai atma kee unnati Shiv Yog se hoti hai jeevan mein pragati Aur atma-vishwaas yukt ho jaati hai jeevan kee gati
Isliye kalyuga mein Guruji ka saath ati anivaarya hai Isliye Unkee sharan mein hona hamaara saubhagya hai Shiv Yog ke dwaara Guruji hamaare sankat mitaate Hain Shiv Yog sikhaakar Guruji hamein mukti ka maarg dikhaate Hain
Guruji hee Hain MahaShiv Unkee sadhna se zaroori kuch bhi nahin Sarvsamarpan kar dein Unhee ko Mann kee shanti ke liye yahee hai sahi
Dharti par bhi swarg hai Agar hamaare mann mein shanti hai Andhkaar mein bhi ujaala hai Agar sangg Guruji kee kanti hai
Guruji toh MahaShiv Hain Maalik Hain Ve srishti ke Hum sabb Unke bachche hain Ichhuk hain hum har pal Unkee drishti ke
Guruji ne apne har bachche ko Kisee na kisee hunar se baksha hai Guruji ne har haalaat mein Bahut pyaar se kee sabki raksha hai
Himmat aur atma-bal hai tum mein Usey Guru prem se badhaate chalo Agar mushkil ke samay kamzor padd jaate ho Toh Guru prerna se dil mein atma-vishwaas jagaate chalo
Kyunki Guruji kaheen duur nahin Hain Ve toh basey Hain dil mein tumhaare Jitna bharosa badhega Unpar tumhaara Utnee himmat se jee sakoge tum Unke sahaare
Guruji ka sahaara hai sanaatan aur anant Unhe sarvsamarpan kar ke ho jaao tum nishchint Tumhe rakhna hai Guruji par apna atoot vishwaas Kyunki tumhaari har samasya ka samaadhaan hai Guruji ke paas
Guruji ke simran kee zaroorat ko jaanein Simran kee mahima ko hum pehchaanein Guruji ke simran se hota hai kalyaan Guruji ka simran deta hai jeevan daan
Guruji ke simran se nirmal hota hai shwaas Guruji ke simran se badh jaata hai vishwaas Simran se shareer aur atma kee badh jaati hai shakti Guruji ke simran se rangg laati hai hamaari bhakti
Guruji kee yaad aaye jisey, veh simran kar sakta hai Sachcha bhakt simran karte nahin thakta hai Guruji ka simran phir aur dilaata hai Guruji kee yaad Guruji ke simran se poori hoti hai fariyaad
Chaahe veh fariyaad dil se ho ya zubaan par Guruji ka dhyan hai hamaare har armaan par Kyunki Unke alaawa aur hai hee kaun hamaara Guruji ke pyaar se aur kuch bhi nahin hai pyaara
Guruji ke simran se dil honei lagta hai saaf Simran karne se Guruji karte Hain hamein maaf Simran se karmon ka bojh halka ho jaata hai Simran se bhakt antt mein mukti ko paata hai
Simran mein hota hai mann ko Guruji ka dhyan Simran mein Guruji karte Hain divya gyan pradaan Simran bhool kar na banein hum naadaan Aao, simran mein japp lein hum sab Guruji ka naam
Kalyuga hai toh kya hua Tum satyugi atma bann sakte ho Aaspaas jhooth aur fareb hai toh kya hua Tum toh sachchaa insaan bann sakte ho
Kabhi socha hai tumne ki Guruji ko kaisa lagta hoga Dekh kar tumhaara bhatkaa hua chaal-chalan? Kabhi jaana hai tumne ki Guruji ka dil kitna dukhta hoga Dekh kar tumhaari soch aur tumhaara anuchit aacharan?
Yeh zindagi hai pyaare, koi daud nahin Guruji kee nazar se bach paai, aisa koi raasta ya moad nahin Phir kyun na kaam karo Vahee Jo Guruji kee nazron mein hain sahi?
Vijay paani hee hai toh swayam ke vikaaron par paao Prashansa ke gunn gaane hee hain toh Guruji ke gunn gaao Changaa dikhna hee hai toh Guruji kee nazar mein changaa bannkar dikhaao Kisee ke dil mein jageh banaani hee hai toh Guruji ke dil mein samaao
Guruji hee Hain taarahnaar Guruji hee Hain paalanhaar Guruji hee Hain bakshanhaar Guruji hee Hain parwardigaar
Har mushkil mein Ve Hain hamaare madadgaar Unke jaisa aur jitna na hai koi bhi udaar Unhee se judee rahe sadaa dil kee taar Ve awashya denge hamein taar
Jabb Guruji par kiya hai aitbaar Toh phir Unhee ko maan kar apna sarkaar Hum karein na kisee aur ka intazaar Aur Guruji se karein hameshaan niswaarth pyaar
Chaahe jeevan mein gumm ho ya ho khushi kee bahaar Chaahe nirdhantaa ho ya ho dhan kee bauchhaar Sabse anmol hai Guruji ka deedar Kyunki Unkee kripa se hee chal raha hai sansaar
Guruji sadaa suntey Hain bhakton kee pukaar Ve hee halka kar sakte Hain hamaare kashton ka bhaar Unkee mahima sach mein hai aparampaar Atyant sukhdaayee hai Unka dayaalu dulaar
Naach uthaa mere mann ka moar Guruji aaye meri kutiya kee oar Mit gaya raat ka andhera ghanghor Dikh gayi mujhe sunehri bhor
Unke kamal charnon ka sparsh kar Unka kiya mainey hardik abhinandan Unke aane se Unkee divya khushboo ne Sugandhit kar diya vaataavaran
Pyaar se Unka swaagat kar ke Guruji ko aasan par baithaaya Shradha se Unko tilak lagaakar Unke charnon mein sheesh jhukaaya
Guruji ne dee ik mandd muskaan Unka divya noor thaa chhaaya Unkee gehri aankhon mein Mahasaagar thaa samaaya
Chai ko chakh kar sneh bhaav se Chai prasaad ka anandmayee kar diya swaad Phir Unhonei langar ka bhog lagaaya Aur langar bhi bann gaya prasaad
Gurbani ke madhur sur se goonj uthaa darbar Dhanya hua jeevan mera, paakar Guruji ka deedar Guruji ne jholi mein bhar deen khushiyaan beshumaar Karti chaloon mai Guruji ka shukriya baarambaar
Kisee ne tere saath agar galat kiya Toh bhi usey dil se de tu dua Usne vaisa kiya toh kya hua Guruji ne mamta ke marham se tere ghaav ko chhua
Is marham se tera har ghaav bhar jaayega Is marham ke prabhaav se tu tarr jaayega Agar tu bhi galat kaam karne par adh jaayega Toh phir adhyaatmik raaste par kaise badh paayega?
Isliye Guruji kee baat le tu maan Bann jaa tu changaa insaan Karta chal gupt sewa, paath, aur daan Apne karmon par har pal de tu dhyan
Is zindagi ke ajab se safar mein Kaun apna hai kaun paraaya Yeh samajhne kee koshish mein Na kar tu apna waqt zaaya
Ek satya hameshaan rakh yaad Ki Guruji sadaa tere apne Hain Baaki sab chaahe hakeekat lagey Magar dar-asal sab mithya aur sapne hain
Guruji ka naam liye tu mann mein Zindagi bitaa le sadhna aur simran mein Sukh dukh jabb aayenge tere jeevan mein Tu sthir reh paayega Guruji ke manan mein
Chaahe aaye kabhi kaisi bhi majboori Smaran rahe ki Guruji kee khushi hai sabse zaroori Tere karam bhi Apne sir par le leta hai jo Bhagwaan Unkee taraf tera itna farz toh banta hai, aye insaan
Unhee se hee milta hai pyaar Unhee se hai yeh sansaar Unhe hum sab kar sakte hain izhaar Phir abb aur kiska hai intazaar?
Ve denge jo hamaare liye hoga sahi Apne bhakton kee laachaari dekh sakte Ve nahin Hum rotey hain toh Unkee aankhon se bhi aansoon behte hain Kyunki hum sab har kshan Unke dil mein rehte hain
Mata pita bhi Guruji Hain, meet bhi Hain Ve hamaare Ve sadaa aayein jabb bhi koi bhakt Unhe pukaare Kabhi ichchaa na ho poori toh samajh lena Unke ishaare Ve poore karenge tumhaare mangalkaari sapne saare
Jo tumhaare liye uchit nahin, Guruji tumhe dena nahin chaahte Isliye maang maang kar na Unhe majboor karo Balki jabb aur jaisa bhi Ve kar rahein Hain pradaan Unka shukrana karte huey apni jholiyaan bharo
Jeevan kee raahon par chalte chalte Thakk gaye hain tere paaon Kashton kee dhoop mein tu jal raha hai Kaheen na miley tujhe chhaaon
Jo kehte thei ki veh tere apne hain Vahee paraaye huey aaj Tu bahut asamanjas mein hai Ki kaun sanvaarega tere kaaj
Ummeed kee kiran kee talaash mein Tu bhatakta jaa raha hai Andhere mein akele chalkar Tera dil ghabraa raha hai
Ek Guruji hee Hain jo har pal Tere mann kee sthiti ko jaanein Tu kin haalaat se guzar raha hai Guruji bakhoobi pehchaanein
Guruji tujhe rahein Hain pukaar Unpar kar le tu poora aitbaar Unhee se chal raha hai sansaar Vahee Hain srishti ke paalanhaar
Unhee ke bharose jeena shuru kar Unhee ko karde tu jeevan arpan Sotey jaagte karta ja abb tu Sewa simran satsang aur samarpan
Matt soch ki bura kyun hua Jab ki tera na thaa koi bhi kusoor Buss Guruji se praarthana kar Unkee kripa tujh par barsegi zaroor
Jitne dukh teri kismat mein hain Guruji unhe kumm kar ke denge Tu vishwaas rakh Guruji par Dekhna, Ve tere kasht har lenge
Guruji ke sangg jod le atoot rishta Aur Unke ashish ko banaa le apni dhaal Guruji ke aashirwaad kee divya daulat se Tu ho jaayega maalaamaal
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻 Dhirja
Sunn Le Guruji Kee Pukaar (12/17/2018)
December 17, 2019
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 667
Sabse Shreshth Uphaar
Baadal yoon hee tehel raha thaa Neele se aakaash mein Mann anand se behel raha thaa Guruji ke ruhaani sakaash mein
Aaspaas koi phool nahin thei Phir bhi gulab kee khushboo aa rahi thi Ek adbhut se chayn se Dil kee udaasi jaa rahi thi
Guruji kee ruhaani maujoodagi ka ehsaas thaa Yeh ehsaas bahut sukhdaayee aur khaas thaa Mera meet mera Bhagwaan mere paas thaa Unke manan mein vyast mera har shwaas thaa
Kaayinaat ne kee meri sifaarish Jab dil ne kee Guruji se guzaarish Ki Ve sadaa rahein mere saath Apne haathon mein thaamein Ve mera haath
Guruji ne sunn lee meri ek baar mein pukaar Mujhe kehna hee nahin pada baar baar Abb mere sangg Guruji Hain aur hai Unka pyaar Yahee hai mere liye sabse shreshth uphaar
Apni kismat tu jagaa le Mann Guruji mein lagaa le Guruji ko dil mein samaa le Unke charnon mein panaah le
Sewa, simran, satsang mein lagaa le dhyan Kisee ko na aane de Guru aur apne darmiyaan Sach bolkar rakh tu Guruji ka maan Unko samarpan kar ke kar tu Unka gungaan
Guruji tujhe nikhaarenge Tere karmon ka bhaar uthaalenge Bigdee hui taqdeer sanvaarenge Guruji sab sambhaalenge
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻 Dhirja
Guruji Sab Sambhaalenge (12/16/2018)
December 16, 2019
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 666
Dhanya Hua Hai Jeevan
Dhanya hua hai jeevan jab se Guruji ne hamein apnaaya hai Hamaare pyaare Guruji mein Humne Khuda ko paaya hai
Kabhi jeevan lagta hai aasaan Lekin kabhi aate hain ismein tufaan Duniya ke rangg toh badalte rehte hain Guruji kee madad se hum sab kuch sehte hain
Girne lagte hain toh Ve uthaatey Hain hamein Bhatakne lagte hain toh raasta dikhaate Hain hamein Zindagi jeena sikhaatey Hain hamein Imtehaan lekar azmaatey Hain hamein
Khuda ke alawa aur koi aisa kar sakta nahin Jo Guruji kee marzi hai, vahee hai sahi Guruji ka pyaar mil raha hai, sabse badi saugat hai yahee Unkee sadaa hum par nazar hai, sabse badi baat hai vahee
Phir chinta aur udaasi kis baat kee Beet jaayegi ghadi niraasha kee raat kee Hamaare har khwaab se behtar hai Guruji kee marzi Unkee marzi chalti rahey, aao Unse karein yeh arzi