Param Poojya Pooran Guruvar (08/24/2022)

August 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1648

       Param Poojya Pooran Guruvar

Jee chaahe ki bina vilamb
Guruji kee mahima ka gungaan karoon aarambh
Kahaan se karoon shuru aur khatm karoon kahaan
Yeh sochte sochte beet jaayega saara samaa.

Isliye abhi sehaj tareeke se kehti hoon
Guruji ke prem mein nadi kee tareh mai behti hoon
Unkee mahima hai aparampaar
Ve sab bhakton ko dete Hain taar.

Roop se skandit hoti hai shanti
Mukh par Unke mahaan Kanti
Mandd mandd muskaan
Leela anokhi aur mahaan.

Anant gyan kee Hain Ve khan
Guruji karunanidhaan
Karuna ke kunj
Prem ke punj.

Virat hai Unka roop
Komal hai Unka swaroop
Padma dono charan mein
Har sukh Unkee sharan mein.

Maa kee mamta
Leela mein sarv kshamtaa
Pita ka dulaar
Sangat ke liye pyaar.

Bhakton ke adheen
Noor Unka nirmal naveen
Peeron ke peer
Agam agochar abir.

Kshamasheel dayaavaan
Sampoorna adhyatmik gyan
Divya aur dayalu hai jinka dar
Ve Hain param poojya Pooran Guruvar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Param Poojya Pooran Guruvar (08/24/2022)

Zindagi Ko Jee (08/23/2022)

August 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1647

     Zindagi Ko Jee

Tu hai Guruji kee sharan mein
Samarpan kar Unke kamal charan mein
Guru hee kaam aate Hain sankat haran mein
Ve tere saathi Hain janam aur maran mein.

Sabr rakh
Langar prasad chhak
Amrit pee
Zindagi ko jee.

Sirf saansein lena hee nahin hai zindagi
Ismein shaamil kar har pal tu bandagi
Apne gunaahon par mehsoos kar sharmindagi
Tujhe milegi Guruji kee bakhshindagi.

Har uljhan jo tere zehen mein chal rahi hai
Usey Guruji suljhaayenge
Har veh samaadhaan jo tujhe dikh nahin raha
Guruji tujhe dikhaayenge.

Guruji kahein β€˜aish kar’ aur β€˜banda bann’
Chhalka tu apne vyavhaar aur vichaar mein insaaniyat ke gunn
Bhog bhogta chal, achche se jee jeevan
Lekin bhog mein aasakt na kar apna mann.

Aasakti aur moh ka vikaar phir tujhe nahin sataayega
Koshish karega tu toh anya vikaaron par bhi vijay paayega
Guruji dekh rahe Hain tera sabr
Tu Unka Shukrana kar
Na baith haath par haath dhar
Unke naam se sajaa apna swar.

Guruji ka diya amrit aur langar prasad
Shuddh karega tere dil ka har jazbaat
Yeh maanav jeevan mila hai itnee yooniyon ke pashchaat
Shukraguzaar ho ki tujhe mil paayi hai ye daat.

Chauraasi lakh yooniyan kar rahi hain intazaar
Ki kisee tareh se tu gir jaaye abb kee baar
Taaki ve phir se phansaa lein tujhe apne jaal mein
Aur tu pachhtaaye apne bigde huey haal mein.

Lekin Guruji kar rahe Hain intazaar
Ki tu badhaaye bandagi mein shraddha aur pyaar
Aur Ve bakhshein tujhe baarambaar
Taaki tera hota chale uddhaar.

Teri atma kee janmajaat hai pavitra
Uskee sampannata ke liye aawashyak hai tera sucharitra
Tera saubhagya hai ki Guruji Hain tere mitr
Tu sab Unpar chod de, bilkul bhi na kar tu fikr.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Zindagi Ko Jee (08/23/2022)

Guruji Ne Kaha Thaa (08/22/2022)

August 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1646

             Guruji Ne Kaha Thaa

Guruji ne kaha thaa
Aane wala hai bahut maada samay
Naam ka japp aur paath zaroori hai
Ismein nahin hai koi sanshay.

Aa gaya hai veh samay maada
Naam ka simran hee hai ekmaatra sahara
Guruji ne hamein Apne dwaar par hai pukaara
Chamka hai hamaari kismat ka sitaara.

Kalyuga ke ghor tufaan mein
Panaah milee hai hamein naam mein
Yahee raksha karega har kaam mein
Subah mein aur shaam mein.

Phir bhi na jaane kyun hum japp nahin paate
Khaaskar jabb jeevan mein sankat hain aate
Isliye swayam ko yaad dilaayein
Aur apne japp, simran, aur paath ko badhaayein.

Sukh mein naam, dukh mein naam
Yahee dega antakaran ko aaraam
Jeevan beshak bann jaaye sangraam
Guruji ke naam mein hai shakti mahaan.

Kalyuga mein naam hai maansik shanti ka hal
Isee se badhega gyan aur atmabal
Awashya katenge museebaton ke pal
Har shwaas se, har kadam pe, aye bande, tu naam japta chal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ne Kaha Thaa (08/22/2022)

Upaay Hamaare Uddhaar Ka (08/21/2022)

August 21, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1645

       Upaay Hamaare Uddhaar Ka

Na karein kabhi bhi khushi par gumaan
Ye nahin hai anant
Apne gumm mein na khoyein apni muskaan
Is gumm ka zaroor hoga antt.

Na khushi, na gumm sthaayi hai
Ek ke aane se aksar hoti doosre kee vidaayee hai
Ye toh Guruji kee vaddi vadiyaayee hai
Ki hum bhakton kee raah Unhonei Apne ashirwaad se sajaayee hai.

Guruji swayam par le lete Hain
Hamaare karmon ka adhiktar parinaam
Aur sehensheelta tatha manobal badhaate Hain
Dekar simran ka anmol daan.

Karte Hain har pal Ve hamaara kalyaan
Shubhchintak Hain hamaare, Hain karunanidhaan
Jaise jaise abhyast hota hai hamaara simran aur dhyan
Vaise vaise Guruji dete Hain hamein asal dhan aur gyan.

Jaise jaise gyan ke prakash se
Pradeepak hota hai jeevan ke har pehar ka
Vaise vaise hum saamna kar sakte hain Badalte manobhaav kee har leher ka.

Samvritti badhti hai mann kee
Sweekriti hoti hai parivartan kee
Vishayon ka parityaag hota jaata hai aasaan
Sukh dukh, khushi gumm sab lagne lagte hain ek samaan.

Hamein milta hai Guruji ka ashish har pal aur Unkee deeksha ka uphaar
Har paristhiti mein hamein milta rahega Unka pyaar
Kabhi antt na hoga Unke pyaar ka
Unke pyaar mein hai upaay hamaare uddhaar ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Upaay Hamaare Uddhaar Ka (08/21/2022)

Bhakton Ka Har Shwaas (08/20/2022)

August 20, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1644

            Bhakton Ka Har Shwaas

Poojya Guruvar,

Bhakton ka har shwaas hai Aapka ashirwaad
Ann ka har daana hai Aapka diya hua prasad
Roam roam hai Aapke anugreha se aabaad
Kuch nahin hai Aapse pehle ya Aapke baad.

Aapse hee prerna insaaniyat kee
Aapse hee chetna ruhaaniyat kee
Aapse hee daat ibadat kee
Aapse hee yathaarthata hifazat kee.

Aapka noor phaylaa hai har oar
Usee se agyan ke timir mein dikhegi gyan kee bhor
Bin kuch boley, bin jataaye, bin kiye shor
Aapne sneh se thaami hai bhakton ke jeevan kee doar.

Aapki chuppi bhi kehti hai baat kalyaan kee
Aapki goad mein hai panaah Aapki har santaan kee
Aapse bakhshish miltee hai simran aur dhyan kee
Aapke naam ke deepak se jalti hai jyot gyan kee.

Aapki mehar se veh soorya uday hota hai jo thaa kabhi dhalaa
Aapki sakaaraatmakta har nakaaraatmakta ko deti hai jalaa
Katt jaati hai badi se badi balaa
Aapki leela mein hai bhakton ka bhalaa.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhakton Ka Har Shwaas (08/20/2022)

Tera Kiya Hua Guru Vandan (08/19/2022)

August 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1643

           Tera Kiya Hua Guru Vandan

Chinta na kar
Buss, apna karma kar
Baaki sab chod de Guruji par
Ve awashya karenge mehar.

Tu buss apni bhakti ko nikhaar
Unke ashish se apni rooh ko sanvaar
Unka naam japp tu baar baar
Is se hoga teri rooh ka shringaar.

Guruji jaante Hain tera haal
Unka naam hai teri suraksha kee dhaal
Bina koi shart, bin koi sawaal
Ve rahe Hain tujhe sambhaal.

Shraddha aur prem bhavna se
Anjaan hokar baaki har kaamna se
Karta chal tu apne bheetar ka sringaar
Apne naam ka gehna de rahe Hain tujhe Guru sarkaar.

Guruji ke naam ke is aabhushan se
Sajaa le tu apna antakaran
Chinta chod ke karta chal tu chintan
Dekhna, rangg laayega tera kiya hua Guru vandan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tera Kiya Hua Guru Vandan (08/19/2022)

Janamashtami Hai Aayi (08/18/2022)

August 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1642

            Janamashtami Hai Aayi

Janamashtami Hai Aayi
Har oar madhur prem kee bajey shehnaayee
Vinamrata ka paigaam hai laayi
Sabhi ko ho bahut bahut badhaayi.

Vishnu ji ke aathvein avatar
Mathura mein janme pyaare Bal Gopal
Devaki aur Vasudev ka dhanya hua janam
Vasudev ne Unhe Gokul le jaane ka kiya karam.

Nanda aur Yashoda ne Krishna ji ko goad liya
Aur Krishnaji ne apne bhakton ka kalyaan kiya
Dushta-taa ka kiya antt
Baney sabke priya Bhagwant.

Pyaare se maakhan chor
Jinkee mahima phaylee chaaron oar
Aaj bhi Govinda pathak ka samudaayak kaaryakram
Badhaata hai utsaah ka spandan.

Ek doosre ke sehyog se
Oopar chadh kar handi todta hai yeh mandal
Aaspaas utsav ke geet hain chalte
Mehsoos hota hai har mann mein mangal.

Sabko milta hai maakhan aur dahi ka prasaad
Panjeeri aur charnaamrit se praapt hota hai ashirwaad
Bin aasakti ke bhog bhogne ka milta hai sandesh
Ekta se jeene kee prerna jaagrit rehti hai, mitaakar har tareh ka dvesh.

Krishna Ji Bhagwaan bhi Hain aur Guru bhi
Bhagwad Gita ke dwaara adhyaatmik deeksha Unhonei hai dee
Kitna shubh din hai aaj punah vichaar ka
Isey avsar maanein sudhaar dwaara uddhaar ka.

Ahem kee haandi ko hum todein
Swayam ko divyata se hum jodein
Khud jeeyein aur doosaron ko bhi jeene dein
Srishti ke sakaraatmak poshan mein yogdaan dein.

Ekta aur samanjasya ka karein apne vichaar aur karmon mein samaavesh
Guruji hamaare bhi dete Hain yahee aadesh
Gokul ashtami ke paawan parv par swayam ko ye yaad dilaayein
Aur Guruji ke dikhaaye raaste par hum chalte jaayein.

Simran karein, karein hum dhyan
Karein satya ka sangg
Samarpan karein, karein gupt daan
Apnaayein gupt paath, Shukrana, aur gupt sewa ka dhangg.

Karte rahein Krishna ji mein basey Guru aur Guru mein basey Krishnaji ka dhanyawaad
Jinke ashish bin na reh sakey bhakt ka jeevan aabaad
Guru hee Govind, Guru Hain pooja
Guru Hain hamre Thaakur, aur koi na dooja.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Janamashtami Hai Aayi (08/18/2022)

Aap Mein Basein Hain Nirankaar (08/17/2022)

August 17, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1641

    Aap Mein Basein Hain Nirankaar

Pyaare Guruji,

Mann mein bhi Aap
Aap hee mann ke paar
Aap dhadkan ka aadhaar
Aap dhadkan ke bhi paar.

Zindagi chale Aapke hukm ke anusaar
Taaki simran bina koi pal na jaaye bekaar
Satsang aur sewa ke avsar milein baarambaar
Aapki mehar aur karunadrishti de hamein taar.

Jabb takk is shareer mein saansein hain barkaraar
Badhta jaaye dil mein Aapke prati pyaar aur satkaar
Hota rahe Aapke divya roop ka deedar
Swapn mein, saakshaat, ya chaahein Aap jis bhi prakaar.

Aapke gunn gaata hai ye saara sansaar
Meri aukat yahee ki mai keh paaoon kewal shabd do-chaar
Kripa keejiye aisee ki mai Aapka gungaan karoon baar baar
Aur gungaan mein gaaoon Aapki mahima aparampaar.

Kitne toh sukoon kee talaash mein ghoome saara sansaar
Aur Apne bhakton ko sukoon dene ke liye Aapne khol diya Apna dar aur dwaar
Aapki sharan mein honei lagaa Aapke bhakton ka uddhaar
Aapke charnon mein teerath hai, Aap mein basein Hain Nirankaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aap Mein Basein Hain Nirankaar (08/17/2022)

Thoda Ruk Kar, Thoda Jhuk Kar (08/16/2022)

August 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1640

       Thoda Ruk Kar, Thoda Jhuk Kar

Maansik taur par
Thoda ruk kar
Thoda jhuk kar
Kalyaan hota hai aksar.

Kaun jeeta kaun haara
Ye shabd judey hain haar aur jeet se
Shanti kee oar jaana hai toh
Inhe chod kar judna hoga preet se.

Krodhit hokar durbhaav paalna
Is se kalankit hogi apni hee atma
Guru ke maargdarshan se aatmabodh kar
Ho jaayega har anuchit soch ka khaatma.

Is jeevan ko aise jeeyein
Ki yahee bann jaaye pichhle kukarmon ka praayashchitt
Aise praayashchitt mein hai swayam ka hitt
Kyunki is se atma ke kalank jaayenge mitt.

Guruji ke aadesh dwaara karna hai simran aur dhyan
Is se pavitrikaran hoga aur hoga kalyaan
Thoda ruk kar, thoda jhuk kar jo laabh hoga praapt
Uss se mit jaayega aaj aur kal ka maansik santaap.

Guruji ke hukm ko maanein
Unmein basey Ish ko pehchaanein
Apne kalyaan kee oar kadam badhaane ka mila hai avsar
Buss, thoda ruk kar, thoda jhuk kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Thoda Ruk Kar, Thoda Jhuk Kar (08/16/2022)

Patjhad Ka Mausam (08/15/2022)

August 15, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1639

             Patjhad Ka Mausam

Patjhad ka mausam jabb aata hai
Pedon se patte jhadne lagte hain
Hawaa ke zordaar jhonkon ke aane se
Ve idhar udhar bikharne lagte hain.

Jis mitti ke poshan dwara ped par phal, phool, patte aate hain
Uss mitti mein girey huey pattey vaapis usee mitti mein samaate hain
Lekin uss se pehle na jaane kitnee baar
Logon ke pairon ke taley kuchle jaate hain.

Jo thode se patte ped par reh jaate hain
Ve hawaa ke vaig se nahin ghabraate hain
Ve ped ko hee aasara banaate hain
Aur jeevan bhar ped ka shukr manaate hain.

Guruji Hain jaise ek vishal taruvar
Hum patton kee bhanti hain Unpar nirbhar
Waqt ke mausam ka patjhad aata hai jabb
Anek bhakt Guruji ka dar chod jaate hain tabb.

Guruji, kripa keejiye hum par
Ki jabb bhi aaye jeevan mein patjhad
Hum patton par na ho uska asar
Aur na chhootey kabhi bhi Aapka dar.

Sada kaayam rahe hamaara Aap par vishwaas
Har mausam mein hum mein rahe Aapka pyaar paane kee pyaas
Aap taruvar, hum pattey, Aap Swami, hum das
Aapke naam se susajjit rahe hamaara har shwaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Patjhad Ka Mausam (08/15/2022)