Guruji Ka Dhyan (05/29/2020)

May 29, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 831

         Guruji Ka Dhyan

Din charya ke kaam kaaj toh hongei hameshaan
Inke kaaran Guruji ka dhyan na khona
Dukh aur vikaar bhi jeevan mein karenge pareshaan
Lekin inse tum vyaakul na hona

Jitna vikaaron se duur rahoge, Guruji ko paaoge apne utna hee kareeb
Jitna samarpan karoge Unhe, utna hee Ve sambhaalenge tumhaara naseeb
Isliye sarvsamarpan karna hai sabse achchi tarkeeb
Phir kabhi na mehsoos karoge tum swayam ko gareeb

Yaad rahey ki hamaara mukhya lakshya hai har pal paana Guruji ka saath
Kabhi bhi itne unmatt na hona ki na kar paao Guruji se tum baat
Kabhi bola na jaaye toh aankhon se keh dena
Aur jo bhi haalaat aaye usey seh lena

Guruji ke kehne par rukh badal leti hai hawaa
Guruji kee manzoori ho toh asar laati hai dua
Guruji agochar Hain magar sunte Hain tumhaari sadaa
Guruji hee Parameshwar Hain, Unke sangg tum nibha lo wafaa

Tumhaara koi haalaat Guruji se nahin chhupa Hai
Tumhaara kalyaan Guruji dwaara kabhi nahin ruka hai
Tumhaare adhiktar karam swayam par lekar tumhaara kalyaan kar rahey Hain Guruji
Tumhe toh maalum bhi nahin chal sakta ki tumhaare liye kya kya kasht seh rahey Hain Guruji

Tark ya akal lagaakar koshish bhi na karna maalum karne kee
Ye tumhaare buss kee baat nahin
Jismein Guruji kee kripa na ho tum par
Aisee koi saugat nahin

Ve hee kar sakte Hain aisa
Kyunki Ve MahaShiv Hain, Parvardigaar Hain
Poori Srishti mein aur kisee mein yeh kshamta nahin
Isliye kewal Guruji hee hamaare madadgaar Hain

Kann kann par hai Guruji kee hukoomat
Tum buss bharosa rakho aur karo ibadat
Nakaar do shikaayat ka har bahaana
Har moad par karte chalo Unka Shukrana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Dhyan (05/29/2020)

Apne Se Kabhi Bhi Judaa Na Karna (05/28/2020)

May 28, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 830

 Apne Se Kabhi Bhi Judaa Na   Karna

Apne se kabhi bhi juda na karna mujhe aye Maalik
Yeh dukh na mai seh paaoongi
Apne aanchal mein Aapki bachchi bann kar jeene dena
Toh mai phooli nahin samaaoongi

Aap aagey aagey chalna mere pyaare Guruji
Mai Aapke peechhe chalti jaaoongi
Aapke diye noor se nikhroon Aapki kripa se
Varna toh mai shaam kee tarehn dhalti jaaoongi

Aapki mahima gaaoon din raat
Varna yeh awaaz kis kaam kee
Aapke devatva kee taareef karoon
Varna yeh likhaayee bhi nahin kisee kaam kee

Aapke satsang sunoon aur sunaaoon
Taaki Aapka ashirwaad sangat aur mujhe milta rahey
Zamaane ke sitam na sataayein mujhe
Aapka pyaar mere har ghaav ko silta rahey

Yoon hee loag kehte hain ki Ve apne hain
Sach mein Apne toh kewal Aap hee Hain
Baaki sab toh mithya aur sapne hain
Satya aur tathya toh kewal Aap hee Hain

Aap Hain sampoorna jagat ke Bhagwaan
Aapne hee ruhaaniyat aur divyataa ka kiya hai nirmaan
Mai hoon ek naadaan insaan
Bhool chuk ke liye kripa kar ke dena kshama daan

Mai khushnaseeb hoon kyunki
Meri saanson kee doar Aapke haath mein hain
Mai ek pal ke liye bhi nahin gareeb hoon
Aap mere naath jo mere saath mein Hain

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Apne Se Kabhi Bhi Judaa Na Karna (05/28/2020)

Panchsheel (05/27/2020)

May 27, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 829

             Panchsheel

Guruji se karte hain hum pyaar
Toh kar lein thoda sa intazaar
Ve rahein Hain hamaare kaaj sanvaar
Unkee leela hai aparampaar

Waqt beeta jaa raha hai
Insaan jeeta jaa raha hai
Abb toh Guruji ka kehna maan lein
Unkee ichchaa ko jaan lein

Guruji kehte Hain hum banein sajjan
Kardein Guruji ko sarvsamarpan
Indriyon par niyantran rakhein bann kar damansheel
Sajjan bann-ne ke liye apna lein yeh panchsheel

Guruji par rakhein achal Vishwaas
Unkee praapti ke liye karein dridh Prayaas
Is dridh prayaas mein vikaaron ka nahin hai sthaan
Aur is prayaas mein simran, satsang, samarpan ka hai mahatvapoorna yogdaan

Sadh Sangat ka karein hum Sangg
Apne Dhyan mein bharein niswaarth shraddha ka rangg
Na karein kusangati ke kaaran apni tapasya ko bhangg
Niswaarth Sewa se shudh banaayein apne jeene ka dhangg

Aisa atal VISHWAAS aur aisa paawan PRAYAAS
Vikaar rahit aur ekaagrachitt DHYANABHYAAS
Guruji kee nishkapat SEWA aur saath mein SADH SANGAT aur satya ka sangg
Aise PANCHSHEEL se jeevan ke chitr mein bhar jaayega suhaana ruhaani rangg

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Panchsheel (05/27/2020)

Guruji Pyaare Aaye Hain (05/26/2020)

May 26, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 828

 Guruji Pyaare Aaye Hain

Guruji pyaare aaye Hain
Hamein taarne ke liye
Jeevan sudhaarne ke liye
Srishti ko sanvaarne ke liye

Guruji pyaare aaye Hain
Simran kee saugat lekar
Simran mein dawaa kee daat lekar
Mehar kee mulaakaat lekar

Guruji pyaare aaye Hain
Mitaane vikaaron kee beemaari
Sikhaane sachchaayee aur sadaachaari
Giraane vehem kee chaar deewari

Guruji pyaare aaye Hain
Moh maya kaam krodh ko duur karne
Ahem aur madsar ko chuur karne
Hamaare bheetar noor bharne

Guruji pyaare aaye Hain
Karne hamein maaf
Karne hamaare dil ko saaf
Dilaane hamein insaaf

Guruji pyaare aaye Hain
Dheeraj rakhna sikhaane
Raasta hamein dikhaane
Manzil takk hamein pahunchaane

Guruji pyaare aaye Hain
Hamein sikhaane saraltaa
Hamein samjhaane taraltaa
Hamaari soch mein sajaane nirmaltaa

Guruji pyaare aaye Hain
Hamein aish karaane
Hamein insaaniyat sikhaane
Aur hamein β€˜banda’ banaane

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Pyaare Aaye Hain (05/26/2020)

Roop Manohar Hai Guruji Ka (05/25/2020)

May 25, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 827

       Roop Manohar Hai Guruji Ka

Roop manohar hai Guruji ka
Aur Ve Hain nirvikaar
Bashar ke roop mein aaye hamaare liye
Lekin Hain Ve MahaShiv niraakaar

Na kul ya gotra se kuch lena dena, na koi vehem
Na koi dikhaawe ka aadambar, na hee koi ahem
Swabhaav Unka saral aur taral
Dil itna komal aur nirmal

Guruji Hain karuna nidhaan
Sangat ke liye dete Hain balidaan
Har bhakt ke dil mein rehte Hain
Gurbani sun-ne ke liye kehte Hain

Kaise hisaab karte Hain hamaare karmon ka
Kab aur kaise Ve niyati likhte Hain dobaara
Kaise samay ko bhi vash mein karte Hain
Aur dete Hain hamein sahaara

Hamaare mein saamarthya nahin
Ki hum Unkee kisee bhi soch ko pehchaanein
Unkee leela kaisi hai
Yeh toh kewal Ve hee jaanein

Guruji toh ye chaahte Hain
Ki hum vikaaron ka upvaas karein
Aur Unhe sarvsamarpan kar ke
Unke charnon mein har shwaas dharein

Kyunki Ve hee bakshanhaar Hain
Aur Ve hee taaranhaar Hain
Greeshm ritu kee chhaaon ke roop mein Ve Hain
Aur sharad ritu kee meethi dhoop mein bhi Ve hee Hain

Har tarehn se hamein dena chaahein Guruji aaraam
Ve hee hamaare naath Hain aur hamaare Bhagwaan
Aur koi rakh sakta nahin hamaara itna khayaal
Unke pyaar se hum sabb ho gaye hain nihaal

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Roop Manohar Hai Guruji Ka (05/25/2020)

Yahaan Abb Mann Lagta Nahin (05/24/2020)

May 24, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 826

     Yahaan Abb Mann Lagta Nahin

Yahaan abb mann lagta nahin
Abb toh jee chaahta jaaoon vaheen
Jahaan hawaa mein niswaarthta kee mehek ho
Jahaan azaad parindon kee nirantar nidar chehek ho

Jahaan insaan insaan se prem karey
Jahaan vinamrataa se sabka aanchal bharey
Jahaan jhooth fareb na ho logon kee baat mein
Jahaan darr na ho din mein ya raat mein

Jahaan har oar ho Guru prem kee layy
Jahaan Guruji kee mahima ke prati na ho koi sanshay
Jahaan Guruji se sab niswaarth pyaar karein
Aur doojon ke darr kee vajeh se Guruji se na darein

Jahaan Guruji kee hoti rahei vadiyaayee
Jahaan buss Unkee hee mahima de sunaayee
Jahaan asatya ka ho jaaye pardaafaash
Jahaan satya se goonje dharti aur akash

Jahaan har asahaay ko mil jaaye sahaara
Jahaan koi bhi na rahei bechaara
Jahaan chayyn miley dukh aur santaap ko
Jahaan badhaava na miley paap ko

Jahaan pavitrataa kee kadar ho sadaa
Jahaan neevenpann kee sab mein ho adaa
Jahaan mann kee khoobsoorati mainey rakhey, dikhaawa nahin
Jahaan Bhagwaan ko shraddha aur prem diya jaaye, laukik chadhaava nahin

Shaayad yeh beeta hua satyuga hai
Lekin Guruji kee mehar se yeh laut kar aayega
Yahee ummeed ki jo aaj ka kalyuga hai
Ye vishay vikaar ko saath lekar jaayega

Janam hoga satyuga ka yaheen
Toh shaayad kaheen aur nahin jaane kee hogi zaroorat
Intazaar hai abb toh
Ki kab aayega yeh shubh mahoorat

Waqt kar de haseen vaada
Ki saari nakaaratmakta ko bahaa paayega
Guruji angg sangg Hain
Isliye yakeenan veh suhaana samaa aayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Yahaan Abb Mann Lagta Nahin (05/24/2020)

Ruhaani Aakriti (05/23/2020)

May 23, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 825

                  Ruhaani Aakriti

Nidravasthaa se hota hai atma ka punarnirmaan
Lekin shithiltaa se lagta hai adhyaatmik unnati ko poornaviraam
Isliye shithiltaa ko tyaag do
Adhyaatmik vikaas ke liye jaag lo

Yeh baat kewal sonei aur jaagne kee nahin hai
Ye hai aantrik chetna kee aur jaagriti kee
Kyunki karmic uddhar ke liye zaroorat hai
Rachna pavitra aur ruhaani aakriti kee

Jitna simran karenge hum, chetna badhti chalegi
Laukikta ke aakarshan kee jo mayl hai mann par, veh dheere dheere ghategi
Apni din-charya mein simran ko nigamit kar lo
Is simran mein prem, shraddha, aur dheeraj bhar lo

Saanson mein samaa jaayega simran
Har pal mann mein hoga simran
Udne lagegi mayl mann se
Sampann ho jaaoge simran ke dhan se

Sotey huey simran, jaagte huey simran
Sukh mein simran, dukh mein simran
Har vele mann mein chalta rahei simran
Toh awashya saaf hoga ye mayla mann

Yeh karne se koi nuksaan nahin
Balki hai faayda hee faayda
Kaheen bhi simran kar sakte ho
Iska nahin hai koi kaanoon ya kaayda

Guruji sarv-vyapi Hain, Guruji Hain sarv-shaktimaan
Tum simran kee lagan lagaao, Unhonei diya hai tumhe naam ka daan
Guruji ko chitt mein samaakar mitaa lo apni pehchaan
Aur Guruji se paa lo pavitra aur ruhaani aakriti ka vardaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ruhaani Aakriti (05/23/2020)

Koshish Karein Khwaab Ko Sachcha Karne Kee (05/22/2020)

May 22, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 824

Koshish Karein Khwaab Ko Sachcha Karne Kee

Kalyuga kee kala se kar lee kanchan kaaya
Apne vyaktitva mein samaa liya moh aur basaa lee maya
Itne badal gaye ki pehchaan na sakaa apna hee saya
Guruji ke bina hum kuch nahin, phir bhi yeh satya samajh na aaya

Maasumiyat toh kaheen peechhe chhoot gayi na jaane kabb
Har cheez mein dekha jaata hai faayda aur matlab
Jaante huey bhi insaan anuchit kaam kar rahe hain
Vikaaron kee aag mein kitnon ke imaan jal rahei hain

Guruji ke hum bhakt hain agar
Kyun bante hain Mann mukh
Koshish karein ki banein Gurmukh
Chaahe jeevan mein sukh aaye ya dukh

Jab takk haumai nahin chhootegi
Gurumukh ban-na namumkin hai
Agley janmon kee taqdeer humse roothegi
Aur haath se nikaltaa jaa raha har din hai

Guruji raasta dikhaa rahei hain
Par haumai kee patti aankhon par se hataani hogi
Guruji sadgunon kee daat dene ke liye baithey Hain
Lekin hamein apne chitt mein jageh toh banaani hogi

Har vikaar ko kyun na apne chitt aur charitra se kar dein judaa
Taaki humse prassann ho jaaye hamaara Khuda
Mann kee gaagar ko sadgunon aur sadbhaav se bhar lein
Apne bheetar sab satyuga ka nirmaan kar lein

Khwaab bhi lagta hai agar yeh, toh kyun na koshish karein is khwaab ko sachcha karne kee
Jab Guruji angg sangg Hain, toh koi zaroorat nahin hai kisee se bhi darne kee
Bheetar satyuga aayega, toh baahar bhi vahee spandan chhaayega
Har insaan swayam ko aur sansaar ko apni insaaniyat ka anmol uphaar de paayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Koshish Karein Khwaab Ko Sachcha Karne Kee (05/22/2020)

Kaagaz Kee Naiya (05/21/2020)

May 21, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 823

                Kaagaz Kee Naiya

Guruji hee Hain mrityunjay
Guruji hee hamaare pratipaalak
Karmon ke anusaar hamaari niyati kahaan le jaayegi
Guruji hee Hain is raaste ke sanchaalak

Ve hee niyati likh sakte Hain dobara
Unhee ka hai har bhakt ko sahaara
Guruji ke bina toh nahin hai guzaara
Unkee mehar se hee dikhega noor ka nazaara

Kaagaz kee naiya hai yeh zindagi
Ismein dolte huey kar lein Guruji kee bandagi
Guruji khewaiya Hain is naiya ke
Aur hum sab aabhaari hain apne khewaiya ke

Hum sab Guruji ke bachche hain
Chaahe jhoothe hain ya sachche hain
Guruji toh sabke sangg hee achche Hain
Hamaare hee sarvsamarpan ke vaade kachche hain

Karmon ka lekha sanvaarne waale Bhagwaan Hain Guruji
Sadaachaari bhakt ka dharam aur imaan Hain Guruji
Lakh chhupa le sansaar se koi apni soch aur apne karam ko
Kisee kee soch aur karam se nahin anjaan Hain Guruji

Safar mein kuch tufaan aise aayenge
Jo hosh udaakar chale jaayenge
Lekin Guruji ke paas jo hogi naiya kee patvaar
Toh naiya ko sambhaal lenge hamaare parwardigaar

Jab hongi upadravi aur ashant lehrein saagar kee
Guruji dhaaran shakti badhaa denge himmat kee gaagar kee
Buss, hamein sarvsamarpan kar ke naiya mein karna hoga har pal Guruji ko yaad
Pyaar aur shraddha se karenge, toh Ve zaroor sunenge fariyaad

Simran, shraddha, aur saboori se
Har leher shant ho jaayegi
Aur Guruji kee kripa se ek din
Hamaari naiya zaroor kinaare par aayegi

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kaagaz Kee Naiya (05/21/2020)

Guru Simran Kee Pyaas (05/20/2020)

May 20, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 822

Guru Simran Kee Pyaas

Na kaam aaye paisa na dhan
Jabb udaas ho jaaye kabhi mann
Isliye Guruji se seedhi taar jodo
Aur moh maya se judna chodo

Sukh mein Guruji, dukh mein Guruji
Har baat mein Guruji, har saugat mein Guruji
Aankhon kee namee mein Guruji, hothon kee hasee mein Guruji
Ghar par Guruji, har dar par Guruji

Guruji sab kuch dekh rahe Hain
Sirf kahein nahin, is satya ko hum pehchaanein
Galat raah par kadam rakhne se pehle
Apni antaratma ke zameer kee baat maanein

Kyunki Guruji se agar sachcha prem hai hamein
Toh antaratma Guruji ke vachan ko maanegi
Guruji kee vaddi vadiyaayee hai
Har pal is baat ko jaanegi

Antaratma swasth rahei, iske liye sadaachaari aur satya ke maarg par chalna zaroori hai
Aur koi galat raasta apanaayein bhi kyun, aisee bhi kya majboori hai
Dhan daulat ya mehenge kapde na denge anant prassannataa
Lekin Guruji ka antaratma mein basera sadaa dega prapannata

Isliye kyun na anant sukh paane ka karein prayaas
Phir na reh jaayegi aur koi bhi aas
Baaki har tarehn se santusht rehne ka karte rahein abhyaas
Lekin lagti rahei Guru simran kee pyaari pyaas

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Simran Kee Pyaas (05/20/2020)