02/21/2018 and Himmat Na Haar (02/21/2019)

Feb.21, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj ka suvichaarπŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Zindagi yoon hi beet rahi hai bande
Karle tu shubh karmon ki kamaayi
Phir dekh kaise Guruji ki komal mamta
Tere jeevan ke har pehlu par hai chhaai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai GurujiπŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Dhirja

Aaj Ka Suvichaar 02/21/2018

February 21, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

    Himmat Na Haar 

Sooraj ko le jaayegi yeh shaam dhalte dhalte
Yahee hai prakriti ki reet
Thakk jaayega musaafir tu akele chalte chalte
Banaa le Guruji ko apna meet

Chiraag bhi agar jalaayega tu
Toh kabhi na kabhi ve bujh jaayenge
Bhai bandhu rishtedaar
Sabb saath chod jaayenge

Apni parchhaayee par bhi na karna vishwaas
Veh timir mein saath na nibhaayegi
Divya shanti paane ki teri aas
Kalyuga mein adhoori reh jaayegi

Isliye aaja Guruji ki sharan mein
Guruji tujhe rahei hain pukaar
Chayn paa le Unke charan mein
Aakar tu Unke dwaar

Divya raasta aasaan toh nahin
Par Guruji sahaayta karenge teri
Jis sukh aur shanti ki tujhe talaash hai
Uss se jholi bharenge teri

Tu bilkul bhi himmat na haar
Buss bharosa kar aur chalta chal
Divyata hee hai jeevan ka saar
Tu samjhega aaj nahin toh kal

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Himmat Na Haar

02/20/2018 and Guruji, Aapka Shukrana (02/20/2019)

Feb.20, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj ka suvichaarπŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Jis mitti se aaye hain hum
Usme hi mil jaanaa hai
Paapon ki gathri halki kar lein hum
Bojh toh khud hi uthaanaa hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

February 20, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Guruji, Aapka Shukrana

Meri toh kismat hee khul gayee
Jabb se mai aayee Aapke dwaar par
Aapne itna aseem pyaar aur dulaar diya
Ki pakka aitbaar hua mujhe apne aitbaar par

Guruji Aapki sharan mein aakar
Anubhav hui mujhe shanti ki shakti
Aapki inaayat se awashya
Rangg laayegi har bhakt ki bhakti

Har dukh dard mein Aapne Guruji
Mujhe itne sneh se sambhaala hai
Mai toh sabse hoon kehti phirti
Ki mera Guru mera rakhwala hai

Mera kasht Aap swayam par lete hain
Taaki mujhe bhogne mein aasaani ho
Apna jyotirmay aashirwaad dete hain
Taaki mera chehra noorani ho

Mai hoon buss ek musaafir
Aap hee hain mere sahaare
Mai hoon ek behti nadiya
Aap hain mere kinaare

Meri seema ko surakshit rakhte hain
Taaki mai bikhar na jaaoon
Aap karte hain meri raksha
Taaki mai har pal beh paaoon

Nadiya ka koi astitva nahin
Agar uska kinara na ho
Mera bhi koi wajood nahin
Agar Aapka sahaara na ho

Chhota sa shabd hai shukrana
Magar yeh bahut kuch kehta hai
Mere mann mandir mein sadaa Guruji
Aapka divya saundarya rehta hai

Dharti ke kaagaz par saagar ki siyaahi se Likh doon mai Guruvar, Aapka shukrana
Saath hee karoon mai vinamr arzi
Ki Aap mujhe kabhi bhi na bisraana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Hamaari Guzaarish (02/19/2019)

PLEASE NOTE: THE FOLLOWING SUVICHAAR IS FROM FEB. 19, 2018- PRINTED AND AUDIO VERSION, AND IS FOLLOWED BY TODAY’S SUVICHAAR- PRINTED AND AUDIO VERSION.

February 19, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Ik vi lamhe nu vyarth na ganvaao
Sewa, simran, satsang vich dhyan lagaao

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

February 19, 2019

Hamaari Guzaarish

Pyare pyare Guruji,

Hamein duniyadaari samajh mein na aaye
Kaun saath rahe, aur kaun kabb chod jaaye
Isliye Aap kabhi saath na chodna
Kabhi bhi humse muh na modna

Kadam kadam par chunauti lalkaar rahi hai
Aap jo raah dikhaayein vahee sahi hai
Raaste mein agar phasenge hum kisi aapatti mein
Aap badhauti karenge hamaari himmat ki sampatti mein

Aapse hee milta hai hamein vivek aur gyan
Aap hee karte hain hamein protsaahan pradaan
Galat raasta dikhaane waale sainkadon mil jaate hain
Lekin Aapke maargdarshan se hum manzil ko paate hain

Aapke diye huey saahas se hum sach ko apnaayein
Jhooth ka saath chod kar satya ka saath nibhaayein
Hum hain bhatke huey, Aap hamein raasta dikhaayein
Aapki kripa se sadgati ke maarg par hum badh paayein

Buddhi aisi deejiye, ki gyanmayee prakash ho jeevan mein
Mamta aisi deejiye, ki sureela sakaash ho sadaa mann mein
Aapke bharose ke bal par tayy karein hum zindagi ka safar
Humse na hataayiyega ek pal ke liye bhi Apni nazar

Aapne hee toh dee hai yeh zindagi, Aap hee sambhaalenge
Aapke dwara hum roothi taqdeer ko manaa lenge
Yakeen hai ki Aap aayenge jabb bhi hum pukaarenge
Aap hee hamaari bigdi ko banaayenge

Har koi ho jaayega akela
Jabb aayegi jaane ki bela
Kripa kar tabb Aap hee hamein lene aayein
Taaki antt vele mein hum yahaan se muskuraate huey jaayein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Om Namaha Shivaya (02/18/2019)

Mantron ka raja hai
Om Namaha Shivaya
Iska uchchaaran karne se
Bhog aur moksh mil jaaye

Naarad muni ne sikhaaya
Yeh mantra Maa Parvati ko
Taaki Unhe Shivji sweekaarein
Aur phir Unki sadgati ho

Mata Parvati ne japaa
Yeh mantra sainkdon saal
Tabb Himalaya aur Maina ka
Hua atyant bura haal

Bahut koshish kee Unhonei
Beti Uma ko behlaane ki
Lekin nishchay Unka pakka thaa
Unhonei isliye mannmaani ki

Naarad aur Vishnu gaye
Anek Devon ke saath
Manaane Shivji ko taaki
Ve thaamein Parvati ka haath

Saptrishiyon ki madad se
Shiv ne liya Uma Ma ka imtehaan
Mata ke bhaav se khush hokar
Rishiyon ne diya Unhe vardaan

Phir MahaDev ne dhaaran kiya
Ek gareeb brahmin ka vesh
Pahunche Veh bhi Uma ke paas
Machaane jhootha klesha

Uma maa ko uss brahmin ne
Shivji ke khilaaf kaha itna buraa
Lekin Mata apni baat par adig rahi
Aur hua Unka swapn poora

Shivji ne sweekaara Unko
Aur pahunche Ve swadesh
Jahaan par Unhonei devtaaon ko
Pahunchaaya yeh pyaara sandesh

Guruji ne diya hai beej mantra
Jo sabb kashton ka hai upaay
Om Namaha Shivaya ke baad bolo
Shivji Sadaa Sahaay

MahaSamadhi ke pashchyaat Sangat jabb Guruji ko dhyay
Toh pyaar se sabke labhon par aaye
Om Namaha Shivaya Shivji Sadaa Sahaay
Om Namaha Shivaya Guruji sadaa Sahaay

Is mantra ke kehne sun-ne se
Har sankat mit jaaye
Phir kyun na hum japey yeh mantra
Guruji se shikaayat karne ke bajaay

Itna mahatvapoorna hai
Yeh panchaakshar mantra
Karey manokaamana poori aur hai
Mukti paane ka yantra

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Bhakti Ki Dastaan (02/17/2019)

Yeh kahaani hai ek shaqs ki
Jo Guruji ke kamal charnon mein aaya
Gyaat nahin thaa tabb usko ki saara
Brahmaand hai unn charnon mein samaaya

Jabb huey Guruji ke paawan darshan
Tabb prafullit ho gaya uska mann
Deeptiheen kismat yoon chamakne lagee
Jaise ki chamachamaata kanchan

Dukh toh uske jeevan mein aane thei
Karmon ka hisaab chukaane ke liye
Lekin Guruji ki chhatarchhaya mein
Usey jagah mili sir jhukaane ke liye

Subah shaam leta raha
Guruji ka naam baar baar
Guruji ki dee hui himmat se
Veh har mushkil ko kar gaya paar

Guruji ko samarpan kar ke sab kuch
Usey chayn ki neend aane lagee
Guruji ne liya usey apni sharan mein
Aur uskee har chinta bhi jaane lagee

Gupt sewa aur daan mein leen hokar
Gupt paath veh karta raha
Guruji ke aashirwaad se
Jholi apni bharta raha

Kshamaasheelta aur sehensheelta ko
Veh apne jeevan ka hissa banaane lagaa
Krodh lobh moh maya tyaagkar
Sachkhand ke sapne sajaane lagaa

Ahankaar ke raavan ko jalaakar
Usne neevenpann ko apnaaya
Keval Guruji ki sharan mein sukh hai
Usey yeh sach samajh mein aaya

Zindagi ke har lamhe ko
Guruji ki daat usne maani
Chod diya phir usne peena
Ghat ghat ka paani

Buss Guruji mein dhyan lagaakar
Apni zimmedaariyaan nibhaata gaya
Dekhte hee dekhte Guruji ka noor
Uske shareer aur atma par chhaata gaya

Kalyuga ke maadey waqt mein bhi usey
Mili laukik janjaalon se mukti
Guruji ki leela se veh nikhar gaya
Unki bhakti se usey mili aseem shakti

Hum bhi Guruji mein hee ramm jaayein
Taaki Unki leela ka hum par ho asar
Hum bhi tarr jaayein aur mokshdaayee ho
Hamaari zindagi ka yeh safar

Guruji ne pukaara hai humko
Ek pal ka bhi na karein vilambh
Unki karuna aur kripa se karein
Jyotirmay jeevan ka shubh aarambh

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Samay Ki Hera Pheri (02/16/2019)

Yeh duniya aur ye duniya waalon ka nazaara
Chalchitr ki bhanti badalta rahega
Jo shaqs darshak bann jaayega
Veh anand se isey dekhta rahega

Jhooth ka sahaara lekar toh
Is duniya mein kaam shaayad chal jaayega
Lekin jhooth ke bal par koi bhi
Kabhi sachkhand ko nahin paayega

Kyunki asal khazaana Guruji ke paas hai
Unhee ke vash mein hamaari har shwaas hai
Baaki toh sab ek mayavee aadambar hai
Paani ki boond ki tarehn kshanbhangur hai

Kyun na hum sab Guruji ko
Prem aur shradha se yaad karein
Unke charnon mein jageh mil jaaye
Unse yeh fariyaad karein

Guruji ke simran se milegi shakti
Aur gupt sewa se nikhar jaayegi bhakti
Satsang mein Guruji ki mahima gaayein
Guruji ke dhyan mein magn ho jaayein

Jeevan yakeenan aasaan nahin hai
Guru kripa hee hamein mazboot banaaye
Varna karmon ki leela kaun jaane
Sahi samay kabhi aaye ya na aaye

Sach mein koi na samajh sakaa
Karmon aur samay ka hisaab
Lekin Guruji ke samaksh toh
Sabka hisaab hai khuli kitaab

Veh bhakt yakeenan sukhi reh sakta hai jo
Guruji ki madad se samay ko sahee banaaye
Guruji sach mein antaryaami hain
Unka koi vachan khaali na jaaye

Guruji ke nakshe kadam par chalte jaayein
Unke protsaahan se swayam ko mazboot banaayein
Haalaat toh jabb badlenge tabb hee badlenge
Tabb takk yoon hee samay kyun vyarth ganvaayein?

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Hain Sachche Meet (02/15/2019)

Guruji hee dikhaayein raasta
Unhee ki karuna se miley riddhi
Guru kripa se atma ho shuddh
Aur praapt ho ruhaani siddhi

Guruji ke vachan se milti buddhi
Aur rangg laati hai bhakti
Guruji ke naman se miley shanti
Aur kasht sehne ki shakti

Guruji se milta divya prem
Aur gyanmayee prakash
Guruji badhaayein sehensheelta
Aur dein paawan sakaash

Guruji ki leela se sach ho jaayein khwaab
Aur jeevan mein aaye khushi
Guruji ke prem se badh jaaye haunsla
Aur labh par aa jaaye hasee

Guruji ke satsang se uday ho ummeed
Andhere mein ho jaaye ujaala
Guruji mein hee bastaa hai Rabb
Aur Guru hee hai rakhwala

Guruji ke simran se miley protsaahan
Aur jaagey saanchi preet
Guruji se hee paayein hum manzil
Kyunki Guruji hain sachche meet

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dil Mein Basey Hain Guruji (02/14/2019)

Guruji ke sangg bandh gayi
Jabse atma ki doar
Tabse dikhaayee dete hain
Guruji hee chaaron oar

Jab se basey hain Guruji
Is nacheez ke dil mein
Buss, Unhee ki pooja hoti hai
Mann ke is mandir mein

Hain Devon ke Dev Guruji
MahaShiv ka hain avataar
Taarein Apni ek nazar se
Itna dayaalu hai Unka pyaar

Guru bhakti ke prem mein
Dhanya ho jaaye jeevan
Guruji ki divya chhavi se
Ujjwal rahei sadaa mann

Na suni jaati mujhse shikaayat Unki
Zindagi bann chuki hai ibadat Unki
Yeh jeevan hai buss inaayat Unki
Ab toh har saans aati hai lekar ijaazat Unki

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Saare Jahaan Mein Sabse Pyaare (02/13/2019)

Kalyuga ke kashmakash ki bela mein
Guruji hain hamaare ekmaatra sahaare
Laukik aakarshan ki bhaag daud mein
Hum apne dil ki shanti ko haare

Kisi ek ke nahin hain Guruji
Ve hain tumhaare aur hamaare
Hamein suraksha dene ke liye
Ve khadein hain Apni baahein pasaare

Hum insaanon ki koi aukat nahin
Hum toh hain karmon ke maare
Batwaara hua saagar ka aur dharti ka
Guruji dekh rahein hain ye nazaare

Guruji ne pyaar ka raasta hai dikhaaya
Par keval kuch hee samjhey Unke ishaare
Vikaaron ka vish kuch aisa hai phaila
Ke beemaar hokar sab huey bechaare

Toofan aisa hai aaya jagg mein
Kaise kisi ki kashti lagey kinaare
Kar dein kuch Guruji apni leela se
Ki bachh jaayein saare ke saare

Guruji na bhoolein ek pal bhi hamein
Kaash yeh mann kabhi na Unhe bisaare
Antaratma ko sukh aur chayn milta hai
Ab toh sirf Guruji ke dwaare

Aao sab chalein neki ki dishaa mein
Jahaan Guruji ka pyaar hamein pukaare
Saare jahaan mein sabse pyaare
Humko laagein Guruji hamaare

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Udhdhaar Kijiye Hamaara (02/12/2019)

Kalyuga ka samay hai aaya
Ghabraa raha insaan
Haath thaam lijiye hamaara Guruji
Aap hain hamaare Bhagwaan

Bahut bhatke hain hum sach mein
Ho gaye hain hum pareshaan
Ab hamaari vinti sweekaariye
Ab aur na lijiye imtehaan

Paap kiye hain hum sabne
De dijiye kshama ka daan
Jaise bhi hain hum, hain Aapke bachche
Kripa kar hum par rahiye meharbaan

Apni antaratma ko roshan kar lein
Samaa kar usme Aapka diya hua gyan
Sewa Simran satsang mein jeekar
Rakhein hameshaan Aapka maan

Kitna achchaa ho jaaye agar
Vikaaron ka na rahey naamo nishaan
Har oar ho pyaar aur shanti
Har jann mein basey nivaan

Guruji Aapko samarpan kar dein
Hum yeh jeevan aur yeh jaan
Achche aur burey ki humko
Aapki kripa se ho pehchaan

Aap par kar ke poorna vishwaas
Aapka kehna jaayein maan
Udhdhaar kardijiye hamaara
Taaki hum paa sakein nirvaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja