Jaagriti Ka Deedar (06/25/2022)

June 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1588

                  Jaagriti Ka Deedar

Jis jaagriti ka tujhe hai intazaar
Veh pehle se hee hai tere bheetar maujood
Darasal tujhe intazaar hai uske ehsaas ke honei ka
Taaki tu mehsoos kar paaye uska vajood.

Isliye baahar mein khud ko na kho
Jaagrit hai tu, gehen nidra mein kyun raha hai so?
Jaagriti ka deedar kar
Jaakar swayam ke bheetar
Guruji kee kripa hai tujhpar
Na chod koshish ka koi bhi avsar.

Guruji toh Hain itne udaar
Kehte Hain ki chodna nahin hai ghar-baar
Bhog bhog kar khush rehna hai
Aur dil se Unhe Shukrana kehna hai.

Unke kahe anusaar sunn sunn kar Gurbani
Sanvarti gayi hai kitnon kee zindagaani
Duniya bhautikvaad kee hui hai deewani
Virlon ne asal dhan kee ahamiyat hai jaani.

Agar tu paana chaahta hai asal dhan
Toh ekaagrachitt kar le apna mann
Dincharya ke saath saath karta chal simran
Bhool matt ki kewal mehmaan hain tann aur bhautik dhan.

Yaad rakh har pal ki karmon ka katna hai zaroori
Isee se kumm hogi teri atma kee Paramatama se duuri
Tera yeh janam toh kewal ek pehlu hai teri atma ke safar ka
Aur is safar ka anjaam mohtaaj hai har pehlu ke asar ka.

Doojon ke karam par tera zor nahin
Tu buss apni oar se apne karam rakh sahi
Jo koi nahin dekh sakta veh Guruji toh dekhte Hain yakeenan
Apne har bhakt par Unkee nigaah rehti hai har kshan.

Beete huey janam aur pehlu nahin tere vash mein
Isliye is janam ko bita de tu poori koshish mein
Ki Guruji ka hukm maan kar tu jaaye tarr
Aur sankishpt ho sakey atma se Paramatama ka tera safar.

Apni har soch, apni har kriya mein reh sachet
Kathin hai, par koshish kar sabhi mein divyata ko dekh
Simran, dhyan, sadhna ko banaa jeevan ka niyam
Anaasakt pyaar ka prayaas kar, nibha tu daya, gupt daan aur sewa ka dharam.

Tu mehsoos kar paayega khud ko jaagrit
Kisee bhaar ke taley na dabega tera chitt
Teri har saans mein hoga shukrana aur samarpan
Tera sukh dukh hoga Guru charnon mein arpan.

Jaagriti se tera yeh deedar
Aasaan karega tera pahunchna uss paar
Jahaan takk pahunchna zaroori hai
Agar mitaani atma kee Paramatama se duuri hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jaagriti Ka Deedar (06/25/2022)

Kar Lein Simran, Aur Kar Lein Dhyan (06/24/2022)

June 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1587

 Kar Lein Simran, Aur Kar Lein Dhyan

Guruji chaahein hum karein simran aur dhyan
Inmein hai har samasya ka samaadhaan
Jabb lagey mann hai veeraan
Kar lein simran, aur kar lein dhyan.

Jiskee manzil ho param gyan
Jisey hai apne Guru ka sammaan
Jo jaanta hai ki har shwaas hai anmol daan
Veh karte huey divyata ka maan
Awashya karega simran aur dhyan.

Abaadh kram mein hain simran aur dhyan
Ek dooje se bhinn nahin hai inka parinaam
Ek saatatya sa banta hai jabb ho jaata hai simran karte karte dhyan
Jitna karein, anand milta hai mahaan.

Simran aur dhyan se tarr sakta hai har insaan
Guruji kee kripa se hum na rahein is tathya se anjaan
Isee ke abhyaas se chhootega jhootha abhimaan
Varna jokhim mein hee rahegi hamaari jaan.

Kyunki jabb takk vikaar rahenge soch aur vyavhaar mein pradhaan
Tabb takk chitt rahega pareshaan
Kyunki aasakti na honei degi saavdhaan
Aise mein kaise milega mukti ka mukaam?

Isliye adhyaatmik udaan ke dauran
Dene hongei zindagi ke imtehaan
Apne bheetar mein advait kee karni hogi pehchaan
Karte huey simran aur dhyan.

Guruji toh Hain karunanidhaan
Karna chaahte Hain hamaara kalyaan
Isliye jabb takk hain tann mein praan
Guruji kee mehar se hum kar lein simran, aur kar lein dhyan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kar Lein Simran, Aur Kar Lein Dhyan (06/24/2022)

Kal Aaye Ya Na Aaye (06/23/2022)

June 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1586

 Kal Aaye Ya Na Aaye

Kya maalum kal aaye ya na aaye
Hamaari is zindagi mein
Isliye kyun na har saans se simar lein
Guru Govind ka naam hum bandagi mein.

Koshish karein ki kumm se kumm pal hon aise
Jabb sir jhukaana pade sharmindagi mein
Guruji ne banaaya hai hamaare liye ye aasaan
Kyunki Ve dariyadil Hain bakhshindagi mein.

Kya maalum kal aaye ya na aaye
Miley ya na miley priya janon se kehne ka avsar
Ki ve hamein pyaare hain
Isliye keh dein mauka miley jis pal.

Sudhaar lein apne vichaar aur apna vyavhaar
Beete kal kee maayusi se na mehsoos karein laachaar
Aane wale kal ke liye na himmat dein haar
Lekin yaad rakhna na bhoolein baar baar
Ki is janam maran ke khel mein
Koi insaan na bach paaye
Karmon kee is heir-pher mein
Kal aaye ya na aaye.

Veh daan jo mann mein hai ki karenge agley saal
Usey gupt rakh kar kar dein bin kisee sawaal
Veh khaami apni, jis se waakif hain hum
Uspar kaam karna aaj, balki abhi kar dein aarambh
Jaane anjaane mein kee hain jo gustaakhiyan
Maang lein Guruji se is pal hee kshamaa
Baad mein na ye dil pachhtaaye
Kya maalum kal aaye ya na aaye.

Kya maalum hamaare jeevan mein
Kal aaye ya na aaye
Agar ye soch kar mann ghabraaye
Toh mann ko har koi samjhaaye
Ki ye pal bhi hain paraaye.

Miley Hain ye pal udhaar par Nirankaar se
Taaki inhe jeene mein hum khud ko sanvaar lein
Guruji kee mehar se inka sadupyog karein satkaar se
Unhonei diye Hain hamein ye pal bade pyaar se.

Aaj se shubh koi din nahin
Abhi se shubh koi pal nahin
Kyunki aaj aur abhi hai vash mein hamaare
Bahut fark padta hai ki hum inhe kaise guzaarein
Kya maalum is safar mein
Kal aaye ya na aaye
Is kshan mein jee lein sahi tareh se
Taaki abb bhi baat bann jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kal Aaye Ya Na Aaye (06/23/2022)

Pradhaanta (06/22/2022)

June 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1585

                       Pradhaanta

Beete huey kal mein jo bhi hua
Uspar toh tera zor nahin
Lekin aane wale kal ke liye tu kuch na karey
Tu itna kamzor nahin!

Isliye Guruji ka lekar tu naam
Karta chal apna kaam
Jin galatiyon ka ho gaya hai tujhe ehsaas
Unhe doharana matt
Guruji tere bheetar aur angg sangg Hain
Ve denge tujhe sumat.

Ho sakta hai tujhmein ho koi vikaar
Usey tyaagne ka kar prayatna
Har soch aur kaarya mein sachet rehkar
Uss vikaar ko duur karne ka kar tu yatna.

Ho sakta ki tu aisa insaan ho
Jiskee nekneeyati ka faayda uthaate hon loag
Toh swayam ka atmabal yoon badha
Ki tujhe doojon kee vajeh se thaise ka na karna padey bhog.

Agar teri oar se mehnat ya shraddha thi kumm
Toh sudhaar ka sachet prayaas kar bin kiye gumm
Guruji bahut dayaalu Hain, zaroor dete Hain sudharne ka avsar
Buss, tu Unke har hukm ko rakh sir aankhon par.

Laparwahi ya dvesh ya aalasya agar hai tere vyavhaar mein
Toh unhe badhaava na de bekaar mein
Kyunki anmol hai zindagi ka har pal
Har pal agley pal bann jaata hai beeta hua kal.

Guruji toh vaastavik jeevan jeene ke liye kehte Hain
Unhe yakeenan na bhaata hoga jabb hum anyaaya karte ya sehte hain
Aur agar tujhe grast kar rahe hain karmakaand aur andhvishwaas
Toh Guruji kee kripa se inse kamzor na kar apne shwaas.

Balki har shwaas ko simran se sajaa le
Har shwaas se Guruji ka naam lekar usey shaktishali banaa le
Gupt paath, sewa aur daan kar
Ruhaani vimaan mein udaan bhar
Khud bhi jee doojon ko bhi jeene de
Kisee aur ko apna sukh chayyn na chheen-ne de.

Jisey kadar hai tere pyaar kee, uske saamne vyakt kar pyaar
Har kisee ko duayein deta chal, iska bahut zarooratmand hai saara sansaar
Tu karta chal apni atma ka poshan
Na karne de kisee ko apna shoshan.

Apni kee gayi galatiyon ke liye maang le kshamaa
Sakaaratmak soch se sudhaarta chal aaj ka samaa
Is se tera aane wala kal hoga guzare huey kal se behtar
Na chod apni oar se koshish karne ka tu koi bhi avsar.

Duniya toh tujhse ek pal khush hogi aur dooje pal naaraaz
Tera rishta Guruji aur ruhaaniyat ke sangg sada hoga tere kalyaan ka raaz
Kyunki is se kal milega jo sukh, uskee nahin hai koi samaantaa
Isliye β€˜banda bann’ aur apne aaj aur aane wale kal ko deta chal pradhaantaa.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pradhaanta (06/22/2022)

Satyuga Ka Sooraj (06/21/2022)

June 21, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1584

               Satyuga Ka Sooraj

Satyuga ka thaa sundar saaz
Lekin kewal Ishwar ko maalum thaa raaz
Ki tretayuga, dwaapar aayega uske baad
Aur phir hoga kalyuga aabaad.

Chandd aksharon ka fark hai
Aabaad aur barbaad mein
Lekin pehle se dooje takk pahunchne ka chhota hai safar
Jabki dooje se pehle par vaapis lautne mein
ho jaata hai yugon ka asar.

Kyunki oonchaayee se girne mein waqt nahin lagta janaab
Jab ki oonchaayee takk pahunchne mein umr beet jaati hai
Aisa hee hota hai adhyatmik safar mein bhi
Jo safal ho jaaye toh hee atma sukh paati hai.

Adhyatmik safar mein vifalta kalyuga mein hai prabal
Kyunki bhautikvaad aur vikaaron se kumm hua hai atmabal
Baahar se jo lagta hai aksar roab wala
Veh ruhaani taur par hota hai nirbal.

Ye satya hai ki bahut unnati laaya hai vigyaan
Lekin phir isee se badh gaya hai β€˜mai’ aur abhimaan
Swayam ko karta maan kar
Samarpan aur neevanpann bhool baitha hai insaan.

Kalyuga kee beshak hai ye hawaa
Lekin dua se badi nahin ho sakti dawaa
Dua ka veh spandan hai is baat ka gavaah
Jiske prabhaav se kaam karti hai dawaa.

Isee hawaa mein jaise jaise badhta rahega
Niswaarth sewa, aur simran ka spandan
Jaise jaise is hawaa par asar karega
Guruji kee mahima ka gungaan aur Unka vandan
Vaise vaise hawaa mein sakaaraatmak oorja ke badhne se sudhartaa jaayega spandan.

Guruji Hain itne mahaan
Ve chaahein hum karein gupt sewa, paath, aur daan
Na aaye hum mein abhimaan
Aur neeven rehkar hum banein changey insaan.

Adhyaatmikta aur ahankar bann nahin sakte meet
Ahankar tyaagna zaroori hai agar nibhaani hai Guruji se preet
Vikaaron aur paapon se peedit hai saara sansaar
Ismein ahankar hai bahut bada gunehgaar.

Jeevan saadaa aur saral banaayein agar hamein hai tarna
Guruji sangg Hain, phir kaisa darna
Apna farz nibhaate huey gehra karein bhakti ka rangg
Shraddha aur saboori se chalein waqt ke sangg.

Waqt ka jharna toh behta jaayega
Satyuga zaroor laut kar aayega
Srishti ke is parivartan mein kyun na dein hum apna yogdaan
Adhyaatmik oonchaayee haasil karne kee koshish karein tyaagkar abhimaan.

Yeh karna mumkin nahin divyata ka saath chod kar
Guruji hamein manzil takk le jaayenge aur saath rahenge har moad par
Raasta banta chalega vikaaron kee har baadha ko toad kar
Satyuga ka sooraj phir se uday hoga adhyaatmik oonchaayee kee bhor par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Satyuga Ka Sooraj (06/21/2022)

Shukrana Ka Saaz (06/20/2022)

June 20, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1583

               Shukrana Ka Saaz

Sooraj ko aksar chhipa dete hain baadal
Kalyuga ke kolaahal mein aksar kho jaata hai raajal
Ashruon mein aksar beh jaata hai naynon ka kaajal
Aksar chhota lagne lagta hai akash ka aanchal.

Lekin iska arth ye nahin ki sooraj ya raajal hain hee nahin
Aur kaajal bilkul hai unn mein, jo ashrudhaaraayein hain bahi
Akash ka aanchal toh hai anant
Buss, ashruon ka nahin ho raha hota hai antt.

Bodh aur anubhav kaisa hai
Karta hai ye sab uspar nirbhar
Paristhiti mein pratikriya jaisi hoti hai
Vaisa hee dekhti hai nazar.

Bahurangi yeh jagg hai
Sabhi ka nazariya alag hai
Kisee mein zyada hai sehensheelta, kisee mein kumm
Kisee ko kumm mein bhi santosh hai, aur kisee ko zyada bhi prateet hota hai kumm.

Guruji Shukrana ka paath padhaate Hain
Shukrana mein hee hai santosh ka raaz
Jitnee kumm shikayat karenge
Utna madhur hoga Shukrana ka saaz.

Santosh mein sukh aur tripti ka sangam hai
Santosh mein Shukrana ke geet kee sargam hai
Apni oar se karein sachchi mehnat
Aur aadar se sweekaarein Guruji kee rehmat.

Har niraasha mein bhi paayenge
Hum ummeed kee kiran
Baadal ke peechhe chhipe sooraj ka Anubhav kar paayega mann.

Ashruon mein bahe kaajal ka aur kalyuga ke kolaahal mein khoye raajal ka
Hoga hamein anubhav aur ehsaas
Guruji kee mehar se is ehsaas aur santosh ko protsaahit karega
Hamaare mukh aur mann se nikla Shukrana ka saaz.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shukrana Ka Saaz (06/20/2022)

Pita Ka Paawan Pyaar (06/19/2022)

June 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1582

Pita Ka Paawan Pyaar

Mai na jaanoon kab Guruji ne Apne charnon se lagaaya
Lekin ye jaanoon ki tabb se yakeenan mera naseeb jagmagaaya
Shukrana Unka ki mere jeevan mein veh suhela vela aaya
Kitne kashton se toh mere bin jaane hee yakeenan hai Unhonei mujhe bachaaya.

Beemari mein dheeraj bandhaaya
Kitne roagon ko duur bhagaaya
Udaasi mein hansna sikhaaya
Mere har ghaav par mamta ka marham lagaaya

Duniya ka aslee roop dikhaaya
Girne lagi toh himmat dee aur uthaaya
Mann kee har uljhan ko suljhaaya
Mere karmon ka adhiktar bhaar uthaaya.

Andhere mein nidarr hona sikhaaya
Roshni ka raaz bataaya
Duvidha hui, toh duur karna samjhaaya
Har haalaat mein saath nibhaaya.

Aansuon ke baavjood muskuraana sikhaaya
Museebaton mein aagey badhne ka utsaah dilaaya
Dete hee rahe par kabhi na jataaya
Meri har zaroorat aur chaahat par gaur farmaaya.

Thakk gayi jabb jabb duniya kee dhoop se
Apni goad kee thandi chhaaon mein bithaaya
Jabb jabb neend na aa rahi thi mujhe
Simran karvaakar mujhe sehlaaya.

Insaaniyat ka paath padhaaya
Ruhaaniyat ka raasta dikhaaya
Satsang mein bulaaya
Prasad khilaaya, amrit pilaaya.

Asal dhan se parichit karvaaya
Thode samay mein adhik karmon ka bhugtaan karaaya
Kitnee saari sangat se milvaaya
Ghar parivaar ka mahatva bataaya.

Aish se jeevan jeena sikhaaya
Befikr, beparwah honei ka nuskha bataaya
Samarpan karna yaad dilaaya
Mujh par daya kar mujhe sewa mein lagaaya.

Mai toh is sabke kaabil bhi nahin thi
Phir bhi Guruji ne diya hai aisa anokha dulaar
Ki Unhee mein paaya mainey Ishwar ko
Aur Unhee mein paaya mainey pita ka paawan pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pita Ka Paawan Pyaar (06/19/2022)

Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna (06/18/2022)

June 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1581

 Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna

Mere pyaare Guruji,

Aankhon mein yoon samaaye Aapka roop
Ki sheetalta ko kumm na kar paaye kadak se kadak dhoop
Hriday mein yoon viraajmaan hon Aapke kamal charan
Ki har dukh ka is sukh ke sahaare ho jaaye haran.

Naasika mein Aapki ruhaani khushboo ka yoon ho samaavesh
Ki hamesha ke liye hota rahe uska saanson mein pravesh
Aise dhanya ho jaayein tvachaa ke roam chhidr Aapke ruhaani spandan se
Ki usee spandan se nimagn hokar mai tarti jaaoon Aapke chintan se.

Kaanon mein aise goonjti rahe Aapki awaaz
Ki veh bann jaaye maargdarshan ka raaz
Labhon par yoon rahe sada Aapki mahima ka gungaan
Ki jeevan bann jaaye Aapke gungaan kee dastaan.

Aise kar paaoon mai Aapka simran
Ki vyarth ke khayaalon se vichlit na ho mann
Sewa, paath, aur daan ho paaye vaisa
Aapko lagta hai achchaa jaisa.

Meri awaaz Aapke Shukrana aur stavan ke geet aur satsang aise sunaaye
Jaise jharne ka nirantar bahaav paani ka paraakram dikhaaye
Rasna par aise aata rahe Aapka naam
Ki Aapke naam mein khokar mai ho jaaoon khud ke liye bhi gumnaam.

Sir aankhon par ho Aapka hukm
Bhool kar har zulm aur zakhm
Pairon ke taley yoon dabb jaaye jo bhi ho ghamand
Ki veh sada ke liye mitti mein ho jaaye dafan.

Mera wajood, meri saansein, meri atma
Sabhi par Aapka noor, Aapki hukoomat chhaa jaaye, mere Paramatama
Astitva kee bhautikta ka yoon ho jaaye khaatma
Ki safal ho jaaye mera adhyaatmik safar aur sadhna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna (06/18/2022)

Samasya Ka Pehar (06/17/2022)

June 17, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1580

  Samasya Ka Pehar

Beeta jaa raha hai samasya ka pehar
Aane hee wali hai samaadhaan kee sundar sehar
Har pehar mein samaayi hai waqt kee lehar
Jisey aabaad karti hai Guruji kee mehar.

Guruji kee tu baat kar
Guruji se tu baat kar
Sakaratmakta atmasaat kar
Insaaf tu apne saath kar.

Jis tareh se tujhe pata nahin chalta
Ki kab baadal jal se jaate hain bhar
Aise hee tujhe shaayad maalum nahin hai chal raha
Ki tu Guruji kee kripa se har pal hai tarr raha.

Ye samasyaayein toh tu jaanta hai
Lekin kitnee aur hain jinse tu hai anjaan
Guruji tujhe pataa bhi nahin lagne dete
Aur karte rehte Hain tera kalyaan.

Bahuton se achchaa hai tera haal, na tu chod muskuraana
Rakhta chal shraddha aur karta chal shukrana
Bharta chal pichhle karmon ka jurmaana
Paata chal kalyaan ka khazaana.

Chinta hai chita samaan
Tu yeh jaan aur maan
Guruji Hain mahaan
Unke paas hai har samasya ka samaadhaan.

Isliye chinta chod kar tu Unka chintan kar
Sachche dil se tu Unka stavan kar
Apne har bhakt kee har samasya par Guruji de rahe Hain dhyan
Tu kis kis haalaat se guzar raha hai, Unhe hai iska poora gyan.

Teri har samasya ka hoga hal
Isliye na reh tu udaas
Teri shraddha zaroor hogi safal
Tu Guruji par kar vishwaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Samasya Ka Pehar (06/17/2022)

Tu Tayyr Paayega Is Kadar (06/16/2022)

June 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1579

Tu Tayyr Paayega Is Kadar

Andhere kee gehraayee mein doobne se na darr
Zindagi ko jee le, yoon jeete jeete toh na mar
Guruji ne tujhe dee hai sharan
Shukrana se bhar le tu apna mann.

Ye zameen ye sansaar aur ye gagan
Sabhi karein Guru ko naman
Andhera bhi Unke hukm se ho jaayega khatam
Tere jeevan ko roshan karne ujaala zaroor lega janam
Andhera na dhaa paayega tujh par koi sitam
Andhere mein Guruji ke sahaare tu badhaata chal kadam.

Tera muqaddar dikhaaye tujhe jaisa bhi nazaara
Guruji sanvaar sakte Hain nazaara saara
Beshart aur niswaarth hai Guruji ka sahaara
Unhe Apna har bhakt lagta hai pyaara.

Tu gair nahin Hain Unke liye
Tera kalyaan hai Unkee zimmedaari
Is vilamb ka bhi koi kaaran hoga
Jab tere liye sahi hoga, tabb aayegi teri bhi baari.

Tu ho ya na ho chaahe is baat se sehmat
Tujh par bhi baras rahi hai Unkee rehmat
Jo tujhe sambhaale huey hai har pal
Ambar se bhi vishal hai Unka veh aanchal
Jinkee nazar mein hain tere din rayyn
Mahasaagar se bhi gehre hain Unke ve nayyn.

Guruji shakti pradaata Hain
Guruji hee vidhaata Hain
Guruji tere haal ke gyaata Hain
Guruji jeevan daata Hain.

Isliye doobne se bilkul na darr
Doobte doobte bhi tu jaayega tarr
Aur phir tu tayyr paayega is kadar
Ki kalyaanmayi hoga tera safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Tayyr Paayega Is Kadar (06/16/2022)